Is Dil Ki Aarzu Ko Shayari


  1. Kagaz par hamne zindgi likh di,
  2. Aankhon se sinch kar khushi likh di,
  3. Dil ka dard jab bhi hum laaye lafzon pe,
  4. To Zamane ne kaha.. wah kya ghazal likh di…!

  5. Fiza Mein Mehakti Saam Ho Tum
  6. Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum,
  7. Sine Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari,
  8. Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum….!!!

  9. Har ek chhor jata hai Bazar-e-Mohabbat Main..
  10. Bhar jaye jab Dil to log Khilona badal liya kartay hain !!

  11. Sab kch mila bas sukun ki daulat nhi mili..
  12. Ek Tujhko bhool jane ki mohlat nhi mili..
  13. Krne ko boht kaam the apne lie mgr,
  14. Hmko Tere khayal se Fursat nahi mili..


  15. Wo pyar ka saboot dikhaya karti thi
  16. ansoo baha kar mujhe manaya krti thi..
  17. Ye zindagi sirf tumse wabasta hai
  18. aksar ye baat mujhe bataya karti thi..
  19. Uss ki baaton mein kuch aisa asar tha
  20. main barish ke bina hi bheeg jaaya karta tha,,
  21. Sone ki fursat kis ko thi..
  22. vo mujhe sari raat jagaya karti thi,
  23. Bechaini jab hadh se barh jaati thi..
  24. vo ji bhar ke galay lagaya karti thi..
  25. Wo itni muhabbat karne wali badal gayi,
  26. jo saath nibhane ki qasam khaya karti thi..

  27. Yaad rakho to dil k paas hain hum..
  28. aur bhool jao to.. hain faslay boht……!!

  29. Zindgi meri ulajh si jati hai . . . .
  30. Jab koi aur tera naam leta hai..!!

  31. Kabhi Hum Bhi Soya Karte The Teri Tarha ..Bekhabar
  32. Ho.Kar…
  33. Par Ab Toh Yeh Aalam Hai Ke Neend Ko Taraste
  34. Taraste Raat hi.Guzar Jaati Hai…!!

  35. Udaasi Jb Tum Per Bitegi…
  36. To Tm B Jan Jaoge……
  37. Koi Nazar Andaz Krta Hai To Kitna..
  38. Dard Hota H…..!!

  39. Mana Ki Aaj Hum Akele Reh Gaye
  40. ==================================

  • Facebook0WhatsAppGoogle+Twitter
    1. Mana Ki Aaj Hum Akele Reh Gaye,
    2. Judai K Aasu Ankhon Se BehGaye,
    3. Rote Hue Ko Kaun Chup Karaega,
    4. Jo Chup Karaate The Wo Hi Rone Ko Keh Gaye..
    5. ———————————————
    6. Juda Hokar B unki Hasrat NaGyi
    7. Uski judai Par B Usse Mohbt Na Gyi
    8. Wo chale Gaye KISI or ke sath
    9. Fir bi Anko ko Uske Intzar kiAdat Na Gyi..
    10. ———————————————
    11. Aisi Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunya
    12. Marjain To Jene Ki Dua Deti Hai Dunya
    13. Hum Konse Momin The Jo Ilzam Na Sehte
    14. Pather Ko Baghwan Bana Deti Hai Dunya
    15. Yeh Zakham Mohabbat Ka Dikhanana Kis Ko
    16. La K Sare Bazar Saja Deti Hai Dunya
    17. Itna Bhi Karo Naz Na Kismat Pe Faqiro
    18. Hathon Ki Lakeron Ko Mita Deti Hai Dunya
    19. Marne K Liye Karti Hai Majbor To Lekin
    20. Jene K Tarike Bhi Sikha Deti Hai Dunya
    21. Aisi Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunya
    22. ———————————————
    23. Mukkammal Is Jahan Ki Har Cheez Mili Hum Ko,
    24. Jo Ki Aarzoo Wo Har Khushi Mili Hum Ko,
    25. Ek Na Mil Saka To Wo Tera Pyar Tha,
    26. Baki To Sari Zindagi Mili HumKo.
    27. ———————————————
    28. Usko mere wado par atbar tha,
    29. Dil me uske b bahut pyar tha.
    30. Par beech safar me chhor diya usne mera hath,
    31. Shayad usko kinare par kisior ka intzar tha.
    32. ———————————————
    33. Khuda Jane Mohbbt Me Kya Dastur Hai,
    34. Humne JisKo Chaha Wo Humse Dur Hai.
    35. Husn Walo Me Mohbbt Ki Kami Hoti Hai,
    36. Ya Fir
    37. Chahne Walo Ki Takdir Buri Hoti Hai…!!
    38. ———————————————
    39. Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana,
    40. Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana,
    41. Mushkile To Beshumar Aayengi,
    42. Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana,
    43. Ishq Ki Intiha Nahi Hoti,
    44. Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana,
    45. Zindagi Dard Se Ibarat Hai,
    46. Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana,
    47. Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai
    48. Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana.



