Yaado main kabhi shayari


  1. us ne poocha kon ho tum main nay kaha hasrat tumhari
  2. us ne kaha dekhtay kia ho main nay kaha soorat tumhari

  3. us ne kaha karte ho kia main nay kaha ibadat tumhari
  4. us ne kaha kafir ho kia main nay kaha ye hi sahi

  5. us ne kaha chahtey ho kia main nay kaha muhabbat tumhari
  6. us ne kaha pachtao gay main nay kaha qismat hamari

  7. Aap k ho ker bhi aap sey door rahey

  8. Tamaam umer zindagi sey door rahey,
  9. Apki khushi k liye apni khushi se door rahe.

  10. Ab is say barh ker wafa ki saza kya hogi,
  11. k aap k ho ker bhi aap sey door rahey...!!!

  12. Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai

  13. Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai,
  14. dil main bas ek Tamanna hi kafi hai,

  15. Tamanna hai ye ki aap sada kush raho ,
  16. hamen yaad rakhna ye ehsaan hi kafi hai.

  17. Maana waqt ney ki hai bewafai tujhse

  18. Wo laut aayega teri zindagi mein,
  19. jiska intzaar tujhe aaj bhi hai,

  20. maana waqt ney ki hai bewafai tujhse
  21. lekin meri duaon me asar aaj bhi hai

  22. aapki umar bhar ki dosti mangte hain

  23. Rab se aapki khushi mangte hain,
  24. duaon me aapki hansi mangte hain,

  25. sochte hain kya mangen aapse
  26. chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain

  27. Mere alfazon ko juth mat samajhna,

  28. Mere alfazon ko juth mat samajhna,
  29. yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,

  30. ji raha tha tumhare naam par,
  31. mar jau toh bewafa mat samajhna

  32. Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..

  33. Lamhey ye sunheri kal sath hon na hon,
  34. Kal mein aaj jaisi baat hon na hon,

  35. Yadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
  36. Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..


  37. Jub koi khayal dil say takrata hay,
  38. Dil na chah ker bhi khamosh reh jata hay,

  39. Koi sub keh ker pyar jatata hay, To,
  40. Koi kuch na keh ker bhi pyar nibhata hay

  41. Mohabbat bhi kia cheez hay yaroo

  42. Aansu aa jatay hain aankhon main,
  43. Per labon pay hansi lani parti hay,

  44. Yeh mohabbat bhi kia cheez hay yaroo,
  45. Jis sey kertay ho usi say chupani parti hay

  46. Uski yaad her pal aa jaati hay...

  47. Kion kisi ki khamoshi mujhey khamosh ker jati hay,
  48. Kion uski udasi mujhey udas ker jati hay,

  49. Kia rishta hay uska mera jo mujhey,
  50. Uski yaad her pal aa jaati hay...

  51. Zindagi Roz Nayyi Raah Dikhaati Kiun Hai...

  52. Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar
  53. Jane Hasrat Ki Shaam Aas Jalaati Kiun Hai

  54. Khatam Kar De Ye Safar Jab Koi Manzil Hi Nahi
  55. Zindagi Roz Nayyi Raah Dikhaati Kiun Hai...

  56. Aisa na ho k doriyan dard ban jayain

  57. Tumhari yadon ki mehak in hawaon main hay,
  58. Pyar hi pyar bikhra in fazaon main hay,

  59. Aisa na ho k doriyan dard ban jayain,
  60. Ab to aap k message ka intezar nigahon main hay..

  61. Maut tak vo nazara yaad rehta hai

  62. Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehta hai,
  63. har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,

  64. wo pal jo yaar ki bahon me guzarta hai,
  65. maut tak vo nazara yaad rehta hai

  66. Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay

  67. phool ban ker muskurana zindagi hay
  68. Musura k ghum bhulana zindagi hay,

  69. Mil ker log khush hotay hain to kia howa
  70. Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay

  71. Zindagi jee ker kia karain

  72. Lay k hum dosron ki hansi kia karain
  73. jo apni nahin woh khushi kia karain

  74. Tanha jeenay say behtar hay mar jayain hum,
  75. Jub saath tum nahin to zindagi jee ker kia karain



  76. Meray kum sakhan ka yeh hukum tha,
  77. K kalam us say mein kum keron
  78. Meray hont aisay silay
  79. k phir meri chup nay us ko rula dia


  80.  
  81. Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain

  82. Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain
  83. Hum aap ko apni manzil samajhtay hain,

  84. Bara farq hay aap k aur hamaray nazariye main
  85. aap humain sapna aur hum aap ko apna samajhtay hain

  86. Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai

  87. Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai,
  88. Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai,
  89. Tu bhaley hi bhula dey mujh ko,
  90. Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.

  91. Woh humein bhulane ki baat karte hai

  92. Woh humein bhulane ki baat karte hain,
  93. Zara pucho humein kitna Yaad karte hain,
  94. Chehre pe hasi ka dikhawa hain,
  95. Magar Tanhaii mein Aansuon se Fariyaad karte hain.

  96. Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai

  97. Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai,
  98. Khushi jise mile wohi Rota hai,
  99. Umar bhar saath nibha na sake jo,
  100. Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.

  101. Jiss din band ho gayi meri Aankhein

  102. Jiss din band ho gayi meri Aankhein,
  103. Kayi Aankhon se uss din aansu barseinge,
  104. Jo kehte hai bahut bolta hai,
  105. Kabhi wohi meri Aawaz sunne ko tarseinge.

  106. Dil majboor ho raha hay

  107. dil majboor ho raha hay tum se bat karnay ko,
  108. bus zid yeh hay k guftugu ka aghaaz tum karo.

  109. Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya

  110. Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya,
  111. Jis pe marta tha usne hi bhula diya,
  112. Mein bhi uski Yaad bhulane k liye peeta gaya,
  113. Ek din zalim ne us mein bhi Zeher mila diya.

No comments :

Post a Comment