Gam zindagi shayari 2016


  1. Zindagi se kyu rooth gaye ho tum,
  2. Itne mayoos kyo ho gaye ho tum,
  3. Zaroor tumhara bhi kisi ne dil todha hai,
  4. Jo itne gam geen ho gaye ho tum.

  5. --------------------------------------------------------
  6. Yeh zindagi badi ajeeb si,
  7. Kabhi gulzar si kabhi bezar si,
  8. Kabhi khushi hamare sath sath,
  9. Kabhi gamon ki barsat si,
  10. Yeh zindagi badi ajeeb si,
  11. Kabhi tufanon mein bhi hain raste,
  12. Kabhi manzilon ka pata nahi,
  13. Kabhi do kadam pe zindagi,
  14. Kabhi sadiyon tak intezar si,
  15. Yeh zindagi badi ajeeb si,
  16. Kabhi har pal imtihan hai,
  17. Kabhi bin mange inaam hai,
  18. Kabhi kuch nahi,
  19. Kabhi sab kuch si
  20. Yeh zindagi badi ajeeb si…


  21. --------------------------------------------------------
  22. Hansi Aapki Koi Chura Na Paye,
  23. Aapko Kabhi Koi Rula Na Paye,
  24. Khusiyon Ka Deep Aise Jale Aapki Zindagi Mai,
  25. Ki Koi Tufaan Bhi Use Bhujha Na Paye.


  26. --------------------------------------------------------
  27. Zindagi Mein Har Chiz Pahli Baar Hoti Hai,
  28. Kahin Kisi Se Pyaar To Kahin Takrar Hoti Hai,
  29. Toh Kya Hua Ke Hum Ajnabi Hai Aapke Liye,
  30. Magar Dosti Ajnabiyon Se Hi Pehli Baar Hoti Hai.
  31. --------------------------------------------------------

  32. Marna chahta hu ab ye dard seh nahi paaunga,
  33. Diye tujhe har pal dukh khud ko maaf kar na paaunga,
  34. Khuda bas itni iltiza sun le meri,
  35. Usko haseen zindagi baksh de,
  36. Aur mujhe mout ke aagosh me aane de.

  37.  


  38. --------------------------------------------------------
  39. Ek pal ki judai gawara na kar sake,
  40. Aisa ishq hum dobara na kar sake.

  41. Zindagi bhar palat ke naa dekha kabhi,
  42. Hum fir bhi shikwa tumhara naa kar sake.

  43. Tune toh har kisi se dil laga ke dekha,
  44. Magar hum apne dil ko awara na kar sake.

  45. Jaan tak luta di un ke pyar mein magar,
  46. Ek dil hi woh apna humara naa kar sake.


  47. --------------------------------------------------------
  48. sad-hinidi-shayari-lovesove
  49. Deta Raha Fareb Koi Sadgi Ke Sath,
  50. Itna Bada Majak Meri Zindgi Ke Sath,
  51. Shayad Saja Mili Hai Us Jurm Ki Hume,
  52. Humne Pyar Hi Kiya Ek Ajnabi Ke Sath.


  53. --------------------------------------------------------

  54. Teri Zindagi Main Khushiya Tamam Aaye,
  55. Khilti Baharon Pai Bhi Tera Naam Aaye,
  56. Koi Puche Tujse Pyar Kya Hai,
  57. To Tere Honto Pe mera Naam Aaye.

  58. --------------------------------------------------------
  59. Zindagi Ki In Viran Raaho Main,
  60. Aapne Yu Tanha Chod Diya,
  61. Jis Waqt Thi Sabse Jyada Jarurat Hame Aapki,
  62. Usi Pal Aapne Hamse Sara Rishta Tod Liya.


  63. --------------------------------------------------------
  64. Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwab Tute,
  65. Naa Jane Kitne Tukdo Me Armaan Tute,
  66. Har Tukda Ek Aaina Hain Zindagi Ka,
  67. Har Aaine Ke Sath Laakho Jazbat Tute.


