Ghazal Shayari new2017

Koii Us Shahar Mein Kab Thaa Uskaa;
Use Yah Zom Ki Rab Thaa Uskaa;

Uskii Rag Rag Men Utartii Rahii Aag;
Uske Andar Hii Ghazab Thaa Uskaa;

Vahii Silsila-e-Taar-e-Nafas;
Vahii Jiine Kaa Sabab Thaa Uskaa;

Sidq-Zaada Thaa Voh Shahzaada Kamaal;
Bas Yahii Naam-O-Nasab Thaa Uskaa!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranjish Hii Sahii, Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa;
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;

Kuchh To Mere Pindaar-e-Mohabbat Kaa Bharam Rakh;
Tuu Bhii To Kabhii Mujhko Manaane Ke Liye Aa;

Pahle Se Maraasim Na Sahii, Phir Bhii Kabhii To;
Rasm-O-Rah-E-Duniaa Hi Nibhaane Ke Liye Aa;

Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Ham;
Tuu Mujh Se Khafaa Hai, To Zamaane Ke Liye Aa;

Ek Umar Se Huun Lazzt-e-Giryaa Se Bhii Mahruum;
Ae Raahat-e-Jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa;

Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiide;
Yah Aakhrii Shamaen Bhii Bujhaane Ke Liye Aa!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqueeb Toh Aakhir Woh Naam Kiska Tha;

Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha;

Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;

Woh Katl Karke Har Kisise Puchhate Hai;
Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;

Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi;
Sun Jo Tumane Baa-Dil Woh Payaam Kiska Tha;

Guzar Gaya Woh Zamana Kahoo Toh Kisse Kahoo;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam Kiska Tha;

Har Ek Se Kehate Hai Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zakhm Jhele Daagh Bhii Khaaye Bohat;
Dil Lagaa Kar Ham To Pachhtaaye Bohat;

Dair Se Suu-e-Haram Aaya Na Tuk;
Ham Mizaaj Apnaa Idhar Laaye Bohat;

Phuul, Gul, Shams-o-Qamar Saare Hii The;
Par Hamen Unmen Tum Hii Bhaaye Bohat;

Gar Bukaa Is Shor Se Shab Ko Hai To;
Rovenge Sone Ko Hamsaaye Bohat;

Miir Se Puuchha Jo Main Aashiq Ho Tum;
Ho Ke Kuchh Chupke Se Sharmaaye Bohat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Luft Voh Ishq Men Paaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Ranj Bhii Aise Uthaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

Muskuraate Hue Voh Majma-e-Aghyaar Ke Saath;
Aaj Yuun Bazm Men Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

Kaaba-o-Dair Men Pathraa Gayii Donon Aankhen;
Aise Jalve Nazar Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

Dostii Men Terii Dar-Parda Hamaare Dushman;
Is-Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

Inhii Qadmon Ne Tumhaare, Inhii Qadmon Kii Qasam;
Khaak Men Itne Milaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;

Daagh-e-Vaarafta Ko Ham Aaj Tere Kuuche Se;
Is Tarah Khiinch Ke Laaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Is Se Pahle Ki Bewafa Ho Jaayen;
Kyuun Na Aye Dost Ham Judaa Ho Jaayen;

Tuu Bhii Hiire Se Ban Gayaa Patthar;
Ham Bhii Kal Jaane Kyaa Se Kyaa Ho Jaayen;

Ham Bhii Majbuuriyon Ka Uzr Karen;
Phir Kahiin Aur Mubtilaa Ho Jaayen;

Ab Ke Gar Tuu Mile To Ham Tujhse;
Aise Lipten Terii Qabaa Ho Jaayen;

Bandagii Hamne Chhod Dii Faraaz;
Kyaa Karen Log Jab Khudaa Ho Jaayen!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bohat Khaamosh Jo Baithaa Huaa Hai;
Vo Yakja Hai Magar Bikhraa Huaa Hai;

Baraa Nadaan Hai, Bahkaa Huaa Hai;
Ye Aadam Khuld Ka Bigraa Huaa Hai;

Udhar Jaana Nahiin Hotaa Hai Varnaa;
Falak Tak Raastaa Dekhaa Huaa Hai;

Kisi Kaa Haath Bhi Pohncha Na Us Tak;
Ye Sar Uunchii Jagah Rakhaa Huaa Hai;

Ba-Zaahir Is Qadar Masuum Hai Voh;
Ki Jaise Aaj Hi Paidaa Huaa Hai;

Khazaana Khud Baraa Hai Jaan-Lewaa;
Ye Us Par Saanp Kyuun Baithaa Huaa Hai;

Dilaasa Dil Yuun Detaa Hai Ki Jaise;
Ki Yahii Ek Meherbaan Piadaa Huaa Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek Moamma Hai Samajhne Ka, Na Samjhaane Kaa;
Zindagii Kaahe Ko Hai, Khwaab Hai Diivaane Kaa;

