@ Badi Mushkil Se Bana Hun Toot Jaane Ke Baad;- Main Aaj Bhi Ro Deta Hun Muskurane Ke Baad;
- Tujh Se Mohabbat Thi Mujhe Beinteha Lekin;
- Aksar Yeh Mehsoos Hua Tere Jaane Ke Baad!
- ============================
- Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko;
- Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai;
- Humse Khush Naseeb To Hai Aapke Ghar Ka Aaina;
- Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai!
- ============================
- Kabhi Aansu To Kabhi Khushi Dekhi;
- Humne Aksar Mazboori Aur Bekasi Dekhi;
- Unki Narazgi Ko Hum Kya Samjhe;
- Humne To Khud Apni Taqdeer Kee Bebasi Dekhi!
- ============================
- Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare;
- Fikar Ko Takht-e-Sulemani Kare;
- Der Tak Baith Ke Soche Khud Ko;
- Aaj Fir Ghar Mein Biyabani Kare;
- Apne Kamre Mein Sajaye Aafaq;
- Jalsa-e-Be-Sar-o-Samani Kare;
- Umar Bhar Sher Kahe Khoon Thuke;
- Muntkhib Rasta-e-Nuksani Kare;
- Khud Ke Liye Mol Le Izhar Ka Karz;
- Dusron Ke Liye Aasani Kare;
- Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhe;
- Harf-e-Na-Gufta Ko La-Sani Kare;
- Kimiyakari Hai Fan Apna 'Saaz';
- Aag Ko Baithe Hue Paani Kare!
- ============================
- Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Wale;
- Yeh Naale Nahi Be-Asar Jaane Wale;
- Nahi Jaante Kuch Ki Jaana Kahan Hai;
- Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale!
- ============================
- Mehek Hoti To Titliyan Zaroor Aati;
- Koi Rota To Siskiyan Zaroor Aati;
- Kehne Ko To Log Mujhe Bahut Yaad Karte Hain;
- Magar Yaad Karte To Hichkiyan Zaroor Aati!
- ============================
- Rasam-e-Wafa Nibhana To Gairat Kee Baat Hai;
- Wo Mujhko Bhool Jayein Yeh Hairat Kee Baat Hai;
- Sab Mujhko Chahte Hain Shohrat Kee Baat Hai;
- Bas Wo Humein Nahi Chahte Yeh Hamari Kismat Kee Baat Hai!
- ============================
- Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain;
- Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai;
- Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi;
- Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai!
- ============================
- Chup Ke Se Usne Jo Khud-Numai Kee;
- Intiha Thi Ye Dilrubi Kee;
- Mail-e-Ghamza Hai Wo Chashm-e-Siyaah;
- Ab Nahi Khair Parsayi Kee;
- Hum Se Kyonkar Wo Aastana Chhute;
- Muddaton Jis Pe Jabha-Sai Kee;
- Dil Ne Barson Ba-Justju-e-Kamaal;
- Koocha-e-Ishq Mein Gadaai Kee;
- Daam Se Un Ke Chutna To Kahan;
- Ya Hawas Bhi Nahi Rihai Kee;
- Ho Ke Nadim Wo Baithe Hain Khamosh;
- Sulh Mein Shan Hai Ladai Kee;
- Us Taghaful-Shiar Se 'Hasrat';
- Hum Mein Taqat Nahi Judai Kee!
- ============================
- Aaye Hai Be-Kasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
- Kis Ke Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!
- ============================
- Deedar Kee Aag Jab Dil Mein Bhadakne Lagti Hai;
- Tujhe Dekhne Ko Meri Aankhein Tarsane Lagti Hain;
- Baadlon Ke Barsane Ka Humein Intezar Nahi Rehta;
- Teri Yaadon Mein Yeh Aankhein Khud Hi Barsane Lagti Hain!
- ============================
- Yeh Hum Bhi Ganwara Karte Hain, Yeh Tum Bhi Ganwara Kar Lena;
- Ro Ro Ke Guzari Hain Humne Raatein, Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;
- Betabi Hadh Se Badh Jaye Aur Neend Raaton Ko Aa Jaye;
- To Doob Ke Meri Yaadon Mein Tum Duniya Se Kinara Kar Lena!
- ============================
- Tumhari Yaadon Mein Beeti Har Baat Alag Hai;
- Tumhare Saath Huii Har Mulaqaat Alag Hai;
- Har Shakhs Meri Zindagi Chhu Kar Geya;
- Magar Tumhari Mulaqat Kee Baat Alag Hai!
- ============================
- Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain;
- Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain;
- Mutaribo Koi Achuta Nagma;
- Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;
- Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
- Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;
- Phir Patangon Mein Khudayi Jagi;
- Sholay Hashr-Numa Mangte Hain;
- Banda-Parwar Koi Khairat Nahi;
- Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain;
- Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
- Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain!
- ============================
- Betabiyan Samet Ke Sare Jahaan Kee;
- Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya!
