Pyaar Koi Barish Nahi Shayari in hindi


  1. Deedar Kee Aag Jab Dil Mein Bhadakne Lagti Hai;
  2. Tujhe Dekhne Ko Meri Aankhein Tarsane Lagti Hain;
  3. Baadlon Ke Barsane Ka Humein Intezar Nahi Rehta;
  4. Teri Yaadon Mein Yeh Aankhein Khud Hi Barsane Lagti Hain!
  5. ======================================

  6. Yeh Hum Bhi Ganwara Karte Hain, Yeh Tum Bhi Ganwara Kar Lena;
  7. Ro Ro Ke Guzari Hain Humne Raatein, Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;
  8. Betabi Hadh Se Badh Jaye Aurc Neend Raaton Ko Aa Jaye;
  9. To Doob Ke Meri Yaadon Mein Tum Duniya Se Kinara Kar Lena!
  10. ======================================
  11. Tumhari Yaadon Mein Beeti Har Baat Alag Hai;
  12. Tumhare Saath Huii Har Mulaqaat Alag Hai;
  13. Har Shakhs Meri Zindagic Chhu Kar Geya;
  14. Magar Tumhari Mulaqat Kee Baat Alag Hai!
  15. ======================================
  16. Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; 
  17. Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; 

  18. Mutaribo Koi Achuta Nagma; 
  19. Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;

  20. Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
  21. Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;

  22. Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; 
  23. Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; 
  24. Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; 
  25. Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; 

  26. Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
  27. Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain!
  28. ====================================== 
  29. Betabiyan Samet Ke Sare Jahaan Kee;
  30. Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya!
  31. ====================================== 
  32. Pyaar Ne Yeh Kaisa Tohfa Dce Diya;
  33. Mujhko Ghamo Ne Pathar Bana Diya;
  34. Teri Yaadon Mein Hi Kat Gayi Umar Sari;
  35. Aur Main Logon Se Kehta Raha Ki Tujhe Kab Ka Bhula Diya!
  36. ======================================   
  37. Haathon Mein Ulfat Ka Naacm Hota Hai;
  38. Aankhon Mein Chalkta Jaam Hota Hai;
  39. Khanjar Kee Jarurat Hai Yahan Kise;
  40. Yahan Nazron Se Qatal-e-Aam Hota Hai!
  41. ====================================== 
  42. Na Wo Aa Sake Na Hum Ja Sake;
  43. Na Dard Dil Ka Hum Kisi Ko Suna Sake;
  44. Bas Khamosh Baithe Hain Unki Yaadon Mein;
  45. Na Usne Yaad Kiya Na Hum Bhula Sake!
  46. ======================================

  47. Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
  48. Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;

  49. Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
  50. Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum;

  51. Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi;
  52. Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum;

  53. Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mcauzu-e-Guftgu;
  54. Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum;

  55. Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi;
  56. Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum;

  57. Dil Jal Raha Hai Zard Shajarc Dekh Dekh Kar;
  58. Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum;

  59. Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi 'Qateel';
  60. Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum!
  61. ======================================
  62. Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
  63. Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
  64. ======================================
  65. Dil Kee Baatein Bata Deti Hain Aankhein;
  66. Dhadkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein;
  67. Dil Pe Chalta Nahi Jadu Chehron Ka Kabhi;
  68. Dil Ko Tu Deewana Bana Deti Hain Aankhein!
  69. INTZAAR======================================
  70. Unhe Kehna Ki Meri Maut Par Aansoo Na Bahaye;
  71. Mujhe Apni Maut Se Jyada Unke Rone Ka Dukh Hoga!
  72. ASHK======================================
  73. Tanhai Le Jati Hai Jahan Tak Yaad Tumhari;
  74. Wahin Se Shuru Hoti Hai Zindagi Hamari;
  75. Nahi Socha Tha Hum Chahenge Tumhein Is Kadar;
  76. Par Ab To Ban Gaye Ho Tum Kismat Hamari!
  77. ======================================
  78. Jahan Dariya Kahin Apne Kinare Chhod Dete Hai;
  79. Koi Uthta Hai Aur Toofan Ka Rcukh Mod Deta Hai;