  68. --------------------------------------------------------

  69. Zindagi Tujh Bin Ulfat Si Lagti Hai,
  70. Ek Pal Ki Judai Muddat Si Lagti Hai,
  71. Pahle Nahi Par Ab Sochte Hai Hum,
  72. Har Lamha Teri Zarurat Si Lagti Hai.


  73. --------------------------------------------------------
  74. Jab hum khush hai,
  75. Tab bahut pyari hai zindagi
  76. Jab hum udas hai,
  77. Tab dukh bhari hai zindagi..

  78. Jab man soch me duba rahe,
  79. Tab bahut gahri hai zindagi
  80. Jab halat bure ho jaye,
  81. To mushkilo se ladna hai zindagi..

  82. Jab kisi ke samne jhukna pade,
  83. To khaamosh hai zindagi
  84. Jab bahut kuch sahna pade,
  85. Tab lachaar hai zindagi..

  86. Jab duniya sachhi lage,
  87. To masoom hai zindagi
  88. Jab kuch samajh na aaye,
  89. Tab ghor andhera hai zindagi..

  90. Jab rasta najar aye
  91. To nayi subah hai zindagi.
  92. Such pucho to aye dost !
  93. Paristhitiyo ke saanche me khud ko dhalna hi hai zindagi..


  94. Khubsurat Hai Zindagi , Khuwab Ki Tarha,
  95. Jane Kab Tut Jae , Kanch Ki Tarha,
  96. Mujhe Na Bhulna Kisi Baat Ki Tarha,
  97. Apne Dil Me Hi Rakhna Khubsurat Yaad Ki Tarha.

  98.  


  99. --------------------------------------------------------

  100. Parwah kar uski jo teri parwah kare,
  101. Zindagi mein jo kabi na tanha kare,
  102. Jaan ban ke utar jaa uski ruh mein,
  103. Jo jaan se bhi jyada tujhse wafa kare.


  104. --------------------------------------------------------

  105. Zindagi ka pehla pyaar kon bhulata hai,
  106. Ye pehli bar hota hau jab koi kisi ko khud se badhkar chahta hai.

  107. Uski pasand, uski khwahish me khud ko bhul jata hai,
  108. Akele mein uska naam likh likh kar mitata hai.

  109. Baat karne se pehle sochta hun, kya kehna hain,
  110. Baat hone ke baad fir kuch kehna reh jata hai.

  111. Hota hai itna khoobsurat pehla pyar,
  112. Toh jane kyun aksar adhoora reh jaata hai.


  113. --------------------------------------------------------

  114. MAZA HI KUCH AUR HOTA HAI………
  115. .
  116. .
  117. Jaise: Padhte-Padhte razai mein so jane
  118. ka,
  119. .
  120. Teacher ke padhane par kahi kho jane
  121. ka,
  122. .
  123. Lab me instruments ki waat lagane ka,
  124. .
  125. Library me books par pen chalane ka,
  126. .
  127. Apne frnd ko baar baar uske lover ke
  128. samne chidane ka,
  129. .
  130. .
  131. Baar-Baar eye contact kar mann me
  132. muskurane ka,
  133. .
  134. Chalte-Chalte apne dost ko girane ka,
  135. Or
  136. .
  137. Phir in palo ko yaad kar aaj bhi
  138. muskurane ka……

  139. --------------------------------------------------------

  140. Bahut ummeed thi unko apna banane ki,
  141. Khwahish thi sari zindagi unka ho jane ki,
  142. Kya pata tha hume jinka hum hona chahte hain,
  143. Unko chahat hi nahi kisi ko apna banane ki.


  144. --------------------------------------------------------

  145. Gham ke bina zindagi adhoori hai,
  146. Aye musafir phir bhi tera jeena zaroori hai,
  147. Mat ho apni zindagi se khafa,
  148. Kyun ki teri zindagi ke bina ek aur zindagi adhoori hai.


