Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa Ghazal 2017

Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai;
Eik Naiki Mere Hisse Mein Bhi Aai Hui Hai;

Mere Kaandhon Pe Dharaa Hai Koi Haraa Huaa Ishq;
Yeh Ghari Hai Jo Muddat Se Uthaai Hui Hai;

Toot Jaaunga Agar Mujh Ko Banaaya Bhi Gaya;
Koi Shaey Aesi Mere Jism Me Samaai Hui Hai;

Sard Mehri Ke Ilaaqey Me Hoon Masroof-e-Duaa;
Zinda Rehnay Ke Liay Aag Jalaai Hui Hai;

Qissaa Goo! Teri Chaupaal Se Main Ab Chaltaa Hoon;
Raat Bhi Bheeg Chuki, Neend Bhi Aayi Hui Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Sadiyon Se Ik Sapna Hai;
Kaho Pura Karo Gey Tum;

Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch;
Kaho Aisa Karo Gey Tum;

Nhi Kuch Or Tamanna Ab;
Ke Bus Mere Ho Jao Tum;

Kabhi Na Chor Ke Jao Gey;
Kaho Aisa Karo Gey Tum;

Faqt Ik Lafz Sunne Ko;
Kai Barson Se Tarse Hain;

Mujhe Apna Bana Lo Tum;
Kaho Aisa Karo Gey Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Gulazar-E-Hast-O-Bu Na Beganavar Dekh;
Hai Dekhane Ke Cheez Ise Bar Bar Dekh;

Aaya Hai To Jahan Mein Misal-E-Sharar Dekh;
Dam De Najaye Hasti-E-Napayedar Dekh;

Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main;
Tu Mera Shauq Dekh Mera Intazar Dekh;

Kholi Hain Zauq-E-Deed Ne Aankhen Teri To Phir;
Har Rahaguzar Mein Naqsh-E-Kaf-E-Pay-E-Yar Dekh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Agar Talaash Karun Koii Mil Hii Jaayegaa;
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa;

Tumhen Zaruur Koii Chaahaton Se Dekhegaa;
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa;

Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho;
Makaan Khaalii Huaa Hai To Koii Aayegaa;

Main Apanii Raah Men Diivaar Ban Ke Baithaa Hoon;
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa;

Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai;
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pani Vich Be Ke Hawa Labda Reha;
Ik Bewafa Vichon Wafa Labda Reha;

Hathin Talash Kita Si Jera Pathar Da Bhoot;
Ush Vichon Khuda Labda Reha;

Te Tar Tar Kita Jine Aapni Ruh Da Lybas;
Os Nange Baadan Vichu Haya Labda Reha;

Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C;
O Hor Kise Nu Chaunde Rahe;

O Hasde Rahe Begaaneya Naal;
Sanu Utle Mano Bulaunde Rae;

Asi Kitia Duawa Pyaar Dia;
Te O Daag Ishq Nu Launde Rahe;

O Daag Mitaaya Nai Mitde;
Asi Hanjua Naal Mitaaunde Rae;

O Hi Raah Vich Saanu Dob Gae;
Jinu Asi Kinaare Launde Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ye Husn-E-Raz Muhabbat Chupa Raha Hai Koi;
Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Rha Hai Koi;

Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi;
Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi;

Takhayulat Ke Dhoke Hain Sab Shab-E-Vada;
Na Aa Raha Hai Koi Aur Na Ja Raha Hai Koi;

Ye Husn-O-Ishq Ke Tasvir Ke Hain Do Manzar;
Ki Ro Raha Hai Koi Muskura Raha Hai Koi;

Qadeer Hasher Mein Pahunche To Hum Ne Kya Dekha;
Kisi Ke Hath Se Daman Chuda Raha Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tute Hue Dilon Ke Dua Mere Sath Hai;
Duniya Teri Taraf Hai Khuda Mere Sath Hai;

Aawaz Ghungharuon Ke Nahi Hai To Kya Hua;
Sagar Ke Tutane Ke Sada Mere Sath Hai;

Tanhai Kis Ko Kahate Hain Mujhko Pata Nahi;
Kya Jane Kis Hasin Ke Dua Mere Sath Hai;

Paimana Samane Hai To Kuch Gham Nahi Nizam;
Ab Dard-E-Dil Ke Koi Dawa Mere Sath Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Badh Gaya Tha Pyaas Ka Ehasas Dariya Dekh Kar;
Hum Palat Aaye Magar Pani Ko Pyasa Dekh Kar;

Hum Bhi Hain Shayad Kisi Bhataki Hui Kashti Ke Log;
Chikhane Lagate Hain Khwabon Mai Zazira Dekha Kar;

