Zindagi Shayari Shayari 2017

Ye Aur Baat Hai Ki Aandhi Hamare Bas Mein Nahi,
Magar Chirag Jalana To Ikhtiyar Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Toofano Mein Kashti Ko Kinaare Bhi Milte Hain;
Jahan Mein Logo Ko Sahaare Bhi Milte Hain;
Duniya Mein Sabse Pyaari Hai Zindagi;
Kuch Log Zindagi Se Bhi Pyaare Milte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyon Kiya Jaye;
Shaunk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar-Mar Ke Jiya Jaye;
Jab Jalebi Ki Tarah Uljh Hi Rahi Hai Tu Ai Zindagi;
Toh Fir Kyon Na Tujhe Chaashni Mein Dubokar Maza Hi Le Liya Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Daayra Har Baar Banata Hoon Zindagi Ke liye;
Lakeerein Wahin Rehti Hain Main Khisak Jaata Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Guzar Gayi Saari Kanton Kee Kagaar Par;
Aur Phoolon Ne Machai Hai Bheed Hamari Mazaar Par!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Tamaam Baatein Taqdir Mein Likhi Hoti Toh;
Main Apne Bando Ko Dua Maangna Na Sikhata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindagi Meri Thi Lekin Ab Toh;
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Ko Chupao;
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Kabhi Rootho Par Sabko Manao;
Raaz Hai Yeh Zindgi Ka, Bas Jeete Chale Jao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Chupao;
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Rutho Kabhi Par Sabko Manao;
Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jaate Hain;
Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain;
Tu Zindagi Main Sabse Azeez Hai Hamein;
Tujhse Har Bar Yeh Kehna Bhool Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Ek Baar Ki Maut Ab Use Mili Warna;
Zara Zara Sa Toh Hiddat Se Mar Raha Tha Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Apni To Zindagi Ki Ajeeb Kahani Hai;
Jis Cheez Ko Chaha Wo Hi Begani Hai;
Haste Hain Dunia Ko Hasane Ke Liye Warna;
Dunia Doob Jaye In Ankhon Main Itna Pani Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taash Ke Patoon Ki Manind Hai Zindagi Meri;
Jis Kisi Ne Bhi Khela, Taqseem Mar Diya Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hichkiyon Par Ho Raha Hai Zindagi Ka Raag Ḳhatam;
Jhatke De Kar Taar Tode Ja Rahe Hain Saaz Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Sake Aasani Se Uski Khawaish Kise Hai;
Zid To Uski Hai Jo Mukadar Me Likha Hi Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Fikr-e-Maash Ishq-e-Butan Yaad-e-Raftagan;
Is Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Badi Talash Se Milti Hai Zindagi Ai Dost;
Qaza Ki Tarah Pata Puchti Nahi Aati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Nagah Hum Kisi Se Mile;
Baad Muddat Ke Zindagī Se Mile!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka;
Lekin Ye Dekhna Hai Ki Mitti Kahan Ki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pehle Bhi Jeete The, Magar Jab Se Mili Hai Zindagi;
Seedhi Nahi Hai, Door Tak Uljhi Hai Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Achhi Bhali Thi Door Se, Jab Paas Aayi Kho Gayi;
Jis Mein Na Aaye Kuch Nazar Woh Roshni Hai Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sab Hawayein Le Gayaa Mere Samandar Ki Koi;
Aur Mujhko Ek Kashti Badvani De Gayaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Din Meri Arthi Is Duniya Se Vida Hogi;
Ek Alag Sama Hoga Ek Alag Baat Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Band Lifafe Pe Rakhi Chitthi Si Hai Ye Zindagi;
Pata Nahi Agle Hi Pal Kaun Sa Paigam Le Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Sikha Deta Hai Insan Ko Falsafa Zindagi Ka;
Phir To, Naseeb Kya, Lakeer Kya Aur Taqdeer Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raaste Kahan Khatam Hote Hain Zindagi Ke Is Safar Mein,
Manzil Wahi Jahan Khwahishen Tham Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Aarzoo Poori Ho To Jeene Ka Kya Maza,
Jeene Ke Liye Bas Ek Khoobsurat Wajah Ki Talaash Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyon Kiya Jaye,
Shaunk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar-Mar Ke Jiya Jaye.