- ============================
- Pyaar Ne Yeh Kaisa Tohfa De Diya;
- Mujhko Ghamo Ne Pathar Bana Diya;
- Teri Yaadon Mein Hi Kat Gayi Umar Sari;
- Aur Main Logon Se Kehta Raha Ki Tujhe Kab Ka Bhula Diya!
- ============================
- Haathon Mein Ulfat Ka Naam Hota Hai;
- Aankhon Mein Chalkta Jaam Hota Hai;
- Khanjar Kee Jarurat Hai Yahan Kise;
- Yahan Nazron Se Qatal-e-Aam Hota Hai!
- ============================
- Na Wo Aa Sake Na Hum Ja Sake;
- Na Dard Dil Ka Hum Kisi Ko Suna Sake;
- Bas Khamosh Baithe Hain Unki Yaadon Mein;
- Na Usne Yaad Kiya Na Hum Bhula Sake!
- ============================
- Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
- Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;
- Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
- Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum;
- Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi;
- Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum;
- Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mauzu-e-Guftgu;
- Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum;
- Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi;
- Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum;
- Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar;
- Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum;
- Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi 'Qateel';
- Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum!
- ============================
- Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
- Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
- ============================
- Dil Kee Baatein Bata Deti Hain Aankhein;
- Dhadkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein;
- Dil Pe Chalta Nahi Jadu Chehron Ka Kabhi;
- Dil Ko Tu Deewana Bana Deti Hain Aankhein!
- ============================
- Unhe Kehna Ki Meri Maut Par Aansoo Na Bahaye;
- Mujhe Apni Maut Se Jyada Unke Rone Ka Dukh Hoga!
- ============================
- Tanhai Le Jati Hai Jahan Tak Yaad Tumhari;
- Wahin Se Shuru Hoti Hai Zindagi Hamari;
- Nahi Socha Tha Hum Chahenge Tumhein Is Kadar;
- Par Ab To Ban Gaye Ho Tum Kismat Hamari!
- ============================
- Jahan Dariya Kahin Apne Kinare Chhod Dete Hai;
- Koi Uthta Hai Aur Toofan Ka Rukh Mod Deta Hai;
- Mujhe Be-Dast-o-Paa Kar Ke Bhi Khauf Us Ka Nahi Jata;
- Kahin Bhi Haadsa Guzre Wo Mujh Se Jod Deta Hai;
- Bichhad Ke Tujh Se Kuch Jaana Agar To Is Kadar Jaana;
- Wo Mitti Hun Jise Dariya Kinare Chhod Deta Hai;
- Mohabbat Mein Zara Si Bewafai To Zaruri Hai;
- Wahi Achha Bhi Lagta Hai Jo Vaade Tod Deta Hai!
- ============================
- Is Shehar-e-Be-Charag Mein Jayegi Tu Kahan;
- Aa Ai Shab-e-Firaq Tujhe Ghar Hi Le Chalen!
- ============================
- Jaane Lage Jab Wo Chhod Ke Daaman Mera;
- Toote Hue Dil Ne Himaakat Kardi;
- Socha Tha Ki Chhupa Lenge Gham Apna;
- Magar Kambakht Ankhon Ne Bagawat Kar Di!
- ============================
- Meri Nazaron Ko Aaj Bhi Talaash Hai Teri;
- Bina Aapke Khushi Bhi Udaas Hai Meri;
- Khuda Se Maanga Hai To Sirf Itna;
- Ki Marne Se Pehle Aapse Mulaqat Ho Meri!
- ============================
- Hum To Tere Dil Kee Mehfil Sajane Aaye The;
- Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aaye The;
- Kis Baat Kee Saza Dee Tumne Humein Bewafa;
- Hum To Tere Dard Ko Apna Banane Aaye The!
- ============================
- Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho;
- Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho;
- Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho;
- Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho;
- Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe;
- Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho;
- Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar;
- Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho;
- Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao;
- Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho;
- Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal;
- Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho;
- Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai 'Rahat';
- Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho!
- ============================
- Dil Ke Behlane Kee Tadbeer To Hai;
- Tu Nahi Hai Teri Tasveer To Hai;
- Humsafar Chhod Gaye Mujh Ko To Kya;
- Saath Mere Meri Taqdeer To Hai!
- ============================
- Lamha Lamha Ye Waqt Guzar Jayega;
- Jane Kab Tu Mujhse Bichad Jayega;
- Jee Lene Do Mujhe Is Ek Pal Mein Zindagi;
- Ek Tujhse Bichad Kar Yeh Dil Mar Jayega!
- ============================
- Nafrat Kabhi Na Karna Humse;
- Yeh Hum Seh Nahi Paayenge;
- Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari;
- Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge!
- ============================
- Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitbaar Ho Jata Hai;
- Ajnabi Koi Shaks Bhi Yaar Ho Jata Hai;
- Khoobiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sada;
- Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
- ============================
- Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya Log;
- Aansu Tapti Ret Mein Bo Gaye Kya-Kya Log;
- Kirnon Ke Toofan Se Bajre Bhar-Bhar Kar;
- Roshniyan Us Ghaat Par Dho Gaye Kya-Kya Log!