  149. --------------------------------------------------------

  150. Har inaayat, har khooshi aapki ho,
  151. Mehak uthe har mehfil jaha murat apki ho,
  152. Koi bhi lamha aapka naa ho udaas,
  153. Khuda kare jannat jaisi zindagi aapki ho..!!


  154. --------------------------------------------------------

  155. Kaise kahoon ke apna bana lo mujhe,
  156. Baahon mein apni samaa lo mujhe,

  157. Bin tumhare ek pal bhi ab kat’ta nahi,
  158. Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe,

  159. Zindagi to woh hai sang tumhare jo guzre,
  160. Duniya ke ghamon se ab chura lo mujhe,

  161. Meri sab se gehri khuwahish ho poori,
  162. Tum agar paas apne bula lo mujhe.


  163. Choti si zindagi main armaan bohat the,
  164. Humdard koi na tha insaan bohat the,
  165. Main apna dard bataata bhi to kise bataata,
  166. Mere dil ka haal jaan’ne waale anjaan bohat the.


  167. --------------------------------------------------------
  168. Mehfil kabhi udas nahi hoti,
  169. Pyar ki manzil itni pass nahi hoti,
  170. Hota hai kabhi kabhi aisa bhi zindagi main,
  171. Mil jate hai wo bhi jinki kabhi talash nahi hoti.


  172. --------------------------------------------------------
  173. Tu rutha-rutha sa lagta hai,
  174. Koi tarkib bata manane ki,
  175. Mai zindagi girvi rakh dunga,
  176. Tu keemat bata muskurane ki.


  177. --------------------------------------------------------
  178. Rulaane ke baad kyun hasaate hai log,
  179. Jaane ke baad kyun bulaate hai log,
  180. Zindagi mein kya kuch kasar baaki thi,
  181. Jo marne ke baad bhi jalaate hai log.


  182. --------------------------------------------------------
  183. Kuch hi palo me zindagi ki “Tasveer” ban jaati hai,
  184. Kuch hi palo me zindagi ki “Takdeer” badal jati hai,
  185. Kabhi kisi ko apna bana ke door mat karna mere dosto,
  186. Kyuki ek hi judayi se puri zindagi bikhar jaati hai.


  187. --------------------------------------------------------

  188. Has Kar Jeena Dastoor Hai Zindagi Ka,
  189. Ek Yahi Kissa Mashhoor Hai Zindagi Ka,
  190. Beete Huye Pal Kabhi Laut Ke Nahi Aate,
  191. Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.


  192. --------------------------------------------------------

  193. Har Pal Ke Rishte Ka Wada Hai Tumse,
  194. Apnapan Kuch Itna Jyada Hain Tumse,
  195. Kabhi Na Sochna Ki Bhul Jayenge Tumhe,
  196. Zindagi Bhar Ka Sath Denge Ye Wada Hai Tumse.


  197. --------------------------------------------------------
  198. Ab lot aa mery hmnawa,

  199. Meri zindgi ka sawal hai.

  200. Tujhay kia sunao dilruba,

  201. Tery samne mera hal hai.

  202. Teri ek nigha ki bat hai,

  203. Meri zindgi ka sawal hai.

  204. Meri har khushi tere dum se hai,

  205. Meri zindagi tere gham se hei.

  206. Tere dard se rahe ba khabar,

  207. Mere dil ki kab ye majal hai.

  208. Tere husan par ha mari nazar,

  209. Muje sub-o-sham ki kia khaber.

  210. Meri sham hai teri guftgu,

  211. Meri subho tera khayal hai.

  212. Ab lot aa mere hum nawa,

  213. Mere zindgi ka sawal hai.

  214. --------------------------------------------------------

  215. Jaha sar juk jaye wahi khuda ka ghar hai,
  216. Jaha nadi mil jaye wahi samundar hai,
  217. Iss zindagi me dard to sabhi dete hain,
  218. Jo dard ko samajh sake wahi hamdard hai.


