Hindi Ghazal SMS Shayari
- Ye gazlo ki duniya bhi ajib he,
- yaha aasuo ka b jaam banaya jata he.
- Keh bhi dete he agar dard-e-dastan,
- fir bhi vah-vah hi pukara jata he…
-
- ==================================
- Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile
- Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
- Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
- Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai
- Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai
- Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
- Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
- Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon
- Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon
- Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?
- Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
- Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi
- Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi
- Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai?
- Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
- Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
- Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai
- Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai?
- Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
- Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile
- Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
- Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
- ==================================
-
- Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye
- Tumarey Dil mai thori si jaga chahye
- Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey
- Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye
- Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain
- Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye
- Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA
- Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe
==================================
- Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe
- Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai
- Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me
- Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi…
- Beautiful Ghazal:Teer Chahiye Nahi..
- Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye
- Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye
- Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye
- Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye
- Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye
- Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye
- Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye
- Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye
- Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi
- Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye
- Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me
- Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye…
- Shayar:Aitebar Sajid
- Zindagi Maout Ki Amanath hai
- Zindagi ko sanbhal ke rakhiye
- ==================================
- Hame ek ajnabi achi lagne lagi,
- unki bathein dil ko chu ne lagi,
- dosti tho na thi par hone lagi,
- reply jab atha hai tho ek
- ajeeb se khusi mehsoos hone lagi.
- DOSTI tho na thee par hone lagi.
- sab dosti se payari ek
- Ajnabi ki dosti acchi lagne lagi..
- Ab ajnabi ka shayar kehna achha laga…
- Apne naam se zayada shayar sunna acha laga..
- Hum tho shayar hai bhad me
- Dost app ne SHAYAR kaha wo lafz acha lagaa…
- Humne tho apna naam zahir kardiya
- Sunne ki jo ho kwashih ap ka naam
- Wo ab apse keh diya..
- Dil ne b apni choti si jagah me
- Aap k naam kabza kar ne laga…
- Ek ajnabi dost hame call karega
- Ab barosa hone lagaa…
- Ab dil tho diwana hone laga….
- Dosti ek ajnabi se jo karne lagaa…
- Kayaal rakne ko kehthe hoo….
- Call tho karthe hoo,
- Magar mizaz puchna bhool jate ho
- Dost tho manthe hoo
- Magar dosti jatana bhool jathe hoo,
- Aye Qudha ye kaisa ajnabi dost ham ne paya hai…
- Kayaal rakne ko kehtha hai
- Magr baat karne ko darta hai…
- Hum b tho unke dost hai Phir kyun
- Ye yaad dilana padtha hai..
- Zindagi ka yehi tarana hai
- Gam uthana hai muskrana hai.
- Rop tera bada suhana hai
- Tujh pe qurban ye zaman hai.
- Kis qadar pyaar mera sachcha hai
- Aaj dil bar ko aazmana hai.
- Tujh ko paon ya tera hojaon
- Zindagi ka yehi fasana hai.
- Is tarah se na muskuraya karo
- Jaan lewa ye muskurana hai.
- Aarzi hai ye dunya aye lugon
- Har kisi ko yahan se jana hai.
- Arzoo hai yehi meri Danish
- Dust dushman ko bhi banana hai.
- ==================================
- Thaharo satao na itna sanam humko.
- Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko.
- Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao.
- Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho.
- Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko.
- Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge.
- Tarase the jo naina ab,nis din barasenge.
- Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko.