Jab Jalebi Ki Tarah Uljh Hi Rahi Hai Tu Ai Zindagi,
Toh Fir Kyon Na Tujhe Chashni Mein Dubo Kar Maza Hi Le Liya Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nahi Maangta Ai Khudaa Ki Zindagi Sau Saal Kee De,
De Bhale Chand Lamhon Kee Lekin Kamaal Kee De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Samajh Na Aaye Ai Zindagi Tera Yeh Faisla,
Ek Taraf Kehte Hain Sabar Ka Phal Meetha Hota Hai,
Aur Dusri Taraf Kehte Hain Waqt Kisi Ka Intezar Nahi Karta!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udasiyon Ki Vajah To Bahut Hai Zindagi Mein,
Lekin Bevajah Khush Rehne Ka Maza Hi Kuch Aur Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan,
Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sikha Diya Hai Jahaan Ne Har Zakham Pe Hansna,
Le Dekh Zindagi, Ab Tujhse Nahi Darte Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Tasveer Bhi Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi;
Farak To Bas Iske Rango Ka Hai;
Mann Chahe Rango Se Bane To Hai Tasveer;
Aur Aanjane Rango Se Bane To Hoti Hai Taqdeer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ruthi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun;
Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi;
Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili;
Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Khade The Maut Kee Raah Pe Magar Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindagi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kashish Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Kee;
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge;
Waqt Hona Chahiye Kisi Ko Milne Ka;
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jaynege!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai;
Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai;
Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf;
Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi;
Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi;
Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain;
Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain;
Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai;
Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti;
Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log;
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itni Badsaluki Na Kar Ai Zindagi;
Hum Kaun Sa Yahan Baar-Baar Aane Wale Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De;
Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi;
Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu;
Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Afsos Hai Tujhe Sahab Na Koi Sharmindagi Hai;
Guzar Rahi Hai Jo Gunaahon Mein Yeh Kaisi Zindagi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho;
Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool Bankar Muskurana Zindagi;
Muskurake Ghum Bhulana Zindagi;
Jeet Kar Koi Khush Ho Toh Kya Hua;
Haar Kar Khushiyan Manana Bhi Hai Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gham-e-Hayaat Pareshaan Na Kar Sakega Mujhe;
Ki Aa Geya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin';
Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Yakeen Ke Raah Par Chal Pade, Unhein Manzilon Ne Panaah Dee;
Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya, Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Maut Ne Chupke Se Najaney Kya Kaha;
Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khawabon ki Tabeer Mein Zindgi Uljhaa Li Itni;
Ke Haqeeqat Mein Rehna Ka Saleeka Hi Hum Bhool Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kash Takdeer Bhi Hoti Zulf Ki Tarah;
