Dil Se Teree Nigaah Ghazal Shayari new2017

⧭⧭Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool⬍⬍
Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;

⧫Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;

Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
⧪Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;

Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;

⧭Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar Liye,
Ye Kaanch Ka Shareer Ye Kaagaz Ka Sar Liye;

Sholey Nikal Rahe Hain Gulabon Ke Jism Se,
Titali Na Ja Kareeb Ye Resham Ke Par Liye;

Jaane Bahaar Naam Hai Lekin Ye Kaam Hai,
Kaliyan Taraash Lee To Kabhi Gul Qatar Liye;

Ranjhaa Bane Hain, Kais Bane, Kohakan Bane,
Humne Kisi Ke Vaaste Sab Roop Dhar Liye;

Na Meharabane Shehar Ne Thukra Diya Mujhe,
Main Phir Raha Hun Apna Makaan Dar-B-Dar Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~i

GHAZAL
Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi;

Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi;

Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi;

Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi;

Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi;

Mere Layak Nahi Hayaat 'Khumar';
Aur Main Layak-e-Hayaat Nah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool The Baadal Bhi Tha Aur

Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi,
Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi;

Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta,
Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi;

Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda,
Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi;

Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi,
Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi;

Kya Qayamat Hai 'Munir' Ab Yaad Bhi Aate Nahi,
Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein,
Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein;

Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein,
Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein;

Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain,
Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein;

Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein,
Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein;

Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan,
Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein;

Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin,
Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse;
Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;

Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;

Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;

Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;

Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rooh Pyaasi Kahan Se Aati Hai;
Ye Udasi Kahan Se Aati Hail;

Dil Hai Shab Do Ka To Ai Umeed;
Tu Nidasi Kahan Se Aati Hai;

Shauk Mein Aish-e-Vatl Ke Hangaam;
Naashiphasi Kahan Se Aati Hai;

Ek Zindaan-e-Bedili Aur Shaam;
Ye Sabasi Kahan Se Aati Hai;

Tu Hai Pehalu Mein Phir Teri Khushbu;
Hoke Baasi Kahan Se Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nigahein Naaz Ne Parde Uthaye Hain Kya-Kya;
Hijaab Ahle Mohabbat Ko Aaye Hain Kya-Kya;

Jahaan Mein Thi Bas Ek Afwah Tere Jalwon Kee;
Charag-e-Dair-o-Haram Jhilmilaein Hai Kya-Kya;

Kahin Charag, Kahin Gul, Kahin Dil Barbaad;
Kheramein Naaz Ne Kitne Uthaye Hain Kya-Kya;

Payamein Husn, Payamein Junoon, Payamein Fana;
Teri Nigah Ne Phasane Sunaye Hain Kya-Kya;

'Firaq' Raahe Wafa Mein Sabak Ravi Teri;
Bade Badon Ke Kadam Dagmagaein Hain Kya-Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat Karke;
Aazamaya Jo Unhein Tark-e-Mohabbat Karke;

Dil Ne Chhodaa Hai Na Chhode Tere Milne Ka Khayal;
Baaraha Dekh Liya Humne Malamat Karke;

Ruh Ne Payi Hai Takleef-e-Judai Se Nijaat;
Aapki Yaad Ko Saramaya-e-Rahat Karke;

Chhed Se Ab Wo Ye Kehte Hain Ki Sambhlo 'Hasarat';
Sabr-o-Taab-e-Dil-Beemaar Ko Garat Karke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
Anjuman Anjuman Raha Tanha;

Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
Koi Guzra Hai Badha Tanha;

Teri Aahat Kadam Kadam Aur Main;
Is Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;

Kehana Yaadon Ke Barf-Zaaron Se;
Ek Aansu Baha Baha Tanha;

Doobte Sahilon Ke Mod Pe Dil;
Ik Khandar Sa Raha Saha Tanha;

Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
Waqt Ka Ek Kehkaha Tanha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qaraar;
Beqarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

Chashm-e-Qatil Meri Dushman Thi Hamesha Lekin;
Jaise Ab Ho Gayi Qatil Kabhi Aisi To Na Thi;

Un Kee Aankhon Ne Khudaa Jaane Kiya Kya Jadoo;
Ki Tabiyat Meri Maail Kabhi Aisi To Na Thi;

Aks-e-Rukh-e-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaya;
Taab Tujh Mein Maah-e-Kaamil Kabhi Aisi To Na Thi;

Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Khoo Teri Hoor-e-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~L
Koi Kaanta Chubha Nahi Hota;
Dil Agar Phool Sa Nahi Hota;

Kuch To Majabooriyan Rahi Hongi;
Yun Koi Bewafa Nahi Hota;

Guftagu Un Se Roz Hoti Hai;
Muddaton Saamana Nahi Hota;

Jee Bahut Chahta Sach Bole;
Kya Karein Haunsala Nahi Hota;

Raat Ka Intezar Kaun Kare;
Aaj Kal Din Mein Kya Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein Hun;
Ai Sakinaan-e-Khuld Suno Main Nashe Mein Hun;

Kuch Phool Khil Rahe Hain Sar-e-Shakh-e-May-Kada;
Tum Hi Zara Ye Phool Chuno Main Nashe Mein Hun;

Thehro Abhi To Subah Ka Maara Hai Zau-Phishan;
Dekho Mujhe Fareb Na Do Main Nashe Mein Hun;

Nasha To Maut Hai Gham-e-Hasti Kee Dhoop Mein;
Bikhara Ke Zulf Saath Chalo Main Nashe Mein Hun;

Mela Yun Hi Rahe Ye Sar-e-Rahguzar-e-Zeest;
Ab Jaam Saamne Hi Rakho Main Nashe Mein Hun;

Payal Chanak Rahi Hai Nigaar-e-Khayal Kee;
Kuch Ehatimaam-e-Raqs Karo Main Nashe Mein Hun;

Main Dagmaga Raha Hun Bayabaan-e-Hosh Mein;
Mere Abhi Kareeb Raho Main Nashe Mein Hun;

Hai Sirf Ek Tabasum-e-Rangeen Bahut Mujhe;
'Saghar' B-Dosh Lala-Rukhon Main Nashe Mein Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Fainsla To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
Pani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;

Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
Maqtal Mein Ab B-Tarz-E-Digar Jana Chahiye;

Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Yeh Hai;
Jaane Se Pehle Rakht-E-Safar Jana Chahiye;

Sara Jvar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
Ilzam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;

Jab Bhi Gaye Azaab-E-Dar-O-Baam Tha Wahi;
Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;

Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
Aise Sukhanfarosh Ko Mar Jana Chaahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Hum Ne Sab Sher Mein Sanware The;
Hum Se Jitne Sukhan Tumhare The;

Rang-o-Khusbhu Ke Husn-o-Khoobi Ke;
Tum Se The Jitne Istiare The;

Tere Kaul-o-Karar Se Pehle;
Apne Kuch Aur Bhi Sahare The;

Jab Wo Laal-o-Gohar Hisab Kiye;
Jo Tere Gham Ne Dil Pe Vaare The;

Mere Daaman Mein Aa Gire Saare;
Jitne Tasht-E-Falak Mein Taare The;

Umar-E-Jaaved Kee Dua Karte;
'Faiz' Itne Wo Kab Hamare The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaak Mein Pinhan;
Gafil Tu Nira Sahib-e-Idraak Nahi Hai;

Wo Aankh Ke Hai Surma-e-Afarng Se Roshan;
Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

Kya Sufi O Mulla Ko Khabar Mere Junoon Kee;
Un Ka Sar-e-Daman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

Kab Tak Rahe Mahkumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
Ya Main Nahi Ya Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

Bijli Hun Nazar Koh O Bayaban Pe Hai Meri;
Mere Liye Shayaan Khas O Khaashak Nahi Hai;

Aalam Hai Faqat Momin-e-Janbaz Kee Meeras;
Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulak Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Door Ho To Pyaar Ka Mausam Na Aayega;
Ab Ke Baras Bahaar Ka Mausam Na Aayega;

Chumunga Kis Kee Zulf Ghataon Ko Dekh Kar;
Ik Jurm-e-Khush-Gawar Ka Mausam Na Aayega;

Chalake Sharab Barq Gire Ya Jalein Charag;
Zikr-e-Nigah-e-Yaar Ka Mausam Na Aayega;

Vaada-Khilafiyon Ko Taras Jayega Yakeen;
Raaton Ko Intezar Ka Mausam Na Aayega;