- Neha Shah
-
- ==================================
- Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi
- Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi
- Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir
- Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi
- Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera
- Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi
- Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein
- Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi
- Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari
- Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi
-
- ==================================
- Hawa ban kar bikharney se
- Usey kya farq parta hai
- Mere jeeney ya marney se
- Usey kya farq parta hai
- Usey to apni khushiyon se
- Zara bhi fursat nahi milti
- Mere gham ke ubharney se
- Usey kya farq parta hai
- us shaks ki yaadon mein
- Me chahe rotey raho lekin
- Tumhare aisa karney se
- Usey kya farq parta hai…
-
- ==================================
- Hai Haqiqat me wohi pyaar ko pane wale
- Apne mahboob ko palkon pe bitahne wale
- Dil ki wirani ko qushion se sajane wale
- Ishq ka rog jo qud ko hai lagane wale
- Zikr tera bhi wafa walon me hoga aye dost
- yaad me bewafa ke deep jalane wale
- tere qudmon me ye sara jahan huga ek din
- maa ke hunton pe tabassum ko sajane wale
- pyaar-o-ulfat wafa humdardi muhabbat ye sab
- kon hai duniya me ab in ko nibhane wale
- Nahi jina muze thak gayi hu
- Raah takte takte roz mar rahi hu
- Zalim kya rog laga gaya tu
- jakar bhi roz yaad aata he tu..
- ==================================
- Nazar bhar k dekha na kuch baat ki..
- To kyo aarzu ki mulakat…
- Ye rasman bhi koi nahi puchta…
- Kahan din guzara??
- Kahan raat ki………
- Pata ye chala vo to ha SANGDIL
- Use kadr kya mere JAZBAAT KI………..
- Tumhe pa k bhi hum akele rahe…………………..
- Ajab DURIYAN hain ye halaat ki……..,,
- Kasam hai na bulegi ”
- MALIKA” Kabhi
- Jo ghadiyan guzari tere sath ki………………….!!!!
- ==================================
- Kisay Pukaarein Hum Is Hujoom-e-Gham Mein
- Ke Sub Hi Hamaray Aazamaye Huey Hain
- Tum Hi Ne Hamein Kar Diya Tanha
- Warna Hum To Ta’alluq Nibhaey Huay Hain
- Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girtay
- Ke Hum Apna Gham Sub Se Chupaey Huay Hain
- Un Shaano Tak Ab Rasaai Na Rahi
- Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
- Hum Karein Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
- Ke Zamane Se Dhokay Khaaey Huay Hain
- Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Dar
- Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
- Ab Dast-e-Shanasai Na BaRhayein Gay Hum
- Ke Zamane Bhar Se Thukraye Huey Hain…
-
- ==================================
- Hi friends,
- There are few things which touches your heart.
- Zindagi sabhi ko mili ho ye zaroori to nahi
- aag gulshan mai baharen bhi laga sakti hai
- Sirf Bijli hi giri ho ye zaroori to nahi
- Neeend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
- Teri aahosh mai hi sar ho ye zaroori to nahi
- Gazlon ka hunar saki ko sikhayenge
- roange magar aansu nahi aayenge
- Keh dena samandar se, Hum Oas ke moti hai
- Dariya ke tarah tughse milne nahi Aayenge
- Aachi surat ko sawarne ki zaroorat kya hai
- Sadgi bhi to kayamet ke ada hoti hai
- ==================================
- Apna ghar, apna gaon, apne log
- inki keemat, toh, wo pardeshi jaante hain,
- Choot gayi rozi roti ki talaash me,
- Sarzami jinki darbadar ho,
- Banatey hai ghonsla kisi or saakh pe.
- Par kya itnaa aasaan hota hai,
- pardesh me ghar basaanaa.
- Takleef toh wo hi jaanta hai
- Choota hai jiska ghar gaon.
- khuda tujhe mai nahi maanta.
- Par fir bhi ek iltiza tujhse
- Sab ko de roti apne hi gaon me .
- Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
- Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne
- Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
- Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?
- Zakham iskadar mohabbat ne diye
- Hum ne in zakhmo ko phool samjha
- Mohabbat ki chik o pukaar iskadar thi
- Ke ass pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne
- Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
- Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne
- Dewaana iskadar mohabbat ne bannaya humko
- Ke apno ko begana samjha hum ne
- Mohabbat ki yaadein dil par kuch you naksh kar Gaye.
- Ke on ko bhulane ki khoshish main
- Khod ko bhula diya hum ne..