Jis Ke Jitani Haisiyat Hai Usake Nam Utana Khulus;
Bhikh Dete Hain Yahan Ke Log Kasa Dekh Kar;

Mangate Hain Bhikh Ab Apne Muhallon Mai Faqir;
Bhukh Bhi Muhatat Ho Jati Hai Khatra Dekh Kar;

Khudkushi Likhi Thi Ek Bewa Ke Chehare Par Magar;
Phir Wo Zinda Ho Gayi Bacha Bilakata Dekh Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Jazbon Ki Tijaraat Thi;
Yeh Dil Kuch Or Samjhana Tha;
Useh Hashne Ki Aadat Thi Ye Dil Kuch Or Samjha Tha;

Wo Aksar Mere Kandhe Par Sar Rakh Ke Kahein Kho Sa Jata Tha;
Useh Khud Sy Mohabat Thi;
Yeh Dil Kuch Or Samjha Tha;

Ush Ne Kaha Aaoo, Aake Nai Dunia Basate Hai;
Useh Soojhi Shararat Thi;
Yeh Dil Kuch Or Samjha Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayen Hum;
Lekin Ye Kya Ki Shahar Tera Chod Jayen Hum;

Muddat Hui Hai Ku-E-Butan Ke Taraf Gaye;
Aavaragi Se dil Ko Kahan Tak Bachayen Hum;

Shayad Baqaid-E-Zist Ye Saat Na Aa Sake;
Tum Dastan-E-Shauq Suno Aur Sunayen Hum;

Benur Ho Chuki Hai Bahut Shahar Ke Faza;
Tarik Raston Mein Kaheen Kho Na Jayen Hum;

Us Ke Bagair Aj Bahut Jee Udas Hai;
'Jalib' Chalo Kaheen Se Use Dhundh Layen Hum!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Gazal Walon Ka Uslub Samajhate Honge;
Chand Kahate Hain Kise Khub Samajhate Honge;

Itni Milati Hai Meri Ghazlon Se Surat Teri;
Log Tujh Ko Mera Mahbub Samajhate Honge;

Main Samajhata Tha Mohabbat Ke Zaban Khushbu Hai;
Phul Se Log Ise Khub Samajhate Honge;

Bhool Kar Apna Zamana Ye Zamane Wale;
Aj Ke Pyar Ko Mayub Samajhate Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Main Ne;
Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne;

Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi;
Gamon Ki Ott Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne;

Kabhi Na Khatam Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz;
Agar Chirag Bujha, Dil Jala Liya Main Ne;

Kamal Yeh Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha;
Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne;

'Qateel' Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha;
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aadmi Aadmi Ko Kya Dega;
Jo Bhi Dega Wohi Khuda Dega;

Mera Qatil Hi Mera Munsib Hai;
Kya Mere Haq Mein Faisala Dega;

Zindagi Ko Qarib Se Dekho;
Isaka Chehara Tumhen Rula Dega;

Hamase Pucho Dosti Ka Sila;
Dushmanon Ka Bhi Dil Hila Dega;

Ishq Ka Zahar Pi Liya `Fakir`;
Ab Masiha Bhi Kya Dava Dega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wafa Ke Khawab Muhabbat Ka Aasara Le Ja;
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja;

Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan;
Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja;

Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera;
Ki Bund Bund Aata Kar Ghata Ghata Le Ja;

Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho;
Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja;

Nadamaten Hon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai;
'Faraz' Jan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana;
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana;

Saink'roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke;
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana;

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai;
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana;

Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey;
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana;

Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon;
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana;

Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain;
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha Sare Manzar Bhool Gaye;
Ush Ke Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye;

Khub Gaye Pardes Ki Apne Divar-O-Dar Bhool Gaye;
Shish-Mahal Ne Aisa Ghera Matti Ke Ghar Bhool Gaye;

Tujh Ko Bhi Jab Apni Qasamen Apne Wade Yaad Nahi;
Hum Bhi Apne Khwab Teri Aankhon Mein Rakh Kar Bhool Gaye;

Mujh Ko Jinhone Qatl Kiya Hai Koi Unhen Batalaye `Nazeer`;
Meri Lash Ke Pehlu Mein Wo Apna Khanjar Bhool Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yar Tha Gulzar Tha Bad-E-Saba Thi Main Na Tha;
Layaq-E-Pa-Bos-E-Jan Kya Hina Thi Main Na Tha;

Hath Kyon Bandhe Mere Challa Agar Chori Hua;
Ye Sarapa Shokhi-E-Rang-E-Hina Thi Main Na Tha;

Main Ne Pucha Kya Hua Wo Aap Ka Husn-O-Shabab;
Hans Ke Bola Wo Sanam Shan-E-Khuda Thi Main Na Tha;

