hindi wafa shayari for you


  1. Unki Wafa Kaisi H Pta To Chala
  2. Thokar Mili Par Zakham Ka Pta To Chala
  3. Sataya Hume Jisne Har Pal Begano Ki Tarah
  4. Kon H Apna Kon H Paraya Pta To Chala
  5.  ..............................................................................
  6. Har baar unki salamati ki dua karenge,
  7. unki aarzu me apni hasti fanah karenge,
  8. wo chahe daaman bachale humse lekin,
  9. hum marte dam tak unse wafa karenge…
  10.  ..............................................................................
  11. Kal Na Hum Honge Na Koi Gila Hoga
  12. Kal Na Hum Honge Na Koi Gila Hoga
  13. Sirf Simti Hui Yaado Ka Silsila Hoga
  14. Do Lamhe Hi Chalo Haskar Bita Le
  15. Jaane Kal Zindagi Ka Kya Faisla Hoga.

  16. Apni Zindagi Se Kuch Pal De De Mujhe,
  17. Aaj Na Sahi Too Apna Kal De De Mujhe,
  18. Khushi De Ya Na De Marzee Teri,
  19. Apna Dukh Aur Dard Tu Chal De De Mujhe.
  20. Na Kiya Kar Apne Dard-E-Dil Ko,
  21.  ..............................................................................
  22.  ..............................................................................