Jab Jab Bikharti, Tab Tab Sawaar Lete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Khushi Se Agar Gham Mein Bhi Khushi Na Hui;
Woh Zindagi To Mohabbat Ki Zindagi Na Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haath Mein Haath Un Ka Yun Aaya;
Zindagi Mere Haath Lag Gai Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes 'Ghalib';
Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda To Milta Hai, Insaan Hi Nahin Milta;
Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aag Paani Mein Lagane Ka Hunar Seekha Hai;
Kaam Mushkil Hai Bahut Hum Ne Magar Seekha Hai;
Yeh Jo Chaltay Nazar Aatay Hain Musalsal Hum Log;
Kuch To Paanay Ki Talab Hai Jo Safar Seekha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Guzar Na Jaye Kahin Umar Ehteyaaton Mein;
Jo Kaam Karne Hain Woh Deewana-War Kar Daloon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Khaak Na Thi, Khaak Uddatey Guzri;
Tujhse Kya Kehtey Tere Pass Jo Atey Guzri;
Din Jo Guzraa To Kisi Yaad Mein Guzra;
Shaam Ayi To Koi Khawb Dikhatey Guzri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wohi Ahal-e-Karwan Hain Wohi Be Hisi Ka Alam;
Na Kisi Ko Manzil Na Gham-e-Shikasta Pani!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye They Chaar Din;
Do Aarzu Mein Katt Gaye Do Intizaar Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sheher Ki Be Chiraag Galiyon Mein;
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chupaaye Dil Mein Ajab Sa Ghubaar Bethe Hain;
Najane Kese Tassawur Mein Yaar Bethe Hain;
Luttaa Chuke Hain Murawwat Mein Zindagi Apni;
Tere Liye To Anaa Ko Bhi Maar Bethe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Ro Ke Dil Bahlata Hai;
Koi Hass Kar Dard Chhupata Hai;
Kya Karamaat Hai Kudrat Ka;
Zinda Insaan Paani Mein Doob Jaata Hai;
Aur Murda Tair Ke Dikhata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬇⬇Hamein To Kaatni Hai Sham-e-Gham Mein Zindagi Apni;
Jahan Woh Hain Wahin Aee Chaand Le Jaa Chaandni Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Do Mujh Par Kathin Guzre Hain Saari Umar Mein;
Ek Tere Aane Se Pehle Ek Tere Jaane Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha;
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya;
Magar Doston Ek Din Badala Lunga;
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Badal Jata Hai Insaan Badal Jate Hai;
Waqt Waqt Pe Rishto Ke Andaaz Badal Jate Hai;
Kabhi Keh Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya;
Din Or Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ittefaqan Jab Mil Jate Ho Rah Mein Tum Kabhi;
Yoon Lagta Hai Kareeb Se Zindagi Jaa Rahi Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Mein Jo Hum;
Chahte Hai Wo Aasani Se Nahi Milta;
Lekin Zindagi Ka Sach Yeh Hai Ki;
Hum Bhi Wohi Chahte Hai, Jo Aasan Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qabr Ki Mitti Haath Mein Liye Soch rahi Hoon;
Log Marte Hain To Guroor Kahan Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain;
Dil Ki Bataein Tumse Chupi Kab Hain;
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga;
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool Bankar Muskarana Zindagi;
Muskarake Gum Bhulana Zindagi;
Jeet Kar Koi Khush Ho To Kya Hua;
Haar Kar Khushiya Manana Bhi Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Karb E Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta;
Dil Sabar Ka Aadi Kabhi Rone Nahi Deta;
Main Uska Hoon Ye Raaz To Woh Jaan Gaya Hai;
Woh Kis Ka Hai Ehsaas Ye Hone Nahi Deta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Jab Kisi Doraahe Par Laati Hai;