Main Sisakata Reh Gaya Aur Mar Gaye Farahad-O-Qais;
Kya Unhin Donon Ke Hisse Mein Qaza Thi Main Na Tha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Haqiqat Hai Ki Hota Hai Asar Baton Mein;
Tum Bhi Samajh Jaoge Do Char Mulaqaton Mein;

Tum Se Sadiyonki Vafaon Ka Koi Nata Na Tha;
Tum Se Milane Ke Lakiren Thi Mere Hathon Mein;

Tere Vadon Ne Hamein Ghar Se Nikalne Na Diya;
Log Mausam Ka Maza Le Gaye Barasaton Mein;

Ab Na Suraj Na Sitare Na Shaman Na Chand;
Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raton Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khwab Ke Tarah Bikhar Jane Ko Jee Chahata Hai;
Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Jee Chahata Hai;

Ghar Ke Vahshat Se Larazata Hun Magar Jane Kyon;
Sham Hoti Hai To Ghar Jane Ko Jee Chahata Hai;

Doob Jaun Toh Koi Mauj Nishan Tak Na Bataye;
Aisi Nadi Mein Utar Jane Ko Jee Chahata Hai;

Kabhi Mil Jaye To Raste Ke Thakan Jag Pade;
Aisi Manzil Se Guzar Jane Ko Jee Chahata Hai;

Wohi Paiman Jo Kabhi Jee Ko Khush Aaya Tha Bahut;
Usi Paiman Se Mukar Jane Ko Jee Chahata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Phir Koi Aaya Dil-E-Zar Nahi Koi Nahi;
Raharau Hoga Kaheen Aur Chala Jayega;

Dhal Chuki Raat Bikharne Laga Taron Ka Gubar;
Ladakhadane Lage Aewanon Mein Khwabida Chirag;

So Gai Rasta Tak Tak Ke Har Ek Rahaguzar;
Ajanabi Khak Ne Dhundala Diye Qadmon Ke Surag;

Gul Karo Shamen Bada Do Mai-O-Mina-O-Ayag;
Apne Bekhwab Kiwadon Ko Muqaffal Kar Lo;

Ab Yahan Koi Nahin, Koi Nahi Aayega ;
Phir Koi Aaya Dil-E-Zar Nahi Koi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ek Purana Mausam Lauta, Yaad Bhari Purvaee Bhi;
Aisa To Kam Hi Hota Hai, Vo Bhi Ho Tanhaee Bhi;

Yaadon Kee Bauchharon Se, Jab Palke Bhigane Lagati Hai;
Kitni Saundhi Lagti Hain Tab, Mazee Kee Rusvaii Bhi;

Do Do Shaklen Dikhti Hain, Is Bahake Se Aaeene Mein;
Mere Sath Chala Aaya Hai, Aapaka Ek Saudii Bhi;

Khamoshi Ka Hasil Bhi, Ik Lambi Si Khamoshi Hai;
Unkee Baat Suni Bhi Hamne, Apni Baat Sunaee Bhi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain;
Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga;

Tu Mila Hai To Ye Ehsaas Huaa Hai Mujhko;
Ye Meri Umar Mohabbat Ke Liye Thhodi Hai;

Ek Zara Sa Ghum-E-Dauraan Ka Bhi Haq Hai Jis Par;
Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai;

Tujh Pe Ho Jaaoonga Qurban Tujhe Chahoonga;
Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga;

Apne Jazbaat Mein Naghmaat Rachaane Ke Liye;
Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaaya Hai Tujhe;

Main Tasavvur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon;
Maine Kismat Ki Lakeeron Se Churaaya Hai Tujhe;

Pyar Ka Banke Nigehbaan Tujhe Chaahoonga;
Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga;

Teri Har Chaap Se Jalte Hain Khayaalon Mein Chiraag;
Jab Bhi Tu Aaye Jagaata Huaa Jaadu Aaye;

Tujhko Chhulun To Aye Jaan-E-Tamanna Mujhko;
Dair Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye;

Tu Bahaaron Ka Hai Unwaan Tujhe Chaahoonga;
Main To Marrkar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaaoounga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Baat Niklegi To Fir Door Talak Jaayegi;
Log Bewajha Udasi Ka Sabab Puchhenge;

Yeh Bhi Puchhenge Ke Tum Itni Pareshan Kyun Ho;
Ungliyaan Uthegi Sukhe Huae Baalon Ki Taraf;

Ek Nazar Dekhenge Gujre Huae Saalon Ki Taraf;
Choodiyo Par Bhi Kai Tanz Kiye Jaayenge;

Kaampte Haatho Pe Bhi Fikr-E-Kas-E-Jaayenge;
Log Zaalim Hai Har Ik Baat Ka Taana Denge;