  23. Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log
  24. Merey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke Log
  25. Main Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney Wala
  26. Kiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke Log
  27.  ..............................................................................
  28. Vaade Bhi Usne Kya Khoob Nibhaye Hai,
  29. Zakhm Muft Aur Dard Tohfe Me Bhijwaye Hai.
  30. Is Se Badhkar Wafadari Ki Misaal Kya Hogi
  31. Maut Se Pehle Vo Kafan Le Aaye Hai.
  32.  ..............................................................................
  33. Chaha Hai Is Ko Rooh Ki Gehraiyoon Ke Sath
  34. Zinda Hoon Apni Zaat Ki Tanhaiyon Ke Sath,
  35. Roka Nahi Tha Us Ko Becharne Ke Waqat Bhi
  36. Apni Wafa Peh Naaz Tha Sachiyon Ke Sath
  37.  ..............................................................................
  38. Wo Ro Ro Ke Ham Pe Eljam Lagate Chale Gaye
  39. Ham Khune Ask Ko Jigar Me Dabate Chale Gaye
  40. Ab Jab Jalta Hai Dil Asko Ke Aag Se To Kya Gum Hai
  41. Hum Bhi To Ek Bewafa Se Wafa Nibhate Chale Gaye
  42.  ..............................................................................
  43. Woh Mera Ho Jo Nighaaon Main Hayya Rakhta Ho
  44. Umar Bhar Sath Chalnay Ka Azmay Wafa Rakhta Ho
  45. Naaz Uss Kay Na Utthon To Shikayat Na Kary
  46. Woh Zakham Kha Ker Bhi Muskranay Ki Adda Rakhta Ho
  47.  ..............................................................................
  48.  ..............................................................................
  49. Wafa Ka Naam Na Lo Yaro
  50. Wafa To Dil Dukhati Hai
  51. Aaj Bhi Koi Wafa Ki Baat Karta Hai
  52. To Humhe Kisi Bewafa Ki Yaad Aati Hai
  53.  ..............................................................................
  54. Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
  55. Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi
  56. Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
  57. Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi
  58. Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
  59. Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi
  60. Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
  61. Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi
  62. Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
  63. Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi
  64.  ..............................................................................
  65. Chahe Wafa Me Thokre Khate Raho,
  66. Fir Bhi Rasme Wade Nibhate Raho,
  67. Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai Yaaro,
  68. Ki Jakhm Khate Raho Aur Bas Muskurate Raho
  69.  ..............................................................................
  70. Jab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke Saath
  71. Meri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke Log
  72. Aur Kiyaa Doon Tujhey Ain Apni Wafaaon Ka Suboot
  73. Ab Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log.
  74.  ..............................................................................
  75. Hamaarii Zindagi Ghut Ghut Kar Kat Rahi Hai Ae Bewafa
  76. Aur Aap Hamaarii Bebasi Par Has Rahi Hain
  77. Humne Aapko Kitna Pyaar Kiya Tha
  78. Par Aapne Hamaare Seene Par Vaar Kiya
  79.  ..............................................................................
  80. Zindagi Me Is Kadar Apko Wafa Denge,
  81. Aapki Har Khushi Ke Khatir Aanshu Tak Baha Denge,
  82. Har Pal Yaad Rakhenge Aapki Dosti Ko Hum,
  83. Door Rah Kar Bhi Aapko Dil Se Dua Denge.
  84.  ..............................................................................
  85. Ik Karb E Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta
  86. Dil Sabar Ka Aadi Kabhi Rone Nahi Deta
  87. Main Uska Hoon Ye Raaz To Woh Jaan Gaya Hai
  88. Woh Kis Ka Hai Ehsaas Ye Hone Nahi Deta
  89.  ..............................................................................
  90. Khuda Kisi Ko He Aisa Kamaal Deta Hay
  91. Jo Aynye Ko B Herat Main Dal Deta Hay
  92. Baraye Naam B Jis Ko Wafa Nahi Ati
  93. Wo Dosroon Ko Wafa Ki Misaal Deta Hay
  94.  ..............................................................................
  95. Wo Pyari Nigah Sada Yad Rahegi
  96. Mil Kar Na Milney Ki Ada Yad Rahegi
  97. Mumkin Hey Mere Bad Wo Mujey Bhol Jaye
  98. Lekin Umer Bhar Usey Meri Wafa Yaad Rahegi
  99.  ..............................................................................
  100. Tum Say Kahnay Kay Liaay Bay-Qarar Hain Hum
  101. Such Tumharay Hi Talab-Gaar Hain Hum
  102. Waqat Milay To Kabhi Mil Ker Dekhiay
  103. Such Baray Hi Milansar Hain Hum
  104. Sath Wafa Say Nibhaay Gay Hum
  105. Such Baray Wafa-Daar Hain Hum
  106.  ..............................................................................
  107. Wafa Mein Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai
  108. Woh Sach Kahe Na Kahe Aetbar Karna Hai
  109. Ye Tujko Jagte Rehna Ka Shouk Kabse Hoa
  110. Mojhe Tu Khair Tera Intezar Karna Hai
  111.  ..............................................................................
  112. Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
  113. Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya
  114. Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
  115. Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya
  116. Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
  117. Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya
  118. Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
  119. Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya
  120. Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
  121. K Hum NE Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya
  122.  ..............................................................................
  123.  ..............................................................................
  124. Har Din Hum Aapki Salamati Ki Dua Karnenge,
  125. Teri Chahat Me Meri Hasti Fanna Karenge,
  126. Tum Chaho Jitna Bhi Daaman Bacha E Rakho,
  127. Par Hum Aakhri Saans Tak Apse Wafa Karenge. Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
  128. Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
  129. Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
  130. Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua DengeNa Ziker Ker Meri Aada K Bary Mein
  131. Hum Bhi Janty Hain Sab Kuch Wafa K Bary Mein
  132. Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhty Hain
  133. Jinhy Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bary Mein
  134.  ..............................................................................
  135. Apki Chahat Ki Qadar Karte Hain
  136. Salam Apki Dosti Ki Nazar Karte Hain
  137. Jo Karte Hain Wafa Hum Se
  138. Jaan Apni Hum un Ki Nazar Karte Hain
  139.  ..............................................................................
  140. Khafa Bhi Rehte Hain,
  141. Or Wafa Bhi Krte Hain,
  142. Is Tarha Apne Pyar Ko Bayan Bhi Krte Hain,
  143. Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,
  144. Khona Bhi Chahte Hain,
  145. Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.
  146.  ..............................................................................
  147. Koi khushiyon ki chaah mein roye,
  148. Koi dukhon ki panaah se roye,
  149. Ajeeb silsila hai ishq aur mohabbat ka,
  150. Koi wafa ke liye roye koi wafa karke roye
  151.  ..............................................................................
  152. ”Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain
  153. Aur phir se laut jati hain..
  154. Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain
  155. Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain…”
  156.  ..............................................................................
  157. Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupaate Kyun Ho,
  158. Mujh Se Sharmaate Ho Tou Saamne Aatay Kyun Ho…
  159. Tum Kabhi Meri Tarah Kar Bhi Lo Iqraar-e-Wafaa,
  160. Pyar Karte Ho Tou Phir Pyar Chhupaate Kyun Ho…  0 Share0
  161.  ..............................................................................
  162. Or Ishq Me Wafa Bhi Karte Ho,
  163. Is Tarah Se Apni Mohabbat Ko bayaan Bhi Karte Ho,
  164. Ye Kaisi Narazgi He Hame Unse,
  165. Hame Khona Bhi Chahte He,
  166. Aur Paane Ki Dua Bhi Karte He.
  167.  ..............................................................................
  168. Taras Gaye Thodi Si Wafaa Ke Liye.
  169. Kisi Se Pyaar Naa Karenge Khuda Ke Liye.
  170. Jab Bhi Lagti Hain Ishq Ki Aadalat.
  171. Hum Hi Kyun Chune Jate Hain Sazaa Ke Liye.
  172.  ..............................................................................
  173. Chaha Tha Usko Rooh Ki Gehraion K Sath
  174. Zinda Hoon Apni Zat Ki Tanhayion K Sath
  175. Roka Nahi Tha Usko Bicharnay K Waqt Bhi
  176. Apni Wafa Pay Naz Tha Sachaion K Sath
  177.  ..............................................................................
  178. Roya Hai Dil Aankh Muskurai Hai
  179. Yun Hi Humne Wafa Nibhai Hai
  180. Jo Na Ek Lamha Bhi Humein De Paye
  181. Uski Khatir Humne Saari Umar Gavai Hai.
  182.  ..............................................................................
  183. Zehar Maanga To Bas Duhayee Mili
  184. Pyar Maanga To Sirf Ruswayee Mili
  185. Saath Maanga To Hame Tanhayee Mili
  186. Aur Wafa Chaahi To Bewafayee Mili
  187.  ..............................................................................

