Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ghazal Shayari new2017

Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ko Samoyein Kaise;
Ab Tujhe Paa Ke Yeh Uljhan Hai Ke Khoyein Kaise;

Zehen Chhalni Jo Kiya Hai, To Yeh Majboori Hai;
Jitne Kaante Hain, Woh Talwon Mein Piroyein Kaise;

Hum Ne Maana Ki Bahut Dair Hai Hashar Aaney Tak;
Chaar Janib Teri Aahat Ho To Soyein Kaise;

Kitni Hasrat Thi, Tujhe Pass Bitha Kar Rote;
Ab Yeh Mushkil Hai, Tere Samne Royein Kaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasana Kya;
Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;

Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak;
Baam-E-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya;

Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko;
Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;

Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
Mehmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Aaj Zara Fursat Paayi Thi Aaj Use Phir Yaad Kiya;
Band Gali Ke Aakhiri Ghar Ko Khol Ke Phir Aabad kiya;

Khol Ke Khidkii Chand Hansa Phir Chand Ne Dono Hathon Se;
Rang Udaye Phool Khilaye Chidiyon Ko Aazad Kiya;

Bade Bade GHam Khade Hue The Raasta Roke Raahon Mein;
Choti Choti Khushiyon Se Hi Hum Ne Dil Ko Shaad Kiya;

Baat Bahut Mamuli Si Thi Uljh Gayi Takraron Mein;
Ek Zara Si Zidd Ne Aakhir Dono Ko Barbaad Kiya;

Danaon Ki Baat Na Maani Kaam Aayi Nadaani Hi;
Suna Hawa Ko Padha Nadi Ko Mausam Ko Ustad Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;

Bichartey Waqt Jo Tum Saunp Kar Gaye The Mujhe;
Woh Intezar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;

Tu Khud Hee Jaanay Kahin Door Kho Geya Hai Magar;
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;

Main Jab Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga;
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;

Main Ab Bhi Girte Hue Paanion Ki Qaid Mein Hun;
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;

Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaise Kare;
Ki Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab-e-Khud-Aagahi;
Khulte Hain Ghulamon Par Asaraar-e-Shahanshahi;

'Attaar' Ho 'Rumi' Ho 'Raazi' Ho 'Ghazaali' Ho;
Kuch Haath Nahin Aataa Be-Aah-Sahar-Gaahi;

Naumeed Na Ho In Se Ai Rah-Bar-e-Farzaana;
Kam-Kosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi;

Ai Tayar-e-Lahooti Us Rizq Se Maut Achhhi;
Jis Rizq Se Aati Ho Parvaaz Mein Kotahi;

Daara o Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aulaa;
Ho Jiski Faqeeri Mein Boo-e-Asadool-Laahi;

Aaeen-e-Jawan Mardaan Haq-Goyi o Be-Baaki;
Allaah Ke Sheron Ko Aati Nahin Roobahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhaare Khat;
Aur Mil Gayi Khushi To Uchhaale Tumhaare Khat;

Sab Chudiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Di;
Aur Kar Diye Hawa Ke Havale Tumhare Khat;

Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
Maine Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;

Yun To Hain Be-Shumar Wafaa Kee Nishaniyan;
Lekin Har Ek Shai Se Nirale Tumhare Khat;

Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Garib Ka;
Kuch Is Tarah Se Maine Sambhale Tumhare Khat;

Ahl-e-Hunar Ko Mujh Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
Maine Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;

Parwah Mujhe Nahin Hai Kisi Chand Ki 'Wasi';
Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujale Tumhare Khat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chedne Ka To Mazaa Tab Hai Kaho Aur Suno;
Baat Mein Tum To Khafaa Ho Gaye, Lo Aur Suno;

Tum Kahoge Jise Kuchh, Kyun Na Kahega Tum Ko;
Chhod Devegaa Bhalaa, Dekh To Lo, Aur Suno;

Yahi Insaaf Hai Kuchh Socho To Apne Dil Mein;
Tum To Sau Keh Lo, Meri Ek Na Suno Aur Suno;

Aafareen Tum Pe Yahi Chahiye Shabash Tumhein;
Dekh Rota Mujhe Yun Hansne Lago Aur Suno;

Baat Meri Nahin Sunte Jo Akele Mil Kar;
Aise Hi Dhang Se Sunaun Ki Suno Aur Suno!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-e-Gam Guzaar Ke;

Veeraan Hai Maikada Khum o Sagar Udaas Hain;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Hum Ne Haunsle Parwardigaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Baigana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gam Rozgaar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Woh Aaj 'Faiz';
Mat Puch Valvale Dil-e-Naa-Karda-Kaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aa Jayen Hum Nazar To Koi Dum Bahut Hai Yan;
Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan;

Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Humein Nahin;
Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan;

Hum Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke;
Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan;

Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dehar Mein;
Uth Aasman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan;

Mere Hilak Karne Ka Gum Hai Bas Tumhein;
Tum Shad Zindagani Karo Gum Bahut Hai Yan;

Shayad Ke Kam Subh Tak Apna Khinchena 'Mir';
Ahawal Aaj Sham Se Darham Bahut Hai Yan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumne To Keh Diya Ki Mohabbat Nahi Mili;
Mujhko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili;

Neendo Ke Des Jaate, Koi Khawab Dekhte;
Lekin Diya Jalane Se Fusat Nahi Mili;

Tujhko To Khair Shahar Ke Logo Ka Khauf Tha;
Aur Mujhko Apne Ghar Se Ijajat Nahi Mili;

Phir Ikhtilaf-e-Rai Ki Surat Nikal Padi;
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili;

Be-zar Yun Hue Ki Tere Ahad Mein Humein;
Sab Kuch Mila, Sukun Kee Daulat Nahi Mili!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khawab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai;
Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Ji Chahta Hai;

Ghar Ki Wehshat Se Larzta Hun Magar Jaane Kyon;
Sham Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chahta Hai;

Doob Jaun To Koi Mauj Nishan Tak Na Bataye;
Aisi Nadi Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai;

Kabhi Mil Jaye To Raaste Kee Thakan Jag Pare;
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chahta Hai;

Wahi Paiman Jo Kabhi Ji Ko Khush Aya Tha Bahut;
Usi Paiman Se Mukar Jaane Ko Ji Chahta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Na Woh Main Na Woh Tu Hai Na Woh Maazi Hai 'Faraz';
Nasha Badhta Hai Sharaabein Jo Sharaabon Mein Milein;

Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milein;
Kya Ajab Kal Woh Zamaane Nisaabon Mein Milein;

Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwabon Mein Milein;
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milein;

Tu Khudaa Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa;
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Milein;

Dhoondte Ho Logon Mein Wafaa Ke Moti;
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-Yaar Mein Shaamil Kar Lo;

Aaj Hum Dar Pe Khinchege Jin Baaton Par;
Dono Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Mein Milein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Hum;
Lekin Yeh Kya Ke Tera Sheher Chorr Jayen Hum;

Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayen Hum;

Be'noor Ho Chuki Hai Bohat Sheher Ki Fizaa;
Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum;

Us Ke Baghair Aaj Bohat Jee Udaas Hai;
Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hote Tak;
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hote Tak;

Kaun Jeetaa Hai Teri Zulf Ke Sar Hote Tak;
Dil Ka Kyaa Rang Karun Khoon-e-Jigar Hote Tak;

Dekhen Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hote Tak;
Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-e-Sharar Hote Tak;

Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Jooz Marg Ilaaj;
Hum Ne Maana Ki Tagaful Na Karoge Lekin;

Partav-e-Kur se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taalim;
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hote Tak;

Main Bhi Hun Ek Inaayat Ki Nazar Hote Tak;
Yak Nazar Besh Nahin Fursat-e-Hasti Gaafil!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zakham-e-Umeed Bhar Geya Kab Ka;
Qais To Apne Ghar Geya Kab Ka;

Ab To Munh Apna Mat Dikhaao Mujhe;
Naa-Siho Main Sudhar Geya Kab Ka;

Aap Ab Puchne Ko Aaye Hain;
Dil Meri Jaan Mar Geya Kab Ka;

Aap Ik Aur Neend Le Lijiye;
Kaafila Kooch Kar Geya Kab Ka;

Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam;
Main To Khud Se Mukar Geya Kab Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya;
Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya;

Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;

Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;

Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua;
Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya;

Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Dil O Nigah Pe Teri Rahe Fasoon Is Ka;
Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;

Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayad;
Ki Tera Ho To Geya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;

Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;

Zameen Kee Khaak To Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
Hamari Yaad Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Us Ka;

Dil-e-Tabaah Kee Dhadkan Bata Rahi Hai Raza;
Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Us Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kasam De Ke Apni Tujhe Rok Lega;
Teri Laghzishon Pe Tujhe Tok Dega;
Tu Murr Murr Ke Peeche Kise Dekhta Hai;
Tera Kaun Hai Jo Tujhe Rok Lega!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye;
Gam Se Jalte Chehre Ko Roshni Na Samjha Jaye;

Gaha Gaha Wahshat Mein Ghar Ki Simt Jata Hun;
Isko Dasht-e-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye;

