Kabhi hasata hai shayari girlfriends


  1. Safaid saari par jab tum laalbindi lagati ho
  2. khuda ki kasam ambulance nazar aati ho

  3. farq sirf itna hai ke wo ghayal ko le jati hai
  4. or tum achay bhalay ko ghayal kar jati ho

  5. Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua

  6. Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua,
  7. Na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua,

  8. Jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan,
  9. Main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua.

  10. Dunya Jise Neend Kehti Hai...

  11. Dunya Jise Neend Kehti Hai...
  12. Jane Vo Kya Cheez Hoti Hai...

  13. Aankhain to Hum Bhi Bund Karte Hain....
  14. Par Vo Aapse Milne Ki Tarkeeb Hoti hai.......

  15. Dosti dil hay demagh nahi,

  16. Dosti dil hay demagh nahi,
  17. Dosti soch hai awaz nahi,

  18. Koi ankhon say nahin daikh sakta dosti ka rishta,
  19. Kion k, dosti ehsas hay andaaz nahi.

  20. Phool juda hai kanton se

  21. Phool juda hai kanton se,
  22. Khushbu se nahi,

  23. Hum juda hai unse,
  24. Magar dil se nahi.

  25. Kabhi kabhi in ankhon main nami si hoti hai

  26. Kabhi kabhi in ankhon main nami si hoti hai
  27. Kabhi kabhi in honto pe hansi si hoti hai

  28. Ae dost woh tum hi ho jis say
  29. Meri zindgi, zindgi si hoti hai

  30. Door na jaaya karo dil tarap jaata hai

  31. Door na jaaya karo dil tarap jaata hai
  32. Tere hi khayalon me din guzar jaata hai

  33. Aaj pucha hai dil ne ek sawal tumsey
  34. Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai?

  35. Din nikalta nahi or raat nahin hoti

  36. Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti,
  37. Din nikalta nahi or raat nahin hoti,

  38. Na khafa howa karay wo usay kehna,
  39. Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti



  40. Sahil per khare khare humne shaam kardi,
  41. Apna dil or duniya aap k naam kar di,

  42. Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi,
  43. Bina soche samjhe her khushi aap k nam kar di

  44. Sukhe phool wapas khila nahi sakte

  45. Beetay pal wapas la nahi sakte
  46. Sukhe phool wapas khila nahi sakte
  47. Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
  48. par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.

  49. Jane kis baat ki mujhko saza deta hai

  50. Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
  51. meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.

  52. Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
  53. koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.

  54. Na to yaado ko yaad rakhte hain

  55. Na to yaado ko yaad rakhte hain
  56. Na hi sapno ko saath rakhte hain

  57. Hum to buss unko yaad rakte hain
  58. Jo hamein dil ke pass rakhte hain

  59. Ishq ne hume Rula Diya

  60. Ishq ne hume Rula Diya
  61. Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya
  62. hum to unki yadon mein hi jee laitay,
  63. magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya

  64. Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain

  65. Lamhay judai k be qarar kertay hain,
  66. Halaat meray mujhey lachaar kertay hain,

  67. Aankhain meri parh lo kabhi,
  68. Hum khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain.

  69. Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga

  70. Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga
  71. Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga

  72. Na Ho Yaqeen To Jhaak Lena Apni Doli Se
  73. Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga


  74. Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi,
  75. Kaho gi aik baar k milo aa k kabhi,

  76. Na hoon gay door phir tum say is zindagi main,
  77. Khulra rakho tum dar apna, hum aatay hain abhi...

  78. Aap paas raho ya door

  79. Aap paas raho ya door,
  80. hum dil se dil ki aawaaz mila sakte hain,

  81. na khat k na telephone ke Mohtaajh hain hum,
  82. per aapke dil ko ek hichkii se hila sakte hain.