  188. Jo Wafa K Badle Sirf Bewafai Pate Hai
  189. Dard Ko Chupakar Jo Hasna Sikh Jate Hai
  190. Dil Tutne Ka Dard Kuch Isa Hme Sikha Jata Hai
  191. Jo Ise Samajte H Wo Ouro K Liye Ek Misal Ban Jate Hai
  192.  ..............................................................................
  193. Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya,
  194. Kya Karu tumne Jo Mujhe Bhula Diya,
  195. Na Karti Wafa Na Milti Ye Saza,
  196. Shayad Meri Wafao Ne hi tujhe Bewafa Bana Diya.
  197.  ..............................................................................
  198. Use humse bahut pyaar hai,
  199. Kisi aur ki baahon me hokar bhi,
  200. Dil me uske humara naam hai,
  201. Isi ek wajah se iss jahan mein,
  202. Bewafai ke aage wafa badnaam hai.
  203.  ..............................................................................
  204. Wafa ke naam se woh anjaan the
  205. Kisi ki bewafai se shayad preshaan the
  206. Humne wafa deni chaahi to pata chala
  207. Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.
  208.  ..............................................................................
  209. Wafa Ki Keemat Pata Chal Jayegi Kabhi Mujhe Aazma K Toh Dekh
  210. Kabhi Mere Aansuon Ko Apni Ankhon Pe Saza K Toh Dekh
  211. Mere Dard Ko Mehsus Karna Hai Toh
  212. Kabi Kisi Bewafa Se Pyar Ka Rishta Nibha K Toh Dekh
  213.  ..............................................................................
  214. Kabhi Na Dard-e-Bewafai Ka Gila Nhin Krty
  215. Muqdar Me Jo Na Hon Wo Mila Nhi Krty
  216. Mat Dekh Kisi Ko Nigah-e-Hsrat Se
  217. Wafadar Log Kisi Ki Nazron Se Gira Nhi Krte
  218.  ..............................................................................
  219. Wafa ka naam na lo yaro,
  220. Wafa dil ko dukahati hai,
  221. Jab bhi Wafa ka naam lete hai,
  222. Hume ek bewafa ki yaad Aati hai
  223.  ..............................................................................


  224. Hamari Dastan Use Kaha Kubul Thi
  225. Meri Wafayen Uske Liye Fizool Thi.
  226. Koi Aas Nahin Lekin Koi Itna Bata Do
  227. Maine Chaha Use Kya Ye Meri Bhool Thi.
  228.  ..............................................................................
  229. Pyaar Tu Jis Haal Main Ho Hmesha Dard Hi Deta Hai,,
  230. Kabhi Apno Ki Judaii Se Kabhi Kisi Ki Be-Wafai Se.
  231.  ..............................................................................
  232. “Ajeeb Hai Mohabbat” Har Pal Usey Sochna,
  233. Har Pal usey khojna, Kabhi usey paa laina,
  234. Kabhi usey kho daina…
  235. Mein ajeeb, meri mohabbat us se bhi ajeeb,
  236. Usey yaad karna, Aur phir roo daina.
  237.  ..............................................................................
  238. Wo Bole Muhabbat Ka Sagar Bohat Gehra Hai SAQI
  239. Hum Ne Kaha Doobny Wale Kabhi Socha Nahi Karte.
  240.  ..............................................................................
  241. Nigahon Sy Qatal kr Dalo na ho takleef dono ko.
  242. Tmhan khanjar Uthany ki Haman Gardan Jhukany ki.
  243.  ..............................................................................
  244. Kehne ko bohat c batain hn is Dil mein mere hamdam !!
  245. Kuch lafzon mein sun lo., Meri Akhri Khwahish ho tum..!!
  246.  ..............................................................................
  247. Na janay kis tarha ka rishta hai mera us ki zaat se ke,
  248. W0 zara sa bhi kham0sh h0 t0u saans thehr si jati hai.
  249.  ..............................................................................
  250. Kuch khass Nahi Bus Itni Si MuhabbaT He Meri…
  251. Har Raat Ka Akhri Khayal TUM…
  252. Har Subha Ki Pheli Soch TUM…
  253. Kyon Ke Tum Hi Ho Ab Tum Hi Ho Zindagi Ab Tum Hi Ho.
  254.  ..............................................................................
  255. Jab Bhi Yaad Aati Hai Muskuraa Lete Hain..
  256. Kuch Palo Ke Liye Har Gam Bhula Lete Hain..
  257. Kaise Bheeg Sakti Hai Aapki Palke..
  258. Aapke Hisse Ki Ansoo To Hum Bahaa Lete Hain

No comments :

Post a Comment