Baaton Baaton Mein Mera Zikar Bhi Le Aayenge;
Unki Baaton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena;

Varna Chahere Ke Taasur Se Samaj Jaayenge;
Chahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Na Karna Unse;

Mere Baare Mein Koi Baat Na Karna Unse;
Baat Niklegi To Duur Talak Jaayegi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Dhoondhta Hai, Fir Wahee Furasat Ke Raat Din;
Baithhe Rahe Tasavvur-E-Jaanaa Kiye Huye;

Jaadon Kee Narm Dhoop Aur, Aangan Mein Let Kar;
Aankhon Pe Khinch Kar Tere, Aanchal Ke Saaye Ko;

Aaundhe Pade Rahe Kabhee, Karawat Liye Huye;
Barfilee Sardiyon Mein, Kisi Bhee Pahaad Par;

Waadee Mein Gunjatee Huyee, Khaamoshiyaan Soone;
Aankhon Mein Bheege Bheege Se, Lamhe Liye Huye;

Yaa Gamreeyon Kee Raat Jo Poorawaaeeyaan Chale;
Thhandee Safed Chaadaro Pe Jaage Der Tak;
Taaron Ko Dekhate Rahe Chhat Par Pade Huye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Har Ek Baat Pe Kahate Ho Tum, Ki Tuu Kyaa Hai;
Tumhi Kaho Ke, Ye Andaaz-E-Guftagu Kyaa Hai;

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Ham Nahi Qaayal;
Jab Aankh Hi Se Na Tapkaa To Phir Lahuu Kyaa Hai;

Chipak Rahaa Hai Badan Par Lahuu Se Pairaahan;
Hamari Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafuu Kyaa Hai;

Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa;
Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kyaa Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Nahoosat Shaairy Jis Kalmoohi ka Naam Hai;
Mujh Se Poochhen, Yeh Nikhatoo Mardoo-On Ka Kaam Hai;

Main Gai Choolhe Mein, Hulia Dekhieye Apna Zara;
Jaise Khud Rau Ghaas Ho, Khat Istarah Se Hai Barha;

Jaise Koi Qaidi Jo Kaate Koi Lambi Si Saza;
Marhaba, Ai Shaair-E-Rangeen Bayaan, Sad Marhaba;

Bhaar Mein Jaaey Yeh Teri Shaairy, Yeh Tera Fun;
Tu Agar Mera Nahin Banta Na Ban, Apna Tau Ban!


Chamakte Chand Ko Tuta Hua Tara Bana Dala;
Meri Aawargi Ne Mujhko Aawara Bana Dala;

Bada Dilkash Bada Rangeen Hai Yeh Shehar Kehte Hain;
Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain;

Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala;
Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Hairaan Hota Hun;

Na Mujhse Ban Saka Chhota Sa Ghar, Din Raat Rota Hun;
Khuda Ya Tune Kaise Ye Jahan Sara Bana Dala;

Mere Malik, Mera Dil Kyun Tadapta Hai, Sulagta Hai;
Teri Marzi , Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai;

Kisi Ko Gul, Kisi Ko Tune Angara Bana Dala;
Yehi Aagaz Tha Mera, Yehi Anjaam Hona Tha;

Mujhe Barbaad Hona Tha, Mujhe Nakaam Hona Tha;
Mujhe Taqdeer Ne Taqdeer Ka Mara Bana Dala!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aap Kee Yaad, Aatee Rahee Raatbhar;
Chashma-Ye-Nam Muskuraatee Rahee Raatbhar;

Raatabhar Dard Kee, Shamaa Jaltee Rahee;
Gam Kee Lau, Thartharatee Rahee Raatbhar;

Bansuri Kee Sureeli Suhanee Sadaa;
Yaad Ban Ban Ke, Aatee Rahee Raatbhar;

Yaad Ke Chaand, Dil Mein Utarate Rahe;
Chaandni Jagmagaatee Rahee Raatbhar;

Koi Diwaana Galiyon Mein Firtaa Rahaa;
Koi Aawaz, Aatee Rahee Raatbhar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak;
Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak;

Aashiqii Sabartalab Aur Tamannaa Betaab;
Dil Kaa Kyaa Rang Karun Khuunejigar Hone Tak;

Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jaayenge Ham Tumako Khabar Hone Tak;

Gamehastii Kaa 'Asad' Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj;
Shamm'a Har Rang Men Jaltii Hai Sahar Hone Tak!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujh Ko Shikast-E-Dil Ka Maza Yaad Aa Gaya;
Tum Kyon Udas Ho Gae Kya Yaad Aa Gaya;