    49. Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch,
    50. Dil Se Nikli Hui Honthon Mein Dabi Baat Na Pooch,
    51. Main Jiske Waste Lad Jaoon Is Khudai Se,
    52. Mujhe Khud Se Hai Pyari Yeh Kiski Zaat Na Pooch,
    53. Wo Kis Ada Se Mere Samne Se Ghuzri Hai Abhi,
    54. Kis Tarha Maine Sambhale Mere Jazbat Na Pooch,

    55. Khuda Se Kitna Mangu Pyar Par Milta Nahi,
    56. Zindagi Se Zitna Mangu Maut Par Milti Nahi,
    57. Waqt Se Kitna Mangu Mohlat Par Milti Nahi,
    58. AAKHIR KAB TAK.

    59. Yeh Chamakte Sitare Kis Kaam Ke,
    60. Yeh Haseen Nazare Kis Kaam Ke,
    61. Jise Toofan Se Takrana Acha Lage,
    62. Uske Liye Kinare Kis Kaam Ke!

    63. Jab Lage Zakhm 2 Qatil Ko Dua Di Jaye,
    64. He Ye Rasm 2 Utha Di Jaye,
    65. Hum Se Puchho Shayari Kya Hai,
    66. Chaar Lafzo Me Aah Chupa Di Jay.

    67. Jab Lage Zakhm 2 Qatil Ko Dua Di Jaye,
    68. He Ye Rasm 2 Utha Di Jaye,
    69. Hum Se Puchho Shayari Kya Hai,
    70. Chaar Lafzo Me Aah Chupa Di Jay.

    71. Jab Lage Zakhm 2 Qatil Ko Dua Di Jaye,
    72. He Ye Rasm 2 Utha Di Jaye,
    73. Hum Se Puchho Shayari Kya Hai,
    74. Chaar Lafzo Me Aah Chupa Di Jay.

    75. Bite Hue Kal Me Phir Se Jane Ka Dil Karta Hai,
    76. Phir Se Hasne Aur Hasane Ka Dil Karta Hai,
    77. Jo Kuch Pal Saath Bitai Thi Humne,
    78. Wo Lamha Phir Se Ji Jaane Ka Dil Karta Hai.

    79. Muskurane Ki Koshish To Ki Thi Magar,,
    80. Phir Bhi Palko Pe Thodi Si Nami Reh Gayi.
    81. Dard Mujhse Milkar Rota Raha,
    82. Aur Khushi Thode Faasle Se Dekhti Reh Gayi.


    83. Roj Us Se Baat Karta Hu,
    84. Aise Hi DiL Ko Behla Leta Hu,
    85. Kehna Too Bahot Kuch Chahta Hu,
    86. Lekin Hontho Pe Aaye Lafz Ko
    87. Fir DiL Me DhakeL Deta Hu.

    88. Kuch Nasha Aapki Baat ka hai,
    89. Kuch Nasha Dhimi Barsat ka hai,
    90. Hame aap yuhi Sharabi mat Kahiye,
    91. Ye dil par asar aapse pahali mulakat ka hai.

    92. PYAR KARNA TO DIL AUR JAAN SE KARNA.
    93. PURI LAGAN AUR IMAAN SE KARNA.
    94. HUM YE NAHI KEHTE KI PYAR HUMSE KARNA.
    95. PAR JISSE BHI KARNA”SACHCHE”INSAAN’SE KARNA..

    96. Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa,
    97. Izhaar e Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai,
    98. Hai Agar Ishq To Aankho Mein Dekho ,
    99. Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai..

