Faiz Ahmad Faiz ShayariHindi Now2017

⬉⬉Yeh Ajab Qayamatein Hain Teri Rahguzar Mein Guzari;
Na Ho Ke Mar Mittein Hum, Na Ho Ke Jee Uthein Hum⬋⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Utth Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar;
Kuch Dil Hi Jaanta Hai Ki Kis Dil Se Aaye Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Tum Aaye Ho, Na Shab-e-Intezar Guzri Hai,
Talash Mein Hai Sahar, Baar, Baar Guzri Hai;

Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai,
Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai;

Woh Baat Sare Fasane Mein Jiska Zikr Na Tha,
Woh Baat Un Ko Bahut Nagavar Guzri Hai;

⬉⬉Na Gul Khile Hain, Na Un Se Mile Hain, Na Mai Pi Hai,
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar, Guzri Hai;

Chaman Pe Gharat-e-Gulchin Se Jane Kya Guzri,
Qafas Se Aaj Saba Be-Qarar Guzri Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Musaafir Yun Hi Masroof-E-Safar Jaayen Ge,
Be-Nishaan Ho Gaye Jab Shehar To Ghar Jaayen Ge;

Kis Kadar Hoga Yahan Mehr-O-Wafa Ka Maatam,
Hum Teri Yaad Se Jis Roz Utar Jaayen Ge;

Jauhri Band Kiye Jaate Hain Bazaar-E-Sukhan,
Hum Kise Bechne Almaas-O-Gauhar Jayen Ge;

Nemat-E-Zeest Ka Yeh Karz Chukega Kaise,
Laakh Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Rahen Mar Jaayen Ge;

Shayad Apna Bhi Koi Bait Hudi-Khvan Ban Kar,
Saath Jaaye Ga Mere Yaar Jidhar Jaayen Ge;

Faiz Aate Hain Rah-E-Ishq Main Jo Sakht Maqaam,
Aane Walon Se Kaho Hum To Guzar Jaayen Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jaane Kis Liye Umeed-Vaar Baitha Hun,
Ek Aisi Raah Pe Jo Teri Rahguzar Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Meharban;
Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ne Sab Sher Mein Sanware The;
Hum Se Jitne Sukhan Tumhare The;

Rang-o-Khusbhu Ke Husn-o-Khoobi Ke;
Tum Se The Jitne Istiare The;

⧭⧭Tere Kaul-o-Karar Se Pehle;
Apne Kuch Aur Bhi Sahare The;

Jab Wo Laal-o-Gohar Hisab Kiye;
Jo Tere Gham Ne Dil Pe Vaare The;

Mere Daaman Mein Aa Gire Saare;
Jitne Tasht-E-Falak Mein Taare The;

Umar-E-Jaaved Kee ⬉⬉⬉Dua Karte;
'Faiz' Itne Wo Kab Hamare The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Zindagi Kya Kisi Muflis Ke Qabaa Hai Jis Mein;
Har Ghadi Dard Ke ⬱⬱⬻Paiband Lagaye Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na Mai Pee Hai;
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bane Hain Ahal-E-Hawas Muddai Bhi Munsif Bhi;
Kise Vakeel Karein Kisse Munsifi Chaahen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain;
Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain;

Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain;
To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain;

Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai;
Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain;

Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan;
To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain;

Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari;
Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain;

Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai;
To 'Faiz' Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge;
Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge;

Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge;

Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo;
Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge;

Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali;
Gesuon Wale Kaun ⬉⬉⬉The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge;

'Faiz' Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi;
Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kar Rahaa Tha Gham-e-Jahaan Ka Hisaab;
Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain;
Jaise Bichhde Hue Kaabe Mein Sanam Aate Hain;

Ek Ek Kar Ke Hue Jaate Hain Taare Roshan;
Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain;

Raqs-e-Mai Tez Karo Saaz Kee Lai Tez Karo;
Su-e-Mai-Khana Safeeran-e-Haram Aate Hain;

Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag;
Wo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain;

⬉⬉Aur Kuch Der Na Guzre Shab-e-Furqat Se Kaho;
Dil Bhi Kam Dukhta Hai Wo Yaad Bhi Kam Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Hairan Hai Jabeen Aaj Kidhar Sajda Ravaa Hai;
Sar Par Hain Khudavand Sar-e-Arsh Khuda Hai;

Kab Tak Ise Seenchoge Tamanna-e-Samar Mein;
Ye Sabr Ka Pauda To Na Phula Na Phala Hai;

Milta Hai Khiraj Us Ko Teri Naan-e-Javin Se;
Har Baadshah-e-Waqt Tere Dar Ka Gadaa Hai;

Har Ek Uquubat Se Hai Takhi Mein Sava-Tar;
Wo Rang Jo Na-Karda Gunahon Kee Saza Hai;

Ehsaan Liye Kitne Maseeha-Nafson Ke;
Kya Kijiye Dil Ka Na Jala Hai Na Bujha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se;
Wo Aazmaish Dil O Nazar Kee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se;
Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se;
Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Mehrban;
Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊Baat Bas Se Nikal Chali Hai;
Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai;

Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai;
Ab Tabiyat Behal Chali Hai;

Ashk Khoonaab Ho Chale Hain;
Gham Kee Rangat Badal Chali Hai;

Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein;
Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai;

Lakh Paigam⬑⬑⬑ Ho Gaye Hain;
Jab Saba Ek Pal Chali Hai;

Jao, Ab So Raho Sitaro;
Dard Kee Raat Dhal Chali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Wo Ja Raha Hai Koei Shab-e-Gham Guzaar Ke;

Veeran Hai Maykada Khum-o-Sagar Udas Hain;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Humne Haunsle Parwaradigaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Began Kar Diya;
Tum Se Bhi Dilfareb Hain Gham Rozgar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
Mat Puch Valvale Dil-e-Nakardkaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab;
Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab;
Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain;
Jaise Bichhade Hue Kabe Mein Sanam Aate Hain;

Ik Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Tare Roshan;
Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain;

Raqs-e-May Tez Karo, Saaz Kee Lai Tez Karo;
Su-e-Maikhana Safiraan-e-Haram Aate Hain;

Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag;
Woh To Jab Aate Hain Mail-ba-Karam Aate Hain;

Aur Kuch Der Na Guzare Shab-e-Furqat Se Kaho;
Dil Bhi Kam Dukhata Hai Woh Yaad Bhi Kam Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin;
Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain;
Kareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain;

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai;
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain;

A⬊⬊bhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do;
Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain;

Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti;
Nigahein Churane Ke Din Aa Rahe Hain;

Saba Phir Humein Puchti Phir Rahi Hai;
Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain;

Chalo 'Faiz' Phir Se Kahin Dil Lagyein;
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Kahan Tak Sunegi Raat Kahan Tak Sunayein Ge hum;
Shikwe Sare Sab Aaj Tere Rubaru Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge;
Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-e-Gam Guzaar Ke;

Veeraan Hai Maikada Khum o Sagar Udaas Hain;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Hum Ne Haunsle Parwardigaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Baigana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gam Rozgaar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Woh Aaj 'Faiz';
Mat Puch Valvale Dil-e-Naa-Karda-Kaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar Ke;

Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar Ke;

⬇⬇Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kab Tak Dil Ki Khair Manaae Kab Tak Raah Dikhaaoge;
Kab Tak Chain Ki Mohalat Doge, Kab Tak Yaad Na Aaoge;

Bitaa Did Umeed Kaa Mausam, Khaak Udati Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Kaa Baadal, Kab Barkhaa Barasaaoge;

Ahad-e-Vafaa Aur Tark-e-Mohabbat Jo Chaaho So Aap Karo;
Apane Bas Ki Baat Hi Kyaa Hai, Hamase Kyaa Manavaaoge;

Kisne Vasl Kaa Sooraj Dekhaa, Kis Par Hijr Ki Raat Dhali;
Gesuon Vaale Kaun The, Kya The, Unko Kya Jatalaaoge;

'Faiz' Dilon Ke Bhaag Mein Hai Ghar Basanaa Bhi Lut Jaanaa Bhi;
Tum Us Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitane Din Itaraaoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Yun Saja Chaand Ki Chalka Tere Andaaz Ka Rang;
Yun Fazaa Mehaki Ki Badla Mere Humaraaz Kaa Rang;
Saya-­e­-Chashm Mein Hairaan Rukh­-e­-Raushan Ka Jamaal;
Surkhi-­e­-Lab Pe Pareshaan Teri Aawaaz Ka Rang;
Bepiye Hon Ki Agar Lutf Karo Aakhir­-e­-Shab;
Sheesha­-e­-May Mein Dhale Subah Ke Aagaaz Ka Rang;
Chango-­Nay Rang Pe The Apane Lahoo Ke Dam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬇⬇Dunyaa Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mitt Jaye Gi Makhlooq To Insaaf Karo Ge;
Munsif Ho Agar To Hashar Uthaa Kyon Nahin Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Bara Hai Dard Ka Rishta, Yeh Dil Ghareeb Sahi;
Tumhare Naam Pe Aayen Ge Ghamgusaar Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge;
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge;

Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana;
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana;

Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena;
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena;

Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena;
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena;

Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena;
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari;
Na Ho Ke Mar Mittain Hum, Na Ho Ke Jee Uthain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia;
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia;

Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai;
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia;

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay;
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia;

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne;
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia;