Khalq Kahtii Hai Jise Dil Tere Diivaane Kaa;
Ek Gosha Hai Yeh Duniyaa Isii Viiraane Kaa;

Mukhtasar Qissa-e-Gham Ye Hai Ki Dil Rakhta Huun;
Raaz-e-Kaunain Khulaasa Hai Is Afsaane Kaa;

Tumne Dekhaa Hai Kabhii Ghar Ko Badalte Hue Rang;
Aao Dekho Na Tamaasha Mere Gham-Khaane Kaa;

Dil Se Ponhchii To Hai Aankhon Men Lahuu Kii Buunden;
Silsila Shiishe Se Miltaa To Hai Paimaane Kaa;

Hamne Chhaanii Hai Bohat Dair-O-Haram Kii Galiyaan;
Kahiin Paaya Na Thikaana Tere Diivaane Ka;

Har Nafs Umr-e-Guzishtaa Ki Hai Mayyat Faani;
Zindagi Naam Hai Mar Mar Ke Jiye Jaane Kaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yah Dunyaa Ek Khawaabon Kii Zamiin Hai;
Yahaan Sab Kuchh Hai Aur Kuchh Bhii Nahiin Hai;

Tere Chhuune Se Pahle Vaahma Thaa;
Mujhe Ab Apne Hone Ka Yaqiin Hai;

Jo Socho To Sulag Uthi Hain Saansen;
Teraa Ehsaas Kitnaa Aatishiin Hai;

Mohaajir Ban Gye Hain Mere Aansuu;
Na Aanchal Hai Na Koii Aastiin Hai;

Jagah Duun Kaise Tujhko Apne Dil Men;
Yahaan To Teraa Gam Masnad-Nashiin Hai;

Mere Chehre Pe Koii Jhuk Rahaa Hai;
Yah Lamhaa To Khudaa Jaisaa Hasiin Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii;
Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii;

Musaafir Ho Tum Bhii, Musaafar Hain Ham Bhii;
Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii;

Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen;
Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii;

Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa;
Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii;

Azal Taa Abd Tak Safar Hii Safar Hai;
Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho;
Tum Bhi Ghalib ! Kamaal Kartay Ho;

Dekh Kar Pooch Liyaa Haal Meraa;
Chalo Kuch Tou Khayaal Kartay Ho;

Shehar -e- Dil May Ye Udaasiyaan Kaisi;
Ye Bhi Mujh Say Sawaal Kartay Ho;

Marnaa Chaahain Toh Mar Nahe Saktay;
Tum Bhi Jeenaa Muhaal Kartay Ho;

Aab Kiss Kis Ki Misaal Doon Tum Ko;
Her Sitam Bay-Misaal Kartay Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Vasl Ho Jaye Yahaan, Hashr Men Kya Rakha Hai;
Aaj Kii Baat Ko Kyuun Kal Pe Uthaa Rakha Hai;

Mohtasib Puuch Na Tu Shiishe Men Kyaa Rakha Hai;
Paarsaaii Ka Lahuu Ismen Bhaara Rakhaa Hai;

Kahte Hain Aaye Javaani To Ye Chorii Nikle;
Mere Joban Ko Larakpan Ne Churaa Rakhaa Hai;

Is Taghaaful Men Bhii Sargam-e-Sitam Voh Aankhen;
Aap To Sote Hain, Fitnon Ko Jagaa Rakhaa Hai;

Aadmi-Zaad Hain Duniaa Ka Hasiin, Lekin Ameer;
Yaar Logon Ne Parii-Zaad Banaa Rakhaa Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Bol, Ki Lab Aazaad Hain Tere;
Bol, Zubaan Ab Tak Terii Hai;

Teraa Sutvaan Jism Hai Teraa;
Bol Ki Jaan Ab Tak Terii Hai;

Dekh Ki Aahan-Gar Kii Dukaan Men;
Tund Hain Sho'le, Surkh Hai Aahan;

Khulne Lage Quflon Ke Dahaane;
Phailaa Har Ek Zanjiir Kaa Daaman;

Bol, Yah Thoraa Waqt Bohat Hai;
Jism-o-Zubaan Kii Maut Se Pahle;

Bol Ki Sach Zindaa Hai Ab Tak;
Bol, Jo Kuchh Kahnaa Hai Kah Le!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yahaan Kisii Ko Bhii Kuchh Hasb-e-Aarzuu Na Milaa;
Kisii Ko Ham Na Mile Aur Ham Ko Tuu Na Milaa;

Ghizaal-e-Ashk Sar-e-Subah Duub-e-Mizhgaan Par;
Kab Apnii Aankh Khulii Aur Lahuu Lahuu Na Milaa;

Chamakte Chaand Bhii The Shahar-e-Shab Ke Aivaan Men;
Nigaar-e-Gham Saa Magar Koii Shamaa-Ruu Na Milaa;