  80. Mujhe Be-Dast-o-Paa Kar Ke Bhi Khauf Us Ka Nahi Jata;
  81. Kahin Bhi Haadsa Guzre Wo Mujh Se Jod Deta Hai;

  82. Bichhad Ke Tujh Se Kucch Jaana Agar To Is Kadar Jaana;
  83. Wo Mitti Hun Jise Dariya Kinare Chhod Deta Hai;

  84. Mohabbat Mein Zara Si Bewafai To Zaruri Hai;
  85. Wahi Achha Bhi Lagta Hai Jo Vaade Tod Deta Hai!
  86. ======================================
  87. Is Shehar-e-Be-Charag Mein Jayegi Tu Kahan;
  88. Aa Ai Shab-e-Firaq Tujhe Ghar Hi Le Chalen!

  89. ======================================
  90. Jaane Lage Jab Wo Chhod Ke Daaman Mera;
  91. Toote Hue Dil Ne Himaakat Kardi;
  92. Socha Tha Ki Chhupa Lenge Gham Apna;
  93. Magar Kambakht Ankhon Ne Bagawat Kar Di!
  94. ======================================
  95. Meri Nazaron Ko Aaj Bhi Talaash Hai Teri;
  96. Bina Aapke Khushi Bhi Udaas Hai Meri;
  97. Khuda Se Maanga Hai To Sirf Itna;
  98. Ki Marne Se Pehle Aapse Mulaqat Ho Meri!
  99. ======================================
  100. Hum To Tere Dil Kee Mehfil Sajane Aaye The;
  101. Teri Kasam Tujhe Apna Bancane Aaye The;
  102. Kis Baat Kee Saza Dee Tumne Humein Bewafa;
  103. Hum To Tere Dard Ko Apna Banane Aaye The!

  104. ======================================

  105. Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho;
  106. Ye Zindagi To Hai Rehmcat Ise Saza Na Kaho;

  107. Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho;
  108. Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho;

  109. Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe;
  110. Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho;

  111. Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar;
  112. Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho;

  113. Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao;
  114. Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho;

  115. Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal;
  116. Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho;

  117. Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai 'Rahat';
  118. Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho!
  119. ======================================
  120. Dil Ke Behlane Kee Tadbeer To Hai;
  121. Tu Nahi Hai Teri Tasveer To Hai;
  122. Humsafar Chhod Gaye Mujh Ko To Kya;
  123. Saath Mere Meri Taqdeer To Hai!
  124. ======================================
  125. Lamha Lamha Ye Waqt Guzar Jayega;
  126. Jane Kab Tu Mujhse Bcichad Jayega;
  127. Jee Lene Do Mujhe Is Ek Pal Mein Zindagi;
  128. Ek Tujhse Bichad Kar Yeh Dil Mar Jayega!
  129. ======================================
  130. Nafrat Kabhi Na Karna Humse;
  131. Yeh Hum Seh Nahi Paayenge;
  132. Ek Baar Keh Dena Humsce Zaroorat Nahi Ab Tumhari;
  133. Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge!
  134. ======================================
  135. Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitbaar Ho Jata Hai;
  136. Ajnabi Koi Shaks Bhi Yaar Ho Jata Hai;
  137. Khoobiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sada;
  138. Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
  139. ======================================
  140. Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya Log;
  141. Aansu Tapti Ret Mein Bo Gaye Kya-Kya Log;

