New Deewana Shayari For You


  1. Mohabbat mai karne laga hun,
  2. Uljhano mai jeene laga hun,
  3. Diwana to mai tha nhi lekin,
  4. Tera dewana ban-ne laga hun.



  5. ==============================


  6. Koi Na Mita Sakega Dil Ke Is Fasane Ko,
  7. Teri Chaht Me Bhul Jata Hu Zamane Ko,
  8. Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye,
  9. Teri Deewangi Me Bhul Jate Nazare Jhapkane Ko.



  10. ==============================

  11. Aapki iss dil lagi main hum apna dil kho bethe,
  12. Kal tak us khuda ke the aaj hum apke ho bethe,
  13. Ishq suna toh tha ki apna deewana bana leta hai,
  14. Par aaj khud karke hum bhi apne hosh kho bethe hain.



  15. ==============================

  16. Jo Tujhe Dekhe Wahi Deewana Bane,
  17. Jo Tujhe Chahe Wahi Mastaana Bane,
  18. Teri Bheegi Hui Zulfon Ki Kasam,
  19. Tu Jahaan Baal Nichode Wahin Mehkhana Bane.


  20. ==============================

  21. Ki koi diwana kehata hai koi pagal samjhta hai..
  22. Magar dharti ki bechaini ko bus badal samjhata hai..
  23. Main tujh se dur kaisi hun tu mujhse dur kaisa hai..
  24. yeh tera dil samjhata hai ya mera dil samjhaja hai..



  25. ==============================
  26. Deewangi humari har raaz khol deti hai,
  27. Khamoshi humari har baat bol deti hai,
  28. Lekin shikayat hai to sirf is duniya se,
  29. Jo dil ke jazbaat bhi paiso se tol deti hai.


  30. ==============================
  31. Inme kuch saye be-asraat nzr aate hai..

  32. Teri mehfil ka bhrm rakhte hai so jaate hai,Warna ye log be-daar nzr aate hai..

  33. Mere daaman me do kanto k siwa kuch bhi nhi,

  34. Aap to phulo k khridaar nzr aate hai..

  35. Our hashr me kon gwahi dega meri,

  36. Yahan to sab tere tarafdaar nzr aate hai.

No comments :

Post a Comment