-
- ==================================
- Kaash hum tum ajnabi hote,
- Jis tarhan log hua karte hein…
- Be taAlluq sey, be taArruff sey.
- Kaash hum tum ajnabi hote!
- Be qaraari na be kali hoti,
- Na mukammal, na Zindagi hoti…
- Yun na hoti azyatein Dil mein.
- Zindagi bhi na hoti mushkil mein!
- Aansu’on se na dosti karte,
- Apne Dil se na dushmani karte…
- Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,
- Kaash hum tum ajnabi hote…!!!
- ==================================
- Yahoo Ki Wo Mulakatein
- Wo Pyar Bhari Batein
- Wo Loging Hony Ka Intzaar
- Wo Intzaar Ki Saaetein
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Wo Farzi Naam Ka Btana
- Haha Likh Ker Jhoota Qehqaha Lagana
- Wo Asl Poochny Par
- Apni Umar Ko Aor Kam Btana
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Wo Pyar Bhari Tehreerien
- Wo Yahoo Ki Emotion Tasweerein
- Wo Nick Mein Haal-E-Dil Likhna
- Wo Net Ko Fast Karny Ki Tadbeerien
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Wo Typing Se Unglion Mein Dard Hona
- Kisi Baat Per Gusay Se Chehry Ka Zard Hona
- Lafz Sorry Ka Screen Par Atay Hi
- Lehjay Ka Phir Se Sard Hona
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Wo Jaagna Roz Raton Mein
- Wo Chalakna Pyar Baton Mein
- Wo Type Karty Karty
- Lena Mouse Hathon Mein
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Wo Yahoo Pe Doosron Ko Ignore Karna
- Har Jumley Par Bohat Ghor Karna
- Wo Dil Per Hath Rakh Kar Bye Kehna
- Aor Zara Der Aor Rukny Per Zor Karna
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Tumhary Lo!gin Hotay Hi
- Dostoon Ka Wo Jhumgutha Lag Jana
- Tum Se Bat Karny Ki Khatir
- Sir Dard Ka Wo Jhoota Bahana
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Bewaja Ki Batoon Per Takraar Karna
- Baar Baar Net !Meeting Per Israar Karna
- Wo Roman Urdu Mein Ki Gayi Batein
- Pyar Ka Dabay Lafzon Mein Izhar Karna
- Kaho Kya Bhool Jao Ge?
- Wo Doston Se Tumhara Id Chupana
- Kabhi Font Badalna Kabhi Gungunanaa
- Der Se Jawab Anay Per
- Busy Hony Ka Ilzam Lagana
- Per Lagta H!ai Tum Bhool Gaye��
- Yahoo K Aanchal Per Likhi Hoyi Kahani
- Per Mujh Ko Yad Hai Har Ik Lafz Zubani
- Khudara Na Tum Aisa Sitam Karo
-
- ==================================
- JAb Kabhi Dekhu Haath kii Hatheliyo Ko
- Toh Kha!ali Yeh Nazar Aati Hai….
- Suni Suni See Lakiro Per….
- Kismat Sunati Apni Kahani Hai..
- Poochhti hai Fasana Mujhe See hii……
- Meri Tenha Zindgani Kaa…..
- Hotho S!ey Toh Has Deyta Hu….
- Per Aankhey Such Bahati Hai…….
- Kabhi Yu heee nikal padta hu..
- Tanhaahiyo Key Saath Apni..
- Or Saath Hii Khamoshiyaa Bhii
- Perchhaaiyo Mey Nazar Aati Hai..
- Her Pal BeyBus Hai….
- Entzaar Mey Jiskey….
- Woh Toh Ab Tak …Anjaan ;Hii Hai..
- Kii Entzaar Mey Kisi Key..
- Jaan Aaj Bhii Kisi Kii Jaati Hai…
- Umeedo Sey Naata Toh Bahut
- Pehley Hii Chhut Chuka Thaa…
- Dhuli Dhoop Mey Dekhta Thaa
- Jo Chehra !Kabhi ……….
