dil bhar jaye shayari Pyar



  1. Ab Tere Zikr Pe Hum Baat Badal Dete Hain;
  2. Kitni Raghbat !Thi Tere Naam Se Pehle Pehle!


  3. =============================

  4. Tum Naraaz-Na!aaz Se Lagte Ho Koi Tarkeeb Batao Manane Ki;
  5. Hum Zindagi Girvi Rakh Denge Tum Kimat Batao Muskurana Ki!
  6. =============================  
  7. Kehte Hai Pee Ne Wale Mar Jate Hai Bhari Jawani Me;
  8. Hum Ne Toh D!ekha Hai Buzurgo Ko Jawan Hote Maikhane Me!
  9. =============================  
  10. Hove Supne Ch Tu Te Jagave Koi Na;
  11. Sochan Meriya! Ch Tu Te Bulave Koi Na;
  12. Tere Khayalan De Mukaddme Ch Saza Hoje;
  13. Hove Umar Qaid! Te Chuddave Koi Na!
  14. =============================

  15. Wafaa Ke Baab !Mein ILzaam-e-Aashiqui Na Lia;
  16. Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;

  17. Khusha Wo Loo!g Ke Mehroom-e-ILtafaat Rahay;
  18. Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;

  19. Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
  20. Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;

  21. Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
  22. Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;

  23. 'Faraz' Zulm Hai K!uch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
  24. Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!
  25. =============================
  26. Dil Munaafiq Tha, Sh!ab-e-Hijr Mein Soya Kese;
  27. Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Roya Kese!


  28. ============================= 
  29. Peenay Dai Sharab Masjid Main Baid Kay Ghalib;
  30. Ya Woh Jaga Bata! Jahan Khuda Nehen Hai!
  31. =============================
  32. Ab Ke Saawan Mein Paani Barsa Bahut;
  33. Pani Ki Har Bund Mei!n Wo Aaye Yaad Bahut;
  34. Iss Suhane Mausam Mein Saath Nahi Koi;
  35. Baadalo Ke Sath Inn Aankho Se Pani Baha Bahut!
  36. ============================= 
  37. Bewaafa Nahi Si Oh, Odi Ta Koi Majburi Si;
  38. Jiss Karke Pe Gayi Sade Wich Duri Jahi;
  39. Kehndi Tera Supna !Si Shayar Banan Da;
  40. Ais Layi Dokha Dena Jaruri Si!
  41. =============================

  42. Aaina Kyu Na Doon Ke Tamasha Kahe Jise;
  43. Aisa Kaha Se Laau! Ke Tujhasa Kahe Jise

  44. Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Me;
  45. Guldasta-e-Nigaah Su!veda Kahe Jise;

  46. Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Mein Aye Khuda;
  47. Afasuun-e-Intazar Tam!anna Kahe Jise;

  48. Sar Par Hajum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye;
  49. Wo Ek Musht-e-Kha!k Ke Sahara Kahe Jise;

  50. Hai Chashm-e-Tar Me Hasarat-e-Diidar Se Niha;
  51. Shauq-e-Ina Gusekhta Dariya Kahe Jise;

  52. Darakar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko;
  53. SubH-e-Bahar Paba-e-Miina Kahe Jise;

  54. Ghalib Bura Na Man Jo Vaiz Bura Kahe;
  55. Aisa Bhii Koii Hai Ke Sab Achchha Kahe Jise!


  56. =============================


  57. Be-Khudi Be-Sabab Nahi'n 'Ghalib';
  58. Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai!
  59. =============================
  60. Kaafir Ke Dil Se Aya Hon Mein Yeh Dekh Kar;
  61. Khuda Maujood Ha!i Wahan, Par Usey Pata Nahin!
  62. =============================
  63. Kahin To Milegi Mo!habat Ki Manzil;
  64. Ye Dil Ka Musafir Chala Ja Raha Hai!
  65. =============================
  66. Naseeba De Lekh Koi Mod Nai Sakda;
  67. Hove Rabb Te Aitb!ar Koi Tod Nai Sakda;
  68. Sache Pyar Ta Milde Ne Na!seeb Naal;
  69. Lakh Chah Ke Vi Kise Naal Rishta Koi Jod Nai Sakda!
  70. =============================
  71. Ham Ki Thahre Ajnabii Itnii Mulaqaaton Ke Baad;
  72. Phir Banenge Aashnaa Kitnii Mudaaraaton Ke Baad;
  73. Kab Nazar Men Aayegi! Be-Daagh Sabze Kii Bahaar;
  74. Khuun Ke Dhabbe Dhulenge Kitnii Barsaaton Ke Baad;
  75. The Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke;
  76. Thiin Bohat Be-Meher Subahen Meherbaan Raaton Ke Baad;
  77. Dil To Chaaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hii Na Dii;
  78. Kuchh Gile Shikwe Bhii Ka!r Lete Munaajaaton Ke Baad;
  79. Unse Jo Kahne Gaye The Faiz, Jaan Sadqe Kiye;
  80. Ankahii Hii Rah Gayii Voh Baat, Sab Baatoon Ke Baad!