Ek Ajeeb Si Kasamkash Mein Pad Jati Hai;
Chunte Hai Hum Kisi Ek Raah Ko;
Fir Kew Dusri Raah Bahut Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ush Hasti Se Jab Tak Koi Baat Nahi Hoti;
Din Nahi Nikalta Or Raat Nahi Hoti;
Na Ho Wo Khafa Kabhi Useh Kehna;
Bina Uske Toh Mukamal Meri Zaat Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qabr Ki Mitti Haath Mein Liye Soch Raha Hoon;
Log Marte Hain To Garoor Kahan Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Elahi Teri Mukhlooq Ka Ajab Tamasha Dekha;
Chalaktey Jaam Dekhey Samundar Ko Piyasa Dekha;
Ye Kya Maajra Hai Apni To Samajh Main Nahi Aaya;
Admi Apni Hi Justajoo Main Ulajhta Dekha⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jab Se Suna Hai Ki Marne Ka Naam Jindgi Hai;
Sar Pe Qafan Liye Qaatil Ko Dhundhte Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitnaa Khouff Hota Hai Shaam Kay Andheroon Mein;
Poonch Un Parindoo Say Jin Kay Gharr Nahi Hotay!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye;
Zindagi Tu Hi Bata Kaise Jina Chahiye;
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi;
Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai;
Ehsaas Ki Lau Aur Bhi Barh Jaati Hai;
Main Badhta Hoon Zindagi Ki Taraf Lekin;
Zanjeer See Paon Mai Chanak Jaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haath Mein Uske Kalam Ka Aana Acha Lagta Hai;
Usko Bhi School Ko Jaana Acha Lagta Hai;
Bada Kar Diya Ghardish Ne Waqt Se Pehle Warna;
Sar Pe Kisko Bojh Uthana Acha Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hasane Ke Baad Kyu Rulati Hai Duniya;
Jaane Ke Baad Kyu Bhulati Hai Duniya;
Zindagi Me Kya Koi Kasar Baaki Thi;
Jo Mar Jaane Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naraz Hona Aapse Galti Kehlayegi;
Aapki Ruswaie Se Saanse Tham Jayengi;
Haste Rehna Hamesha;
Aapki Hasi Se Hamari Zindagi Savar Jayegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Maut Ki Raah Pe Khade Hai Par Kambakt Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindgi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh ⬉⬉Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Lamha Apke Hothon Pe Muskan Rahe;
Har Gum Se Aap Anjaan Rahen;
Jiske Sath Mehak Uthe Aapki Zindgi;
Hamsha Aapke Pass Woh Insan Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Ko Samajhna Hai To Mujhe Dekho;
Keh Gaya Pani Ka Bulbula Jaate Jaate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Waqt Leta Hai Karvate Na Jaane Kaise Kaise;
Umar Itni toh Nahi Thi Jitne Sabak Seekh Liye Hamne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Har Waqt Milti Rahti Hain Anjani Si Saza Mujhe;
Main Kaise Poochun Taqdeer Se Mera Qasoor Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Runj Se Khugar Hua Insaan To Mit Jaata Hai Runj;
Mushkilein Mujh Par Padi Itni Ke Aasaan Ho Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Har Gam Par Hai Majamaa-E-Ushshaaq Muntazir;
Maqtal Ki Raah Milti Hai Kuu-E-Habeeb Se;
Is Tarah Zindagi Ne Diyaa Hai Hamaara Saath;
Jaise Koi Nibhaa Rahaa Ho Kisi Raqeeb Se⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Andhere Ke Humsafar Ko Koi Yaad Nahi Kartaa;
Subah Hote Hi Chiraagon Ko Bujha Dete Hain Sab Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaaha Hai Tujhko Tere Taghaful Ke Bawajood;
Aye Zindagi Tu Bhi Yaad Karegi Kabhi Humein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zameen Bhi Paaon Nahi Rakhne Deti Humein Ab To;
Humein Ye Zidd Hua Karti Thi Ki Ik Naya Aasmaan Banaayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Dua Gar Kabool Ho Jaaye;