  219. --------------------------------------------------------
  220. Mere Wajood Me Kash Tu utar Jaye,
  221. Mai Dekhu Aaina Or Tu Nazar Aye,
  222. Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye,
  223. Ye Zindagi Tujhe Yuhi Dekhte Hue Guzar Jaye.

  224. --------------------------------------------------------

  225. Ruthi huyi zindagi ko manana toh aata hain,
  226. Khud na hans sake par auro ko hasana to aata hai,
  227. Hum khud naa bas sake kisi ke dil me to kya hua,
  228. Par logo ko apne dil mein basana toh aata hain.


  229. --------------------------------------------------------
  230. “Zindagi K Har Lamho Me Unhi Ko Pate Hain,

  231. Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhoolate Hain,

  232. Jane Kya Baat Hai Unme Ae Khuda,

  233. Jitna Bhoolate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain…


  234. --------------------------------------------------------

  235. Chhu le tu aasman zameen ki talaash na kar,

  236. Jee le zindagi tu khushi ki talaash na kar,

  237. Taqdir badal jayegi apne aap hi aey dost,

  238. Muskrana sikh le wajah ki talaash na kar.

  239. --------------------------------------------------------

  240. Gham nahi hote toh hum nahi hote,
  241. Aapki ankho ke ye sitam nahi hote.

  242. Zindagi toh mera sath kabhi deti nahi,
  243. Aur hum maut k humkadam nahi hote.

  244. Mera dil agar kaanch ka naa hota toh,
  245. Aap bhi patthar ke sanam nahi hote.

  246. 7 janmo ka wada humse na kar e-sathi,
  247. Aashiko ke kabhi dusre janam nahi hote.

  248. Aye-zindagi muje dusre jaha le chal tu hi,
  249. Suna h ki waha dard k mosam nahi hote.

  250. Dum mera ghut raha hain mere hi andar,
  251. Tumse milne k armaan kabi kam nahi hote.


  252. --------------------------------------------------------

  253. Zindagi Aisey Jiyo Ki

  254. Koi “Hasey” To

  255. Hamari “Wajah” Se Hasey..

  256. “Hum” Par Nahi,

  257. Aur

  258. Koi “Roye” To

  259. Hamare “Liye” Roye..

  260. Hamari “Wajah” Se Nahi…

  261. --------------------------------------------------------

  262. Ek Nafrat hi hai jisey,

  263. Duniya chand Lamho mein jaan Leti hai,

  264. Warna..

  265. Chahat ka yakin Dilane mein to Zindagi Beet jaati hai…


  266. --------------------------------------------------------
  267. Zindagi Me Khud Ko
  268. Kabhi Kisi Insaan Ka Aadi
  269. Mat Banana..!!
  270. .
  271. Kyunki Insaan
  272. Bahut Khudgarz Hai..!!
  273. .
  274. Jab Apko Pasand Krta Hai
  275. To Apki Burai Bhool Jata Hai..
  276. .
  277. Aur Jab Aapse Nafrat Krta Hai Toh
  278. Aapki Acchaai Bhool jata Hai..!!


  279. --------------------------------------------------------
  280. “Khwaab” kuch aisa ho,
  281. Ki zindagi noor ho jaye
  282. “Koshish” kuchh aisi ho,
  283. Ki muskile door ho jaye,
  284. Aur Fariyad kuchh aisi ho,
  285. Ki ‘KHUDA’ b puri krne ko mjbur ho jaye.


  286. --------------------------------------------------------
  287. Sacche rishte ki khubsurti ek dusre ki,
  288. Galtiyo ko bardasht karne mein hai,
  289. Kyonki ki bina kamiyo ka insaan dhundne nikle,
  290. Toh zindagi bhar akele hi reh jaoge.


  291. --------------------------------------------------------
  292. Zindagi ki talash kuch iss tarah badh gayi,
  293. Ki hum har raah par zindagi ko hi tarashne lage,
  294. Kho gaye kuch aise waqt k manzar mein hum,
  295. Ki apni maut ko hi apni zindagi manne lage.