  142. Kirnon Ke Toofan Se Bajre Bhar-Bhar Kar;
  143. Roshniyan Us Ghaat Par Dho Gaye Kya-Kya Log!

  144. Saanjh Samay Is Kunj Mein Zindagiyon Kee Aut;
  145. Baj Gayi Kya-Kya Bansauri Ro Gaye Kya-Kya Log;

  146. Maili Chaadar Taan Kar Is Chaukhat Ke Dwar;
  147. Sadiyon Ke Kohraam Mein So Gaye Kya-Kya Log;

  148. Gathdi Kaal Rain Kee Sonti Se Latkaye;
  149. Apni Dhun Mein Dhyan Ncagar Ko Gaye Kya-Kya Log;

  150. Meethe Meethe Bol Mein Dohe Ka Hindol;
  151. Sun Sun Us Ko Bhanware Ho Gaye Kya Kya Log!
  152. ======================================
  153. Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye;
  154. Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye;
  155. Kahan Se Dhoond Ke Laaucn Charag Se Wo Badan;
  156. Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye!
  157. ======================================
  158. Rang Dikhati Hai Yeh Zindagi Kitne;
  159. Gair Bhi Ho Jate Hain Ek Pal Mcein Apne;
  160. Na Jaana Kabhi Tum Sapno Kee Duniya Mein;
  161. Kyonki Toot Jata Hai Dil Jab Toote Hain Sapne!
  162. ======================================
  163. Khuda Ne Jab Tumhein Banaya Hoga;
  164. Uske Dil Mein Bhi Sukun Aaya Hoga;
  165. Socha Hoga Usne Ki Tumhein Apna Loon;
  166. Phir Use Mera Khayal Aaya Hoga!
  167. ISHQ======================================
  168. Meri Koshish Hamesha Hi Naqaam Rahi;
  169. Pehle Tumhein Paane Kee Ab Tumhein Bhulane Kee!

  170. ======================================
  171. Hairan Hai Jabeen Aaj Kidhar Sajda Ravaa Hai;
  172. Sar Par Hain Khudavand Sar-e-Arsh Khuda Hai;

  173. Kab Tak Ise Seenchoge Tamanna-e-Samar Mein;
  174. Ye Sabr Ka Pauda To Na Phucla Na Phala Hai;

  175. Milta Hai Khiraj Us Ko Teri Naan-e-Javin Se;
  176. Har Baadshah-e-Waqt Tere Dar Ka Gadaa Hai;

  177. Har Ek Uquubat Se Hai Takhi Mein Sava-Tar;
  178. Wo Rang Jo Na-Karda Gunahon Kee Saza Hai;
  179. c
  180. Ehsaan Liye Kitne Maseeha-Nafson Ke;
  181. Kya Kijiye Dil Ka Na Jala Hai Na Bujha Hai!
  182. ======================================
  183. Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale;
  184. Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale;
  185. Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat;
  186. Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
  187. ======================================
  188. Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye;
  189. Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
  190. Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi;
  191. Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!
  192. ======================================
  193. Khuda Humko Kabhi Aisi Judai Na De;
  194. Unki Yaadon Se Kabhi Humko Rihai Na De;
  195. Dua Karna Dosto Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
  196. Jahan Se Mera Pyaar Mujhe Dikhai Na De!
  197. JUDAAI======================================   
  198. Mohabbat Karo Itni Ki Hadh Na Rahe;
  199. Intezar Karo Itna Ki Waqt Na Rahe;
  200. Bharosa Karo Itna Ki Shaq Na Rahe;
  201. Nibaho Mohabbat Aise Ki cKisi Aur Ka Us Par Haq Na Rahe!
  202. ======================================
  203. Zindgi Is Tarah Guzarate Hain;
  204. Karz Hai Aur Use Utarate Hain;

  205. Wasl Pe Shart Baandh Lecte Hain;
  206. Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain;

  207. Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka;
  208. Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain;

  209. Kitne Dil Is Mein Goondh Lete Hain;
  210. Zulf-e-Khugar Ko Jab Sanwarte Hain;

  211. Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana;
  212. Pesh-e-Fateh Bhi Log Haarte Hain!
  213. ======================================
  214. Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale;
  215. Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;
  216. Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun;
  217. Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale!
  218. ======================================
  219. Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
  220. Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
  221. Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
  222. Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
  223. ======================================
  224. Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota;
  225. Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota;
  226. Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dinco Ke Liye;
  227. Lekin Uske Baad Aankhon Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota!
  228. ======================================  
  229. Wo Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi;
  230. Wo Mohabbat Hi Kya Jisme Yccaaein Nahi;
  231. Wo Yaaein Hi Kya Jisme Tum Nahi;
  232. Aur Wo Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi!