Tujh Se Bichhad Ke Zindagi Ho Jayegi Taveel;
Ehasas Ke Nikhar Ka Mausam Na Aayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Vasl Kee Banti Hain In Baaton Se Tadbeerein Kahin;
Aarzuon Se Phira Karti Hain Taqdeerein Kahin;

Bezubani Tarjumane-Shauq-e-Behad Ho Na Ho;
Varna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hain Taqreerein Kahin;

Mit Rahi Hain Dil Se Yaadein Rozagar-e-Aish Kee;
Ab Nazar Kaahe Ko Aayengi Ye Tasveerein Kahin;

Iltifaat-e-Yaar Tha Ik Khwab-w-Aagaz-e-Wafa;
Sach Hua Karti Hain In Khwabon Kee Tabeerein Kahin;

Teri Besabri Hai 'Hasrat' Khaamkari Kee Daleel;
Giriya-e-Ushaq Mein Hoti Hain Taseerein Kahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch;
Har Waqt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch;

Hota Hai Yun Bhi Rasta Khulta Nahi Kahin;
Jungle Sa Phail Jata Hai Khoya Hua Sa Kuch;

Sahil Kee Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa;
Har Lamha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Sa Kuch;

Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah;
Har Shay Se Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch;

Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabar Ka Diya;
Aur Mere Aas-Paas Chamakta Hua Sa Kuch!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehak Utha Hai Aangan Is Khabar Se;
Wo Khushbu Laut Aayi Hai Safar Se;

Judai Ne Use Dekha Sar-e-Baam;
Dareech Par Shafaq Ke Rang Barse;

Main Is Deewar Par Chadh To Geya Tha;
Utare Kaun Ab Deewar Par Se;

Gila Hai Ek Gali Se Shehar-e-Dil Kee;
Main Ladta Phir Raha Hun Shehar Bhar Se;

Use Dekhe Zamane Bhar Ka Ye Chaand;
Hamari Chandni Chaye To Tarse;

Mere Maanan Guzra Kar Meri Jaan;
Kabhi Tu Khud Bhi Apni Rehguzar Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahi Nahi Koi Toofan Meri Talash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Jaana Meri Talash Mein Hai;

Visal-Rutt Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitara-e-Shab-e-Hijran Meri Talash Mein Hai;

Main Fainsle Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar;
Kisi Ka Deeda-e-Hairan Meri Talash Mein Hai;

Ye Be-Yaqeen See Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ek Qarya-e-Veeran Meri Talash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ek Kahani Hun;
Mui Charaag Saar Unvan Meri Talash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwab Tha Dhdaka Sa Lag Geya Dil Ko;
Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talash Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Sheher Teri Soch Se Nikal Jaungi;
Kisi Udaas Sham Mein Dhal Jaungi;

Tu Jo Mukar Geya Hai Har Baat Se Apni;
Dekh Lena Ek Din Main Bhi Badal Jaungi;

Mat Dikha Mujh Ko Apna Ye Masoom Chehra;
Jab Ki Tu Janta Hai Main Pighal Jaungi;

Chahe Laakh Tadpun Tere Intezar Mein;
Mat Lout Ke Aana Main Sambhal Jaungi;

Tera Hona Itna Zaroori To Nahi Hai;
Main To Yaadon Ke Khilauno Se Behel Jaungi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Aarazi Ujale Bachaye Hue Hain Log;
Mutthi Mein Juganuon Ko Chupaye Hue Hain Log;

Us Shakhs Ko To Qatal Hue Der Ho Gayi;
Ab Kis Liye Ye Bheed Lagaye Hue Hain Log;

Barason Purane Dard Na Athkheliyan Karen;
Ab To Naye Ghamon Ke Sataye Hue Hain Log;

Aankhein Ujad Chuki Hain Magar Rang Rang Ke;
Khwabon Kee Ab Bhi Fasal Lagaye Hue Hain Log;

Kya Reh Geya Hai Shehar Mein Khandaraat Ke Siva;
Kya Dekhne Ko Ab Yahan Aaye Hue Hain Log;

Kuch Din Se Be-Dimagi-e-'Azahar' Hai Rang Par;
Basti Mein Us Ko 'Meer' Banaye Hue Hain Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho;
Hum Na Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Ye Kinaron Se Khelne Wale;
Doob Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Banda Parwar Jo Hum Pe Guzari Hai;
Hum Batayein To Kya Tamasha Ho;

Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Par;
Muskurayein To Kya Tamasha Ho;