  296. --------------------------------------------------------
  297. Fiza Mein Mehakti Shaam Ho Tum
  298. Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum
  299. Sine Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari
  300. Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum….


  301. --------------------------------------------------------
  302. Naraaz Naa Ho Humse Hum Na Reh Payenge..,

  303. Itna Bada Sadma Na Seh Payenge..,

  304. Deti Hai Gum Zindagi Pal Pal humein ..,

  305. Tune Diya To Jeene Se Pehle Hi Mar Jayenge…!


  306. --------------------------------------------------------
  307. Gham na kar Zindagi bahut badi hai,
  308. Chahat ki mehfil tere liye saji hai,
  309. Bas ek baar muskura kar tho dekh,
  310. Taqdeer khud tujhse milne bahar khadi hai.


  311. --------------------------------------------------------
  312. Zindagi Mili
  313. “Zara Si Thi”

  314. Kuch Is Me Kami
  315. “Zara Si Thi”

  316. Woh Roz Hota Gaya Paas Mere.!
  317. Lekin Phir Bhi Dori
  318. “Zara Si Thi”

  319. Chand Jaagte Jaagte So Bhi Gaya!
  320. Raat Abhi Beeti
  321. “Zara Si Thi”

  322. Mohabat Baant Di Us Ne Zamane Mein Lekin.!
  323. Jo Mere Hisse Mein Aai
  324. Wo MuhabBAt
  325. “ZARA Si Thi”.

  326. --------------------------------------------------------
  327. Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai,
  328. Logon ko Hasana To Aata Hai,
  329. Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein,
  330. Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.


  331. --------------------------------------------------------
  332. Bhiige Gulaab jaisi, khoobsurat ho tum..

  333. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  334. khawaabo mein aake meethe, sapne dikhake,

  335. Mujhe aane waale sunahre, lamhe dikhake,

  336. kya Koi pari nai ki jaisi, Shararat ho tum..?

  337. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  338. Yaadoon mein likhe gaye, ashaaro jaise,

  339. Pyaar mein sajaayae huye, ghazlo jaise,

  340. Kya Likhe jo sunehrai, khayalat ho tum..?

  341. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  342. Teri baato mein wo, chashini haye rabba,

  343. Dil mera unmein bas, doob jaaye rabaa,

  344. kYa meri Liyeh bas, ek Masarrat ho tum..?

  345. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  346. Chehre se jo, zahir hai wo chhupaoon kaise,

  347. tujhse kitni mohabbat hai, ye bataaoon kaise,

  348. kYa meri diL ki hi sirf, Riyasat ho tum..?

  349. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  350. Bhaata nahi koi chehra, bass tere siwa,

  351. koi nahi deewana, Tera ek mere siwa,

  352. Kya fursat se tarashi gayi, Murat ho tum

  353. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  354. Jahaa bhi jaaoon, jidhar bhi jaaoon Main,

  355. Mehfilo mein khudko, tanha paaoon Main,

  356. Kya Meri zindagi ki abb, Zarurat ho tum..?

  357. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  358. Jo bhatak jaoon, kaheen anjaan raho mein,

  359. Le jao manzil pai, bhar ke baho mein,

  360. Kya Meri har justujo-e- taqat ho tum..?

  361. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!1

  362. Zehnaseeb hu main, jo paya tujhko,

  363. Har soo har lamha, sirf chaha tujhko,

  364. Kya khuda ki mujhpe ki, rehmat ho tum..?

  365. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  366. Aur kya kahu tumse jaan-e-tamanna,

  367. Tum hi ho sirf, meri dil-e-tamanna,

  368. Kya Zindagi se lagayi, hui shart ho tum..?

  369. Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

  370. Jo kari Mujahid nai wo ibadat ho tum..

  371. Haa meri jana, Meri mohabbat ho tum….!!!

  372. Meri mohabbat ho tum, Meri mohabbat ho tum…!!


  373. --------------------------------------------------------
  374. Zindagi se bhi lambi meri gam ki andheri raatein hai,
  375. Subah ka intezaar karte karte thak gayi hoon mein,
  376. Aasuon ko bahut samjhaya ki tanhai mein ayaa karo,
  377. Mehfil me mera majak mat udayaa karo,
  378. Is par assoon tadap kar bole,
  379. Itne logo me tumhe tanhaa pate hein,
  380. Isliye thumahari akho mai aa hi jaata hu…

  381. --------------------------------------------------------

  382. Zindagi ek cigarette ki tarah hai.
  383. Enjoy karo warna jal to rahi hi hai.
  384. Khatam to waise bhi ho hi jayegi.