Kehne Ko Zindagi Thi Bahut Mokhtasir Magar;
Kuch Yoon Basar Hoi K Khuda Yaad Aa Gaya;

Barse Bagaer Hi Jo Ghatta Aa Kya Nigal Gai;
Ek Bewafa Ka Ahad-E-Wafa Yaad Aa Gaya;

Yoon Chonk Uthe Wo Soon Kar Mera Shikwa;
Jaise Unhein Bhi Koi Gila Yaad Aa Gaya;

Hairat He Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae!Ghalib;
Kiya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi;
Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hon, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi;

Hamein Jaan Deni Hai Ek Din, Wo Kisi Tarah Wo Kahein Sahi;
Hamein Aap Khinchein Daar Per, Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi;

Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashar Ho, Hamein Intizaar Qabool Hai;
Wo Kabi Mile, Wo Kahin Mile, Wo Kabi Sahi, Wo Kahin Sahi;

Na Ho Un Per Jo Mera Bus Nahi, K Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi;
Mai Unhi Ka Tha, Mai Unhi Ka Hoon, Wo Mere Nahi To Nahi Sahi;

Jo Ho Faisla Wo Sunaye, Use Hashar Per Na Uthaye;
Jo Kareinge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahin Sahi;

Useh Dekhne Ki Jo Loo Lagi, To 'NASEER' Dekh Hi Leinge Hum;
Wo Hazar Aankh Se Door Ho, Wo Hazar Parda-Nasheen Sahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⬉⬉Tanhaiyon Mein Khayaal Aata;
Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata;

Bekarar Dil Ko Karar Nahi Aata;
Milne Ka Hamhe Kyun Unko Khayaal Nahi Aata;

Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo, Ye Silsila Thum Hi Nahi Pata;
Soche To Kya Soche, Koi Vichar Aur Smajh Nahi Aata;

Rab Se Ajeej Wo Kaisa ⬉⬉Saaya Hai, Itna Kya Mann Ko Bhaya;
Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi;
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi;

Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo'atabar;
Tere Saare Gham Mujhe Mohtaram Tere Baad Bhi;

Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir;
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi;

Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya;
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi;

Mere Baad Kitne He Roop Tu Ne Badal Liea;
Main Wahin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Mohabbaton Mein Agar Koi Rasm O Raah Naa Ho;
Sakoon Tabaah Naa Ho, Zindagi Gunaah Naa Ho;

Kuch Aetedaal Bhi Laazim Hai Dill Lagi Key Liea;
Kissi Sey Pyaar Agar Ho To Bepanaah Naa Ho;

Iss Ehtyaat Sey Mai Terey Saath Chalta Hoon;
Teri Nigaah Sey Aagey Meri Nigaah Naa Ho;

Mera Wajood Hai Sachaaion Ka Aaina;
Yeh Aur Baat Keh Mera Koi Gawaah Naa Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Toote Teri Nigah Se Agar Dil Habaab Ka;
Paani Bhi Phir Piein To Maza Hai Sharaab Ka;

Dozakh Mujhe Qabool, Ai, Munkir-O-Nakeer;
Lekin Nahin Dimagh Sawaal-O-Jawab Ka;

Tha Kis Ke Dil Ko Kashmkash-E-Ishq Ka Dimagh;
Yaarab Bura Ho Deeda-E-Khana-Kharaab Ka;

Zahid Sabhi Hai Neimat-E-Haq Jo Hai Aql-O-Sharb;
Lekin Ajab Maza Hai Sharaab-O-Kabaab Ka;

Ghaafil Ghazab Se Ho Ke Karam Par Na Rakh Nazar;
Pur Hai Sharar-E-Baraq Se Daaman Sahaab Ka;

Qatra Gira Tha Choo Ke Mere Ashk-E-Garam Se;
Darya Mein Hai Hanzooz Phaphola Habaab Ka;

Sauda, Nigah-E-Deeda-E-Tahqiq Ke Hazur;
Jalwa Har Ek Zarre Mein Hai Aaftaab Ka!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Ek Boorha, Naheef-O-Khasta Zar;
Ik Zaroorat Se Jaata Tha Bazaar;

Zoef-E-Peeri Se Kham Hui Thi Kamar;
Raah Bechara Chalta Tha Jhuk Kar;

Chand Larkon Ko Us Pe Aai Hansi;
Qad Pe Phabti Kahan Ki Soojhi;

Kaha Ik Larke Ne Us Se Ke Bol;
Tu Ne Kitne Ko Li ⬊⬊⬊Kamaan Yeh Mol;

Pir Mard, Lateef-O-Daanishmand;
Hans Ke Kahne Laga Ke Ai Farzand;