  233. ======================================

  234. Musafir Ke Raaste Badalte Rahe;
  235. Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe;

  236. Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha;
  237. Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe;

  238. Mere Raaste Mein Ujala Raha;
  239. Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe;

  240. Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya;
  241. Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe;

  242. Mohabbat Adavat Wafac Berukhi;
  243. Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe;

  244. Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi;
  245. Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe;

  246. Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye;
  247. Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe!
  248. ======================================
  249. Kahan Tak Aankh Royegi Kahan Tak Kiska Gham Hoga;
  250. Mere Jaisa Yahan Koi cNa Koi Roz Kam Hoga;
  251. Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main;
  252. Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!
  253. ======================================
  254. Kyon Koi Chaah Kar Mohabcbat Nibha Nahi Paata;
  255. Kyon Koi Chaah Kar Rishta Banaa Nahi Paata;
  256. Kyon Leti Hai Zindagi Aisi Karvat;
  257. Ki Koi Chaah Kar Bhi Pyaar Jataa Nahi Paata!
  258. ======================================
  259. Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai;
  260. Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai;
  261. Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf;
  262. Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!
  263. ======================================
  264. Na Zindagi Mili Na Wcafa Mili;
  265. Na Jaane Kyon Har Khushi Humse Khafa Mili;
  266. Jhoothi Muskaan Liye Apncce Gham Chupaate Hain;
  267. Sachhi Mohabbat Karne Kee Bhi Kya Khoob Saza Mili!
  268. ======================================
  269. Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat;
  270. Aur Mil Gayi Khushi Toc Uchhale Tumhaare Khat;

  271. Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee;
  272. Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat;

  273. Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
  274. Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;

  275. Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan;
  276. Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat;

  277. Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka;
  278. Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat;

  279. Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
  280. Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;

  281. Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee 'Wasi';
  282. Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat!
  283. ======================================
  284. Baat Aisi Bhi Koi Nahi Ki Mohabbat Bahut Jyada Hai;
  285. Lekin Hum Dono Se Us Kee cTaqat Bahut Jyada Hai;
  286. Aap Ke Peeche Peeche Phirne Se To Rahe Is Umar Mein Hum;
  287. Raah Pe Aa Baithe Hain Ye Bhi Ghanimat Bahut Jyada Hai!
  288. ======================================
  289. Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashko Ko Moti Bana Deti Hai;
  290. Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai;
  291. Jab Jeene Kee Koi Bhi Wacjah Hi Na Bachi Ho;
  292. Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai!
  293. ======================================
  294. Hanste Rahoge To Duniya Saath Hai Warna;
  295. Aansuon Ko To Aankh Mein Bhi Jagah Nahi Milti!
  296. ======================================
  297. Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
  298. Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
  299. Jaan Ban Ke Utar Ja Uski Rooh Mein;
  300. Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!

  301. ======================================


  302. Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum;
  303. Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum;

  304. May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi;
  305. Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum;

  306. Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka;
  307. Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aacb Aur Daane Ko Hum;

  308. Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil;
  309. Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum;

  310. Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi;
  311. Ab To Pujenge Usi Kaafcir Ke Butkhane Ko Hum;
  312. c
  313. Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer'
  314. Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum!
  315. ======================================
  316. Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai;
  317. Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai!
  318. ======================================
  319. Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath;
  320. Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath;
  321. Khata Kuchh Bhi Nahi, Mahaz Pyaar Kiya Hai;
  322. Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath!
  323. ======================================
  324. Har Pal Hanske Jiya Karte Hain;
  325. Aap Se Dil Kee Har Baat Kiya Karte Hain;
  326. Bahut Khaas Ho Aap Hamare Liye;
  327. Isliye Har Waqt Aapko Yaad Kiya Karte Hain!
  328. ======================================
  329. Tera Intezar Mujhe Har Pal Rehta Hai;
  330. Har Lamha Mujhe Tera Ehsas Rehta Hai;
  331. Tujh Bin Dhadkane Ruk Sci Jaati Hain;
  332. Kyonki Tu Mere Dil Mein Meri Dhadkan Banke Rehta Hai!
  333. ======================================
  334. Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool;
  335. Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;

  336. Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
  337. Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;

  338. Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
  339. Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;

  340. Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
  341. Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;

  342. Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
  343. Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool!
  344. ======================================
  345. Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar;
  346. Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi!
  347. ======================================
  348. Sard Raaton Ko Satati Hai Judai Teri;
  349. Aag Bujhti Nahi Seene Mein Lagayi Teri;
  350. Tum Jo Kehte The Bichar Kar Main Sukun Paa Lunga;
  351. Phir Kyu Roti Hai Mere Dar Par Tanhayi Teri!
  352. ======================================
  353. Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi;
  354. Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rachi Hai Zindagi;
  355. Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain;
  356. Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!
  357. ZINDAGI======================================
  358. Koi Apna Hota To Bin Kahce Hi Samjh Leta;
  359. Ab Kis Ko Bataun Ki Kya Hai Is Dil Mein;
  360. Bhule Baithe Hain Wo Log Bhi Jinhe Apna Samjhta Hun;
  361. Kabhi Mile To Dil Cheer Ke Dikha Dun Ki Kya Hai Is Dil Mein!
  362. ======================================