  81. =============================
  82. Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale;
  83. Ab Na Aayein G!e Palat Kar Kabhi Jaane Waale!
  84. ============================= 
  85. Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ';
  86. Dheere Sey Jaan Keh !Kar Humein Bejaan Kar Gaya!
  87. =============================
  88. Dil Ke Rishton Ki Nazakat Woh Kya Jaaney;
  89. Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hai Chotein Aksar!
  90. =============================  
  91. Kisi Nu Dukh De Ke Sukh Paya Ta Ki Paya;
  92. Kise Da Husn Dekh Ke Chaaya Ta Ki Chaaya;
  93. Pyar Krde Ho Kise Nu Ta Krde Raho;
  94. Kise Hor Da Pyar Kho Ke Paya Ta Ki Paya!
  95. =============================

  96. Koii Us Shahar Mein Kab Thaa Uskaa;
  97. Use Yah Zom Ki Rab Thaa Uskaa;

  98. Uskii Rag Rag Men Utartii Rahii Aag;
  99. Uske Andar Hii Ghazab Thaa Uskaa;

  100. Vahii Silsila-e-Taar-e-Nafas;
  101. Vahii Jiine Kaa Sabab Thaa Uskaa;

  102. Sidq-Zaada Thaa Voh Shahzaada Kamaal;
  103. Bas Yahii Naam-O-Nasab Thaa Uskaa!

  104. =============================


  105. Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete;
  106. Ma'shuq Ho Ya Koi Am!aanat Ho Kisi Ki!
  107. ============================= 
  108. Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun;
  109. Main Jaanta Hoon Jo !Wo Likhenge Jawaab Mein!
  110. =============================
  111. Bhula K Mujhko Agar Tum Ho Salamat;
  112. To Bhula K Tujhko !Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
  113. Nahi Hai Mari Fitrat Main Ye Aadat;
  114. Warna Teri Tarha Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
  115. ============================= 
  116. Do Mulaqan De Riste;
  117. Siasat Ch Jaan Pisde;
  118. Attwad Vi Loon Chidak Reha;
  119. Purane Jakham Jihde Jaan Risde!
  120. =============================

  121. Ranjish Hii Sahii, Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa;
  122. Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;

  123. Kuchh To Mere Pindaar-e-Mohabbat Kaa Bharam Rakh;
  124. Tuu Bhii To Kabhii Mujhko Manaane Ke Liye Aa;

  125. Pahle Se Maraasim Na Sahii, Phir Bhii Kabhii To;
  126. Rasm-O-Rah-E-Duniaa Hi Nibhaane Ke Liye Aa;

  127. Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Ham;
  128. Tuu Mujh Se Khafaa Hai, To Zamaane Ke Liye Aa;

  129. Ek Umar Se Huun Lazzt-e-Giryaa Se Bhii Mahruum;
  130. Ae Raahat-e-Jaan! Mujhko Rulaane Ke Liye Aa;

  131. Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiide;
  132. Yah Aakhrii Shamaen !Bhii Bujhaane Ke Liye Aa!

  133. =============================
  134. Jee Dhoondta Hai Phir !Wahi Fursat Ke Raat Din;
  135. Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue!
  136. =============================
  137. Ik Pal Mai Jo Barbad !Kar Dete Hain Dil Ki Basti Ko Faraz;
  138. Wo Log Dekhne Mai Aksar Masom Hote Hain!
  139. =============================
  140. Manzil Toh Mil Hi J!ayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
  141. Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
  142. =============================
  143. Menu Mili Judai Ta Main Ki Kara;
  144. Na Menu Mohabaat Ras Aayi Ta Main Ki Kara;
  145. Na Menu Umeed Hun Jeuoon Di;
  146. Je Maut Vi Na Aayi Ta Main Ki Kara!
  147. =============================

  148. Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
  149. Na Tha Raqueeb Toh Aakhir Woh Naam Kiska Tha;

  150. Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
  151. Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha;

  152. Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
  153. Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;

  154. Woh Katl Karke Har Kisise Puchhate Hai;
  155. Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;

  156. Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi;
  157. Sun Jo Tumane Baa-Dil Woh Payaam Kiska Tha;

  158. Guzar Gaya Woh Zamana Kahoo Toh Kisse Kahoo;
  159. Khyaal Dil Ko Mere! Subah-O-Shaam Kiska Tha;

  160. Har Ek Se Kehate Hai! Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
  161. Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!


  162. =============================

  163. Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
  164. Gumrah Toh Wo Hai, J!o Ghar Se Nikle Hi Nahi!
  165. =============================   
  166. Qasam Hai Tujhko Zahid Kya Kare Gar Koi Aankhon Se Dekhe;
  167. Chhalakna Saagar-e-Mai Ka, Chahekna Badah Khwaron Ka!
  168. =============================
  169. Hai Khabar Garam Unke Aane Ki;
  170. Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua!
  171. =============================
  172. Ye Na Pooch Ki Shikayatein Kitni Hain Tujhse Aye Zindagi;
  173. Sirf Ye Bata Ki Tera Koi Au!r Sitam Baaqi To Nahi Hai.
  174. =============================
  175. Khushi Hove Gum Hove Ikko Jehe Rende Han;
  176. Koi Changa Mada Kahe Sa! Jar Lainde Han;
  177. Mareya Ch Apna Sumaa!ar Kar Baithey Han;
  178. Kehrri Ghari Assi Tenu Pyar Kar Baithey Han!
  179. =============================