Teri Soorat Jo Itefaaq Se Hum;
Bhool Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Waqt Kee Chand Satein 'Saghar';
Laut Aayein To Kya Tamasha Ho!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haath Khaali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;

Ab To Har Haath Ka Pathar Humnein Pahunchta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate;

Ab Ke Mayus Hua Yaaron Ko Rukhsat Karke;
Ja Rahe The To Koi Zakham Lagate Jaate;

Reengne Kee Bhi Izazat Nahi Hum Ko Warna;
Hum Jidhar Jaate Naye Phool Khilate Jaate;

Main To Jalte Hue Sehraon Ka Ek Pathar Tha;
Tum To Dariya The Meri Pyaas Bujhate Jaate;

Hum Se Pehle Bhi Musafir Kayi Guzre Honge;
Kam Se Kam Raah Ke Pathar To Hatate Jaate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai;
Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai;

Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj;
Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai;

Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko;
To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai;

Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar;
Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rukne Ka Samay Guzar Geya Hai;
Jana Tera Ab Thehar Geya Hai;

Rukhsat Kee Ghadi Khadi Hai Sar Par;
Dil Koi Do-Neem Kar Geya Hai;

Maatam Kee Fazaa Hai Shehar-e-Dil Mein;
Mujh Mein Koi Shakhs Mar Geya Hai;

Bujhne Ko Hai Phir Se Chashm-e-Nargis;
Phir Khwaab-e-Sabaa Bikhar Geya Hai;

Bas Ek Nigaah Kee Thi Us Ne;
Saraa Chehra Nikhar Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;


Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya;
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya;

Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai;
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya;

Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila;
Manzil-e-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya;

Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagari;
Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya;
Jab Hua Zikar Zamane Mein Mohabbat Ka "Shakeel";

Mujh Ko Apne Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wahi Aankhon Mein Aur Aankhon Se Poshidaa Bhi Rehta Hai;
Meri Yaadon Mein Ek Bhula Hua Chehra Bhi Rehta Hai;

Jab Us Kee Sard-Mehari Dekhta Hun Bujhne Lagta Hun;
Mujhe Apni Adakari Ka Andaza Bhi Rehta Hai;

Main Un Se Bhi Mila Karta Hun Jin Se Dil Nahi Milta;
Magar Khud Se Bichhad Jane Ka Andesha Bhi Rehta Hai;

Jo Mumkin Ho To Pur-Asraar Duniyaon Mein Dakhil Ho;
Ki Har Deewar Mein Ek Chor Darwaza Bhi Rehta Hai;

Bas Apni Be-Basi Kee Saatvi Manzil Mein Zinda Hun;
Yahan Par Aag Bhi Rehti Hai Aur Nauha Bhi Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun;
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun;

Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun;
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun;

Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;

Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;

Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main;
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun;

'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The;
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai;
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai;

Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho;
Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai;

Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den;
Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai;

Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye;
Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai;

Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par;
Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein;
Phir Us Ke Baad Musalsal Azab Aankhon Mein;

Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshan Tha Wujud;
Khatak Raha Hai Wahi Aftab Aankhon Mein;

Jinhe Mata-e-Dil-o-Jan Samajh Rahe The Hum;
Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein;

Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai;
Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

Meri Ghazal Teri Vahshaton Kee Khair Kee Hai;
Bahut Dino Se Bahut Iztarab Aankhon Mein;

Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai;
Ye Uljhane Teri Be-Intasab Aankhon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai;
Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai;
Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai;
Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai;

Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena;
Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai;

Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne;
Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai;

Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain;
Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai;

Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun;
Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni;
Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni;

Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga;
Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni;

Us Ki Talaash Mein Nikle, Apna Pata Bhool Gaye;
Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni;

Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir;
Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni;

Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi;
Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni;

Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas;
Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kis Ne Mujhko Sada Dee Bata Kaun Hai;
Ai Hawa Tere Ghar Mein Chhupa Kaun Hai;

Baarishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna;
Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai;

Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hun Magar;
Wo Paseene Mein Doobaa Hua Kaun Hai;

Aasmano Ko Humne Bataya Nahi;
Doobti Shaam Mein Doobta Kaun Hai;

Khushbun Mein Nahayi Hui Shaakh Par;
Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai;

Dil Ko Patthar Hue Ik Zamana Hua;
Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai;

