New zindagi shayari 2016


  1. Zindagi tujhse har kadam par samjhota kyun kiya jaye,
  2. Shauk jeene ka hai magar itna bhi nahi ki, Mar-mar ke jiya jaye.
  3. Jab jalebi ki tarah ulajh hi rahi hai tu Aey zindagi,
  4. Toh fir kyun na tujhe chaashni mai dubokar maza hi le liya jaye.


  5. ----------------------------------------------------------------------
  6. Zindagi guzar jaye par pyar kam na ho,
  7. Yaad humein rakhna chahe paas hum na ho,
  8. Qayamat tak chalta rahe yeh pyar ka safar,
  9. Dua karo rab se kabhi yeh rishta khatam na ho.

  10. ----------------------------------------------------------------------

  11. Yuhi Aankhon Se Aansu Behte Nahi,
  12. Kisi Aur Ko Hum Apna Kehte Nahi,
  13. Ek Tum Hi Ho Jo Ruk Se Gaye Ho Zindagi Mein,
  14. Warna Rukne Ke Liye Hum Kisi Ko Kehte Nahi.


  15. ----------------------------------------------------------------------

  16. Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye,
  17. Or Kuch Saaf Nazar Na Aaye,
  18. To Darna Mat
  19. “Mere Paas Laut Aana”
  20. .
  21. Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye,
  22. Or Tumhe Raasta Na Mil Paaye,
  23. To Udaas Mat Hona
  24. “Mere Paas Laut Aana”
  25. .
  26. Jab Saans Ki Dori Toote,
  27. Or Koi Apna Tumhe Loote,
  28. To Maayoos Mat Hona
  29. “Mere Paas Laut Aana”
  30. .
  31. Jab Dil Tumhara Toote,
  32. Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote,
  33. To Aansu Mat Bahana
  34. “Meri Paas Laut Aana”
  35. .
  36. Apni Khushi Se Chor Ke Gaye Ho Tum,
  37. Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
  38. Ko Tod Ke Gaye Ho Tum,
  39. Phir Bhi Meri Yaad Agar Aaye,
  40. Or Aankhen Tumhari Bhar Aaye,
  41. To Sharmindah Mat Hona
  42. “Mere Paas Laut Aana”
  43. .
  44. Bas Itna Kehna Chahti Hoon,
  45. Ke Hamesha Intizar Karungi,
  46. Is Kayenat Se Zyada Pyar Karungi,
  47. Magar Jab Tumhe Meri Yaad Aaye,
  48. To Rukna Mat
  49. “Mere Paas Laut Aana ”
  50. .
  51. Jab Kabhi Tumhe Meri Yaad Aaye,
  52. To Rukna Mat
  53. “Mere Pass Lout Aana”
  54. .
  55. Zindagi Ka Kuch Waqt Guzaara Hai Saath Tumhare,
  56. Wo Waqt Kabhi Tume Yaad Aaa Jaaye,
  57. To Rukna mat
  58. “Mere pass Lout Aana”
  59. .
  60. Jab Pehli Baar Mile The Hum,
  61. Ek Pal Main Dost Ban Gaye The Hum,
  62. Wo Pal Agar Tume Kabhi Yaad Aaa Jaaye,
  63. Aur Dil Ki Dhadkan Tez Ho Jaaye,
  64. To Rukna mat
  65. “Mere Pass Laut Aana”
  66. .
  67. Log Aksar Saath Nahi Dete Hein, Dil Waalo’n Ka,
  68. Paas Reh Kar Agar Koi Saath Na De,
  69. To Rukna mat
  70. “Mere Pass Laut Aana”
  71. .
  72. Aaj Naa Jaane Kyo Teri Itni Yaad Aaa Rahi Hai,
  73. Agar Is Paigaam Par Teri Nazar Pad Jaaye,
  74. To Rukna mat
  75. “Mere pass Laut Aana”

  76. ----------------------------------------------------------------------

  77. Rashme ulfat ko nibhaye to nibhaye kaise,
  78. Har taraf aag hai daaman ko bachaye kaise,
  79. Bojh hota jo gamo ka to utha bhi lete,
  80. Zindagi bojh bani to fir uthaye kaise.


  81. ----------------------------------------------------------------------
  82. Na Jane Zindagi Main Kitne Gam Aate Hain,
  83. Aankho Main Aansu Bhar Aate Hain,
  84. Ye Aansu Sookh Bhi Nahi Pate,
  85. Ki Doosre Gam Aankho Ko Gila Kar Jate Hain.