Lakh Khushguman Duniya Bahimi Talluq Ko;
Dosti Kahein Lekin Dosti Na Samjha Jaye;

Hum To Bas Ye Kehte Hain Roz Jine Marne Ko;
Ap Chahein Kuch Samjhein Zindagi Na Samjha Jaye;

Khak Karne Walon Ki Kya Ajeeb Khwahish Thi;
Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tujhse Bicharr Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;
Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh;

Shaam Hai Gehri, Tez Hawaa Hai, Sar Pe Khari Hai Raat;
Rasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh;

Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap;
Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein, Paas Bula Kar Dekh;

Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan;
Kamre Ki Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh;

Tu Bhi Munir Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh;
Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Jaa Kar Dekh!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tujh Se Gile Karun Tujhe Janaan Manaun Main;
Ik Bar Apne Aap Mein Aao To Aaun Main;

Dil Se Sitam Kee Be'saro Kaari Hawaa Ko Hai;
Woh Gard Udaa Rahi Hai Ki Khud Ko Ganwaun Main;

Naadim Hun Woh Ki Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin;
Woh Kam Hain Ki Apni Judai Kamaaun Main;
Kyon'kar Ho Apne Khawab Kee Aankhon Mein Wapsi;

Kis Taur Apne Dil Ke Zamamun Mein Jaun Main;
Ik Rang Si Kamaan Ho Khushbu Sa Ik Teer;
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaun Main;

Shikwa Sa Ek Dareecha Ho, Nasha Sa Ek Sakoot;
Ho Shaam Ek Sharab Si Aur Larr'khraon Main;

Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil;
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayein Hum;
Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chorr Jayein Hum;

Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayein Hum;

Be'noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Kee Fizaa;
Tareek Raaston Par Kahin Kho Na Jayein Hum;

Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
Jaalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Kar Layein Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga;
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga;

Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein;
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga;

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai;
Raasta Kat Bhee Gaya To Fansla Reh Jaaye Ga;

Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Aud Kar;
Chaand Soone Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga;

Jo Kabhi Us Ne Parheen Theen Mujh Se 'Nasir' Maang Kar;
Naam Mera Unn Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aage Bare Na Qissa-e-Ishq-e-Butan Se Hum;
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Hum;

Ab Bhaagte Hain Saya-e-Ishq-e-Butan Se Hum;
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Aasman Se Hum;

Hanste Hain Us Ke Giriya-e-Beikhtiyar Par;
Bhule Hain Baat Keh Kar Koi Razadan Se Hum;

Ab Shauq Se Bigar Kar Batein Kiya Karo;
Kuch Pa Gaye Hain Aap Kee Tarz-e-Bayan Se Hum;

Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-e-Teg-e-Ishq;
Badlenge Tujhko Zindagi-e-Jawidan Se Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil O Nigah Pe Taari Rahe Fasoon Iska;
Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Uska;

Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
Ke Tera Ho To Geya Hoon Magar Mein Hoon Uska;

Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Uska;

Zameen Ki Khaak To Kab Ki Urraa Chuke Hain Hum;
Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Uska;

Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Uska!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi;
Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do;

Main Safaayi Koi Doon Ga Na Wazaahat Dunga;
Tum Ko Wapis Main Tumhari Yeh Amaanat Dunga;

Phir Kabhi Tumse Na Milne Kee Zamanat Dunga;
Bas Tumhein Tark-e-Marasim Pe Yeh Zehmat Dunga;

Tum Ho Bechain To Main Bhi Koi Masroor Nahin;
Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi;

Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Agar Yun Hi Ye Dil Satata Rahega;
To Ik Din Mera Jee Hi Jata Rahega;

Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore;
Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega;

Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun;
Main Pahunchunga Jab Tak Yeh Aata Rahega;

Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron;
Khabar Kal Kee Humko Sunata Rahega;

Khafa Ho Ki Ai Dard Mar To Chala Tu;
Kahan Tak Gham Apna Chupata Rahega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranjish Hi Sahi Dil Mein Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chor Jaane Ke Liye Aa;

Kuch To Mere Pand-e-Ray Mohabbat Ka Bharam Rakh;
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa;

Pehle Se Maraasam Na Sahi Phir Bhi Kabhi To Aa;
Rasmo Waar-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa;

Kis Kis Ko Batayein Ge Judaai Ka Sabab Hum;
Tu Mujh Se Khafa Hai Tu Zamane Ke Liye Aa;

Ab Tak Dil-e-Khush Faham Tujh Se Hain Umeedein;
Ye Aakhiri Shamma Bhi Bujhanay Ke Liye Aa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise;

Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si;
Dur Shehara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