    100. Bite Hue Kal Me Phir Se Jane Ka Dil Karta Hai,
    101. Phir Se Hasne Aur Hasane Ka Dil Karta Hai,
    102. Jo Kuch Pal Saath Bitai Thi Humne,
    103. Wo Lamha Phir Se Ji Jaane Ka Dil Karta Hai.

    104. Jab Jab Suraj Dhalne Lagta H
    105. Uska Naam Mere Honto Pe Khilne Lagta He
    106. Kuch Is Tarah Se Uski Yaad Aati H Ki
    107. Zindgi Ka Har Pal Mehakne Lagta He.

    108. Dil Me Basa Ek Naam H
    109. Unki Khushbu Tak Ki Hume Pehchan H.
    110. Agar Tum Mere Na Ho Sake To Koi Gam Nahi
    111. Kyuki Ishq Me Lut Jana
    112. Aashiqo Ka Kaam H.

    113. Baat Aisi Ho Ke Jazbat Kam Na Ho,
    114. Khayalat Aise Ho Ke Kabhi Gum Na Ho,
    115. Dil Ke Kone Mein Itni Si JagahRakhna Ke,
    116. Khali-Khali Sa Lage Jab Hum Na Ho..

    117. Un Ke Bina Ek Pal Bhi Bitana Mushkil Hua
    118. Chaha Bahot Par Unhe Batana Mushkil Hua
    119. Ho Gaye Wo Is Kadar Apne
    120. Ke Un Ki Galti Par Bhi Ruth Jana Mushkil Hua..!


    121. Pyar Me Marne Jeene Ki Kasme Khati Thi Wo,
    122. Mere Sath Hi Apna Saara Waqt Bitati Thi Wo,
    123. Jaane Kya Khata Hui Thi Mujhse Mere Dosto,
    124. Na Jaane Kyu Raah Chalte,
    125. Mujhse Muh Chupati Hai Ab Wo.
    126. ——————————————–
    127. Chah Ke Bhi Kavi Na Tumko Bhula Payenge Hum,
    128. Krte Hai Wada Ye Nibha Payenge Hum,
    129. Khud Ko Fanna Kar Denge Is Jahan Se Hum,
    130. Par Haan Tera Naam Na Dil Se Mita Payenge Hum.
    131. ——————————————–
    132. Bewafa To Woh Khud Thi,
    133. Par Ilzaam Kisi Aur Ko Deti Hai.
    134. Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
    135. Ab Woh Naam Kisi Aur Ka Leti Hai.
    136. ——————————————–
    137. Hamari Kami Ka Ahesas Kijiyega,
    138. Fursat Mile To Yaad Kijiyega,
    139. Aadat Ho Gayi Hai Aapko Yaad Karne Ki,
    140. Agar Hichki Aaye To Maaf Kijiiyega.
    141. ——————————————–
    142. Us Ko To Bichadne Ka Tarika Bhi Nahi Aata,
    143. Jate Jate Khud Ko Mere Dil Me Chhod Gayi..!!
    144. ——————————————–
    145. Rone Ki Saza Na Rulane Ki
    146. Saza Hai, Ye Dard Mohabat Ko
    147. Nibhane Ki Saza Hai, Haste
    148. Hai To Aankhon Se Nikal
    149. Aate Hai Aansu, Ye Us Shaks
    150. Se Dil Lagane Ki Saza Hai.
    151. ——————————————–
    152. Ehsaan Kiya Usne Mujhe Pyaar Sikha kar
    153. Kya Hoti Hai Chahat Ye Mujh Ko Batakar.
    154. Judayi Hota Hai Pyaar Ka Asli Matlab
    155. Chhod Diya Mera Saath Bas Itna Batakar.
    156. ——————————————–
    157. Ehsaan Kiya Usne Mujhe Pyaar Sikha kar
    158. Kya Hoti Hai Chahat Ye Mujh Ko Batakar.
    159. Judayi Hota Hai Pyaar Ka Asli Matlab
    160. Chhod Diya Mera Saath Bas Itna Batakar.
    161. ——————————————–
    162. Uska WadaA Bhi Bara Ajeeb Tha K Zindagi
    163. Bhar
    164. Saath Nibhaungi, , ,
    165. Maine Ye Bhi Nahi Poocha K Mohabbat K
    166. Saath? Ya
    167. Bewafaai K Saath?
    168. ——————————————–
    169. Her Mulaqat Per Waqt Ka Takaza Hua,
    170. Her Yaad Per Dil Ka Dard Taja Hua,
    171. Suni Thi Sirf Ghazalo Me Judai Ki
    172. Baaten,
    173. Jab Khud Per Biti To Haqiqat Ka Andaza Hua.