Unhii Kii Ramz Chalii Hai Galii Men Yahaan;
Jinhen Idhar Se Kabhi Izn-e-Guftguu Na Milaa;

Phir Aaj Mai-Kada-e-Dil Se Laut Aaye Hain;
Phir Aaj Ham Ko Thikaane Ka Subuu Na Mila!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamaare Shauq Kii Yah Intehaa Thii;
Qadam Rakhaa Ki Manzil Raastaa Thii;

Bichhad Ke Daar Se Ban Ban Phiraa Voh;
Hiran Ko Apnii Kastuurii Sazaa Thii;

Kabhii Jo Khwaab Thaa Voh Paa Liyaa Hai;
Magar Jo Kho Gayii Voh Chiiz Kyaa Thii;

Main Bachpan Men Khilaune Todataa Thaa;
Mere Anjaam Kii Voh Ibtidaa Thii;

Mohabaat Mar Gayii, Mujhko Bhii Gam Hai;
Mere Achchhe Dinon Kii Aashnaa Thii;

Jise Chhuu Luun Main Voh Ho Jaaye Sonaa;
Tujhe Dekhaa To Jaanaa Bad-Duaa Thii;

Mariiz-e-Khwaab Ko To Ab Shafaa Hai;
Magar Duniyaa Badil Kadvil Davaa Thii!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamanna Kis Qadar Sho'la Nafas Thii;
Hamaari Umar Jab Solah Baras Thii;

Hamesha Se Sag-e-Aazaar Rahii Hai;
Yeh Duniaa Kab Masiih-e-Khush-Nafas Thii;

Tumhen Chhuu Kar Hamaaraa Laut Aanaa;
Taqaddus Thaa K Tahzib-e-Havas Thii;

Koii S Sha'i Ab Haath Aati Nahin Hai;
Kabhii Har Sha'i Pe Apnii Dast-Ras Thii;

Main Khush-Fahmii Men Jannat Chhor Aayaa;
Meri Kaaya Mera Kunj-e-Qafas Thii!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Hii To Hai, Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyuun;
Royenge Ham Hazaar Baar, Koii Hamen Sataaye Kyuun;

Dair Nahiin, Haram Nahiin, Aastaan Nahiin;
Baithe Hain Rahguzar Pe Ham, Ghair Hamen Uthaaye Kyuun;

Qaid-e-Hayaat-o-Band-e-Gham Asl Men Donon Ek Hain;
Maut Se Pahale Aadmii Gham Se Najaat Paaye Kyuun;

Jab Voh Jamaal-e-Dil-Faroz, Surat-e-Meher-Neemroz;
Aap Hii Ho Nazara-Soz, Parde Men Munh Chhupaaye Kyuun;

Dashna Ghamza Jaansitaan, Naavak-e-Naaz Be-Panaah;
Teraa Hii Aks-e-Rukh Sahil Saamne Tere Aaye Kyuun;

Ghaalib-e-Khastaa Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain;
Roiye Zaar Zaar Kyuun? Kiijiye Haay, Haay Kyuun!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mashhuur Kar Duun;
Mere Saada Dil Tujh Ko Maghruur Kar Duun;

Tere Dil Ko Milne Kii Khud Aarzuu Ho;
Tujhe Is Qadar Gham Se Ranjuur Kar Duun;

Mujhe Zindagii Duur Rakhti Hai Tujh Se;
Jo Tuu Pass Ho To Use Duur Kaar Duun;

Mohabbat Ke Iqraara Se Sharm Kab Tak;
Kabhii Saamnaa Ho To Majbuur Kar Duun;

Ye Be Rangiyaan Kab Tak E Husn-E-Rangiin;
Idhar Aa, Tujhe Ishq Men Chuur Kar Duun;

Tuu Gar Saamne Ho To Main Bekhudii Men;
Sitaaron Ko Sajde Pe Majbuur Kar Duun;

Nahiin Zindagii Ko Vaffa Varnaa Akhtar;
Mohabbat Se Duniyaa Ko Maamuur Kar Duun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Qurbaton Men Bhii Judaaii Ke Zamaane Maange;
Dil Vo Be-Mehar Ki Rone Ke Bahaane Maange;

Ham Na Hote To Kisii Aur Ke Charche Hote;
Khilqat-e-Shahar To Kahne Ko Fasaane Maaange;

Yahii Dil Thaa Ki Tarastaa Thaa Maraasim Ke Liye;
Ab Yahii Tark-e-Taalluq Ke Bahaane Maange;

Apnaa Ye Haal Ki Jii Haar Chuke, Lut Bhii Chuke;
Aur Mohabbat Vahii Andaaz Puraane Maange;

Zindagi Ham Tere Daaghon Se Rahe Sharminda;
Aur Too Hai Ki Sadaa Aaina-Khaane Maange;