  363. Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho;
  364. Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho;

  365. Ab Koi Aarzoo Nahi Baki;
  366. Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho;

  367. Main Zameen Par Ghana Andhera Hun;
  368. Aasmano Kee Chandni Tum Ho;

  369. Doston Se Wafa Kee Ummeedein;
  370. Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho!
  371. ======================================
  372. Dhadkan Dil Ki Ruk Jati Hai;
  373. Sanse Aksar Tham Jati Haci;
  374. Bahut Buri Halat Hoti Hai Yaaro;
  375. Jab GF Se Shaadi Karne Ki Naubat Aati Hai!
  376. FUNNY======================================
  377. Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se;
  378. Wo Aazmaish Dil O Nazar Kcee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se;
  379. Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se;
  380. Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se!
  381. ======================================
  382. Palkein Khuli Subah To Yeh Jaana Humne;
  383. Maut Ne Aaj Phir Se Humein Zindagi Ke Hawale Kar Diya!
  384. ======================================
  385. Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;
  386. Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!
  387. ======================================
  388. Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda;
  389. Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi;
  390. Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee;
  391. Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi!
  392. DOSTI======================================
  393. Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The;
  394. Aankh Mein Noor Kee Aur cDil Mein Lahoo Kee Surat;
  395. Yaad Kee Tarah Dhadakte Hue Dil Kee Surat;
  396. ======================================
  397. Tum Nahi Aaye Abhi Phir Bhi To Tum Aaye Ho; 
  398. Raat Ke Seene Mein Mehtab Ke Khanjar Kee Tarah; 
  399. Subah Ke Haath Mein Khurshid Ke Sagar Kee Tarah;

  400. Tum Nahi Aaoge Jab Phir Bhi To Tum Aaoge;
  401. Zulf Dar Zulf Bikhar Jayega Phir Raat Ka Rang;
  402. Shab-e-Tanhayi Mein Bhi Luctf-e-Mulaqat Ka Rang;

  403. Aao Aane Kee Karein Baat Ki Tum Aaye Ho;
  404. Ab Tum Aaye Ho Main Kaun Si Shai Nazar Karu;
  405. Ki Mere Paas Siva Mehcr-o-Wafa Kuch Bhi Nahi;
  406. Ek Dil Ek Tamanna Ke Siva Kuch Bhi Nahi!
  407. ======================================
  408. Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya;
  409. Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya;
  410. Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake; 
  411. Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya!
  412. ======================================
  413. Kuch Sochun To Tera Khayal Aa Jata Hai;
  414. Kuch Bolun To Tera Naam Aa Jata Hai;
  415. Kab Tak Chupaon Dil Kee Baat;
  416. Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai!
  417. ======================================   
  418. Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye;
  419. Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye;
  420. Pyaar Hi To Kehte Hain Use;
  421. Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye!

  422. ======================================


  423. Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaye;
  424. Saans Bhi Lo To Khushbu Uski Hi Aaye;
  425. Pyaar Ka Nasha Aankhon cPe Cha Jaye;
  426. Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye!
  427. ======================================
  428. Khoon Bar Kar Munasib Nahi Dil Bahe;
  429. Dil Nahi Maanta Kaun Dil Se Kahe;