Tum Bhi Mazboor Ho Hum Bhi Mazboor Hain;
Bewafa Kaun Hai Bawafa Kaun Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jee Uthe Hashar Mein

Jee Uthe Hashar Mein Phir Jee Se Guzarne Wale;
Yaan Bhi Paida Hue Phir Aap Pe Marne Wale;

Hai Udasi Shab-e-Matam Kee Suhani Kaisi;
Chaanv Mein Taaron Kee Nikale Hain Sanwarne Wale;

Hum To Samjhe The Ki Dushman Pe Uthaya Khanjar;
Tumne Jana Ki Humin Tum Pe Hain Marne Wale;

Sabr Kee Mere, Mujhe Daad Zara De Dena;
O Mere Hashar Ke Din Faisala Karne Wale;

Kya Maza Deti Hai Bijli Kee Chamak Mujhko 'Riyaz';
Mujhse Lipatate Hain, Mere Naam Se Darne Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Guzre Hue Taveel

Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi;
Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi;

Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb;
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi;

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash;
Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi;

Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai;
Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi;

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz;
Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kat Gayi Jhagde Mein Sari Raat Vasl-e-Yaar Kee;
Shaam Ko Bosa Liya Tha, Subah Tak Taqarar Kee;

⧪⧪Zindagi Mumkin Nahi Ab Aashiq-e-Beemar Kee;
Chhid Gayi Hain Barchiyan Dil Mein Nigah-e-Yaar Kee;

Hum Jo Kehte The Na Jana Bazm Mein Agayaar Kee;
Dekh Lo Neechi Nigahein Ho Gayi Sarkaar Kee;

Zehar Deta Hai To De, Zaalim Magar Taskeen Ko;
Is Mein Kuch To Chashni Ho Sharab-e-Deedaar Kee;

Baad Marne Ke Mili Jannat Khudaa Ka Shukr Hai;
Mujhko Dafnaya Rafeeqon Ne Gali Mein Yaar Kee;

Haal-e-'Akbar' Dekh Kar Bole Buri Hai Dosti;
Aise Rusvayi, Aise Rind, Aise Khudayi Khwaar Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Kuch Gehri Soch Mein Aise Doob Geya Hai;
Baithe Baithe Nadi Kinare Doob Geya Hai;

Aaj Kee Raat Na Jaane Kintni Lambi Hogi;
Aajka Suraj Shaam Se Pehle Doob Geya Hai;

Woh Jo Pyasa Lagta Tha Sailab-Zada Tha;
Paani Paani Kehte Kehte Doob Geya Hai;

Shor To Yun Utha Tha Jaise Ik Toofan Ho;
Sanaate Mein Jaane Kaise Doob Geya Hai;

Aakhiri Khawhish Poori Kar Ke Jeena Kaisa;
"Anees" Bhi Sahil Tak Aa Ke Doob Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Karo To Ye Bhi Socho Arz-e-Sawal Se Pehle;
Hijr Kee Poori Raat Aati Hai Subah-e-Visaal Se Pehle;

D⧫⧪il Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin;
Aankhein Pagal Ho Jati Hain Ek Khyaal Se Pehle;

Kis Ne Ret Udaai Shab Mein Aankhein Khol Ke Rakhi;
Koi Misaal To Hona Us Kee Misaal Se Pehle;

Kaar-e-Mohabbat Ek Safar Hai Is Mein Aa Jata Hai;
Ek Zavaal-Aasaar Sa Rasta Baab-e-Kamaal Se Pehle;

Ishq Mein Resham Jaise Vaadon Aur Khwabon Ka Rastaa;
Jitna Mumkin Ho Tay Kar Le Gard-e-Malal Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apni Pyari Aankhon Mein

Apni Pyari Aankhon Mein Chupa Lo Mujh Ko;
Mohabbat Tum Se Hai, Chura Lo Mujh Ko;

Dhup Ho Ya Sehra Tera Sath Chalenge Hum;
Yaqeen Na Ho To Aazma Lo Mujh Ko;

Tere Har Dukh Ko Seh Lenge Hans Ke Hum;
Apne Wazood Kee Chadar Bana Lo Mujh Ko;

Zindagi Bhi Tere Naam Kar Di Hai Humne;
Bas Chand Lamhe Seene Se Laga Lo Mujh Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aankh Se Aankh Milata Hai Koi;
Dil Ko Khinche Liye Jata Hai Koi;