Dil Kisii Haal Pe Qaanay Hi Nahiin Jaan-e-Faraaz;
Mil Gaye Tum Bhii To Kyaa Aur Na Jaane Maange!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Voh Duroondon Ke, Salaamon Ke Nagar Yaad Aaye;
Na'atein Parhte Hue, Qasbaat Ke Ghar Yaad Aaye;

Shaam Ke Baad Kachehri Ka Thakaa Sanaataa;
Begunaahii Ko Adaalat Ke Hunar Yaad Aaye;

Ghar Ki Masjid Mein Woh Nuuraani Se Chehre;
Khaanqaahon Mein Duaaon Ke Shajar Yaad Aaye;

Mere Seene Mein Koi Saans Chubhaa Karti Hai;
Jaise Mazduuron Ko Pardes Mein Ghar Yaad Aaye;

Kitne Khat Aaye Gaye, Shaakh Mein Phoolon Kii Tarah;
Aaj Daryaa Mein Chiraagon Ke Safar Yaad Aaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein;
Kiski Bani Hai Aalam-e-Naa Paaidaar Mein;
Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basein;
Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein;
Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din;
Do Aarzoo Mein Kat Gaye, Do Intezaar Mein;
Kitna Hai Badnasib Zafar Dafan Ke Liye;
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kuu-e-Yaar Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khud Ko Kyuun Jism Kaa Zindaan Karen;
Fikar To Takht-e-Sulemaani Karen;

Der Tak Baith Ke Sochn Khud Ko;
Aaj Phir Ghar Mein Biyaabaani Karen;

Apne Kamre Mein Sajaayen Aafaaq;
Jalsa-e-Be-Sar-o-Saamaani Karen;

Umar Bhar Sher Kahen Khuun Thuuken;
Muntakhib Raasta-e-Nuqsaani Karen;

Khud Ke Liye Mol Len Izhaar Ka Qarz;
Duusron Ke Liye Aasaano Karen;

Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhen;
Harf-e-Naa-Guftaa Ko Laa-Saani Karen;

Kimiyaakaari Hai Fan Apnaa Saaz;
Aag Ko Baithe Hue Paani Karen!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Toh Kya Hai';
Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai;

Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal;
Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai;

Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;

Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga;
Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai;

Rahee Na Taaqat-e-Guftaar, Aur Agar Ho Bhee;
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Janoon Kaar Farma Hua Chaahta Hai;
Qadam Dasht Paima Hua Chaahta Hai;

Dam-e-Girya Yeh Kiska Tasawur Hai Dil Mein;
Keh Ashkon Se Darya Baha Chaahta Hai;

Khat Aane Lage Shikwa Aamez Unke;
Milaap Un Se Goya Hua Chaahta Hai;

Abhi Lene Paae Nahin Dam Jahan Mein;
Ajal Ka Taqaaza Hua Chaahta Hai;

Bahut Chain Se Din Guzarte Hain, Hali;
Koi Fitna Barpa Hua Chaahta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rang-e-Sharaab Se Meri Neeat Badal Gai;
Waaiz Ki Baaten Rah Gaien, Saqi Ki Chal Gai;

Tayyaar The Namaaz Pe Hum, Sun Ke Zikr-e-Hur;
Jalwa Buton Ka Dekh Ke Neeat Badal Gai;

Machhli Ne Dhil Paai Hai, Luqme Pe Shaad Hai;
Sayyad Mutmain Hai Keh Kaanta Nigal Gai;

Chamka Tira Jamaal Jo Mahfal Mein Waqt-e-Shaam;
Parwana Be-Qaraar Hua, Shama Jal Gai;

Uqwa Ki Baaz Purs Ka Jaata Rha Khayaal;
Duniya Ki Lazzaton Mein Tabiat Bahl Gai;

Hasrat Bahut Taraqqi-e-Dukhtar Ki Thi Unhen;
Purdah Jo Uth Gaya, Tau Woh Aakhir Nikal Gai!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-Makaan Ke Hain;
Mujhe Se Kahan Chhipenge, Woh Aise Kahaan Ke Hain;

Karte Hain Qatal Woh, Talab-e-Maghfarat Ke Baad;
Jo The Duaa Ke Haath, Wohi Imtehaan Ke Hain;

Jis Din Se Kuchh Sharik Hui Meri Musht-e-Khaak;
Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain;

Kaisa Jawaab, Hazrat-e-Dil, Dekheye Zaraa;
Paighambar Ke Haath Mein Tukre Zabaan Ke Hain;

Kya Iztaraab-e-Shauq Ne Mujh Ko Khajil Kiya;
Woh Puchhte Hain, Kaheye, Iraade Kahaan Ke Hain;

Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kisqadar Tabaah;
Puchha Har Ek Ne Yeh Musaafir Kahan Ke Hain;