Aadmi Be-Usool Ho Jaaye;
Vo To Ranj-O-Gham Raahaton Mein Shaamil Hain;
Varnaa Insaan Malool Ho Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zinda Rahein To Kya Hai, Jo Mar Jaayein Hum To Kya;
Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jaayein Hum To Kya;
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaane Ke Saamne;
Ek Khwab Hain Jahaan Mein Bikhar Jaayein Ham To Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mil Ke Bichadna Dastoor Hai Zindagi Ka;
Ek Ye Hi Kissa Mashur Hai Zindagi Ka;
Beete Hue Pal Laut K Nai Aate;
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chand Lamhon Mein Dekha Hai Hawaaon Ka Rukh Badalte Humne;
Jo Kal Tak Karib Hua Karte The, Aaj Wohi Raqeeib Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khaa Ke Thokar Bhi Na Sambhle To Musafir Ka Naseeb;
Farz To Adaa Karte Hain Raah Ke Patthar Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushiyon Se Naraaz Hai Meri Zindagi;
Pyaar Ki Mohtaaz Hai Meri Zindagi;
Hans Leta Hun Logon Ko Dikhane Ke Liye;
Warna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Main Mahfuz Rakhna Sitaaron Ko;
Ab Dur Talak Sirf Raat Hogi;
Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hain;
Kisi Naa Kisi Mod Par Phir Mulakaat Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Kuchh To Batlaao Kya Javaab Doon Aakhir;
Ek Savaal Karta Hai Roz Mujhsey Ghar Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil To Mil Hi Jayegi, Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah To Wo Hain, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Toofan Mein Taash Ke Ghar Nahi Bante;
Rone Se Bigde Muqadar Nahi Swarte;
Duniya Ko Jitne Ka Hausla Rakho;
Ek Haar Se Koi Faqeer Aur Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Bante!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushiya Batortey Batortey Umar Guzar Gayi;
Par Khush Na Ho Sakey;
Ek Din Ehsaas Hua Khush To Wo Log Hai, Jo Khushiya Baant Rahey Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zinda Hai Magar Jinne Ka Iraada Badal Diya;
Waqt Ke Tufaan Ne Har Ek Vaada Badal Diya;
Chal Sake Kissi Ke Sath Iss Kabil Na Rahe Aab;
Thokaron Ne Hame Itna Jayada Badal Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Ki Hoti Hai Khata, Aur Saza Dil Ko Mil Jaati Hai;
Pucho Na Yaaro Pal Mein Hi Kaise Zindagi Badal Jaati Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Jeena Aasaan Nahi Hota;
Bina Sangharsh Ke Koi Mahaan Nahi Hota;
Jab Tak Na Pade Hathode Ki Chot;
Pathar Bhi Bhagwaan Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai;
Her Kissi Ko Kissi Na Kissi Ki Talash Hai;
Kissi Ke Pass Manzil Hai, Toh Raah Nahi;
Aur Kissi Ke Pass Rah Hai, Toh Manzil Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kissi Se Aggar Juda Hona Itna Aasan Hota;
Toh Jism Se Rooh Ko Lene Kabhi Farishte Na Aate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Surma-e-Muft-e-Nazar Hoon, Meri Qeemat Yeh Hai;
Ke Rahe Chashm-e-Khareedaar Pe Ehsaan Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Rone Se Kissi Ko Paya Nahi Jata;
Khone Se Kissi Ko Bhulaya Nahi Jata;
Waqt Sabko Milta Hai Zindaagi Badalane Ke Liye;
Par Zindagi Nahi Milti Waqt Badalne Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghalib Bura Na Maan Jo Vaiz Bura Kahe;
Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Acha Kahein Jisse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qahar To Yeh Hai Ke Kafir Ko Milein Hoor-o-Qasoor;
Aur Bechaare Musalmaan Ko Faqt Waada-e-Hoor!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