  430. Teri Duniya Mein Aaye Bahut Din Rahe;
  431. Sukh Ye Paya Ki Hum Ne Bahut Dukh Sahe;

  432. Bulbulein Gul Ke Aansu Nahi Chatati;
  433. Un Ko Apni Hi Margoob Hain Chehchahe;

  434. Aalam-e-Nazaa Mein Sun Raha Hun Mein Kya;
  435. Ye Azizon Kee Cheekhe Hain Kya Kehkahe;

  436. Is Naye Husn Kee Bhi Adaon Pe Hum;
  437. Mar Mitenge Ba-Sharte Ke Zinda Rahe;

  438. Tum 'Hafeez' Ab Ghisatne Kee Manzil Mein Ho;
  439. Daur-e-Ayyaam Pahiya Hai Gham Hain Rahe!
  440. ======================================
  441. Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar;
  442. Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe!
  443. ======================================
  444. Kabhi Ro Ke Muskraye, Kabi Muskura Ke Roye;
  445. Uski Yaad Jab Bhi Aayi, Ucse Bhula Ke Roye;
  446. Ek Uska Hi Naam Tha, Jise Hazar Bar Likha;
  447. Jitna Likh Ke Kush Hue, Usse Jyada Use Mita Ke Roye!
  448. DARD======================================
  449. Apne Dil Mein Tumhare Pyaar Kee Dastaan Likhi Hai;
  450. Na Thodi Na Bahut Tamcaam Likhi Hai;
  451. Kabhi Hamare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo;
  452. Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai!
  453. ISHQ======================================
  454. Naseeba De Lekh Koi Mod Nahi Sakda;
  455. Hove Rabb Te Aitbar Koi Tod Nahi Sakda;
  456. Sachha Pyaar Ta Milda Hai Naseeban De Naal;
  457. Lakh Chah Ke Vi Kise Naal Rishta Koi Jod Nahi Sakda!
  458. PUNJABI ======================================
  459. Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
  460. Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

  461. Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
  462. Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

  463. Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
  464. Meri Veeran Khalvatein cAbaad Kar;

  465. Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
  466. Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

  467. Husn Ko Duniyaa Kee Acankhon Se Na Dekh;
  468. Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

  469. Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
  470. Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

  471. Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
  472. Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
  473. ======================================
  474. Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
  475. Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!
  476. ======================================
  477. Nafrat Bhi Hai Tumse, Mohabbat Bhi Hai Tumse;
  478. Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai;
  479. Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish;
  480. Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai!
  481. ======================================
  482. Zakham Aisa Diya Ki Koi Dawa Kaam Na Aayi;
  483. Aag Aisi Lagai Ki Paani Se Bhi Bujh Na Paayi;
  484. Aaj Bhi Rote Hain Hum Unki Yaad Mein;
  485. Jo Chod Kar Chale Gaye Aur Unhe Hamari Yaad Tak Na Aayi!

  486. ======================================


  487. Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
  488. Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho!
  489. ======================================
  490. Tere Vaade Kee Tere Pyaar Kee Mohtaj Nahi;
  491. Ye Kahani Kisi Kirdaar Kcee Mohtaj Nahi;

  492. Khali Kashkol Pe Itarayi Hui Phirti Hai;
  493. Ye Fakeeri Kisi Dastar Kee Mohtaj Nahi;

  494. Log Honthon Pe Sajaye Hue Phirte Hain Mujhe;
  495. Meri Shohrat Kisi Ackhbaar Kee Mohtaj Nahi;

  496. Ise Toofan Hi Kinare Se Laga Sakta Hai;
  497. Meri Kashti Kisi Patvaar Kee Mohtaj Nahi;

  498. Maine Mulkon Kee Tarah Logo Ke Dil Jeete Hain;
  499. Ye Hukumat Kisi Talwar Kee Mohtaj Nahi!
  500. ======================================
  501. Koi Umeed Bar Nahi Aati;
  502. Koi Soorat Nazar Nahi Aati;
  503. Maut Ka Ek Din Muayyan Hai;
  504. Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati!

  505. ======================================
  506. Jab Se Usne Shehar Choda Har Raasta Sunsan Hua;
  507. Apna Kya Hai Sare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksan Hua;
  508. Ye Dil Ye Aaseb Kee Nagri Maskan Sochun Vehmon Ka;
  509. Soch Raha Hun Is Nagri Mein Tu Kab Se Mehman Hua!
  510. ======================================
  511. Aaj Bhi Behta Hai Uska Diya Hua Zakham;
  512. Main Chah Kar Bhi Use See Na Paaya;
  513. Bas Kehne Ke Liye Hi Zinda Hun Main To Yaaro;
  514. Par Marzi Ke Saath Kabhi Jee Na Paaya!
  515. ======================================
  516. Do Pal Da Hai Saath Pata Nahi Kado Vichad Jana;
  517. Rishteya Da Kee Pata Kcado Tut Jana;
  518. Puch Liya Karo Kade Haal-Chaal Sade Dil Da;
  519. Zindgi Da Kee Pata Asi Kado Muk Jana!
  520. PUNJABI======================================
  521. Barsat Kee Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi;
  522. Kuch Apna Zamana Ycaad Aaya Kuch Unki Jawani Yaad Aayi;
  523. Hum Bhool Chuke The Jisne Humein Duniya Mein Akela Chora Tha;
  524. Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Si Yaad Aayi!
  525. YAADEIN======================================
  526. Rakshas Tha Na