Har Chand Dagh Ek Hi Ayyar Hai, Magar;
Dushman Bhi Tau Chhate Hue Saare Jahaan Ke Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kah Rahi Hai Hashar Mein Woh Aankh Sharmaai Hui;
Haae Kaise Is Bhari Mahfal Mein Ruswaai Hui;

Aaeene Mein Har Ada Ko Dekh Kar Kahte Hain Woh;
Aaj Dekha Chaaheye Kis Kis Ki Hai Aai Hui;

Kah Tu Ai Gulcheen, Aseeraan-e-Qafas Ke Waaste;
Tor Lun Do Chaar Kalian Main Bhi Murjhaai Hui;

Main Tau Raaz-e-Dil Chhipaaun, Par Chhipa Rahne Bhi De;
Jaan Ki Dushman, Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui;

Ghamza-o-Naaz-o-Ada Sab Mein Hai Haya Ka Lagaao;
Haae Re Bachpan, Keh Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui;

Wasl Mein Khali Hui Aghiyaar Se Mahfal Tau Kya;
Sharm Bhi Jaae Tau Mein Jaanun Keh Tanhaai Hui;

Gard Uri Aashiq Ki Turbat Se Tau Jhunjala Ke Kaha;
Wah Sar Charhne Lagi, Paaon Ki Thukraai Hui!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Waqt-e-Peeri Shabab Ki Baaten;
Aisi Hain Jaise Khwab Ki Baatein;
Phir Mujhe Le Chala Udhar, Dekho;
Dil-e-Khana Kharab Ki Baaten;
Sunten Hai Use Chher Chher Ke Hum;
Kis Maze Se Itaab Ki Baaten;
Mujh Ko Ruswa Karegi Khub, Ai Dil;
Yeh Teri Iztaraab Ki Baaten;
Jaao Hota Hai Aur Bhi Khafqaan;
Sun Ke Naaseh Janab Ki Baaten;
Zikar Kya Josh-e-Ishq Mein, Ai Zauq;
Hum Se Hon Sabar-o-Taab Ki Baaten!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Bichad Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai;
Adhura Chand Bhi Kitana Udas Lagata Hai;

Ye Vasl Ka Lamha Hai Ise Rayegan Na Samajh;
Ke Is Ke Bad Woh⬆i Duriyon Ka Sahara Hai;

Kuch Aur Der Na Jhadata Udasiyon Ka Shajar;
Kise Khabar Tere Saye Mein Kon Baitha Hai;

Ye Rakh-Rakhao Muhabbat Sikha Gai Us Ko;
Wo Ruth Kar Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai;

Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakati Hai;
Tera Badan Hai Ke Ye Aainon Ka Dariya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Muhabbat Yaroo;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;

Umr Bhar Jin Ke Vafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Jahan Weeraana Hai Pahle Kabhi Aabad Yaan Ghar The;
Shaghaal Ab Hai Jahan Baste, Kabhi Bashar Yaan The;

Jahan Chatial Hai Maidan Aur Sarasar Ek Khaaristan;
Kabhi Yaan Qasar-o-Oaiwan The, Chaman The Aur Shajar Yaan The;

Jahan Phirte Bagoole Hain, Unraate Khak Sahra Mein;
Kabhi Urti Thi Daulat, Raqas Karte Seembar Yaan The;

Jahan Hain Sang Reze, The Yahaan Yaaqut Ke Taude;
Jahan Kankar Pare Hain Ab, Kabhi Rulte Gohar Yaan The;

Jahan Sunsaan Ab Jungle Hai Aur Hai Sher-e-Khamoshan;
Kabhi Kya Kya The Hangaame Yahan, Aur Shor-o-Shar Yaan The;

Jahan Ab Khak Par Hain Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra;
Kabhi Mahw-e-Tamasha Deeda-e-Ahl-Enazar Yaan The;

Zafar Ahwaal Aalam Ka Kabhi Kuchh Hai, Kabhi Kuchh Hai;
Ke Kya Kya Rang Ab Hain Aur Kya Kya Peshtar Yaan The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai Laa;
Laga Ke Barf Mein, Saqi, Surahi-e-Mai Laa;

Qadam Ko Haath Lagaata Hun, Uth Kahin, Ghar Chal;
Khuda Ke Waste, Itne Tau Paaon Mat Phaila;

Nikal Ke Wadi-e-Wahshat Se Dekh, Ai Majnun;
Ke Zor Dhun Mein Ab Aata Hai Naaqa-E-Laila;

Gira Jo Haath Se Farhad Ke Kahin Teesha;
Daroon-e-Koh Se Nikli Sada-e-Wavela;

Nazakat Uske Mukhre Ki Dekho, Insha;
Naseem-e-Subh Jo Chhoo Jaae, Rang Ho Maila!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭Khabar Liaya Hai Hua Mere Us Yaar-e-Jaani Ka;
Khushi Ka Waqt Hai Zaahir Karun Raaz-e-Mihaani;