  180. Zakhm Jhele Daagh Bhii Khaaye Bohat;
  181. Dil Lagaa Kar Ham To Pachhtaaye Bohat;

  182. Dair Se Suu-e-Haram Aaya Na Tuk;
  183. Ham Mizaaj Apnaa Idhar Laaye Bohat;

  184. Phuul, Gul, Shams-o-Qamar Saare Hii The;
  185. Par Hamen Unmen Tum Hii Bhaaye Bohat;

  186. Gar Bukaa Is Shor Se Shab Ko Hai To;
  187. Rovenge Sone Ko Hamsaaye Bohat;

  188. Miir Se Puuchha Jo Main Aashiq Ho Tum;
  189. Ho Ke Kuchh Chupke Se Sharmaaye Bohat!
  190. =============================
  191. Samandaron Mein Muaafiq Havaa Chalaata Hai;
  192. Jahaaz Khud Nahiin Chalte Khudaa Chalaataa Hai!
  193. ============================= 
  194. Apne Mehboob Ki Khaatir Tha Khuda Ko Manzoor;
  195. Warna Quran Bhi Utarta Ba Zabaan-e-Urdu!
  196. =============================
  197. Na Ruthna Humse Hum Mar Jayenge;
  198. Dil Ki Duniya Tabaah Kar Jayenge;
  199. Pyar Kiya He Humne Koi Mazak Nahi;
  200. Dil Ki Dhadkan Tere Naam Kr Jayenge!
  201. JUDAAI  ============================= 
  202. Kaun Kisi Nu Dil Wich Jagah Denda Ae;
  203. Ped Vi Sukke Hoye Patte Gira Denda Ae;
  204. Duniya Di Rasmaa To Waqif Han Assi;
  205. Dil Bhar Jaaye Te Har Koi Bhula Denda Ae!

  206. =============================

  207. Luft Voh Ishq Men Paaye Hai!n Ki Jii Jaantaa Hai;
  208. Ranj Bhii Aise Ut!haaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

  209. Muskuraate Hue Voh Majma-e-Aghyaar Ke Saath;
  210. Aaj Yuun Bazm Men! Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

  211. Kaaba-o-Dair Men Pathraa Gayii Donon Aankhen;
  212. Aise Jalve Nazar Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

  213. Dostii Men Terii Dar-Parda Hamaare Dushman;
  214. Is-Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

  215. Inhii Qadmon Ne Tumhaare, Inhii Qadmon Kii Qasam;
  216. Khaak Men Itne Milaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

  217. Daagh-e-Vaarafta Ko Ham Aaj Tere Kuuche Se;
  218. Is Tarah Khiinch Ke Laaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai!


  219. ============================= 
  220. Tu Woh Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka 'Ghalib';
  221. Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya!
  222. =============================
  223. Kya Zauq Hai,Kya Shauq Hai Sau Marataba Dekhun;
  224. Phir Bhi Ye Kahoon Jalwa-e-Jaanan Nahin Dekha;
  225. Kya Poochte Ho, Kaun Hai? Ye Kis Ki Hai Shohrat;
  226. Kya Tumne Kabhi 'Daag' Ka Deewan Nahin Dekha!
  227. ============================= 
  228. Aasan Toh Nahin Apni Hasti Se Guzar Jaana;
  229. Utra Jo Samundar Mein Darya Toh Bohat Roya;
  230. Jo Shakhs Na Roya Tha Tapti !Raahon Mein;
  231. Deewaar Ke Saaye Mein Beitha Toh Bohat Roya!
  232. =============================   
  233. Dil Vich Teri Yaad Sajjna;
  234. Akhhan Vich Tera !Khwab Sajjna;
  235. Tenu Yaad Kite Bina Neend Vi Nahi Aandi;
  236. Saadi Akkh Tere Khwab Di Mohtaj Sajjna!
  237. =============================

  238. Is Se Pahle Ki Bewafa Ho Jaayen;
  239. Kyuun Na Aye Do!st Ham Judaa Ho Jaayen;

  240. Tuu Bhii Hiire Se Ban Gayaa Patthar;
  241. Ham Bhii Kal Jaane Kyaa Se Kyaa Ho Jaayen;

  242. Ham Bhii Majbuuriyon Ka Uzr Karen;
  243. Phir Kahiin Aur Mubtilaa Ho Jaayen;

  244. Ab Ke Gar Tuu Mile To Ham Tujhse;
  245. Aise Lipten Terii Qabaa Ho Jaayen;

  246. Bandagii Hamne Chhod Dii Faraaz;
  247. Kyaa Karen Log Jab Khudaa Ho Jaayen!
  248. =============================
  249. Hazaaron Khawahishein Aisi Ke Har Khawahish Par Dum Nikle;
  250. Bohut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle!
  251. =============================  
  252. Akbar Dabe Nahin Kisi Sultaan Ki Fauj Se;
  253. Lekin Shaheed Ho Gaye Biwi Ki Nauj Se!
  254. =============================
  255. Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho;
  256. Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho;
  257. Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega;
  258. Chahe Poori Umar Mulaqat Ho Na Ho!
  259. =============================  
  260. Tere Bina Sada Ki Wajood Hona;
  261. Heere Han Kakha Bhah Asi Rull Jaana;
  262. Chah Ke Vi Asi Kehra Tere Ho Jaana;
  263. Ik Maari Hoi Laash Haan Mai;
  264. Asi Kehra Jeondeyan Ch Ho Jaana!