  86. ----------------------------------------------------------------------
  87. Ruthi jo zindagi to mana lenge hum,
  88. Mile jo gam to seh lenge hum,
  89. Bus aap rehna sath hamare,
  90. Aasuo mai bhi muskura lenge hum !!


  91. ----------------------------------------------------------------------

  92. Tamana hai meri ki aapki aarzu ban jau,
  93. Aapki aankh ka tara na sahi aapki aankh ka aansu ban jau,
  94. Mai aap ki zindagi ki khushi banu ya na ban saku,
  95. Aapke gum me aapka sahara ban jau.

  96. ----------------------------------------------------------------------
  97. Wo mujhse aksar ye sawal puchti hai,
  98. “Tum mujhe itna pyar kyon karte ho?
  99. Koi jakar bata de usko ki,
  100. Zindagi kisko pyari nhi hoti.


  101. ----------------------------------------------------------------------


  102. Tere gam ko apni rooh me utaar lun,
  103. Zindagi teri chahat Mai sawaar lun,
  104. Mulakat ho tum se kuch is tarah ki,
  105. Tamam umar bas ek mulakat main gujar du.


  106. ----------------------------------------------------------------------

  107. ना जाने कब तुम आ कर
  108. हमारे दिल मे बसने लगे,
  109. तुम पहले दोस्त थे,
  110. फिर प्यार,
  111. फिर ना जाने कब ज़िंदगी बन गये…!!

  112. ----------------------------------------------------------------------

  113. Wo saath tha hamare,
  114. Ya hum paas the uske?
  115. Wo zindagi ke kuch din,
  116. Ya zindagi thi kuch din?

  117. ----------------------------------------------------------------------
  118. Tu Shaq Na Kar Mere Jazbaton Pe,
  119. Tere Saath Hi Zindagi Meri Khubsurat Hai,
  120. Jitni Ehmiyat Hai Pani Ki Marte Insan Ke Liye,
  121. Bus Utni Hi Mujhe Teri Zarurat Hai….!!

  122. ----------------------------------------------------------------------


  123. Zindagi Hans Ke Basar Karna,
  124. Nafrato Ke Raste Par Na Safar Karna,
  125. Wafa Na Ho To Mohabbat Adhoori Hai,
  126. Mohabbat Ke Safar Me Wafa Ki Fikar Karna,
  127. Mohabbat Har Kisi Ka Muqaddar Nahi Hoti,
  128. Mile Jo Mohabbat To Iski Kadar Karna.


  129. ----------------------------------------------------------------------

  130. Ajeeb Bhi Tu Hai Nasib Bhi Tu Hai,
  131. Duniya Ki Bhid Mai Karib Bhi Tu Hai,
  132. Teri Duao Se Hi Chalti Hai Zindagi,
  133. Kyuki Rabb Bhi Tu Hai Taqdir Bhi Tu Hai.


  134. ----------------------------------------------------------------------

  135. Na Chorhna Mera Saath Zindagi Mein Kabhi,
  136. Shahyad Mein Zinda Hun Tere Saath ki Wajah Se.


  137. ----------------------------------------------------------------------


  138. Sajj Sakti Hai Mehfil-e-Zindagi,
  139. Abhi Kuch Lamhe BaQi Hain,
  140. Agar Chaho,
  141. Agar Samjho,
  142. Meri Mano,
  143. To Loat Aao…!

  144. Miss You :(

  145. ----------------------------------------------------------------------

  146. Wohi Ranjishein,
  147. Wohi Hasratein,
  148. Na Hi Dard-E-Dil Mai Kami Hui…
  149. Hai Ajeeb Si Meri Zindagi,
  150. Na Guzar Saki Na Khatam Hui…..!


  151.  
  152. ----------------------------------------------------------------------
  153. Tamana hai meri ki aapki aarzu ban jaun,
  154. Aapki aankh ka tara na sahi aapki aankh ka aansu ban jaun,
  155. Mai aap ki zindagi ki kushi banu ya na ban sakun,
  156. Aapke gum mai aapka sahara ban jau.


  157.  
  158. ----------------------------------------------------------------------

  159. Naa Cherr Qissa Wo Ulfat Ka,
  160. Badi Lambi Kahani Hai…!!
  161. Main Zindagi Se Nahi Haari,
  162. Kisi Apne Ki Meherbani Hai…!!