Mire Jeu Aarsi Mein Khayal Tuj Mukh Ka So Dista Hai;
Kare O Khayal Munj Dil Mein Nishani Zar Fishani Ka;

Chita Ho Ishq Ke ⭄Jungle Mein Baitha Hai Dari Le Kar;
Liya Hai Jhaanp Son Aahu Naman Dil Mujh Ayyaani Ka;

Khuda Ka Shuk: Hai Tuj Saltanat The Kaam Paya Hun;
Dande Dushman Ke Mukh Par Peota Mai Arghawani Ka;

Chhabeele Mast Saqi Ke Pichhein Dauren Sau Makhmuraan;
Pila Do Mai Hawa Ab Tau Hua Hai Gul Fishani Ka;

Do Tin Afsun Ke Baare The Haman Kon Kuch Nahin Dar Hai;
Hamare Deewe Kon Hai Roshni Sahib Quraani Ka;

Pare Dumbaal Mein Mere So Us Nainaan Ke Dumbaale;
Khudaya Ishq Mushkil Hai Bharm Rakh Tu Maani Ka!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aadam Ka Jism Kab Ke Anaasir Se Mil Bana;
Kuchh Aag Bach Rahi Thi, So Aashiq Ka Dil Bana;

Sar Garam-E-Nala In Dinon Main Bhi Hoon, Andleeb;
Mat Aashian Chaman Mein Mere Mutsil Bana;

Jab Teesha Kohkan Ne Liya Haath, Tab Yeh Ishq;
Bola Ke Apni Chhati Pe Dharne Ko Sil Bana;

Jis Teergi Se Roz Hai Ushaaq Ka Seaah;
Shaaid Usi Se Chehre-E-Khubaan Pe Til Bana;

Lab Zindagi Mein Kab Mile Us Lab Se, Ai Kalaal;
Saagar Hamaari Khaak Ko Math Karke Gil Bana;

⧭Apne Hunar Dikha Denge Hum Tujhko Sheesha Gar;
Toota Hua Kisi Ka Agar Hum Se Dil Bana;

Sun Sun Ke Arz-E-Haal Mera Yaar Ne Kaha;
Sauda Na Baaten Baith Ke Yaan Mutsil Bana!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai;
Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai;

Kisi Ki Yaad Mein Jo 🔺Zindagi Hum Ne Guzaari Hai;
Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai;

Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge;
Kuch Apna D🔺il Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge;

Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena;
Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena;

Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se;
Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke;

Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona;
Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona;

Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge;
Yeh Dil Kya Cheez Hai, Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Jo Hai Hukam Mere Pas Na Aaye Koi;
Is Liye Ruth Rahe Hain Ki Manaye Koi;

Tak Mein Hai Nigah-E-Shauq Khuda Khair Kare;
Samane Se Mere Bachata Hua Jaye Koi;

⧭Hal Afalaq-O-Zamin Ka Jo Bataya Bhi To Kya;
Baat Wo Hai Jo Tere Dil Ke Bataye Koi;

Aapane 'dag' Ko Muh Bhi Na Lagaya Afsos;
Us Ko Rakhta Tha ⬉Kaleje Se Lagaye Koi;

Ho Chuka Aish Ka Jalasa To Mujhe Khat Bheja;
Aap Ke Tarah Se Mehaman Bulaye Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafa Ke Khwab Muhabbat Ka Aasara Le Ja;
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja;

Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan;
Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja;

Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera;
Ki Bund Bund Ata Kar Ghata Ghata Le Ja;

Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho;
Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja;

Nadamaten Hoon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai;
Faraz Jaan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Ishq Ke Intaha Chahata Hoon;
Meri Sadagi Dekh Kya Chahata Hoon;

Sitam Ho Ki Ho Vada-E-Behijabi;
Koi Baat Sabr-Azama Chahata Hoon;

Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko;
Ki Main Aap Ka Samana Chahata Hoon;

Koi Dam Ka Mehaman Hun Ae Ahal-E-Mahafil;
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahata Hoon;

⧭Bhari Bazm Mein Raaz Ke Baat Kah Di;
Bada Be-Adab Hun, Saza Chahata Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tu Nahi Toh Zindagi Mien Ujala Kaisa;
Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke Jaise;

Sadma Toh Hai Tu ⬉Mere Sang Nahi;
Haste Chehre Pe Yeh Hamare Muskarana Kaisa;

Jeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke Sath;
Sath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana Kaisa;

Ya Khuda Yhe Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai Chahat;
Hum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Yeh Intezaar Kaisa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chareya Rehnda C Tere Pyaar Da Suroor Kadi;
Hunda C Sanu Teri Yaari Te Gharoor Kadi;