  265. =============================

  266. Bohat Khaamosh Jo Baithaa Huaa Hai;
  267. Vo Yakja Hai Magar Bikhraa Huaa Hai;

  268. Baraa Nadaan Hai, Bahkaa Huaa Hai;
  269. Ye Aadam Khuld Ka Bigraa Huaa Hai;

  270. Udhar Jaana Nahiin Hotaa Hai Varnaa;
  271. Falak Tak Raastaa Dekhaa Huaa Hai;

  272. Kisi Kaa Haath Bhi Pohncha Na Us Tak;
  273. Ye Sar Uunchii Jagah Rakhaa Huaa Hai;

  274. Ba-Zaahir Is Qadar Masuum Hai Voh;
  275. Ki Jaise Aaj Hi Paidaa Huaa Hai;

  276. Khazaana Khud Baraa Hai Jaan-Lewaa;
  277. Ye Us Par Saanp Kyuun Baithaa Huaa Hai;

  278. Dilaasa Dil Yuun Detaa Hai Ki Jaise;
  279. Ki Yahii Ek Meherbaan Piadaa Huaa Hai!


  280. =============================
  281. Saaz Yeh Keena Saaz Kya Jaane;
  282. Naaz Waale Niyaaz Kya Jaane!
  283. =============================
  284. Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon;
  285. Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai!
  286. =============================
  287. Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
  288. Dosti Se Khubsu!rt Koi Tasveer Nahi Hoti;
  289. Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
  290. Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!
  291. DOSTI=============================   
  292. Jada Farak Ni Rakhey!a Rabb Ne Sade Doha Vich;
  293. Usnu Chaun Vale Bohut Ne Te Mainu Thukaron Vale Bahut Ne!
  294. =============================
  295. Ek Moamma Hai Samajhne Ka, Na Samjhaane Kaa;
  296. Zindagii Kaahe Ko !Hai, Khwaab Hai Diivaane Kaa;

  297. Khalq Kahtii Hai Jise Dil Tere Diivaane Kaa;
  298. Ek Gosha Hai Yeh Duniy!aa Isii Viiraane Kaa;

  299. Mukhtasar Qissa-e-Gham Ye Hai Ki Dil Rakhta Huun;
  300. Raaz-e-Kaunain Khulaasa Hai Is Afsaane Kaa;

  301. Tumne Dekhaa Hai Kabhii Ghar Ko Badalte Hue Rang;
  302. Aao Dekho Na Tamaasha Mere Gham-Khaane Kaa;

  303. Dil Se Ponhchii To Hai Aankhon Men Lahuu Kii Buunden;
  304. Silsila Shiishe Se Miltaa To Hai Paimaane Kaa;

  305. Hamne Chhaanii Hai Bohat Dair-O-Haram Kii Galiyaan;
  306. Kahiin Paaya Na Thikaana Tere Diivaane Ka;

  307. Har Nafs Umr-e-Guzishtaa Ki Hai Mayyat Faani;
  308. Zindagi Naam Hai Mar Mar Ke Jiye Jaane Kaa!
  309. ============================= 
  310. Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr;
  311. Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage!
  312. ============================= 
  313. Kya Jaaniye Kya Hai Tere Bimaar Ki Haalat;
  314. Isa Bhi Yeh Kehte Hain Ke Hai Waqt Dua Ka!
  315. =============================  
  316. Haasi Haasi Me !itano Ko Hasa Diya;
  317. Haasi Haasi Me Kitne Gammon Ko Chupa Liya;
  318. Haans Kar Gaya Koi Is Kadar Ki;
  319. Umar Bhar Ke Liye H!aasna Bhula Diya!
  320. DARD=============================   
  321. Boote Collage De Vi Kade Supne Dikhande C;
  322. Khawaab Sadde V K!ade Tainu Chaunde C;
  323. Wajood Hunda C Jeonda Kade Issh Marjaane Da;
  324. Aashiq Hunda C Main Vi Kade Tere Parchawe Da!

  325. =============================

  326. Yah Dunyaa Ek Khawaabon Kii Zamiin Hai;
  327. Yahaan Sab Kuchh Hai Aur Kuchh Bhii Nahiin Hai;

  328. Tere Chhuune Se Pahle Vaahma Thaa;
  329. Mujhe Ab Apne Hone Ka Yaqiin Hai;

  330. Jo Socho To Sulag Uthi Hain Saansen;
  331. Teraa Ehsaas Kitnaa Aatishiin Hai;

  332. Mohaajir Ban Gye Hain Mere Aansuu;
  333. Na Aanchal Hai Na Koii Aastiin Hai;

  334. Jagah Duun Kaise Tujhko Apne Dil Men;
  335. Yahaan To Teraa Gam Masnad-Nashiin Hai;

  336. Mere Chehre Pe Koii Jhuk Rahaa Hai;
  337. Yah Lamhaa To Khudaa Jaisaa Hasiin Hai!
  338. =============================
  339. Jis Waqt Khuda Ne Tumhe Banaya Hoga;
  340. Ek Saroor Sa Usk!a Dil Pe Chaya Hoga;
  341. Pehle Socha Hoga Tujhe Jannat Mein Rakh Luon;
  342. Phir Usse Mera Khayal Aaya Hoga!
  343. =============================
  344. Main Hairaan Hoon K!e Kyon Us Se Huiee Thi Dosti Apni;
  345. Mujhe Kaise Gawarah Ho Gayiee Thi Dushmani Apni!
  346. =============================
  347. Dosti Ka Jo Kiya Karte Hain Daawa Ehbaab;
  348. Waqt Padta Hai To Sab Aankh Chura Lete Hain!
  349. =============================
  350. Shajar Se Jo Patte Judaa Hote Hai;
  351. Tumne Bhi Mujhe K!uch Yuhii Chod Dia;
  352. Par Teri Yaadon Ne Mujhse Kabhi Befaiee Nai Ki;
  353. Har Manjar -e- Algaav Par Mere Sang Sang Chali!
  354. =============================
  355. Oh Aakhdi Aa Tu Bohat Badal Geya a Hun;
  356. Koi Samjawe Meri Jaan nu;
  357. Tut Ke Diige Patteya De Aksar;
  358. Rang Badal Hi Jande ne!
  359. =============================