Dar-o-Deewar Pe Chayi Hai Udasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Kee Lakion Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Doob Gaya Bhi To Marunga Na 'Kamal';
Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad;
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad;

Main Shikwa Ba Lab Tha, Mujhe Ye Bhi Na Raha Yaad;
Shayad Ki Mere Bhoolne Waale Ne Kiya Yaad;

Kya Jaaniye Kya Ho Geya Arbaab-e-Junoon Ko;
Jeene Kee Adaa Yaad Na Marne Kee Adaa Yaad;

Kya Lutf Ki Main Apna Pataa Aap Bataaun;
Kijiye Koi Bhooli Hui Khaas Apni Adaa Yaad;

Muddat Hui Ek Haadsa-e-Ishq Ko Lekin;
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dhadakane Kee Sadaa Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hun Main;
Lekin Yeh Sochta Hun Ki Ab Tera Kya Hun Main;

Main Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf;
Apne Badan Ki Kabr Mein, Kab Se Garrhaa Hun Main;

K↯↯is Kis Ka Naam Laaun Zubaan Par Ki Tere Saath;
Har Roz Ek Shaks Naya Dekhta Hun;

Kya Jaane Kis Adaa Se Liya Tune Mera Naam;
Duniya Samajh Rahi Hai, Ki Sab Kuch Tera Hun Main;

Le Mere Tajrubon Se Sabak, Aye Mere Raqeeb;
Do-Chaar Saal Umar Mein, Tujhse Barra Hun Main;

Jaaga Huwa Zameer Woh Aiyena Hai 'Qateel';
Sone Se Pehle Roz, Jise Dekhta Raha Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Hum Ko

Khuda Hum Ko Aisi Khudayi Na De;
Ki Apne Siwa Kuch Dikhayi Na De;

Khatawar Samjhey Gi Duniya Tujhe;
Ab Itni Zayada Safai Na De;

Hanso Aj Itna Ki Is Shor Me;
Sada Siskiyon Kee Sunayi Na De;

Ghulami Ko Barkat Samjhney Lagein;
Aseeron Ko Aisi Rihayi Na De;

Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai;
Rahe Sahmne Aur Dikhayi Na De;

Mujhe Aisi Jannat Nahi Chahiye;
Jahan Se Madina Dikhayi Na Dey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kahin Aah Ban Ke Lab Per Tera Naam Aa Na Jaye;
Tujhe Bewafa Kahoon Main, Woh Muqaam Aa Na Jaye;

Jise Sun Ke Toot Jaye Mera Aarzu Bhara Dil;
Tere Anjuman Se Mujh Ko Woh Peyaam Aa Na Jaye;

Woh Jo Manzilon Par Laa Kar Kisi Hamsafar Ko Lootein;
Unhi Rehzanon Mein Tera Kahin Naam Aa Na Jaye;

Isi Fikar Mein Hain Ghalat Yeh Nizaam Ke Bande;
Jo Tamaam Zindagi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
↮↮Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni;
Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni;

Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga;
Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni;

Us Ki Talaash Mein Nikle, Apna Pata Bhool Gaye;
Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni;

Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir;
Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni;

Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi;
Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni;

Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas;
Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Paikar Tha Wafa Ka, Mohabbat Ka Khuda Tha;
Woh Shakhs Zamane Mein Sab Se Hi Juda Tha;

Chahat Ke Khazane They Har Lafz Mein Us Ke;
Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhara Tha;

Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar;
Baba Mera Duniya Main Mujhe Aisa Jo Mila Tha;

Fikrein Na Zamane Ki Kabhi Paas Bhi Aayi;
Har Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha;

Jab Tak Raha Saanson Ka Basera Mere Baba;
Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha;

↰↰Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati;
Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Ranj Bhi Aise Uthaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane;
Tu Ne Dil Itne Sataaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Muskurate Hue Woh Mazmaa-e-Agyaar Ke Saath;
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayi Dono Aankhein;
Aise Jalwe Nazar Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaare Dushman;
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;

Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Kooche Se;
Is Tarah Kheench Ke Laaye Hain Ki Jee Jaanta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam;

Ham Ko Nahi Maloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaanay Ka Mausam;

Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam;

Aey Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham;
Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam;

↺↺Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam;

Chehre Pe Agar Hai Mere Subaah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⇉⇉Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasanaa Kyaa;
Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;

Jeena Saba Dhundti Hai Apni Musht-e-Khaak;
Baam-e-Buland Yaar Ka Hai Astana Kya;

Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko;
Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;

⇬⇬Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
⇾⇾Mehman Sara-e-Jism Ka Hoga Ravanaa Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

No comments :

Post a Comment