  385. --------------------------------------------------------
  386. Jo Gujaare Hain Pal Humne Saath Unke,

  387. Hum Un Palon Ko Hi Dil Mein Utar Lenge,

  388. Bas Aap Khus Raho Yeh Dua Hai Hamari,

  389. Hamara Kya Hai Hum Zindagi Yun Hi Gujar Lenge…


  390. --------------------------------------------------------
  391. Zindagi me do minute koi mere paas na baitha..

  392. Aaj sab mere paas baithe ja rahe the..

  393. Koi tohfa na mila aaj tak mujhe,

  394. Aaj phool hi phool diye ja rahe the..

  395. Taras gye hum kisi ke hath se diye ek libaj ko,

  396. Aaj nye-nye kapde odhaye ja rahe the..

  397. Do kadam sath na chalne ko tayar tha koi,

  398. Aaj kafila banakar ja rahe the..

  399. Aaj pata chala ke ”MAUT” itni hasin hoti hai,

  400. Kambhakt ”HUM” to yu hi jiye ja rahe the…:)


  401. --------------------------------------------------------


  402. Zingadi mei joh ho raha hai,
  403. hone do,
  404. Apne dil ke suno,
  405. aur khud ko udh jane do,
  406. Dekho agar chaha mei dum hoga,
  407. to manzil mil he jayege bas thoda waqt ka phesla hoga
  408. nahi to zindagi hai chalti ka naam gadi
  409. wo waise bhi chalti he jayege,

  410. Peche mudh ke na dekhna kabhi e dost,
  411. bura waqt ka saya bhi pass na ane dena tu,
  412. Aage badh aur kismat ki lakeer ko bhi jara banne ka mauka de tu,
  413. Apne mehnat ke jhande gaadh de,
  414. Rakh himmat saari kasar aaj nikal de,

  415. Jena ka maza tabhi hai jab ho usme junoon
  416. Phelaa apne par aur beh chal jaha hawa le chale,
  417. par khus rehna tu sada
  418. Kyunki zindagi ek suhana safhar hai
  419. Jiska maja sirf ek raahi he jaan sakta hai

  420. Tu bhi dekh chalke iski raho mei,
  421. aaj tu bhi soch le
  422. kitna maja hai ye pankh fherane mei,
  423. Pyaar aur muskaan ka sath chodna nahi
  424. apne ko girke sambhal lena tu
  425. Rakh himmat agge chalte rehna tu,

  426. Uuch neech to har safar ke raste hote hai
  427. paar kre jo unhe wo he maha veer kehlate hai,
  428. Thakna to sochna ke kya sapne the
  429. tere ankho mei
  430. luh mei bhar lena tufan aur nikal padna
  431. phir ek jawan tu
  432. Ye safar na nasseb hota hai sabko
  433. kuch acha karke he paya hoga tune is jag ko
  434. Jeevan ko vyrath na jane dena
  435. apne spano ko tu sada udan dete he rehna…


  436. --------------------------------------------------------


  437. Teri chahat me guzarti

  438. meri har shaam thi,

  439. Mere dil se nikli har

  440. dua tere naam thi….

  441. Ab mujh ko ilzaam na do

  442. bewafai ka,

  443. Mere hatho ki lakeero

  444. m wafa aam thi..

  445. Is Qadar pooch unse jo

  446. karte h mohabbat ki pooja,

  447. Sirf tere dar pe

  448. mohabbat meri badnaam thi….