  163. ----------------------------------------------------------------------

  164. Tere pyar mein do pal ki zindagi bahut hai,
  165. Ek pal ki hansi or ek pal ki khushi bahut hai,
  166. Yeh duniya mujhe jane, ya na jaane,
  167. Teri aankhe mujhe pehchane yhi bahut hai.


  168. ----------------------------------------------------------------------
  169. Apni zindagi ka alag usool hai,
  170. Pyar ki khatir to kante bhi qubool hai,
  171. Hans ke chal du kaanch ke tukdo par,
  172. Agar pyar kahe ye mere bichaye hue phool hain.

  173. ----------------------------------------------------------------------
  174. Tere har gham ko apni rooh mein utar loon,
  175. Apni zindagi teri chahat mein sanwar loon,
  176. Mulaqat ho tujhse kuch is tarah meri,
  177. Saari umar bas ek mulaqat mein guzar loon.


  178. ----------------------------------------------------------------------
  179. Apni zindagi me mujhko karib samajhna,
  180. Koi gum aaye to sharik samjhna,
  181. De denge muskurahat aansu ke badle,
  182. Magar hazaro me thoda aziz samajhna.

  183. ----------------------------------------------------------------------

  184. Zindagi mujhse yun daga na kar,
  185. Main zinda rahu bin uske ye dua na kar,
  186. Dekhta hai use koi to hoti hai jalan,
  187. Aey hawa tu bhi use chuaa na kar.


  188. ----------------------------------------------------------------------

  189. Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
  190. Dard hi dard hai subah shaam isliye chup hu,
  191. Keh du jamane se dastan apni,
  192. Usme ayega tera nam isliye chup hu…Love u my life.


  193. ----------------------------------------------------------------------

  194. Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to accha hai,
  195. Is raat ki takdir sanwar jaye to accha hai,

  196. Jis tarah se thodi si zindagi tere saath kati hai,
  197. Baaki bhi usi tarah guzar jaye to accha hai,

  198. Duniya ki nigaho me bhala kya hai aur bura kya,
  199. Ye bojh agar dil se utar jaye to accha hai,

  200. Waise to tumhi ne mujhe barbaad kiya hai,
  201. Ilzaam kisi aur ke sar jaye to accha hai.


  202. ----------------------------------------------------------------------

  203. Leke hum dusro ki hansi kya kare,
  204. Jo apni nahi wo khushi kya kare,
  205. Tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
  206. Jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare.


  207. Fir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi,
  208. Zindagi Zulf Nahi Fir Jo Sanwar Jayegi,
  209. Thaam Lo Hath UsKa Jo Pyar Kare Tum Se,
  210. Ye Zindagi Thehregi Nahi Jo Guzar Jayegi.


  211. ----------------------------------------------------------------------
  212. Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar,
  213. Taqdeer mai jo likha hai uski fariyad na kar,
  214. Jo hoga wo hokar rahega,
  215. Tu kal ki fikar mai apni aaj ki hasi barbad na kar,
  216. Hans marte hue bhi gata hai,
  217. Aur Mor nachte hue bhi rota hai,
  218. Ye jindagi ka funda hai boss,
  219. Dukho wali raat neend nahi aati,
  220. Aur Khushi wali raat kaun sota hai.


  221. ----------------------------------------------------------------------
  222. Jo rounga to palkon pe nami reh jayegi,
  223. Zindagi bas naam ki zindagi reh jayegi,
  224. Ye nahi ki tum bin jee na paunga,
  225. Haan magar zindagi mein har waqt ek teri kami reh jayegi.


  226. ----------------------------------------------------------------------

  227. Kaise Kahun Main Ke Apna Bana Lo Mujhe,
  228. Baahon Main Apni Tum Sama Lo Mujhe.

  229. Bin Tumhare Ek Pal Bhi Ab Kat Ta Nahi Mera,
  230. Bas Tum Aa Kar Mujh Hi Se Chura Lo Mujhe.

  231. Zindagi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzrey,
  232. Duniya Ke Ghamon Se Ab To Chura Lo Mujhe.


  233. Ajab Tarha Se Socha Hai Zindagi Ke Liye,
  234. Zakham-Zakham Likhte Hai Har Kushi Ke Liye,
  235. Wo Shaks Mujhe Bhool Gaya To Yaqeen Aaya,
  236. Koi Bhi Shaks Zaroori Nahi Kisi Ke Liye.