  360. In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii;
  361. Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii;

  362. Musaafir Ho Tum Bhii, Musaafar Hain Ham Bhii;
  363. Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii;

  364. Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen;
  365. Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii;

  366. Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa;
  367. Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii;

  368. Azal Taa Abd Tak Safar Hii Safar Hai;
  369. Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii!
  370. =============================
  371. Raqeebo Ne Rapat Likhwai Hai Jaja Ke Thane Mein;
  372. Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein!
  373. ===============!==============
  374. Hum Ne Mohbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Useh Khuda Bana Dala;
  375. Hosh Tab Aaya Jab Us !Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota!
  376. =============================
  377. Kuch Rishte Iss Jahaan Mein Khaas Hote Hai;
  378. Hawa Ke Rukh Se Jin Ke !Ehsaas Hote Hai;
  379. Yeh Dil Ki Kashish Nahi To Aur Kiya Hai Doston;
  380. Door Reh Kar Bhi Woh Dil Ke Kitne Paas Hote Hai!


  381. =============================

  382. Hum Ko Unse Wafa Ki Hai Ummeed;
  383. Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai!

  384. BEWAFA=============================   
  385. Pal-Pal Ki Chahat Ne Mujhe Pal-Pal Tadpaya;
  386. Har Pal Ki Tarah Es Pal Bhi Khud Ko Tanha Paya;
  387. Bhula Bhi Dete Ush Pal Ko Ager Us Pal Uska Khayal Na Aaya Hota;
  388. Kambkhat Har Pal Ki Taraha Aaj Ye Pal Bhi Mera Na Ho Paya!
  389. DARD=============================   
  390. Ishq Ishq Har Koi Karda;
  391. Ishq Gallan Naal Ni Kita Janda;
  392. Ishq Ta Naam Hai Os Cheez Da;
  393. Jehde Wich Dariya Vi Par Kita Janda!
  394. =============================
  395. Bol, Ki Lab Aazaad Hain Tere;
  396. Bol, Zubaan Ab Tak Terii Hai;

  397. Teraa Sutvaan Jism Hai Teraa;
  398. Bol Ki Jaan Ab Tak Terii Hai;

  399. Dekh Ki Aahan-Gar Kii Dukaan Men;
  400. Tund Hain Sho'le, Surkh Hai Aahan;

  401. Khulne Lage Quflon Ke Dahaane;
  402. Phailaa Har Ek Zanjiir Kaa Daaman;

  403. Bol, Yah Thoraa Waqt Bohat Hai;
  404. Jism-o-Zubaan Kii Maut Se Pahle;

  405. Bol Ki Sach Zindaa Hai Ab Tak;
  406. Bol, Jo Kuchh Kahnaa Hai Kah Le!

  407. =============================
  408. Humne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin;
  409. Khaak Ho Jaenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak!
  410. =============================
  411. Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum;
  412. Aaya Bhi Aur Gaya Bhi Zamana Bahaar Ka!
  413. ============================= 
  414. Tujhse Door Ab Hum Jaa Nahi Sakte;
  415. Tujhse Pyar Kitna Hai Ye Hum Bataa Nahi Sakte;
  416. Humhe Maloom Hai Ye Zindagi Chaar Din Ki Hai Lekin;
  417. Tere Bina Ye Chaar Din Hum Bita Nahi Sakte!
  418. =============================
  419. Eh Zindagi Tera Sath Hovey;
  420. Ehi Dua Har Ratt Hovey;
  421. Naa Din Dhale Na Ratt Hovey;
  422. Har Safar Vich Tu Mere Nal Hovey!
  423. =============================

  424. Yahaan Kisii Ko Bhii Kuchh Hasb-e-Aarzuu Na Milaa;
  425. Kisii Ko Ham Na Mile Aur Ham Ko Tuu Na Milaa;

  426. Ghizaal-e-Ashk Sar-e-Subah Duub-e-Mizhgaan Par;
  427. Kab Apnii Aankh Khulii Aur Lahuu Lahuu Na Milaa;

  428. Chamakte Chaand Bhii The Shahar-e-Shab Ke Aivaan Men;
  429. Nigaar-e-Gham Saa Magar Koii Shamaa-Ruu Na Milaa;

  430. Unhii Kii Ramz Chalii Hai Galii Men Yahaan;
  431. Jinhen Idhar Se Kabhi Izn-e-Guftguu Na Milaa;

  432. Phir Aaj Mai-Kada-e-Dil Se Laut Aaye Hain;
  433. Phir Aaj Ham Ko Thikaane Ka Subuu Na Mila!


  434. =============================  
  435. Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-e-Tamanna-e-Nishaat;
  436. Too Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-e-Gulistaan Hona!