  449. Apni jaan ka nazrana

  450. kaise karte tujh ko,

  451. Tere ishq m har saans

  452. jo meri nilaam thi..

  453. Kaise chhor dete tanha

  454. zindagi ke safar mein,

  455. Tere bagair to meri

  456. zindagi gumnaam thi …..


  457. --------------------------------------------------------
  458. Kyu Darein Ki Zindgi Me Kya Hoga

  459. Har Waqt Kyu Soche Ki Bas Bura Hoga

  460. Badhte Rahe Bas Manzilo Ki Taraf

  461. Kuch Na Bhi Mila To Kya Tazurba To Naya Hoga.


  462. --------------------------------------------------------
  463. Teri dhadkan se zindgi ka rishta hai mera,
  464. Tu ek ahem hissa hai zindagi ka mera,
  465. Ye mohabbat tujhse sirf lafzo ki nahi,
  466. Teri ruh se ruh ka rishta hai mera.


  467. --------------------------------------------------------
  468. Khwaabon ki dhundh mein uski yaad parchayi si lagti hai,
  469. Mere wajood mein uski yaad tanhayi si lagti hai,
  470. Wo hai to mukkamal meri zindagi hai,
  471. Warna seene mein to ye saanse bhi parayi si lagti hai.

  472. --------------------------------------------------------
  473. Zindagi Ne Kai Sawalaat Badal Dale
  474. Waqt Ne Mere Haalaat Badal Dale
  475. Main to Aaj bhi wahi hun Jo main kal tha
  476. Bas mre liye mere aapno ne Apne Khayalat Badal dale.


  477. --------------------------------------------------------
  478. Ek Ajeeb Si Paheli Hai Zindgi…
  479. Sab K Sath Hote Hue bhi Akeli Hai Zindgi..

  480. Kabhi To Ek Pyara Sa Arman Hai Zindgi…
  481. To Kabhi Dard Se Bhara Tufaan Hai Zindgi…

  482. Kabhi Phulon Jesi Masoom Ho Jati Hai Zindgi…
  483. To Kabhi Gunahon Ka Bojh Ban Jati Hai Zindgi…

  484. Koi To Bata De Mujhe Kya Hai Zindgi…?
  485. Suna Hai Chnd Roz Ki Mehman Hai Zindgi…

  486. Zindgi Ko Chhor Kar Ek Din Jaana Parega…
  487. Maut Ko us Pal Galay Lagana Parega…

  488. Zindgi Se Chahe Jitna Piyar Kr Lo…
  489. Hoti to akhir bewafa hai Zindgi…


  490. --------------------------------------------------------
  491. Good Morning With Beautiful Lines For All:
  492. Apne gam ki Numaish na kar,
  493. Apne nasib ki Aazmaish na kar,
  494. Jo tera hai tere Paas khud aayega,
  495. Har roz usse paane Ki khwaish na kar.!!
  496. Chhu le tu asman zamin ki talaash na kar,
  497. Jee le zindagi tu khushi ki talaash na kar,
  498. Taqdir badal jayegi apne aap hi aey dost,
  499. Muskrana sikh le wajah ki talaash na kar.

  500. --------------------------------------------------------

  501. Na Tum Dur Jana,
  502. Na Hum Dur Jayege
  503. Hum Apne Apne Vaade Nibhaege
  504. Bahut Accha Lgega Zindgi Ka Safar
  505. Tum Waha Se Yaad Krna,
  506. Hum Yaha Muskurayenge.

  507. Good Night!

  508.  --------------------------------------------------------


  509. --------------------------------------------------------
  510. Tanhayi le jaati hai jaha tak yaad

  511. tumhari,

  512. Wahi se shuru hoti hai Zindagi

  513. hamari,

  514. Nahi socha tha chahenge ham tumhe

  515. is kadar,

  516. Par ab to ban gaye ho tum kismat

  517. hamari.