How cruel that Kafirs are granted houries here on earth;
The poor Muslims have to wait for the promised nymphs above!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Basa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigah;
Ji Mein Kahte Hein Ke Muft Haath Aaey, Tau Maal Achha Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
ZINDAGI  
Saari Zindgaani Humne Bita Di;
Unka Ikraar-e-Ishq Itna Mushkil To Na Tha;
Hum Ikraar Karte Rahe, Wo Inkaar Karte Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maut Ke Baad Bhi Yaad Aa Raha Hai Koi;
Mitti Meri Kabr Se Utha Raha Hai Koi;
Ai Khuda, Do Pal Ki Zindagi Aur De De;
Meri Kabr Se Udaas Ja Raha Hai Koi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Hum Jawaani Mein Ishq Ko Mazaak Samajhte Rahe;
Iss Kambakht Ishq Ne Meri Zindgaani Ko Mazak Bana Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chirag Se Na Puchho Baaki Tel Kitna Hai;
Sanso Se Na Pucho Baaki Khel Kitna Hai;
Pucho Us Kafan Mein Lipte Hue Insaan Se;
Zindgi Mein Gum Aur Kafan Mein Sukoon Kitna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Honthon Se Angaare Barsate Rahe;
Kabki Labh Pe Labh Rakhte Gaye;
Iss Hi Tarahein Humne Zindgaani Bita Di;
Kabhi Takraar aur Kabhi Ikraar Karte Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Halaat Ne Tod Diya Mujhe Kache Dhage Ke Tarah;
Warna Mere Wade Bhi Kabhi Zanjeer Hua Karte The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindaagi Uski Jiss Ki Mout Pe Zamaana Afsos Karay, Ghalib;
Youn To Har Shaks Aata Hai Iss Dunia Main Marney Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Zindagi Mana Dard Bhari;
Phir Bhi Isme Ye Raahat Bhi Hai;
Main Hoon Tera Aur Tu Hai Meri;
Yunhi Rahe Hum, Ye Chahat Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuchh Iss Tarah Se Thukraya Zindaagi Ne Humein;
Abb Har Khushi Se Jaise Nafrat See Ho Gayi;
Dil Se Unhe Humne Kab Ka Nikaal Diya;
Abb Inn Saanso Mein Unki Khusbu Si Rah Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Yeh Dastoor-e-Zindaagi To Dekho;
Ishq-E-Bukhar Hum Ko Tha;
Lekin Hakim-E-Dawa Kissi Aur Ke Naseeb Mein Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kashmakash Mein Kat Gayi Saari Zindgaani;
Tanhayi Ne Jeene Na Diya Aur Justaju Ne Marne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Berukhi Aur Teri Meherbaani;
Yehi Maut Hai Aur Yehi Zindgaani!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kamaal Ka Hausla Diyaa Khuda Ne Hum Insaano Ko;
Waqif Hum Agle Pal Se Nahi Hote;
Aur Waade Hum Janmo Ke Kar Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taqderien Badal Jati Hain Jab Zindagi Ka Koi Maqsad Ho;
Warna Zindagi Kat Jati Hai Taqdeer Ko Ilzaam Dete Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum To Jee Bhi Nahi Sakey Aik Saath;
Hum Ko To Aik Saath Marna Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Gam-e-Zindagi Ke Maare Hain;
Har Baazi Jeet Ke Haare Hain;
Yeh Jo Meri Jholi Mein Pathar Hain;
Sab Mere Chahne Walon Ne Marey Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akhir Zindagi Ne Bhi Aaj Puchh Liya Mujhse;
Kahan Hai Wo Shaks Jo Tujhe Mujh Se Bhi Aziz Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chalte Rahte Hain Ki Chalna Hai Musafir Ka Naseeb;
Sochte Rahte Hain Ki Kis Raahaguzar Ke Hum Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Uske Chale Jaane Ke Baad;
Hum Mohabbat Nahi Karte Kisi Se;
Ek Choti Si Zindagi Hai;
Kis-Kis Ko Aazmate Rahenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Iss Tarah Loot Liya 'Sheer-E-Tamanna' Ne Hume;
Zindagi Bhi Chheen Li, Aur Jaan Se Maara Bhi Nahi!