    174. Is Dil Ki Aarzu Ko Naam Kya Du,
    175. Mohabbat Ka Unko Paigaam Kya Du.
    176. Is Dil Me Dard Nahi Yaade He Unki,
    177. Ab Yaade Hi Dard Bane To Ilzaam Kya Du?

    178. Na Hame Hasne Ko Jee Chahta He,
    179. Aur Na Aanshu Bahane Ko Jee Chahta He.
    180. Ham Likhe To Bhi Kya Likhe Aapki Yaad Me,
    181. Sirf Aapke Paas Vaapas Aane Ko Jee Chahta He.

    182. Aankhon Ki Chamak, In Palkon Ki Shaan Ho Tum,
    183. Chehre Ki Hansi, Mere Labon Ki Muskaan Ho Tum,
    184. Dhadakta Hai Ye Dil Sirf Tumhari Aarzoo Mein,
    185. Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum,
    186. Dekha Nahi Ab Tak Jisse Wo Anjaan Ho Tum,
    187. Ehsaason Mein Base Hue Mere Armaan Ho Tum,
    188. Hota Nahi Raabta Aaise Hi Dil Kisi Se Duniya Mein,
    189. Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum,
    190. Mere Kalam Ki Zubaan, Meri Pehchaan Ho Tum,
    191. Dil Par Jo Likh Diya Hai, Wo Nishaan Ho Tum,
    192. Saansein Nahi Yaar Mangte Hai Muqaddar Mein,
    193. Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum,
    194. Meri Jeene Ki Wajah, Dhadkano Ki Aan Ho Tum,
    195. Saaya Ban Kar Chale Jo, Mere Aasmaan Ho Tum,
    196. Udasiyon Ki Zindagi Se Mujhe Nikala Hai Tumne,
    197. Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum.


    198. Nasilee Aankho Se Jab Bhi Hame Dekhte Ho,
    199. Ham Sharma Ke Palkhe Jukha Lete He,
    200. Kaun Milaaye Is Aankho Se Aankhe,
    201. Suna He Ke Aap Aankho Se Hi Apna Bana Lete Ho.

    202. Usne mujhse duri banayi ye keh kar
    203. ki meri haisiyat nahi hai us se Pyar karne ki
    204. Par nadan itna nahi janta ke
    205. jo haisiyat dekh kar kiya jaye woh pyar nahi sauda hota hai.

    206. Jo Cheez Meri Hai, Usey koi aur na Dekhey,
    207. Insaan Bhi Mohabbat Mein, Bacchon Ki Tarah Sochta Hai.

    208. Khamosh rehkar ta umr saza katate rahe hum
    209. Kasorr itna thha ki bekasoor thhe hum

    210. Sahil pay kharay ho tumhain kya gham , chalay jana,
    211. Main doob raha hoon , abhi duba to naheen hoon
    212. Aye wada faramoosh , main tujhsa to naheen hoon.


    213. Tu beshak apni mehfeel me muje badnaam karti he,
    214. Meri khamoshi meri jubaan ka kaam karti he,
    215. Isi baat se laga lena meri shohrat ka andajaa,
    216. Wo muje salaam karte he, jinhe tu salaam karti he.

    217. Meri Zindagi Ko Usne Ek Tamasha Bana Diya,
    218. Bhari Mehfil Mein Mujhe Tanha Bitha Diya,
    219. Aisi Kaun Si Nafrat Thi Mere Masoom Dil Se,
    220. Khushiyan Cheen Kar Mujhe Gham Thama Diya,
    221. Bohat Naaz Tha Uski Wafa Pe Kabhi,
    222. Meri Hi Nazron Se Mujh Ko Gira Diya,
    223. Mujh Ko Yaad Karna To Uski Fitrat Mein Shamil Nahi,
    224. Ek Hawa Ka Jhonka Samjh Kar Mujh Ko Bhula Diya.

    225. Na Kar Tamanna Aye Dil Tu Use Pane Ki,
    226. Bahot Hi Bedard Hai Nigahein Is Zamane Ki,
    227. Khud Ko Kabil Bana Le Kuch Is Tarah,
    228. Log Tamanna Rakhe Tujhe Hi Pane Ki.