Pahunchoge Meri Umar Ko Jis Aan;
Muft Mil Jaaegi Tumhein Yeh Kamaan!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Jab Nazar Uski Aan Parti Hai;
Zindagi Tab Dhiaan Parti Hai;

Jhel Lete Hain Aashiq, Ai Farhad;
Jiske Sar Jaisi Aan Parti Hai;

Baat Is Dil Ke Dard Ki , Yaaro;
Gufatgoo Mein Nidaan Parti Hai;

Ek Ke Munh Se Jis Ghari Nikli;
Phir Tau Sau Ki Zabaan Parti Hai;

Lekin Itna Koi Kahe Mujh Se;
Kabhu Us Ke Bhi Kaan Parti Hai;

Manzalat Sher Ki Tire, Sauda;
Yun Bawaham-O-Gumaan Parti Hai;

Nahin Isaah Tu, Par Sukhan Se Tire;
Tan-E-Be Jan Mein Jaan Parti Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar;

Aapka Banda Aur Phiroon Nanga;
Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar;

Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah;
Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar;

Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam;
Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar;

Tum Salaamat Raho Hazaar Baras;
Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Paas Aane Ko Jee Chahata Hai;
Naye Zakham Khane Ko Jee Chahata Hai;

Zamana Mera Aazmaya Hua Hai;
Tujhey Aazmane Ko Jee Chahata Hai;

Wahi Baat Reh Reh K Yaad Aa Rahi Hai;
Jisey Bhool Jane Ko Jee Chahata Hai;

Labo'n Par Merey Khailtey Hain Tabassum;
Jab Aansoo Bahane Ko Jee Chahata Hai;

⬉⬉Takalluf Na Kar Aaj Barq E Tajalli;
Nasheman Jalaney Ko Jee Chahata Hai;

Rukhey Zindagi Se Naqabain Ulat Karr;
Haqiqat Dikhane Ko Jee Chahata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;
Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;

Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main;
Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao;

Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti;
Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao;

Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante;
Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao!
GHAZAL  
Jis Tarah Bhi Ho Saka

⬉⬉Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;

Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi;
Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi;
Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo;
Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai 'Faakir';
Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Bhi Main Tere Samne Hota Hoon;
Na Jane Kyon Aisa Lagta Hain;
Ye Waqt Yahi Tham Jaye;
Zamana Na Jane Kyun Itna Tez Bheta Hain;

⬉⬉Ab Bhi Aata Hain Tera Naam Mere Naam Ke Sath;
Log Jal Jal Kar Khakh Hue Jate Hain;
Udtha Hain Dil Se Jaise Dhuwan;
Bus Woh Chunne Se Hi Rakh Hue Jate Hain

Na Jane Kyon ⬉⬉Ek Baat Mere Dil Main Kab Se Atki Hain;
Sayad Wo Tum Hi Ho jo Aaj Tak Mujh Se Lapti Hai;
Nahi Sone Deta Ye Khalipan Mujh ko;
Kabhi Aansoon,Kabhi ⬲⬲Rona, Kabhi Siski Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaj Naa Jane Kyun Rone Ka Mann Kiya;
Maa Ke Anchal Me Sar Chhupa Ke Sone Ka Mann Kiya;

Duniya Ki Is Bhag Daud Me Koh Chuka Tha Riste Sab;
Aaj Phir Un Riston Ko Ek Sire Se Sanjone Ka Mann Kiya;

Kisi Din Kisi Bheed Me Dekhi Thi Kisi Ki Ankhen;
Aaj Fir Un Ankhon Me Khone Ka Mann Kiya;

Roj Sapno Se Baatein Karta Tha Main;
Aaj Na Jane Kyun Unse Muh Modne Ka Man Kiya;

Jhooth Bolta Hoon Apne Aap Se Roj Main;
Aaj Na Jane Kyun Khud Se Ek Sach Bolne Ka Mann Kiya;

⬉Dil Todta Hoon Sab Ka Apni Baaton Se Main;
Aaj Na Jane Kyun Ek Toota Hua Dil Jodne Ka Mann Kia;

Aaj Naa Jane Kyun Rone Ka Mann Kiya;
Maa Ke Anchal ⧭Me Sar Chhupa Ke Sone Ka Mann Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ik Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do;
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do;

Kat Ti Nahi Yeh Zindagi,Ab Tere Bin;
Kitna Karoon Aur Intzaar Likh Do;

Taras Rehy Hain Bari Mudat Se;
Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do;

Deewanay Ho Jayein Jisay Parh Ke Hum;
Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do;

Zayada Nahi Likh Sktay To Mat Likho;
Mohabbat Bharay Lafz 2,4 Likh Do;

Ik Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se;
Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Mohabbaton Mein Agar Koi Rasm O Raah Na Ho;
Sakoon Tabaah Nah Ho, Zindagi Gunaah Na Ho;