ZI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ 
Khudkushi Ke Liye Thoda Sa Zaher Hi Kaafi Hai, Dosto;
Magar Zinda Rehne Ke Liye, Kaafi Zaher Pina Padta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Kaarwaan, Wohi Raaste, Wohi Zindaagi, Wohi Marhalay;
Magar Apne Makaam Par, Kabhi Tum Nahin Aur Kabhi Hum Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hathoan Ki Lakiroan Pe Mat Jaa, Ai Ghalib;
Naseeb Un Ke Bhi Hote Hain, Jin Ke Hath Nehin Hote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Kare Zindagi Mein Yeh Makaam Aaye;
Tujhe Bhulne Ki Dua Karun Aur Dua Mein Tera Naam Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaafir Ke Dil Se Aya Hon, Mein Yeh Dekh Kar;
Khuda Maujood Hai Wahan, Par Usey Pata Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Se Roye, Magar Hothon Se Muskura Bathe;
Yun Hi Hum Kissi Se Wafa Nibha Bathe;
Woh Hume Ek Lamha Na De Paye Apne Pyar Ka;
Aur Hum Un Ke Liye Zindagi Luta Bathe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬉⬉Kisi Faqeer Ki Jholi Mein Jab Maine Ek Sikka Dala;
Tab Yeh Jaana Ke Iss Mehangayi Ke Zamaane Mein;
DUA'EN Aaj Bhi Kitni Sasti Hein⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tanhai Toh Hai Saathi Apni, Zindagi Ke Har Ek Pal Ki 'Faraz';
Chalo Yeh Shikwa Bhi Door Huwa, Ke Kisi Ne Saath Na Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Murawat, Na Mohabbat, Na Khuloos Hain Faraz;
Main Toh Sharminda Hun Iss Daur Ka Insaan Hokar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain;
Yeh Aakhri Shama Bhi Bhujane Ke Liye Aa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Waaiz-e-Naadaan, Karta Hai Tu Ek Qayaamat Ka Charcha;
Yahaan Roz Nighaayein Milti Hain, Yahaan Roz Qayamat Hoti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akhir zindigi ne bhi aaj puchh liya mujhse,
Kahan hai wo shaks jo tujhe mujh se bhi aziz tha.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ksi ko kya hasil hoga mjhe yaad karney se, doston!
Main to ek aam insaan hu,
Aur yaha to har kisi ku khass ki talaash hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rakh housla wo manzar bhi ayega,
Pyase ke paas chal ke samandar bhi ayega,
Thak-kar na beth ae manzil ke musafir,
Manzil bhi milegi or milne ka maza bhi ayega.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Chhu le tu asman zamin ki talaash na kar;
Jee le zindagi tu khushi ki talaash na kar;
Taqdir badal jayegi apne aap hi aey dost;
Muskrana sikh le wajah ki talaash na kar⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Jis din kitaab -e- ishq ki takmil ho gayi;
Rakh denge zindagi tera bastaa uthaa ke hum.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Roz rote hue kehti hai ye zindgi mujhse;
Sirf ek shakhs ki khatir mujhe barbad mat kar.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil to mil hi jaayegi, bhatak ke hi sahi.
Gumraah toh woh hai jo ghar se nikle hi nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
U to jeene k liye pal bahut kam hai,
Jiyo aise k har pal mein zindgi pa sako..!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo yaron ki mehfil wo muskrate pal,
Dilse juda hai apna bita hua kal
Kabhi guzarti thi zindgi waqt bitane me,
Ab waqt guzar jata hai chand kagaz k note kamane me.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log kahtey hain ki ladkiyan zindagi hoti hain maut nahi,
Magar voh kya jane ki dhoka bhi zindagi deti hai maut nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare, Kare to qayamat tak juda na kare,
Yeh mana ki koi marta nahi judai mein, lekin jee bhi to nahi pata tanhai me
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⬉⬉Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dushmanon se guzarish karni padegi, dost to ab yaad kiya nahi karte
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Zindagi ko ek rangin kalpana samjho,
Subah ko sach raat ko sapna samjho,
Bhulana chahte ho sabhi gamo ko to,
Zindagi me mujhe apna samjho⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kya kahun tujhe? Khwab kahun to toot jayega, dil kahun to bikhar jayega,
Aa tera naam zindagi rakh dun, maut se pehle to tera saath chuut na payega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga,
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Mein,
Yoon To Sulajh Jatee hein Uljhee Zulfain,
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Mein⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Zindagi jaise ek saza si ho gayi hai,
gam ke saagar me is kadar kho gayi hai,
tum kar do ek SMS yeh gujarish hai meri,
tumari SMS ki aadat si ho gayi hai🔀🔀🔀


No comments :

Post a Comment