'Faiz' Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki;
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ham Ki Thahre Ajnabii Itnii Mulaqaaton Ke Baad;
Phir Banenge Aashnaa Kitnii Mudaaraaton Ke Baad;
Kab Nazar Men Aayegi Be-Daagh Sabze Kii Bahaar;
Khuun Ke Dhabbe Dhulenge Kitnii Barsaaton Ke Baad;
The Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke;
Thiin Bohat Be-Meher Subahen Meherbaan Raaton Ke Baad;
Dil To Chaaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hii Na Dii;
Kuchh Gile Shikwe Bhii Kar Lete Munaajaaton Ke Baad;
Unse Jo Kahne Gaye The Faiz, Jaan Sadqe Kiye;
Ankahii Hii Rah Gayii Voh Baat, Sab Baatoon Ke Baad!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Bol, Ki Lab Aazaad Hain Tere;
Bol, Zubaan Ab Tak Terii Hai;

Teraa Sutvaan Jism Hai Teraa;
Bol Ki Jaan Ab Tak Terii Hai;

Dekh Ki Aahan-Gar Kii Dukaan Men;
Tund Hain Sho'le, Surkh Hai Aahan;

Khulne Lage Quflon Ke Dahaane;
Phailaa Har Ek Zanjiir Kaa Daaman;

Bol, Yah Thoraa Waqt Bohat Hai;
Jism-o-Zubaan Kii Maut Se Pahle;

Bol Ki Sach Zindaa Hai Ab Tak;
Bol, Jo Kuchh Kahnaa Hai Kah Le!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Tak Suney Gi Raat Kahan Tak Sunayen Ge Hum;
Shikwey Saarey Sabb Aaj Tere Rubaruu Karain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain Jali'n;
Phir Tassawur Ne Liya Uss Bazmm Mein Jaane Ka Naam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyana Kiya;
Phir Aj Kis Ne Sukhan Hum Se Gayebana Kiya;

Gam-E-Jahan Ho, Rukh-E-Yar Ho Ke Dast-E-Udu;
Salook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya;

⬉The Khak-E-Rah Bhi Hum Log Qahar-E-Tufan Bhi;
Saha To Kya Na Saha Aur Kiya To Kya Na Kiya;

Khusha Ke Aj Har Ik Muddai Ke Lab Par Hai;
Wo Raz Jis Ne Hamen Rand-E-Zamana Kiya;

Woh Hilagar Jo Vafaju Bhi Hai Jafakhu Bhi;
Kiya Bhi Faiz To Kis But Se Dostana Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Phir Koi Aaya Dil-E-Zar Nahi Koi Nahi;
Raharau Hoga Kaheen Aur Chala Jayega;

Dhal Chuki Raat Bikharne Laga Taron Ka Gubar;
Ladakhadane Lage Aewanon Mein Khwabida Chirag;

So Gai Rasta Tak Tak Ke Har Ek Rahaguzar;
Ajanabi Khak Ne Dhundala Diye Qadmon Ke Surag;

Gul Karo Shamen Bada Do Mai-O-Mina-O-Ayag;
Apne Bekhwab Kiwadon Ko Muqaffal Kar Lo;

Ab Yahan Koi Nahin, Koi Nahi Aayega ;
Phir Koi Aaya Dil-E-Zar Nahi Koi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉Aata Hai Yaad Mujhe Guzra Hua Zamana;
Woh Bagh Ki Bahaaren, Who Sab Ka Chahchahana;

Aazaadian Kahan Ab Who Apne Ghaunsle Ki;
Apni Khushi Se Aana, Apni Khushi Se Jana;

Lagti Hai Chot Dil Par Aata Hai Yaad Jisdin;
Shabnam Ke Aansoon Par Kalion Ka Muskarana;

Woh Piari Piari Soorat, Who Kaamni Si Moorat;
Aabaad Jis Ke Dam Se Tha Mera Aashiana;

Aati Nahin Sadaaen Uski Mere Qafas Mein;
Hoti Meri Rihaai, Ai Kash, Mere Bas Mein;

Kya Badnaseeb Main Hoon, Ghar Ko Taras Raha Hoon;
Saathi Tau Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Padah Hoon;

Aai Bahaar Kalian Phoolon Ki Hans Rahi Hain;
Main Is Andhere Ghar Mein Qismat Ko Ro Raha Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri;
Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudaya Meri;

Door Duniya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaey;
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaaey;

Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat;
Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat;

Zindagi Ho Meri Parwane Ki Soorat Yaarab;
Ilm Ki Shama Se Ho Mujhko Mohabbat Yaarab;

Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himayat Karna;
Dardmandon Se, Zaeefon Se Mohabbat Karna;

Mere Allah! Burai Se Bachana Mujhko;
Nek Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Judaai Mein Rahti Hoon Main Beqaraar;
Piroti Hoon Har Roz Ashkon Ke Haar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⭅Yeh Dekha Ki Main Ja Rahi Hoon Kahin;
⭅Andhera Hai Aur Rah Milati Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Raat Yoon Dil Mein Teree Khoyee Huee Yaad Aaee;
⧭Jaisey Veeraney Mein Chupkey Sey Bahaar Aa Jaaye;
⧭Jaisey Sahraaon Mein Hauley Sey Chaley Baad-e-Naseem;
⧭Jaisey Beemaar Ko ⭆Bevajah Qaraar Aa Jaaye!



No comments :

Post a Comment