  437. =============================

  438. Umer Draaz Maang Kar Laahe Teh Chaar Din;
  439. Do Aarzoo Me Kat Gahe, Do Intezaar Me!
  440. =============================
  441. Koi Kuch Bhi Na Kahay To Pata Kya Hai;
  442. Is Bechain Khamoshi Ki Wajah Kya Hai;
  443. Unhein Ja Key Koi Kahey Hum Ley Lenge Zehar Bhi;
  444. Woh Sirf Yeh To Bata Dain Meri Khata Kya Hai!
  445. ============================= 
  446. Doli Wich Beh Ke Thoda Jeha Royegi;
  447. Pher Nave Sajna Naal Badaa Khush Hoyegi;
  448. Yaaran Da Pyar Ohne Miti Naal Tol Dena;
  449. Mapeyaan Da Ekala Putt Ghaaman Ch Rol Dena!
  450. =============================

  451. Hamaare Shauq Kii Yah Intehaa Thii;
  452. Qadam Rakhaa Ki Manzil Raastaa Thii;

  453. Bichhad Ke Daar Se Ban Ban Phiraa Voh;
  454. Hiran Ko Apnii Kastuurii Sazaa Thii;

  455. Kabhii Jo Khwaab Thaa Voh Paa Liyaa Hai;
  456. Magar Jo Kho Gayii Voh Chiiz Kyaa Thii;

  457. Main Bachpan Men Khilaune Todataa Thaa;
  458. Mere Anjaam Kii Voh Ibtidaa Thii;

  459. Mohabaat Mar Gayii, Mujhko Bhii Gam Hai;
  460. Mere Achchhe Dinon Kii Aashnaa Thii;

  461. Jise Chhuu Luun Main Voh Ho Jaaye Sonaa;
  462. Tujhe Dekhaa To Jaanaa Bad-Duaa Thii;

  463. Mariiz-e-Khwaab Ko To Ab Shafaa Hai;
  464. Magar Duniyaa Badil Kadvil Davaa Thii!

  465. =============================
  466. Jawani Ke Din Chamkille Ho Gaye;
  467. Aur Husn Ke Tewar Nukile Ho Gaye;
  468. Hum Izhaar Karne Me Thode Dhille Ho Gaye;
  469. Aur Unke Hath Peele Ho Gaye!
  470. ============================= 
  471. Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba;
  472. Haay Us Zood Pashemaan Ka Pashemaan Hona!


  473. =============================
  474. Aankhon Mein Kaun Aake Ilahi Nikal Gaya;
  475. Kis Ki Talaash Mein Mere Ashk Rawaan Chale!
  476. =============================
  477. Khamosh Fiza Thi Saya Bhi Nahi Tha;
  478. Is Duniya Mein Unsa Koi Aaya Bhi Nahi Tha;
  479. Kis Jurm Mein Cheeni Gai Humse Hamari Hassi;
  480. Humne To Kisi Ka Dil Dukhaya Bhi Nahi Tha!
  481. ============================= 
  482. Oh Aaj Vi Mainu Pyar Kardi Ae;
  483. Oh Aaj Vi Mainu Apne Dil Ch Vassai Rakh Di Ae;
  484. Dardi Hai Oh Iss Samaaj De Reet Rewajan To;
  485. =============================
  486. Tamanna Kis Qadar Sho'la Nafas Thii;
  487. Hamaari Umar Jab Solah Baras Thii;

  488. Hamesha Se Sag-e-Aazaar Rahii Hai;
  489. Yeh Duniaa Kab Masiih-e-Khush-Nafas Thii;

  490. Tumhen Chhuu Kar Hamaaraa Laut Aanaa;
  491. Taqaddus Thaa K Tahzib-e-Havas Thii;

  492. Koii S Sha'i Ab Haath Aati Nahin Hai;
  493. Kabhii Har Sha'i Pe Apnii Dast-Ras Thii;

  494. Main Khush-Fahmii Men Jannat Chhor Aayaa;
  495. Meri Kaaya Mera Kunj-e-Qafas Thii!


  496. =============================


  497. Yeh Ashq Aankhon Mein Qasid Kis Liye Ekdam Nahin Thamta;
  498. Dil-e-Betaab Kaa Shayad Liye Maktoob Jaata Hai!
  499. =============================
  500. Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai;
  501. Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona!

  502. =============================
  503. MISCELLANEOUS   
  504. Tu Supna Nahi Mera Jo, Tainu Paun Lai Ardaas Kara;
  505. Tu Mout Nahi Meri Jo, Tere Aaun Da Intzaar Kara!
  506. =============================
  507. Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha;
  508. Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya;
  509. Magar Doston Ek Din Badala Lunga;
  510. Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya!
  511. =============================
  512. Dil Hii To Hai, Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyuun;
  513. Royenge Ham Hazaar Baar, Koii Hamen Sataaye Kyuun;

  514. Dair Nahiin, Haram Nahiin, Aastaan Nahiin;
  515. Baithe Hain Rahguzar Pe Ham, Ghair Hamen Uthaaye Kyuun;

  516. Qaid-e-Hayaat-o-Band-e-Gham Asl Men Donon Ek Hain;
  517. Maut Se Pahale Aadmii Gham Se Najaat Paaye Kyuun;

  518. Jab Voh Jamaal-e-Dil-Faroz, Surat-e-Meher-Neemroz;
  519. Aap Hii Ho Nazara-Soz, Parde Men Munh Chhupaaye Kyuun;

  520. Dashna Ghamza Jaansitaan, Naavak-e-Naaz Be-Panaah;
  521. Teraa Hii Aks-e-Rukh Sahil Saamne Tere Aaye Kyuun;

  522. Ghaalib-e-Khastaa Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain;
  523. Roiye Zaar Zaar Kyuun? Kiijiye Haay, Haay Kyuun!

  524. =============================
  525. Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki;
  526. Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona!