  83. Hum zindagi bher k liyay soo jayenge

  84. Suna hai wo keh kar gaye hai ke ab to hum,
  85. Sirf tumhare khuwaboon main hi aayenge,

  86. Koi keh day unse k wo wada kar lay,
  87. Hum Zindgi bher k liye soo jayenge.

  88. Bhulana tumhain na aasan ho ga

  89. Bhulana tumhain na aasan ho ga,
  90. Jo bhulay tumhain wo nadaan ho ga,

  91. Aap to bastay ho rooh main hamari,
  92. Bus aap hamain na bhulana yeh aap ka ahsan ho ga..

  93. Chaho To Dil Se Mujh Ko Mita Dena

  94. Chaho To Dil Se Mujh Ko Mita Dena
  95. Chaho To Mujh Ko Bhoola Dena
  96. Par Ye Waada Karo K
  97. Kabhi Meri Yaad Aaye
  98. Rona Mat Sirf Muskura Dena

  99. Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi

  100. Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi,
  101. par bewaqt he yaad karliya karo,

  102. mana aapke aspas sari duniya hai,
  103. kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo

  104. Chandni raat main jab sara jahan sota hai

  105. Chandni raat main jab sara jahan sota hai
  106. kisi ki yaad main koi badnaseeb rota hai

  107. Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi

  108. Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi,
  109. aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,

  110. aaj bhi rote hain unki yaad main,
  111. jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi


  112. Bhool jane ka hosla na hua,
  113. door rah kar bhi wo juda na hua,

  114. unse mil kar kisi aur se kya milte,
  115. koi dusra unke jaisa na hua

  116. Hum agar aapse mil nahi patay..

  117. Hum agar aapse mil nahi patay
  118. aisa nahin ke hamein aap yaad nahi aatay,

  119. mana jahan k sab rishte nibhaye nahi jatey,
  120. par jo bas jatey haib dil maib phir bhulae nahi jatey..

  121. Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta

  122. Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta,
  123. Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta,

  124. Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay,
  125. yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.

  126. Pyar ke ujalon main ghum ka andhaira hion aata hai

  127. Pyar ke ujalon main ghum ka andhaira hion aata hai,
  128. Jisko hum chahtey hain wohi kion rulata hay?

  129. Merey khuda agar wo mera naseeb nahi
  130. to aisay logon say phir mujhey kion milata hay?

  131. Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge

  132. Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge,
  133. kaun jane ke hum kidhar jayenge,
  134. hum apki parchayi hain yaad rakhna,
  135. jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge

  136. Log phoolon sey mohabbat kartey hain

  137. Log phoolon sey mohabbat kartey hain,
  138. kaaton ko kis ney yaad kiya,

  139. hum kaaton sey mohabbat kartey hain,
  140. kyun k phool ney hamain barbaad kiya

  141. Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai

  142. Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai,
  143. dil totay to armaan reh jaata hai,

  144. laga to deta hai waqt marham is dil par,
  145. phir bhi umar bhar ek zakhm reh jata hai

  146. Tujh sey dosti karne ka hisab na aya

  147. Tujh sey dosti karne ka hisab na aya,
  148. mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,

  149. hum to jagte rahe tere hi khayalon main,
  150. aur tujhey so kar bhi hamara khuwab na aya..


  151. Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
  152. hum hasayenge tumko gham se khushi tak,

  153. aye dost kabhi humse naraz na hona,
  154. saath rehna hamare akhiri dum tak

  155. Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain

  156. Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain,
  157. hum ghabraa kar ankhen jhuka laitay hain,

  158. kaun milaye unn ankhon se ankhen,
  159. suna hai wo ankho se apna bana laitay hain...!

  160. Nazroon se jab nazar ka takrar hota hain

  161. Nazroon se jab nazar ka takrar hota hai,
  162. har mod par kissi ka intezaar hota hai,

  163. dil rota hai zakham hastey hain,
  164. isi ka naam to pyaar hota hai...

  165. Dekho Meri Aankhon

  166. Dekho Meri Aankhon Mai Khawaab Kis k Hai,
  167. Dekho Mere Dil Mai Toofan Kis k Hai,
  168. Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raste Se Koi Nahi Guzra,
  169. To Phir Yeh Pairon Ke Nishan Kiske Hain..

  170. Jo bina dil walon se dil laga baithey

  171. Anjanay mein hum apna dil gawan baithey
  172. is pyar mein kaisa dhoka kar baithey

  173. unse kya gila karain bhool hamari hi hai
  174. jo bina dil walon se dil laga baithey

  175. Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye

  176. Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye
  177. k hum jise yaad karain usey khabar ho jaye
  178. rab se yahi dua hai meri k
  179. aap jise chahain woh aap ka humsafar ho jaye

  180. Jawani ke din chamkiley ho gaye

  181. Jawani ke din chamkiley ho gaye,
  182. husn ke taiwar nookilay ho gaye,

  183. hum izhar karney main thoray dhiley ho gaye,
  184. AUR UNKE HATH PEEL HO GAYE....