  237. ----------------------------------------------------------------------
  238. JAhan JAhan KOi ThOkar Hai MeRi QiSmat Main,
  239. WAhin Wahin Liye Phirti Hai ZinDagi Mujh KO..!!


  240. ----------------------------------------------------------------------
  241. Tumhe Kya Khabar Koi Tumhe Kis Kadar Chahta Hai…
  242. Dil Darta Hai Jataye To Kaise Hum Jataye…

  243. Dil Ki Har Umang Pe…Mausam Ke Har Rang Pe…
  244. Koi Chupke Se Aakar Tera Naam Kyun Likh Jaaye…

  245. Tum Basi Hui Ho Humdum Sirf Mere Sapno Main…
  246. Par Tum Zindagi Ki Haqiqat Ho Kaise Hum Batlaye…


  247. ----------------------------------------------------------------------

  248. Tumse Mulakat ho,
  249. Phir se koi baat ho..

  250. Waqt ki kuch na chale ,
  251. Na Din dhale, na raat ho..

  252. Zikr gum ka chod kar,
  253. Teri-meri baat ho..

  254. Zindagi ko maud dein,
  255. Ek nayi shuruaat ho..

  256. Dil ki jab dhadkan thamey,
  257. Dil pe tera haath ho.. !!

  258. ----------------------------------------------------------------------
  259. Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Siwa Tere,
  260. Mujhe Kisi Ki Jarurat Nahi Siwa Tere…

  261. Meri Najar Ko Thi Talash Jiski Barsom Se,
  262. Kisi Ke Paas Wo Surat Nahi Siwa Tere…

  263. Jo Mere Dil, Meri Zindagi Se Khel Sake,
  264. Kisi Ko Itni Ijaazat Nahi Siwa Tere…

  265. ----------------------------------------------------------------------
  266. Bichar Ke Tum Se Zindagi Saza Lagti Hai,
  267. Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai…

  268. Tarap Uthte Hain Dard Ke Maare,
  269. Zakhmon Ko Mere Jab Tere Deedaar Ki Hawa Lagti Hai…

  270. Agar Ummeed-E-Wafa Karun To Kis Se Karun Ae_Jaan,
  271. MujhKo To Meri Zindagi Bhi Be-Wafa Lagti Hai…


  272. ----------------------------------------------------------------------

  273. Meri Zindagi Mujhe Ye Bata,
  274. Mujhe Bhula Ke Tujhe Kya Mila,
  275. Meri Hasrato Ka Jawab De,
  276. Mujhe Rula Ke Tujhe Kya Mila,
  277. Tere 4 Din Ke Pyar Se,
  278. Mujhe Umar Bhar Ka Gam Mila,
  279. Mai To Toot Ke Bikhar Gaya,
  280. Magar Mujhe Tod Ke Tujhe Kya Mila.


  281. ----------------------------------------------------------------------
  282. Ek Andheri Raat Aur Mere Gum,
  283. Ek Rutha Sa Dil Aur Ankhe Num.

  284. Hawa Ke Naram Jhonko Ne Apne Hatho Se Thapki Di Aur Lori Sunayi,
  285. Magar Na Neend Aane Wali Thi Na Neend Aayi.

  286. Mai Apni Yaadon Se Hi Rotha Hua Tha,
  287. Bas Ek Dil Tha Mera Pas Mere Wo Bhi Toota Hua Tha.

  288. Zindagi Ko Alvida Keh Kar Kahi Kho Jana Chahta Tha,
  289. Mai Ab Thak Chuka Tha Chain Se Hamesha Ke Liye So Jana Chahta Tha.

  290. Tabhi Mere Dil Par Kisi Ki Dastak Hui,
  291. Kisi Anjane Ne Aakar Meri Rooh Bade Pyar Se Chui.

  292. Bada Karar Tha Sukun Tha Uski Meethi Baton Mai,
  293. Mai Aksar Diye Ki Low Se Uski Tasveer Bnata Tha Andheri Raato Mai.

  294. Meri Zindagi Ko Jeene Ka Maksad Diya Usne,
  295. Badi Masumiyat Se Har Gum Ko Mujhse Chhin Liya Usne.

No comments :

Post a Comment