Gujarish Hamari shayari latest



  1. Tumhi Ko Dil Diya, Tumhi Ko Jaan Denge,
  2. Kabhi Mujhse Ye Kaha Karte The,
  3. Inhi Baaton Ke Sahare Tumhara Intezaar Kiya,
  4. Inhi Yaadon Mein Ab Hum Apni Zindagi Guzar Denge.


  5. =============================================



  6. Na Jaane Kyun Abhi Ek Aansu Aankh Se Chalka,
  7. Dil Ko Shayad Zoro Se Tumhari Yaad Aayi Hai,
  8. Chahat Hai Itni Tumse Milne Ki Hume,
  9. Ki Haste Hue Bhi Aankhein Bhar Aayi Hai.


  10. =============================================

  11. Nafrat Bhi Pyaar Ki Buniyad Hoti Hai,
  12. Mulaqaat Se Achi Kisi Ki Yaad Hoti Hai,
  13. Rishto Mein Faslo Ka Wajood Nahi Hota,
  14. Kyuki Dil Ki Duniya To Khayalo Se Abaad Hoti Hai.

  15. =============================================
  16. Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye,
  17. Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Pal-Pal Ke Liye,
  18. Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye,
  19. Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye.



  20. =============================================


  21. Nazaron Ko Nazare Ki Kami Nahi Hoti,
  22. Baharo Ko Phool Ki Kami Nahi Hoti,
  23. Aap Hame Kyu Yaad Karenge Aap Toh Asmaan Hai,
  24. Aur Asmaan Ko Sitaro Ki Kami Nahi Hoti.

  25. =============================================


  26. Kabhi Hasa Dete Ho, Kabhi Rula Dete Ho,
  27. Kabhi Kabhi Neend Se Jaga Dete Ho,
  28. Magar Jab Bhi Dil Se Yaad Karte Ho,
  29. Kasam Se Zindagi Ka Ek Pal Badha Dete Ho.

  30. =============================================

  31. Gujarish Hamari Wo Maan Na Sake,
  32. Majburi Hamari Wo Jaan Na Sake,
  33. Kehte Hai Marne Ke Baad Bhi Yaad Rakhenge,
  34. Jeete Ji Jo Hame Pehchan Na Sake.

  35. =============================================

  36. Hichkiya Kyun Mujhe Aane Lagi Hai,
  37. Fizhaon Se Bhi Siskiya Aane Lagi Hai,
  38. Yeh Sochkar Dil Hai Bahut Khush,
  39. Ki Yaad Meri Bhi Kisi Ko Ab Aane Lagi Hai.


  40. =============================================
  41. Kuch Meethe Pal Yaad Aate Hain,
  42. Palko Par Aansu Chod Jaate Hain,
  43. Kal Koi Mile To Hume Na Bhool Jana,
  44. Dosti Ke Rishte Zindagi Bhar Kaam Aate Hain.

  45. =============================================


  46. Agar Dil Toote To Dukh Jarur Hota Hai,
  47. Phir Yaad Use Karke Dil Bhi Rota Hai,
  48. Ehsaas Dard Ka Sirf Use Hi Hota Hai Jo,
  49. Dusro Ki Muskan Ke Liye Khud Ko Dard Deta Hai.



  50. =============================================


  51. Saare Shikwe Janab Tere Hai,
  52. Dil Pe Saare Azaab Bhi Tere Hai,
  53. Tum Yaad Aao To Neend Nahi Aati,
  54. Neend Aaye To Saare Khwab Tere Hai.

  55. =============================================


  56. Rishta Banaya Hai To Nibhayenge,
  57. Har Pal Aapko Hasayenge Rulayenge,
  58. Aapko To Fursat Nahi Hai Yaad Karne Ki,
  59. Hum Hi Msg Kar Kar Ke Apko Satayenge.


  60. =============================================

  61. Koshish To Kijiye Humse Yaad Karne Ki,
  62. Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge,
  63. Tamana To Kijiye Humse Milne Ki,
  64. Bahane To Apne Aap Hi Mil Jayenge.

  65. =============================================

  66. Hum Kabhi Apno Se Khafa Ho Nahi Sakte,
  67. Pyar Ke Rishte Bewafa Ho Nahi Sakte,
  68. Aap Bhale Hame Bhul Ke Soo Jao,
  69. Hum Aapko Yaad Kiye Bina Reh Nahi Sakte.

  70. =============================================



  71. Tum Banke Dost Aise Aaye Meri Zindagi Mein,
  72. Ki Hum Iss Saare Zamana Ko Hi Bhul Gaye,
  73. Tumhe Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
  74. Par Hum To Tere Bagair Jeena Hi Bhul Gaye.

  75. =============================================


  76. Saari Duniya Ki Muskan Tere Paas Hai,
  77. Yeh Zameen Aur Aasman Tere Paas Hai,
  78. Gam Na Karna Ki Tujhe Yaad Nahi Karte,
  79. Aye Dost Meri To Jaan Bhi Tere Paas Hai.



  80. =============================================


  81. Chahat Hai Maut Ki Jo Paas Nahi Aati,
  82. Tamanna Hai Jis Khushi Ki Wo Raas Nai Aati,
  83. Udhas Ho Gaye Hai Zindagi Rote-Rote,
  84. Kuch Yaade Hai Jo Tadpane Se Hame Baaz Nai Aati.


  85. =============================================




  86. Unki Nazron Se Door Jayenge Hum,
  87. Door Fizaon Mein Kabhi Kho Jayenge Hum,
  88. Meri Yaadon Se Lipat Ke Royege Wo,
  89. Zameen Odh Ke Jab So Jayenge Hum.

No comments :

Post a Comment