Kuch Aetedaal Bhi Laazim Hai Dil Lagi Key Liey;
Kissi Sey Pyaar Agar Ho To Bepanaah Na Ho;

Iss Ehtyaat Sey Mai Terey Saath Chalta Hoon;
Teri Nigaah Sey Aagey Meri Nigaah Na Ho;

Mera Wajood Hai ⬉⬉Sachaaion Ka Aaina;
Yeh Aour Baat Keh Mera Koi Gawaah Nah Ho!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aatish-E-Ishq Main Jal Jaon Tujhey Is Say Kiya;
Mousam Ki Tarah Badal Jaon Tujhey Is Say Kiya;

Chot Khaon Ya Zakham Lagay, Ya Ahsas-E-Ghum Mein Tarpon;
Mein Gir Jaon Ya Sanbhal Jaon Tujhey Is Say Kiya;

Mussartaon Ko Daikh Ker Bay Qarar Ho Jaon;
Ya Tofan-E-Ghum Say Behal Jaon, Tujhey Is Say Kiya;

Hansta Daikh Ker Hans Paron, Rota Daikh Ker Ro Paron;
Halat K Sanchay Mein Dhal Jaon, Tujhey Is Say Kiya;

Zararot Nahin Ab Kisi Hamsafar Ki Saaqi;
Janib-E-Manzil Tanha Nikal Jaon, Tujhey Is Say Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na;
Aaj Mujh Pe Inayat Ker Do Na;

Zara Chupkey Se Khamoshi Se;
Tum Izhar-E-Mohabbat Ker Do Na;

Khud Ko Ker K Deewana Sa;
Mera Pyaar Amar Tum Ker Do Na;

Main Pyaas Mein ⬊⬊Duuba Sehra Hoon;
Tum Mujh Ko Samandar Ker Do Na;

Main Yun Hi Phirta Hoon Dar-Ba-Dar;
Tum Khud Ko Manzil Ker Do Na !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉⬉Hans Ke Farmaate Hai Woh, Dekh Ke Haalat Meri;
Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri;

Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri;
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri;

Main Ne Aaghosh-E-Tasawur Mein Bhi Kheincha Tau Kaha;
Pis Gai, Pis Gai Be Dard, Nazaakat Meri;

Yaar Pahlu Mein Hai, Tanhaai Hai, Kahdo Nikle;
Aaj Kyon Dil Mein Chhipi Baithi Hai Hasrat Meri;

Aaeena Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha Tau Kaha;
Dekh Zaalim, Yehi Thi Shaam Ko Surat Meri;

Husan Aur Ishq Hum-Aaghosh Nazar Aa Jaate;
Teri Taswir Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;

Kis Dhitaai Se Who Dil Chheen Ke Kahte Hai, Amir;
Who Mera Ghar Har, ⬉⬉Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi;
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi;

Tu Mujhe Or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar;
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi,  Mai Bhi Nahi;

Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai Paida Dooriyan;
Warna Fitrat Ka Bura Tu⬈⬈ Bhi Nahi,  Mai Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare;
Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare;
Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur;
Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare;
Fikr-E-Maash, Ishq-E-Butaan, Yaad-E-Raftgaan;
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare;
Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-E-Aashqi;
Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare;
Gar Ho Sharaab-O-Khilwat-O-Mahboob-E-Khub Roo;
Zaahid Qasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho Tau Kya Kare;
Khaakastr-O-Patang-O-Mashahd Meri Ki Khaak;
Sham-O-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Ura Kare;
Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tor Kar Jise;
Sayyaad Fasl-E-⬈⬈Gul Mein Chaman Se Riha Kare!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Aata Hai Yaad Mujhe Guzra Hua Zamana;
Woh Bagh Ki Bahaaren, Who Sab Ka Chahchahana;

Aazaadian Kahan Ab Who Apne Ghaunsle Ki;
Apni Khushi Se Aana, Apni Khushi Se Jana;

Lagti Hai Chot Dil Par Aata Hai Yaad Jisdin;
Shabnam Ke Aansoon Par Kalion Ka Muskarana;

Woh Piari Piari Soorat, Who Kaamni Si Moorat;
Aabaad Jis Ke Dam Se Tha Mera Aashiana;

Aati Nahin Sadaaen Uski Mere Qafas Mein;
Hoti Meri Rihaai, Ai Kash, Mere Bas Mein;

Kya Badnaseeb Main Hoon, Ghar Ko Taras Raha Hoon;
Saathi Tau Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Padah Hoon;

⬈Aai Bahaar Kalian Phoolon Ki Hans Rahi Hain;
Main Is Andhere Ghar Mein Qismat Ko Ro Raha Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri;
Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudaya Meri;