Maar Diti Thokar Sanu Gali De Rorre Vaango;
Socheya Nahi C Tu Hovega Enna Maghroor Kadi;

Haar Gaye Haan Dil Haathon Aaj Assi Tere Kar K;
Zindgi Vich Hoye Nahi Assi Enna Majhboor Kadi;

⧭Kyon Banaya Tu Tamasha Yaara Saday Sache Pyaar Da;
Mileya Taan Eh Taanu Pucha Gain Zaroor Kadi;

Bhavain Tor Gea Sade Naal Tu Yaari Aaj;
Par Hovega Na Yaara Sade Dil Ton Tu Dur Kadi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Kya Jane Maine Jana Hai, Jate Ho Khafa Hokar;
Main Tab Janu Mere⧬ Dil Se Chale Jao Juda Hokar;

Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthakar Khak Aankhon Tak;
Ishi Raste Gaya Hai Hasaraton Ka Kafila Hokar;

Tumhin Ab Dard-E-Dil Ke Naam Se Ghabraye Jate Ho;
Tumhin To Dil Mein Shayad Aaye The Dard-E-Ashiyan Hokar;

Yoon Hi Hamdam Ghadi Bhar Ko Mila Karte To Bahatar Tha;
Ke Dono Waqt Jaise Roz Milate Hain Juda Hokar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Riste Hue Zakhm Kisko Dikhane Nikle;
Haath Me Namak Liye Malham Lagane Nikle;

Baroodi Surangon Se Uda Do Chuppi;
Ajnabi Kaise Tere Gam Se Begane Nikle;

Hum Se Bedari Ka Sabab Poochne Wale;
Aankhon Se Meri Neend Churane Nikale;

Sangshari Ka Ajab Shouq Wahan Ya Rabba;
Unke Har Nishane Pe Meri Sou Jaanen Nikle;

Meri Taqdeer Ke Sooraj Ko Jagane Wale;
Kam Se Kam Jugnoo Se To Behtar Nikale!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tune Ye Phul Jo Zulfon Mein Laga Rakha Hai;
Ik Diya Hai Jo Andheron Mein Jala Rakha Hai;

Jit Le Jaye Koi Mujhko Nasibon Vala;
Zindagi Ne Mujhe Da O Pe Laga Rakha Hai;

Jane Kab Aaye Koi Dil Mein Jhankane Vala;
Is Liye Main Ne Gireban Ko Khula Rakha Hai;

Imtehan Aur Meri Zabt Ka Tum Kya Loge;
Main Ne Dhadakan Ko Bhi Sine Mein Chupa Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧬Agar Talaash Karun Koi Mil Hii Jaayegaa;
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa;

Tumhen Zaruur Koi Chaahaton Se Dekhegaa;
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa;

Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho;
Makaan Khaalii Hua Hai To Koii Aayegaa;

Main Apani Raah ⧭Mein Diivaar Ban Ke Baithaa Hun;
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa;

Tumhaare Saath Ye ⬈Mausam Farishton Jaisaa Hai;
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hoga Musafir Jo Jahan Me Aayega;
Safar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega;

Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir Bahut;
Koi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega;

Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar Saare;
Jism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega;

Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun Se;
Zyada Se Zyada Haar-E-Gul Pehnaya Jayega;

Ek Hi Baat Hai Sachi Har Damm;
Ruhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Wafa Ke Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne;
Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne;

Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi;
Gamon Ki Ot Mein ⧭Khud Ko Chupa Liya Main Ne;

Kabhi Na Khatm Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz;
Agar Chirag Bujha, Dil Jala Liya Main Ne;

Kamal Ye Hai Ki Jo ⬈Dushman Pe Chalana Tha;
Wo Tir Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne;

Qateel Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha;
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tere Ishq Ke Intaha Chahata Hun;
Meri Sadagi Dekh Kya Chahata Hun;

Sitam Ho Ki Ho Vada-E-Behijabi;
Koi Baat Sabr-Azama Chahata Hun;

Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko;
Ki Main Aap Ka Samana Chahata Hun;

Koi Dam Ka Mehaman Hun Ae Ahal-E-Mahafil;
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahata Hun;

Bhari Bazm Mein Raz Ke Baat Kah Di;
Bada Be-Adab Hun, Saza Chahata Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Y⧭e Tajaruba Bhi Karun Ye Bhi Kar Dikhalaun Main;
Ki Khud Ko Yaad Rakhun Us Ko Bhool Jaun Main;

Fareb-E-Kar Mein Kuch ⧭To Hai Koi Baat To Hai;
Ki Jan Bujh Ke Itane Fareb Khaun Main;

Wo Pal Kahan Hain Jo Duniya Se Jodata Tha Mujhe;
Jo Paun Tujh Ko To Sab Ke Qarib Aaun Main;