    229. Chalo Koi Achhi Si Saza Do Mujhe,
    230. Aisa Kuch Karo Ki Bhula Do Mujhe,
    231. Tumse Bichhad Kar Mujhe Maut Aa Jaye,
    232. Dil Ki Gehraiyon Se Ye Duaa Do Mujhe.


    233. Yu nigaaho se nigaahe mat milaya karo yaar,
    234. Zara si shararat ho gayi to mohabbat ho jaayegi.

    235. Uss Deepak Ki Tarah Jalta Raha Hoon Main,
    236. Khud Andhere Mein Rah Kar,
    237. Duniya Tumhari Roshan Karta Raha Hoon Main,
    238. Tumhe To Pata Hi Na Chala Ki Main Kaise Jalta Raha,
    239. Apne Sapno Ki Baati, Aur Aansoon Ko Tel Bana Diya,
    240. Tumhe To Aadat Thi Andhere Mein Chalne Ki,
    241. Par, Khud Jalkar Main Tumhe Roshan Karta Raha,
    242. Kya Bewafayi Ka Ye Silsila Kabhi Thamega Nahi,
    243. Tum Humse Chahe Jitne Bhi Door Chale Jaao,
    244. Par Ye “Deepak“ Tumhari Zindagi Mein, Ab Kabhi Bujhega Nahi.

    245. Har Pal Intezar Apka Karte Hai,
    246. Duniya Mein Sab Se Jyada Pyar Apse Karte Hai,
    247. Aap Pyar Hi Nahi Zindagi Bhi Ho Meri,
    248. Isliye To Aapse Milne Ki Fariyaad Baar-Baar Karte Hai.


    249. Wo Naaraz He Hamse To Unko Naaraz Hi Rahene Do,
    250. Hamko Unke Gunhegaar Hi Ab Rahene Do.
    251. Unko Aisa Lagta He Ki Ham Unse Juda Ho Gaye,
    252. Ye Bhi Joot He Par Usko Yu Hi Rahene Do.
    253. Sadiyo Se Chahi Thi Khuda Se Khushiya Unki,
    254. Par Aata He ilzaam Ham Pe To Wo ilzaam Hi Rahene do.
    255. ———————————————–
    256. Na Chaaho itna Hame Chahoton se dar Lagta hai,
    257. Na Aao itna Kareeb Judai se Dar lagta hai,
    258. Tumhari Wafaon pe Bharosa hai,
    259. Magar Apne Nasseb se dar Lagta hai.
    260. ———————————————–
    261. Kuch uljhe sawalo se darta hai dil,
    262. Naa jane kyu tanhai mai bhkhadta hai dil,
    263. Kisi ko pana koi badi baat nahi hai,
    264. Par kisi ko khone se darta hai ye dil…
    265. ———————————————–
    266. Sachche pyar mein nikle aansu aur
    267. rote hue bache ke aansu ek saman hote hai,
    268. Kyun ki dono ko pata to hai ki dard kya hai
    269. par kisi ko bata nahi sakte.
    270. ———————————————–
    271. “Raat Guzri, “Mehkti Subah Aayi,
    272. “Chaand Gaya Suraj Ki Roshni Aayi,
    273. “Nind Udi Subah Ki Taazgi Aayi,
    274. “Aur Humne Aankhe Kholi, “Aapki Yaad Aay
    275. ———————————————–
    276. Agar Kisi K Pyar Ka Andaza Lagana Ho
    277. To Uski Narazgi Ek Baar Dekh Lo
    278. Q Ki Zitni Shiddat Se
    279. Woh Narazgi Dikhate Hain
    280. Utni Hi ShiddatUske Pyar Me Hoti Hai.
    281. ———————————————–
    282. Kehte hai pyaar ki seema nahi hoti,
    283. Yeh toh dhoka hai jo sab kehte hai,
    284. Pyaar ki seema honi chaiye,
    285. Taki koi dil kisi aur dil ka na ho jaye.
    286. ———————————————–
    287. Mujhse AKSAR Wo EK Hi SAWAAL PuchhTi H
    288. Tum MUJHE Itna PYAR Qn KarTe Ho?
    289. Koi Ja Kar BaTa De UNKO Ki
    290. ZINDAGI BhaLa KisKo PYARI Nhi HoTi



    No comments :

    Post a Comment