  527. =============================
  528. Aah Hoti Mere Lab Par Na Yeh Nalah Hota;
  529. Ek Bhi Toone Jo Armaan Nikaala Hota!
  530. =============================
  531. Koi Gila, Koi Shikwa Na Rahe Aapse;
  532. Yeh Aarzoo Hai Ki Silsila Rahe Aapse;
  533. Bas Is Baat Ki Badi Umeed Hai Aapse;
  534. Khafa Na Hona Agar Hum Khafa Rahein Aapse!
  535. =============================
  536. Dila Kise Nu Apna Banaie Na;
  537. Hadh To Vadd Aakhan Vich Sapne Sajhaie Na;
  538. Dhokha De Jande Ne Sab;
  539. Kise Nu Apna Keh Ke Apna Aap Guwai Na!
  540. =============================
  541. Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mashhuur Kar Duun;
  542. Mere Saada Dil Tujh Ko Maghruur Kar Duun;

  543. Tere Dil Ko Milne Kii Khud Aarzuu Ho;
  544. Tujhe Is Qadar Gham Se Ranjuur Kar Duun;

  545. Mujhe Zindagii Duur Rakhti Hai Tujh Se;
  546. Jo Tuu Pass Ho To Use Duur Kaar Duun;

  547. Mohabbat Ke Iqraara Se Sharm Kab Tak;
  548. Kabhii Saamnaa Ho To Majbuur Kar Duun;

  549. Ye Be Rangiyaan Kab Tak E Husn-E-Rangiin;
  550. Idhar Aa, Tujhe Ishq Men Chuur Kar Duun;

  551. Tuu Gar Saamne Ho To Main Bekhudii Men;
  552. Sitaaron Ko Sajde Pe Majbuur Kar Duun;

  553. Nahiin Zindagii Ko Vaffa Varnaa Akhtar;
  554. Mohabbat Se Duniyaa Ko Maamuur Kar Duun!


  555. =============================


  556. Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona;
  557. Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona!


  558. =============================
  559. Dil Ko Pighlaata Hua, Aankhon Ko Garmaata Hua;
  560. Phir Khayaal-e-Yaar Aaya Aag Barsaata Hua!
  561. =============================
  562. Kamjoriya Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere;
  563. Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein!
  564. =============================
  565. Bin Tere Hun Rah, Sade Muk Chale;
  566. Assi Koshish Kiti, Tenu Paun Layi;
  567. Par Saah Hun Sade, Muk Chale;
  568. Sade Pyaar Nu Paani Kon Deve;
  569. Assi Tute Darakhta Vangu Suk Chale!
  570. =============================

  571. Qurbaton Men Bhii Judaaii Ke Zamaane Maange;
  572. Dil Vo Be-Mehar Ki Rone Ke Bahaane Maange;

  573. Ham Na Hote To Kisii Aur Ke Charche Hote;
  574. Khilqat-e-Shahar To Kahne Ko Fasaane Maaange;

  575. Yahii Dil Thaa Ki Tarastaa Thaa Maraasim Ke Liye;
  576. Ab Yahii Tark-e-Taalluq Ke Bahaane Maange;

  577. Apnaa Ye Haal Ki Jii Haar Chuke, Lut Bhii Chuke;
  578. Aur Mohabbat Vahii Andaaz Puraane Maange;

  579. Zindagi Ham Tere Daaghon Se Rahe Sharminda;
  580. Aur Too Hai Ki Sadaa Aaina-Khaane Maange;

  581. Dil Kisii Haal Pe Qaanay Hi Nahiin Jaan-e-Faraaz;
  582. Mil Gaye Tum Bhii To Kyaa Aur Na Jaane Maange!

  583. =============================
  584. Dekhte Hai Ab Kis Ki Jaan Jaayegi;
  585. Usne Meri Aur Maine Uski Kasam Khayi Hai!
  586. =============================
  587. Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib';
  588. Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona!

  589. =============================
  590. Mujhko Aashiq Kahke Uske Roo Baroo Mat Kijiyo;
  591. Dostaan ! Gar Dost Ho To Yeh Kabho Mat Kijiyo!
  592. =============================
  593. Behte Aashkon Ki Zubaan Nai Hoti;
  594. Lafzon Mein Mohhabat Bayaan Nai Hoti;
  595. Mile Jo Pyar To Kadar Karna;
  596. Kismat Har Kisi Par Maherban Nai Hoti!
  597. =============================
  598. Langh Gaya Hor Ik Saal Tere Bina;
  599. Zindagi Tan Ban Gyi Swaal Tere Bina;
  600. Bada Kujh Paya, Bada Kujh Khoeya;
  601. Bas Pyaar Da Hi Reh Gya Malaal Tere Bina!