- Ab Toh Sapne Mey Maayushi Hiii Nazar Aati Hai….
- Sunoo…
- Hum t!oot jain gay…
- k dori seh na pain gay
- JUDAI MAR DALAY GI
- Sunoo….
- Ya ankhain bojhal hain
- Inhain kis tarha behlain
- Sunoo….
- Hum so na pain gay
- Kabhi khush ho na pain gay
- JUDAI MAR DALAY GI
- Sunoo….
- Ya DIL tumhara hay
- Na tum! bin ab guzara hay
- Sunoo….
- Kuch wakt do hum koBana lain dost is gham ko
- Hamain maloom hay akhir
- JUDAI MAR DALAY GI
- Suntay! ho na?
- Samujhtay ho na?
- JUDAI MAR DALAY GI
-
- ==================================
- Unko humse muhabbat hone to do,
- Phoolon ko tohfa hum denge.
- Khwaab aankhoo ko koi sanjone to do,
- Phoolo ko tohfa hum denge
- Hai dil main tamanna ye baki abhi,
- Ke humpe kabhi wo karange karam.
- In saanso pe !hai bas ikhtiyaar unka
- Bas uski hi khatir hum lete hain dum.
- Unki nazar!e inayat hone to do,
- Phoolo ko tohfa hum denge.
- Naaz hai humko mahboob pe apne,
- Koi bhi janha mai us jaisa nahi hai.
- Hotho se pila kar jo madhosh kar de,
- Aankhon m!ein uski wo maykashi hai.
- Jawan mohabbat ka daraft hone to do,
- Phoolo ko tohfa hum denge.
- Khuda ka hua humpe karam dosto,
- Aisa dilnashi jo haasil hua.
- Khuda ne! banaya usko mere liye,
- Wo to bandgi ke kaabil hua.
- Buland apni kismet hone to do,
- Phoolo ko tohfa hum denge.
-
- ==================================
- Is Zamane! Say Na Hum Koi Gila Rakhange
- Dil Lagayein Gain To Na
- Shart-E-Wafa Rakhange
- Na Dikhayange Kabhi Dil Pe Lage Zakhm
- Unhe
- Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhange
- !
- Jaan De
- Daingay Agar Aik Ishaara Kar De
- Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhange
- Sab Hata Dainge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
- Ghar Ke
- Darwaza!y Ko Har Waqt Khula Rakhainge
- Unki Har Baat K!o Bhoolay Say
- Na Bhoolainge Kabhi
- Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhainge
- Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
- Ek Diya P!hir Bhi
- Hawaaon Main Jala Rakhainge
- cheers…….!
- ==================================
- ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut
- in dinon Khud se bichhar jaane kaa dharakaa hai bahut
- raat ho din ho Gafalat ho ki bedaarii ho
- usko dekhaa to n!ahiin hai use sochaa hai bahut
- tashnagii ke bhii muqaamaat hain kyaa kyaa yaanii
- kabhii dariyaa nahiin kaafii, kabhii qatraa hai bahut
- mere haathon kii lakiiron ke izaafe hain gavaah
- main ne patthar kii !tar!ah Khud ko taraashaa hai bahut
-
- ==================================
- terii Khushbuu! kaa pataa kartii hai
- mujh pe ehasaan havaa kartii hai
- shab kii tanh!aa_ii me.n ab to aksar
- guftaguu tujh se rahaa kartii hai
- dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n
- jo mujhe tujh se j!udaa kartii hai
- zindagii merii thii lekin ab to
- tere kahane me.n rahaa kartii hai
- us ne dekhaa !hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
- dil kaa ehavaal kahaa kartii hai
- beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
- ret par naam likhaa kartii hai
- shaam parte hii ki!sii shaKhs kii yaad
- koochaa-e-jaaN mein sadaa kartii hai
- mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
- haal jo teraa !ana??? kartii hai
- dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
- baat kuchh aur huaa kartii hai
- abr barase to inaayat us kii
- shaaKh to s!irf duaa kartii hai
- masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
- faisalaa sirf havaa kartii hai
- ==============================
- Machar aur Makhiki ho gayi shadi.