  527. Rakshas Tha Na Khuda Tha Pehle;
  528. Aadmi Kitna Bada Tha Pehle;

  529. Aasmaan, Khet, Samandar Sab Laal;
  530. Khoon Kagaz Pe Uga Tha Pehle;

  531. Main Wo Maqtool Jo Qatil Na Bana;
  532. Haath Mera Bhi Uthac Tha Pehle;

  533. Ab Kisi Se Bhi Shikayat Na Rahi;
  534. Jane Kis-Kis Se Gila Tha Pehle;

  535. Shehar To Baad Mein Veeran Hua;
  536. Mera Ghar Khaak Hua Tha Pehle!
  537. ======================================
  538. Aaye To Yun Ki Jacise Hamesha The Mehrban;
  539. Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The!
  540. ======================================
  541. Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi;
  542. Hamare Jaisi Tumko Chaht Bhi Na Milegi;
  543. Yun Itni Berukhi Na Humein Dikhlaiye;
  544. Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi!


  545. ======================================



  546. Tu Khush Rahe To Main Muskuraunga;
  547. Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe cNa Bhula Paunga;
  548. Mere Gham Ka Tu Dard Na Lena;
  549. Ki Iss Dard Mein Bhi Main Sukun Paunga!
  550. ======================================
  551. Dil Kee Baat Ko Juban cSe Kehna Nahi Aata;
  552. Khafa Hona To Aata Hai, Khafa Rehna Nahi Aata!
  553. ======================================
  554. Dil Daba Jata Hai Kitnca Aaj Gam Ke Baar Se;
  555. Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se;

  556. Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab;
  557. Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se;

  558. Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka;
  559. Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se;

  560. Maand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang;
  561. Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se;

  562. Main Bhi 'Akbar' Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko;
  563. Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se!
  564. ======================================
  565. Har Bul-Hawas Ne Husn-Parasti Shiaar Kee;
  566. Ab Aabroo-e-Sheva-ec-Ahl-e-Nazar Gayi;
  567. Nazare Ne Bhi Kaam Kiya Wan Naqaab Kee;
  568. Masti Se Har Nigah Tere Rukh Par Bikhar Gayi!

  569. ======================================
  570. Dilon Ko Fikr-e-Do-Alam Se Kar Diya Aazad;
  571. Tere Junoon Ka Khuda Silsila Daraaz Kare!
  572. ======================================
  573. Zuban Khamosh Aankhon Mein Nami Hogi;
  574. Yahi Bas Meri Ek Dastan-e-Zindagi Hogi;
  575. Bharne Ko Toh Har Zakham Bhar Jayega;
  576. Kaise Bharegi Wo Jagah Jahan Teri Kami Hogi!
  577. ======================================
  578. Kabhi Hum Tute To Kabhi Khwaab Tute;
  579. Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute;
  580. Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka;
  581. Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute!
  582. ======================================
  583. Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The;
  584. Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat;
  585. Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab;
  586. Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The!
  587. ======================================
  588. Raat Aadhi Se Jyada Gayi Thi, Sara Aalam Sota Tha;
  589. Naam Tera Le Le Kar Koi Dard Ka Maara Rota Tha;