Va-e-Hairat Ke Bhari Mehfil Mein;
Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi;

Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kaamil;
Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi;

⬉⬉Sab Karishmat-e-Tasavur Hai 'Shakeel';
Varna Aata Hai Na Jata Hai Koi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raat Apne Khwab Kee Keemat Ka Andaza Hua;
Ye Sitara Neend Kee Tehzeeb Se Paida Hua;

Zehan Kee Zarakhez Mitti Se Naye Chehre Uge;
Jo Meri Yaadon Mein Zinda Hai Saraseema Hua;

Meri Aankhon Mein Anokhe Zurm Kee Tazveez Thi;
Sirf Dekha Tha Use Us Ka Badan Maila Hua;

Wo Koi Khushbu Hai Meri Saans Mein Behti Hui;
Main Koi Aansu Hun Us Kee Rooh Mein Girta Hua;

Us Ke Milne Aur Bichad Jane Ka Manzar Ek Hai;
Kaun Itne Fansalon Mein Be-Hijaab Aisa Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar

Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak;
Ham Pade Tadpa Kiye Do-Do Pahar Do Din Talak;

Dard-e-Dil Apna Sunata Hun Kabhi Jo Ek Din;
Rehta Hai Us Naazneen Ko Dard-e-Sar Do Din Talak;

Dekhte Hain Khwab Mein Jis Din Kisoo Kee Chashm-e-Mast;
Rehte Hain Hum Do Jahaan Se Bekhabar Do Din Talak;

Gar Yaqeen Ho Ye Humein Aayega Tu Do Din Ke Baad;
To Jiyen Hum Aur Is Ummeed Par Do Din Talak;

⬉⬉Kya Sabab Kya Vaasta Kya Kaam Tha Batalaiye;
Ghar Se Jo Nikale Na Apne Tum "Zafar" Do Din Talak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhoop Ho Chhaaon Ho Tum Saath Nibhaaya Karna;
Mere Chehre Pe Sada Palkoon Ka Saaya Karna;

Raah Dekhungi Tumhaari Main Sar-e-Shaam Yunhi;
Kabhi Jaldi Kabhi Der Se Aaya Karna;

Daant Lena Sar-E-Mehfil Koi Baat Nahin;
Phir Akele Mein Gale Laga Kar Manaaya Karna;

Jaan Jaungi Mein Khushboo Se Tumhaari Tum Ko;
Tum Peeche Se Meri Aankhoon Ko Chupaaya Karna;

Jaagna Chahun To Raat Bhar Baatein Karna;
Neend Aa Jaaye To Mujhe Apne Seene Par Sulaaya Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~Usi Se Aaye Hain Aashob Aasman Wale;
Jise Gubaar Samajhate The Karavan Wale;

Main Apni Dhun Mein Yahan Aandhiyan Uthata Hun;
Magar Kahan Wo Maze Khaak-e-Aashiyan Wale;

Mujhe Diya Na Kabhi Mere Dushmano Ka Pata;
Mujhe Hawa Se Ladhate Rahe Jahan Wale;

Mere Saraab-e-Tamanna Pe Rashk Tha Jin Ko;
Bane Hain Aaj Wahi Bahar-e-Be-Karaan Wale;

Main Nala Hun Mujhe Apne Labon Se Door Na Rakh;
Mujhi Se Zinda Hai Tu Mere Jism-o-Jaan Wale;

Ye Musht-e-Khaak 'Zafar' Mera Pairahan Hi Tu Hai;
Mujhe Zameen Se Darayein Na Kehakashan Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude

Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Chaand Ko Kya Khabar;
Kitna Matam Hua ⬉⬉Kitne Aansu Bahe Chaand Ko Kya Khabar;

Muddaton Us Kee Khwahish Se Chalte Rahe Haath Aata Nahi;
Chaah Mein Us Kee Pairon Mein Hain Aabale Chaand Ko Kya Khabar;

Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakate Rahe Hain Musafir Kayi;
Aur Lutte Rahe Hain Kayi Kafile Chaand Ko Kya Khabar;

Us Ko Davaa Bahut Meethe-Pan Ka 'Wasi' Chandni Se Kaho;
Us Kee Kirano Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kya Khabar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

No comments :

Post a Comment