- Pehli h!i raat se ho gayi machar ki barbadi,
- kehta hai ki meri kismat hi khoti hai,
- makhi raat ko goodnight lagake soti hai.
- What a Women Want
- 6″-6.2″ jis ki height ho,
- jeans dheeli magar body tight ho.
- biwi ka har nakhra uthaye,
- itna mizaaj us ka light ho.
- HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO……..
- uff tak na kare itna quite ho,
- dinner banaye wo jab bhi romantic night ho.
- shopping ker k jab bhi aaoon,
- bolay,”tum kitni nice ho”.
- HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO…….
- hamesha jo haar maan jaye,
- jab bhi ka!bhi fight ho.
- saas sasur se agar karoon koi baat,
- bole begum tum hi bus right ho.
- HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO…….
- Arz Kiya Hai….
- Na woh inkaar karti hai
- Na woh i!nkaar karti hai
- KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
- Mere dost se pyaar karti hai.
- Jab Jab gire Baadal, Teri Yaad aayi
- Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi
- Bheega main,lekin phir bhi teri Yaad aayi
- Kyon na aaye teri yaad?
- Tune jo chatri ab tak nahi lautai…
- Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
- Lal diwar par c!hune se likha tha ghalib ne
- Yahan likhna mana hai.
- Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
- Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
- Wo to hamare ho na sake,
- Hum kutton ke sardar ho gaye…
- Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
- to hum mad!hosh ho gaye,
- Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
- to hum behosh ho gaye…
- Arz kiya hai, Door se dekha to santra tha, pass jake
- dekha to santra tha,
- cheel ke dekha to bhi santra tha, Khake dekha to bhi
- santra tha.
- Wah kya santra tha
- Macchar ne jo kata… dil main mere junoon tha.
- Khujli hui itni… dil be sukoon tha.
- Pakada to chod diya yeh soch kar ki….
- sale ki ragon main apna hi khoon tha!
- Khuda kare tera mobile kho jaye.
- Mile mujhe aur mera ho jaye.
- Karu SMS ladkion ko naam tera aae.
- Maar tujhe pade
- Aur kalejamera thanda ho jae.
- Jab Jab tum angda!i lete ho dam hamara nikal jata hai.
- Aye Jalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?
- unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
- unkigali se guzar rahe !the kya ittefaq tha,
- unhoon ne phool phainka par gamla bhi saath tha !
-
- ==============================
- Zaroori Kaam h!ai lekin Rozana Bhul jata hun
- Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hun
- Teri Galion Mein Phirna itna ahca Lagta hai
- Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hun
- Bas itni baat per main Logon ko ahca nahi lagta
- Mein neki kar tu deta! hun Jatana Bhul jata hun
- Shararat le ke Ankhon main wo Tera Dekhna touba
- Mein Nazron pe jami Nazrein jhukana Bhul jata hun
- Mohabat kab hui Kesay hui sub yad hai mujh ko
- Mein kar k Mohabat ko B!hulana Bhul jata hun.
-
- ==============================
- Apna keh ker ab kis ko pukaroon gi mai…
- Apna keh ker ab kis ko pukaaroon gi main
- Yai zindagi hai katthin,issey kis terha guzaroon gi main
- Koi miley sachchaham!derd or maseeha jo mujhey
- Baakhuda hoasla, phir na kabhi haroon gi main
- Meri zindaagi kai hain bas chund roz hi baaqi
- Phir ab! in!hain kis kai liyai sanwaa!on gi main
- Mujhey Apni jaan piyaari nahi hai phir bhi
- Yai qeemti shay hai, issey kis pai waroon gi main
- Mah ko koi tujh sa nazer nahi aata
- Yai bataa! terey badley kisko pukaroon gi main.
No comments :
Post a Comment