  185. Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..

  186. Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..
  187. Juda hona chaho to honey nahi denge��

  188. Chandni raton man aye gi meri yad��
  189. Meri yad k wo pal ap ko soney nahi denge

  190. Bikhri ankhon sey moti hum piro na sakey
  191. teri yaad me sari raat so na sakey

  192. beh na jayain ansuon me tasvir teri,
  193. ye soch kar hum ro na sakey

  194. Meray hissay ki her khushi tumhari ho gi

  195. Zamanay ki her jannat tumhari ho gi,
  196. Yeh aasman yeh zameen tumhari ho gi,

  197. Mujh say keh bhi na pao gay uskay pehlay,
  198. Meray hissay ki her khushi tumhari ho gi,

  199. Itni dosti naa karo k bigar jayain hum.

  200. Itni dosti naa karo k bigar jayain hum.
  201. thora danta bhi karo k sudhar jayain hum.

  202. ho jaye gar humse koi khata to ho jana khafa,
  203. magar itna bhi nahi k mar hi jayain hum.

  204. Har yadon me usi ki yad rehti hai.

  205. Har yadon me usi ki yad rehti hai.
  206. Meri ankhon ko usi ki talash rhti hai.

  207. kuch tum bhi dua karo yaro.
  208. Suna hai dosto ki dua me farishto ki fariyad hoti hai��

  209. 1 khuwab ,1 pyar ,1 haqiqat ho tum.

  210. 1 khuwab ,1 pyar ,1 haqiqat ho tum .
  211. Dosti me parnay wali har zaroorat ho tum.
  212. Jisko rooz itne SMS karnepade,
  213. woh musibat ho tum.

  214. KHUSHI se dil ko aabad karna

  215. KHUSHI se dil ko aabad karna
  216. GHAM ko dil se aazad karna

  217. Bas itni guzaarish hai aapse k
  218. ho sake to din mein ek baar yaad zaroor karna

  219. Pyase ko 1 qatra pani kafi hai

  220. Pyase ko 1 qatra pani kafi hai,
  221. ishq mein 4 pal ki zindgani kafi hai.

  222. Dubney ko samander mein jayain kahan,
  223. unki palkon sey tapka wo pani kaafi hai.


  224. Kabhi hasata hai pal,
  225. kabhi rulata hai pal,

  226. har pal ki yaad dilata hai yeh pal,
  227. chaho ya na chaho,
  228. par aapke hone ka ehsaas dilata hai yeh pal.

  229. Jab dil nay nazron ko dekha to gunah ho gaya

  230. Jab dil nay nazron ko dekha to gunah ho gaya ,
  231. jab us nay mujh ko dekha to bayqrar ho gaya .

  232. Maine dil se pucha yeh tumhe kya ho gaya,
  233. has kar dil ne kaha mujhe pyar ho gaya .

  234. Hum mitti ka aashiyana banate gaye

  235. Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
  236. bana bana kar unhe mitate gaye,
  237. humain koi na apna bana saka,
  238. hum har kisi ko apna banatay gaye

  239. Har khushi dil ke karib nahi hoti

  240. Har khushi dil ke karib nahi hoti,
  241. zindagi ghamon se dur nahi hoti,
  242. ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
  243. aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti

  244. Logo ki nigahon se dard chupana parta hai

  245. Logo ki nigahon se dard chupana parta hai,
  246. Hume to ghum me bhi muskurana parta hai.

  247. Hum bhi kabhi dost hua karte the unke,
  248. ye bhi ab unhe yaad dilana padta hai.

  249. Qayamat tak tujhe yaad karenge

  250. Qayamat tak tujhe yaad karenge,
  251. Teri har baat par aitbaar karenge,
  252. Tujhe SMS karne ko to nahi kahenge,
  253. Par phir bhi tere SMS ka intezar karenge

  254. Apni Surat ka kabhi to didaar de

  255. Apni Surat ka kabhi to didaar de
  256. tadap raha hu ab aur na intzaar de
  257. Apni awaaz nahi sunani to mat suna
  258. Kam se kam 1 Missed call hee maar de

  259. Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta

  260. Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
  261. Marne wale ke saath har koi nahi marta
  262. Arey�� Marne ki baat to door rahi
  263. Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta

No comments :

Post a Comment