  590. Charagaron, Ye Taskin Kaisif, Main Bhi Hun Is Duniya Mein;
  591. Unko Aisa Dard Kab Utha, Jinko Bachana Hota Tha;

  592. Kuch Ka Kuch Keh Jata Tha Main Furkat Kee Betabi Mein;
  593. Sunane Wale Hans fPadte The Hosh Mujhe Tab Aata Tha;

  594. Tare Aksar Doob Chale The, Raat Ko Rone Walo Ko;
  595. Aane Lagi Thi Neend Si Kuch, Duniya Mein Savera Hota Tha;

  596. Tark-e-Mohabbat Karne Walo, Kaun Aisa Jag Jeet Liya;
  597. Ishq Ke Pehle Ke Din Socho, Kaun Bada Sukh Hota Tha;

  598. Uske Aansu Kisne Dekhe, Uski Aahein Kisne Suni;
  599. Chaman Chaman Tha Husn Bhi Lekin Dariya Dariya Rota Tha;

  600. Pichala Pahar Tha Hizr Kee Shab Ka, Jagta Rab, Sota Insan;
  601. Taaron Kee Chanv Mein Koi 'Firaq' Sa Moti Pirota Tha!
  602. ======================================
  603. Tujhe Paane Ke Liye Kuchh Bhi Kar Sakta Hu;
  604. Tere Pyaar Mein Jee Toh Kya, Mar Bhi Sakta Hu;
  605. Phir Bhi Tu Nahi Mili To Koi Mujhe Gham Nahi;
  606. Yeh Formula Kissi Dusri Pe Set Kar Sakta Hu!

  607. ======================================

  608. Pyaar Koi Barish Nahif Jo Barse Aur Tham Jaaye;
  609. Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye;
  610. Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi;
  611. Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye!
  612. ISHQ======================================
  613. Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum;
  614. Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum;
  615. Jo Log Kehte Hainf Ki Pyaar Sacha Nahi Hota;
  616. Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum!
  617. ISHQ ======================================
  618. Takdeer Bata Tune Mufjhko Kis Mod Pe Lake Chhod Diya;
  619. Ek Mod Talak To Saath Diya Ek Mod Pe Lake Chhod Diya;
  620. Khud Pyaar Kiya Khud Thukraya Phir Pyaar Bhara Dil Tod Diya;
  621. Us Mod Talak To Saath Diya Is Mod Pe Lake Chhod Diya!
  622. ======================================
  623. Ye Dil Mein Vasvasa Kya Pal Raha Hai;
  624. Tera Milna Bhi Mujh Ko Khal Raha Hai;

  625. Jise Maine Kiya Tha Be-Khudi Mein;
  626. Jabeen Par Ab Vo Sajda Jal Raha Hai;

  627. Mujhe Mat Do Mubarak-Baad-e-Hasti;
  628. Kisi Ka Hai Ye Saya Chal Raha Hai;

  629. Sar-e-Sahara Sada Dil Ke Shajar Se;
  630. Barasta Door Ik Badal Raha Hai;

  631. Fasad-e-Lagzish-e-Takhleeq-e-Aadam;
  632. Abhi Tak Haath Yazdaan Mal Raha Hai;

  633. Dilon Kee Aag Kya Kafi Nahi Hai;
  634. Jahanum Be-Zaroorat Jal Raha Hai!
  635. ======================================
  636. Bhule Hain Rafta Rgafta Unhen Muddaton Mein Hum;
  637. Kishton Mein Khud-Kushi Ka Maza Humse Puchiye!
  638. ======================================
  639. Kuch Pane Kee Chaahat Mein Bahut Kuch Choot Jata Hai;
  640. Na Jane Sabr Ka Dhaga Kahan Par Toot Jata Hai;
  641. Zara Batao Ki Tugm Kise Humraah Kehte Ho;
  642. Yahan To Apna Saya Bhi Saath Chod Jata Hai!
  643. GILA SHIKWA======================================
  644. Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai;
  645. Ab Mujhe Ishq Kge Anjaam Se Dar Lagta Hai;
  646. Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein;
  647. Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai!
  648. BEWAFA======================================
  649. Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake;
  650. Khushi Hamari Dekhg Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake;
  651. Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake;
  652. Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake!
  653. ======================================
  654. Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai;
  655. Mujh Pe Ehsaan Hawa Karti Hai;

  656. Shab Kee Tanhai Mein Ab To Aksar;
  657. Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai;

  658. Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahi;
  659. Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai;

  660. Zindagi Meri Thi Lekin Ab To;
  661. Tere Kehne Mein Raha Karti Hai;

  662. Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh;
  663. Dil Ka Ehaval Kaha Karti Hai;

  664. Sham Padte Hi Kisi Shakhs Kee Yaad;
  665. Kucha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai!

No comments :

Post a Comment