⧫Kabhi To Ho Mere Ehasas-E-Kamtari Mein Kami;
Kabhi To Ho Ki Use Khul Ke Aaun Main;

Wo Shakhs Hai Ki Nasim-E-Sahar Ka Jhonka Hai;
Bikhar Hi Jaun Jo Us Ko Gale Lagaun Main;

Azan Ke Bad Dua Ko Jo Hath Uthaye Wo;
Iman Apni Namazen Bhi Bhool Jaun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apni Madhosh Nigahon Se Sawera Karna;
Issi Veeran Shabistan Mein Ujala Karna;

Tergi Rehti Hai Teri Shab-O-Roz Yahan;
Tum Kisi Roz Yahan Aake Basera Karna;

Woh To Phoolon Se Bhi Nazuk Hai Bahat Der Talak;
Jab Bhi Dekho To Nazar Uski Utara Karna;

Apni Zulfon Mein Chupalon Mujhko Udaas Hoon Main;
Roshni Chubhti Hai Ankhon Mein Adhera Karna;

Yoon To Har Din Teri Khushbu Se Jawan Rehta Hai;
Ankh Lag Jaye To Khwabon Mein Bhi Aya Karna;

⬉Woh Kisi Roz Idher Se Bhi Guzar Sakti Hai;
Tum Na Ik Pal Bhi Nazar Apni Hataya Karna;

Tumne Baadal Ki Tarha Dhoop Chhupani Hai Aziz;
Tum Har Ek Sham Use Chaand Dikhaya Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Jan-E-Sukun Aa Bhi Ja Tera Hi Intazar Hai;
Aankhon Se Ashk Hai Ravan Jan Bhi Beqarar Hai;

Hone Ko Fasl-E-Gul Bhi ⬈Hai Davat-E-Aish Hai Magar;
Apni Bahar Ka Mujhe Aj Bhi Intazar Hai;

Sare Sahare Ishq Ke Toot Chuke Hain Hijr Mein;
Ek Tumhari Yaad Bas Dard Ke Gam-Gusar Hai;

Ahad-E-Vafa Ka Aap Ke Lutf-O-Karam Ka Aap Ke;
Aur Kisi Ko Ho Na Ho Mujh Ko Aitabar Hai;

⧭Lut Gai Gham Ke Aabaru Lut Chuki Dil Ke Aarzoo;
Yahya Nigah-E-Lutf Ka Phir Bhi Ummidvar Hai! Yahya Jasdanwalla
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ye Dil Kabhi Na Muhabbat Mein Kamayab Hua;
Mujhe Kharab Kiya, Aap Bhi Kharab Hua;

Ajal Men, Zist Mein Turabat Men, Hashr Mein Zalim;
Tere Sitam Ke Liye ⬉Main Hi Intakhab Hua;

Nigah-E-Mast Ko Saqi Ke Kon De Ilzam;
Mera Nasib Ki Rusava Mera Shabab Hua;

Hamare Ishq Ke Das-Bis Ne Bhi Dad Na Di;
Kisi Ka Husn Zamane Mein Intakhab Hua;

Fana Ka Dawa Hazaron Ko Tha Zamane Mein;
Habab Ne Mujhe Dekha To Aab-Ab Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyana Kiya;
Phir Aj Kis Ne Sukhan Hum Se Gayebana Kiya;

⧬Gam-E-Jahan Ho, Rukh-E-Yar Ho Ke Dast-E-Udu;
Salook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya;

The Khak-E-Rah Bhi Hum Log Qahar-E-Tufan Bhi;
Saha To Kya Na Saha Aur Kiya To Kya Na Kiya;

Khusha Ke Aj Har Ik Muddai Ke Lab Par Hai;
Wo Raz Jis Ne Hamen Rand-E-Zamana Kiya;

Woh Hilagar Jo Vafaju Bhi Hai Jafakhu Bhi;
Kiya Bhi Faiz To Kis But Se Dostana Kiya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare;
Tujh Ko Tera Nasib Rulaye Khuda Kare;

Raton Mein Tujh Ko Neend Na Aaye Khuda Kare;
Tu Dar-Ba-Dar Ke Thokaren Khaye Khuda Kare;

Aaye Bahar Tere Gulistan Mein Bar Bar;
Tujh Par Kabhi Nikhar Na Aaye Khuda Kare;

⧬Tera Na Koi Sath Nibhaye Khuda Kare;

Manzil Kabhi Bhi Pyar Ke Tujh Ko Na Mil Sake;
Tu Bhi Dua Ko Hath Uthaye Khuda Kare;

Tujh Par Shab-E-Visal Ke Raten Haram Hon;
Shammen Jala Jala Ke Bujhaye Khuda Kare;

Ho Jayen Bad-Duayen 🔺Meri Dosto Galat;
Ab Un Pe Koi Harf Na Aaye Khuda Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

No comments :

Post a Comment