Daagh Dehlvi Shayari Hindi Now2017

Dil Mein Sama Gayi Hain Qayamat Kee Shokhiyan;
Do Chaar Din Raha Tha Kisi Kee Nigah Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale;
Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale;
Ek To Husn Bala Usspe Banawat Aafat;
Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Gale Mila Hai Woh Mast-E-Shabab Barson Mein,
Hua Hai Dil Ko Suroor-E-Sharaab Barson Mein,
Nigaah-E-Mast Se Us Kee Hua Yeh Haal Mera,
Ki Jaise Pee Ho Kisi ⬉⬉⬉Ne Sharaab Barson Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Lutf-E-Mai Tujhse Kya Kahun Zaahid,
Haye Kambakht Tum Ne Pi Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Dava Zahidon Tum Ko,
Khuda Ne Kya Tumhare Haath Jannat Bech Dali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;

Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;

Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;

Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo ⧭⧭Ada Karte Hain;

Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;

Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;

'Daagh' Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Dawaa Zahido Tum Ko;
Khuda Ne Kya Tumhare Haath Jannat Bech Daali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;

⧭⧭Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;

Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;

Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;

Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebaak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;

Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;

⬇⬇'Daag' Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Geya Tumne Liya Hum Kya Karen;
Jaane Wali Cheez Ka Gham Kya Karen;

Hum Ne Mar Kar Hijr Mein Payi Shifa;
Aise Achhon Ka Maatam Kya Karen;

Apne Hi Gham Se Nahi Milti Najaat;
Is Binaa Par Fikr-E-Aalam Kya Karen;

Ek Saaghar Par Hai Apni Zindagi;
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen;

Kar Chuke Sab Apni Apni Hikamtein;
Dum Nikalta Ho To Humdum Kya Karen;

Kehte Hain Ahl-E-Sifarish Mujh Se 'Daag';
Teri Kismat Hai Buri Hum Kya Karen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Mein Sama Gayi Hain Qayamat Kee Shokhiyan;
Do-Chaar Din Raha Tha Kisi Kee Nigah Mein!


⬈⬈Gazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya;
Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya;

Hansa Hansa Ke Shab-e-Vasl Ashkbaar Kiya;
Tasaliya Mujhe De De Ke Beqaraar Kiya;

Hum Aise Mahv-e-Nazara Na The Jo Hosh Aata;
Magar Tumhare ⬉⬉⬉Tagaful Ne Hoshiyar Kiya;

Fasana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahani Thi;
Kuch Aitabaar Kiya Aur Kuch Na-Aitabaar Kiya;

Ye Kisne Jalwa Hamare Sar-e-Mazaar Kiya;
Ki Dil Se Shor Utha, Haaye! Beqaraar Kiya;

Tadap Phir Ai Dil-e-Nadan, Ki Gair Kehte Hain;
Aakhir Kuch Na Bani, Sabr Ikhtiyaar Kiya;

Kuch Aage Daawar-e-Mahshar Se Hai Umeed Mujhe;
Kuch Aap Ne Mere Kehne Ka Aitabaar Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale;
Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale;
Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat;
Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe;
Ki Ibtidaa Mein Hue Ranj Intihaa Ke Mujhe;
Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe;
Shab-e-Firaaq Ne Mara Litaa Litaa Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Ranj Bhi Aise Uthaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Jo Zamane Ke Sitam Hain Wo Zamana Jaane;
Tu Ne Dil Itne Sataye Hain Ki Jee Jaanta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉⬉Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqeeb To Aakhir Woh Naam Kiska Tha;

Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Muqeem Kaun Hua Hai Maqaam Kiska Tha;

Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;

Woh Katl Karke Har Kisi Se Puchte Hain;
Yeh Kaam Kisne Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;

Guzar Geya Woh ⬉⬉Zamana Kahein To Kis Se Kahein;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-o-Shaam Kiska Tha;

Har Ek Se Kehte Hain Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puche Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Milate Ho Usi Ko Khaak Mein, Jo Dil Se Milta Hai;
Meri Jaan Chahane Wala, Badi Mushkil Se Milta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar;
Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Karte Hain Khushi Kee To Ek Ranj Ke Sath;
Woh Hansate Bhi Hain Ke Rula Dete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aafat Kee Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Mein;
Mehshar Ke Fitane Khelte Hain Jalwa-Gaah Mein;

Woh Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain;
Main Shaad Hoon Ke Hoon To Kisi Kee Nigah Mein;

Aati Baat Baat Mujhe Yaad Baar Baar;
Kehta Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Mein;

Iss Tauba Par Hai Naaz Mujhe Zaahid Iss Qadar;
Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Mein;

Mushtaaq Iss Ada Ke Bahut Dard-Mand The;
Ai Daag Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Ranj Bhi Aise Uthaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane;
Tu Ne Dil Itne Sataaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Muskurate Hue Woh Mazmaa-e-Agyaar Ke Saath;
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayi Dono Aankhein;
Aise Jalwe Nazar ⬑⬑Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaare Dushman;
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Kooche Se;
Is Tarah Kheench Ke Laaye Hain Ki Jee Jaanta Hai!


Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota;
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota;

Na Mazaa Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein;
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota;

Yeh Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota;

Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte;
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;

Chahye Paighambar Dono Taraf;
Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
Unki Shohrat Qu-Ba-⧭⧭Qu Honay Lagi;

Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;

`Daagh` Itraaye Huey Phirtay Hain Aaj;
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Muqeem Kaun Hua Hai, Maqaam Kiss Ka Thaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;

Chahye Paighambar Dono Taraf;
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi;

Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;

'Daagh' Itraaye Hue Phirtay Hain Aaj;
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah;
Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zuban Ki Tarah;
Jala Ke Dag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar;
Ai Mere Bag ⧭⧭Mein Khizan Ki Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ye Jo Hai Hukm Mere Pas Na Aye Koi;
Iss Liye Ruth Rahe Hain K Manaye Koi;
Taak Mein Hai Nigah-e-Shauq Khuda Khair Kare;
Samane Se Mere Bachta Hua Jaye Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane;
Kyon Hai Aisa Udas Kya Jane;
Keh Diya Main Ne Hal­e ­Dil;
Apna Is Ko Tum Jano Ya Khuda Jane!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rahe Ga Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe;
⧭Ke Ibtidaa Mein Huye Ranj Intihaa Ke Mujhe;

Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe;
Shab-e-Firaaq Ne Maara Litaa Litaa Ke Mujhe;

Baghair Maut Ke Kis Tarah Koi Marta Hai;
Mera Raqeeb Bhi Roya Galey Laga Ke Mujhe;

Har Ik Shakhss Ko Haasil Judaa Hai Kefiyat;
Jafaa Ke Lutf Tujhe Hain, Mazey Wafaa Ke;

Ghazab Ki Aah Meri, Daagh Naam Hai Mera;
Tamaam Sheher Jalaao Ge Kya Jalaa Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
Na Tujhe Qaraar H⬉⬉ota, Na Mujhe Qaraar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yoon Hi Ankhon Mein Aaa Gaye Aansoon;
Jayiye Aap, Koi Baat Naheen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete;
Ma'shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqueeb Toh Aakhir Woh Naam Kiska Tha;

Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha;

Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;

⧭⧭Woh Katl Karke Har Kisise Puchhate Hai;
Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;

Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi;
Sun Jo Tumane Baa-Dil Woh Payaam Kiska Tha;

Guzar Gaya Woh Zamana Kahoo Toh Kisse Kahoo;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam Kiska Tha;

Har Ek Se Kehate Hai Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qasam Hai Tujhko ⬈⬈Zahid Kya Kare Gar Koi Aankhon Se Dekhe;
Chhalakna Saagar-e-Mai Ka, Chahekna Badah Khwaron Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kya Zauq Hai,Kya Shauq Hai Sau Marataba Dekhun;
Phir Bhi Ye Kahoon Jalwa-e-Jaanan Nahin Dekha;
Kya Poochte Ho, Kaun Hai? Ye Kis Ki Hai Shohrat;
Kya Tumne Kabhi '⧭⧭Daag' Ka Deewan Nahin Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saaz Yeh Keena Saaz Kya Jaane;
Naaz Waale Niyaaz Kya Jaane!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Do Mujh Par Kathin Guzre Hain Saari Umar Mein;
Ek Tere Aane Se Pehle Ek Tere Jaane Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naa Jana Ki Duniya Se Jata Hai Koi;
Bahut Der Ki Mehrban Aate Aate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gazab Kiyaa, Tere Vaade Pe Aitabaar Kiyaa;
Tamaam Raat Qayaamat Kaa Intezaar Kiyaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-Makaan Ke Hain;
Mujhe Se Kahan Chhipenge, Woh Aise Kahaan Ke Hain;

Karte Hain Qatal Woh, Talab-e-Maghfarat Ke Baad;
Jo The Duaa Ke Haath, Wohi Imtehaan Ke Hain;

Jis Din Se Kuchh Sharik Hui Meri Musht-e-Khaak;
Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain;

Kaisa Jawaab, Hazrat-e-Dil, Dekheye Zaraa;
Paighambar Ke Haath Mein Tukre Zabaan Ke Hain;

Kya Iztaraab-e-Shauq⬈⬈ Ne Mujh Ko Khajil Kiya;
Woh Puchhte Hain, Kaheye, Iraade Kahaan Ke Hain;

Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kisqadar Tabaah;
Puchha Har Ek Ne Yeh Musaafir Kahan Ke Hain;

Har Chand Dagh Ek Hi Ayyar Hai, Magar;
Dushman Bhi ⬉⬉Tau Chhate Hue Saare Jahaan Ke Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Yeh Jo Hai Hukam Mere Pas Na Aaye Koi;
Is Liye Ruth Rahe Hain Ki Manaye Koi;

Tak Mein Hai Nigah-E-Shauq Khuda Khair Kare;
Samane Se Mere Bachata Hua Jaye Koi;

Hal Afalaq-O-Zamin Ka Jo Bataya Bhi To Kya;
Baat Wo Hai ⧭⧭Jo Tere Dil Ke Bataye Koi;

⧭⧭Aapane 'dag' Ko Muh Bhi Na Lagaya Afsos;
Us Ko Rakhta Tha Kaleje Se Lagaye Koi;

⬉⬉Ho Chuka Aish Ka ⬉⬉Jalasa To Mujhe Khat Bheja;
Aap Ke Tarah Se Mehaman Bulaye Koi!

No comments :

Post a Comment