  518. --------------------------------------------------------
  519. Palko mein aansu aur dil mein dard soya hai,
  520. Hasne waalo ko kya pata rone waala kis kadar roya hai,
  521. Ye to bas woh hi jaan sakta hai,
  522. Jisne zindagi mein kisi ko paane se pehle khoya hai.

  523. Good Night!


  524. --------------------------------------------------------
  525. Kyun koi chaah kar mohabbat nibha nahi paata,
  526. Kyun koi chaah kar rishta bana nahi paata,
  527. Kyun leti hai zindagi aise imtehaan,
  528. Ki koi chaah kar bhi mohabbat jata nahi paata.


  529. Har khushi hai logon ke daaman mein
  530. Par ek hasi ke liye waqt nahi..

  531. Din raat daudti duniya mein
  532. Zindagi ke liye hi waqt nahi..

  533. Maa ki lori ka ehsaas to hai
  534. Par maa ko maa kehne ka waqt nahi..

  535. Tu hi bata aye zindagi, Is zindagi ka kya hoga
  536. Ki har pal marne waalon ko jeene ke liye bhi waqt nahi.


  537. --------------------------------------------------------
  538. Unhi Ko Chaha Unhi Se Pyar Hai,
  539. Wo Zindagi He To Zindagi Se Pyar Hai,
  540. Wo Kisi Or Ka Ho Jaye Koi Gam Nahi,
  541. Kyun ki Muje Unse Nahi Unki Har Khusi Se Pyar Hai.


  542. --------------------------------------------------------
  543. Wo khafa nahi the,

  544. Hum bewafa nahi the,

  545. Kuch galat wo kahi the,

  546. Kuch galat hum kahi the,

  547. Bas isi me ho gaye zindagi k faasle,

  548. Kahi pe wo sahi the,

  549. Kahi pe hm sahi the.

  550. --------------------------------------------------------
  551. Life me kuchh Khona pade to ye do line jarur yaad Rakhna
  552. ..
  553. ..
  554. “1 Jo Khoya hai uska Gam nahi”
  555. “2 Lekin jo Paya hai vo bhi kisise Kamm nahi”
  556. “ENJOY LIFE”

  557. --------------------------------------------------------

  558. Zindagi Hai Akeli,

  559. Dil Ye Nadaan Hai,

  560. Kya Safar He Or Kya Samaan Hai,

  561. Kisi Tanha Ke Gum Ko Samajh Kar To Dekho,

  562. Mukura Dena Toh Bahot Aasan Hai.
  563. --------------------------------------------------------

  564. --------------------------------------------------------

  565. Zindagi wo jo guzar jaye,

  566. Ansoo wo jo beh jaye,

  567. Khusi wo jo mil jaye,

  568. Gam wo jo beet jaye,

  569. Magar rishata wo jo hamesha sath nibhay..!!


  570. --------------------------------------------------------
  571. Rahe SALAMAT ZINDGI Unki,

  572. Jo KHUSHI Ki FARIYAD karte hain,

  573. KHUDA Unhe KHUSHIYO bhari ZINDGI Dena,

  574. Jo hame YAAD Karne Me 1 Pal BARBAD Karte Hai..!!


  575. --------------------------------------------------------
  576. Wo kah kar chale ki itni mulaqat bahut hai,

  577. Maine kaha ruk jao abhi raat bahut hai

  578. Ansoo mere tham jayein to fir shauq se jana,

  579. Aise me kahan jaogi barsat bahut hai

  580. Wo kahne lagi jana mera bahut zaroori hai,

  581. Nahi chahati dil tod du tera par majboori hai

  582. Agar hui to koi khata to maaf kar dena,

  583. Maine kaha ho jao chup itni kahi baat bahut hai

  584. Samajh gaya hoon sab aur kuchh kaho zaroori nahi,

  585. Bas aaj ki raat ruk jayo jana itna bhi zaroori nahi

  586. Phir kabhi na aaonga tumhari zindgi me lout kar,

  587. Sari zindgi tanhai ke liye aaj ki raat bahut hai..

No comments :

Post a Comment