Door Duniya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaey;
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaaey;

Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat;
Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat;

Zindagi Ho Meri Parwane Ki Soorat Yaarab;
Ilm Ki Shama Se Ho Mujhko Mohabbat Yaarab;

Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himayat Karna;
Dardmandon Se, Zaeefon Se Mohabbat Karna;

Mere Allah! Burai Se Bachana Mujhko;
Nek Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rone Se Aur Ishq Mein Bebaak Ho Gaye;
Dhoey Gaye Hum Aise, Ke Bas Paak Ho Gaye;

Sarf-E-Bahaa-E-Main Hue, Aalaat-E-Maikashi;
The Yeh Hi Do Hisaab, So Yoon Paak Ho Gaye;

⬈⬈Ruswaa-E-Dahar Go Hue Aawaargi Se Tum;
Baare Tabeeaton Ke Tau Chalaak Ho Gaye;

Kahta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be Asar;
Parde Mein Gul Le Laakh Jigar Chaak Ho Gaye;

Poochhe Hai Kya Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka;
Aap Apni Aag Ke Khas-O-Khashaak Ho Gaye;

Karne Gaye The Us Se, Taghaaful Ka Hum Gila;
Ki Ek Hi Nigah, Ke Bas Khaak Ho Gaye;

Is Rang Se Uthai Kal Us Ne Asad Ki Naash;
Dushman Bhi Jisko Dekh Ke Ghumnaak Ho Gaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Phir Ji Bhar Ke Pi Aaya Hoon Main;
Dekhte Hi Teri Aankhen Shola Saamaan Ho Gaien;
Shukar Kar Ai Jaan Ke Main;
Hoon Dar-E-Afrang Ka Ik Adna Ghulaam;
Sadar-E-Aazam Yaani Daryooza Gar-E-Aazam Nahin;
Warna Ik Jaam-E-Sharab-E-Arqhawaan;
Kya Bujha Sakta Mere Seena-E-Sozaan Ki Aag;

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧬⧬Yeh Kya Gumaan Hai Bad Gumaan;
Samajh Na Mujhko Natawaan;
Khyal-E-Zuhd Abhi Kahan;
Abhi Tau Main ⬉⬉Jawan Hun;

Ibadaton Ka Zikar Hai;
Nijat Ki Bhi Fikr Hai;
Janoonhai Sawaab Ka;
Khayal Hai Azaab Ka;

Magar Suno Tau Sheikh Ji;
Ajib Shai Hain Aap Bhi;
Bhala Shabab-O-Aashiqi;
Alag Hue Bhi Hain Kabhi;

Haseen Jalwa-Rez Hon;
Adaein Fitna-Khez Hon;
Hawain Itar-Bez Hon;
Tau Shauqkyon Na Tez Hon;

Translation:
Natawaan:Weak or Wan
Azaab:Judgement Day
Fitna:Khez-Charm and Grace

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧬⧬Koi Din Gar Zindgaani Aur Hai;
Apne Ji Mein Hum Ne Thaani Aur Hai;

Aatish-E-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan;
Soz-E-Ghumhaae nihaani Aur Hai;

Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen;
Par Kuchh Ab Ke Sargaraani Aur Hai;

De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar;
Kkujchh Tau Paighaam -E-Zabaani Aur Hai;

Qaata-E-Aamaar Hain Aksar Najoom;
Woh Balaa -E-Aasmaani Aur Hai;

Ho Chukin Ghalib Balaaen Sab Tamaam;
Ek Marg-E-Naagahaani Aur Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧬Kaha Majnun ⧬Se Yah Laila Ki Maa Ne;
Ki Beta Tu Agar Kar Le M.A Pass;

Tau Fauran Beaah Doon Laila Ko Tujhse;
Bina Diqqat Main Ban Jaaoon Teri Saas;

Kaha Majnun Ne Yah Achchhi Sunaai;
Kuja Aashiq Kuja College Ki Bakwaas;

Kuja Yah Fitrati Josh-E-Tabiyat;
Kuja Thaunsi Hui Cheezon Ka Ahsaas;

Bari Bhi Aapko Kya Ho Gaya Hai;
Hiran Mein Laddi Jaati Hai Kahin Ghass;

Yah Abhi Hi Qadardani Aap Ne Ki;
Mujhe Samjha Hai Koi Harcharan Das;

Dil Apna Khoonkarne Ko Hoon Maujood;
Nahin Manzoor Maghz-E-Sar Ka Aamaas;

Yahi Teri Hai Shart-E-Wasl-E-Laila;
Tau Isteefa Mera Ba Hasrat O Yaas!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;

Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;

Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;

Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;

Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;

Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
⧭Shayar Toh Wah šŸ”Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai!

No comments :

Post a Comment