  602. =============================

  603. Voh Duroondon Ke, Salaamon Ke Nagar Yaad Aaye;
  604. Na'atein Parhte Hue, Qasbaat Ke Ghar Yaad Aaye;

  605. Shaam Ke Baad Kachehri Ka Thakaa Sanaataa;
  606. Begunaahii Ko Adaalat Ke Hunar Yaad Aaye;

  607. Ghar Ki Masjid Mein Woh Nuuraani Se Chehre;
  608. Khaanqaahon Mein Duaaon Ke Shajar Yaad Aaye;

  609. Mere Seene Mein Koi Saans Chubhaa Karti Hai;
  610. Jaise Mazduuron Ko Pardes Mein Ghar Yaad Aaye;

  611. Kitne Khat Aaye Gaye, Shaakh Mein Phoolon Kii Tarah;
  612. Aaj Daryaa Mein Chiraagon Ke Safar Yaad Aaye!


  613. =============================
  614. Kuch Roz Yeh Bhi Rang Raha Intezar Ka;
  615. Aankh Uth Gayi Jidhar Bas Udhar Dekhte Rahe!
  616. =============================
  617. Naa Jana Ki Duniya Se Jata Hai Koi;
  618. Bahut Der Ki Mehrban Aate Aate!
  619. =============================
  620. Karta Raha Fareb Koi Saadgi Ke Saath;
  621. Itna Bada Mazaak Meri Zindagi Ke Saath;
  622. Shaayad Mili Saza Mujhe Is Jurm Ki;
  623. Ho Gaya Tha Jo Pyaar Mujhe Ek Ajnabi Ke Saath!
  624. =============================
  625. Mere Tarasde Naine Di Pyaas Nahio Mukni;
  626. Teriya Yaadan Di Hundi Eh Barsaat Nahio Mukni;
  627. Saah Ruk Jane Jind Muk Jaani;
  628. Par Tenu Paun Di Pyaas Nahio Mukhni!
  629. =============================
  630. Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein;
  631. Kiski Bani Hai Aalam-e-Naa Paaidaar Mein;
  632. Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basein;
  633. Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein;
  634. Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din;
  635. Do Aarzoo Mein Kat Gaye, Do Intezaar Mein;
  636. Kitna Hai Badnasib Zafar Dafan Ke Liye;
  637. Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kuu-e-Yaar Mein!
  638. =============================
  639. Gham Ish Kadar Barhey Ke Mein Ghabra Ke Pee Gaya;
  640. Is Dil Ki Be-Basi Pe Tarss Kha Ke Pee Gaya;
  641. Thukra Raha Tha Mujh Ko Bari Der Se Jahan;
  642. Main Aaj Sab Jahan Ko Thukraa Ke Pee Gaya!
  643. =============================
  644. Agar Beekne Pe Aaa Jao To Daam Ghat Jate Hai Aksar;
  645. Naa Bikne Ka Irada Ho To Keemat Aur Bhadtee Hai!
  646. ============================= 
  647. Teri Yaad Mein Pal Pal Marta Hai Koi;
  648. Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi;
  649. Fursat Mile To Tanhai Mein Sochna;
  650. Kitni Khamosh Mohabbat Tum Se Karta Hai Koi!
  651. =============================  
  652. Jab Sath Uska Chaha Tu Sham -o-Sehar Mila;
  653. Muj Ko Mere Naseeb Ka Aesa Samar Mila;
  654. Thi Zindagi Mai Dhop Ki Chadar Tani Hui;
  655. Saya Dia Hai Ishq Ka Aesa Shjar Mila!


  656. =============================

  657. Khud Ko Kyuun Jism Kaa Zindaan Karen;
  658. Fikar To Takht-e-Sulemaani Karen;

  659. Der Tak Baith Ke Sochn Khud Ko;
  660. Aaj Phir Ghar Mein Biyaabaani Karen;

  661. Apne Kamre Mein Sajaayen Aafaaq;
  662. Jalsa-e-Be-Sar-o-Saamaani Karen;

  663. Umar Bhar Sher Kahen Khuun Thuuken;
  664. Muntakhib Raasta-e-Nuqsaani Karen;

  665. Khud Ke Liye Mol Len Izhaar Ka Qarz;
  666. Duusron Ke Liye Aasaano Karen;

  667. Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhen;
  668. Harf-e-Naa-Guftaa Ko Laa-Saani Karen;

  669. Kimiyaakaari Hai Fan Apnaa Saaz;
  670. Aag Ko Baithe Hue Paani Karen!

  671. =============================
  672. Gazab Kiyaa, Tere Vaade Pe Aitabaar Kiyaa;
  673. Tamaam Raat Qayaamat Kaa Intezaar Kiyaa!
  674. =============================
  675. Daag Daman Ke Ho, Dil Ke Ho Ke Chehre Ke Faraz;
  676. Kuch Nishan Waqt Ki Raftar Se Lag Jate Hai!
  677. =============================
  678. Main Nai Kehndi Rabba Menu Pyaar Baksh De;
  679. Koi Sohna Jeha Chaun Wala Yaar Baksh De;
  680. Bas Eni Ku Tamana Esh Toote Hoye Dil Di;
  681. Jehra Chori Chori Takke Dildaar Baksh De!
  682. PUNJABI=============================   
  683. Khayal Jiska Tha Mujhe, Khayal Mein Mila Mujhe;
  684. Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Mujhe;
  685. Kisiko Apne Amal Ka Hisab Kya Dete;
  686. Sawal Sare Galat The Jawab Kya Dete!
  687. =============================
  688. Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Toh Kya Hai';
  689. Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai;

  690. Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal;
  691. Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai;

  692. Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
  693. Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;

  694. Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga;
  695. Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai;

  696. Rahee Na Taaqat-e-Guftaar, Aur Agar Ho Bhee;
  697. To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai!
  698. =============================
  699. Kahan Tak Suney Gi Raat Kahan Tak Sunayen Ge Hum;
  700. Shikwey Saarey Sabb Aaj Tere Rubaruu Karain!
  701. =============================
  702. Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib;
  703. Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay!
  704. ============================= 
  705. Waqt Badal Jata Hai Insaan Badal Jate Hai;
  706. Waqt Waqt Pe Rishto Ke Andaaz Badal Jate Hai;
  707. Kabhi Keh Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya;
  708. Din Or Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai!
  709. =============================
  710. Assi Ronde Vi Han Kurlaunde Vi Han;
  711. Teri Yaad Ch Hanju Vahaunde Vi Han;
  712. Par Tu Ki Jane Saar Sadi;
  713. Asin Jaano Vadh Tainu Chahunde Vi Han!

No comments :

Post a Comment