- Saanjh Samay Is Kunj Mein Zindagiyon Kee Aut;
- Baj Gayi Kya-Kya Bansauri Ro Gaye Kya-Kya Log;
- Maili Chaadar Taan Kar Is Chaukhat Ke Dwar;
- Sadiyon Ke Kohraam Mein So Gaye Kya-Kya Log;
- Gathdi Kaal Rain Kee Sonti Se Latkaye;
- Apni Dhun Mein Dhyan Nagar Ko Gaye Kya-Kya Log;
- Meethe Meethe Bol Mein Dohe Ka Hindol;
- Sun Sun Us Ko Bhanware Ho Gaye Kya Kya Log!
- ============================
- Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye;
- Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye;
- Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan;
- Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye!
- ============================
- Rang Dikhati Hai Yeh Zindagi Kitne;
- Gair Bhi Ho Jate Hain Ek Pal Mein Apne;
- Na Jaana Kabhi Tum Sapno Kee Duniya Mein;
- Kyonki Toot Jata Hai Dil Jab Toote Hain Sapne!
- ============================
- Khuda Ne Jab Tumhein Banaya Hoga;
- Uske Dil Mein Bhi Sukun Aaya Hoga;
- Socha Hoga Usne Ki Tumhein Apna Loon;
- Phir Use Mera Khayal Aaya Hoga!
- ============================
- Meri Koshish Hamesha Hi Naqaam Rahi;
- Pehle Tumhein Paane Kee Ab Tumhein Bhulane Kee!
- ============================
- Hairan Hai Jabeen Aaj Kidhar Sajda Ravaa Hai;
- Sar Par Hain Khudavand Sar-e-Arsh Khuda Hai;
- Kab Tak Ise Seenchoge Tamanna-e-Samar Mein;
- Ye Sabr Ka Pauda To Na Phula Na Phala Hai;
- Milta Hai Khiraj Us Ko Teri Naan-e-Javin Se;
- Har Baadshah-e-Waqt Tere Dar Ka Gadaa Hai;
- Har Ek Uquubat Se Hai Takhi Mein Sava-Tar;
- Wo Rang Jo Na-Karda Gunahon Kee Saza Hai;
- Ehsaan Liye Kitne Maseeha-Nafson Ke;
- Kya Kijiye Dil Ka Na Jala Hai Na Bujha Hai!
- ============================
- Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale;
- Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale;
- Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat;
- Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
- ============================
- Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye;
- Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
- Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi;
- Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!
- ============================
- Khuda Humko Kabhi Aisi Judai Na De;
- Unki Yaadon Se Kabhi Humko Rihai Na De;
- Dua Karna Dosto Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
- Jahan Se Mera Pyaar Mujhe Dikhai Na De!
- ============================
- Mohabbat Karo Itni Ki Hadh Na Rahe;
- Intezar Karo Itna Ki Waqt Na Rahe;
- Bharosa Karo Itna Ki Shaq Na Rahe;
- Nibaho Mohabbat Aise Ki Kisi Aur Ka Us Par Haq Na Rahe!
- ============================
- Zindgi Is Tarah Guzarate Hain;
- Karz Hai Aur Use Utarate Hain;
- Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain;
- Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain;
- Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka;
- Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain;
- Kitne Dil Is Mein Goondh Lete Hain;
- Zulf-e-Khugar Ko Jab Sanwarte Hain;
- Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana;
- Pesh-e-Fateh Bhi Log Haarte Hain!
- ============================
- Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale;
- Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;
- Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun;
- Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale!
- ============================
- Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
- Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
- Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
- Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
- ============================
- Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota;
- Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota;
- Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dino Ke Liye;
- Lekin Uske Baad Aankhon Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota!
- ============================
- Wo Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi;
- Wo Mohabbat Hi Kya Jisme Yaaein Nahi;
- Wo Yaaein Hi Kya Jisme Tum Nahi;
- Aur Wo Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi!
- ============================
- Musafir Ke Raaste Badalte Rahe;
- Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe;
- Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha;
- Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe;
- Mere Raaste Mein Ujala Raha;
- Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe;
- Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya;
- Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe;
- Mohabbat Adavat Wafa Berukhi;
- Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe;
- Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi;
- Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe;
- Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye;
- Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe!
- ============================
- Kahan Tak Aankh Royegi Kahan Tak Kiska Gham Hoga;
- Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;
- Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main;
- Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!
- ============================
- Kyon Koi Chaah Kar Mohabbat Nibha Nahi Paata;
- Kyon Koi Chaah Kar Rishta Banaa Nahi Paata;
- Kyon Leti Hai Zindagi Aisi Karvat;
- Ki Koi Chaah Kar Bhi Pyaar Jataa Nahi Paata!
- ============================
- Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai;
- Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai;
- Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf;
- Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!
- ============================
- Na Zindagi Mili Na Wafa Mili;
- Na Jaane Kyon Har Khushi Humse Khafa Mili;
- Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chupaate Hain;
- Sachhi Mohabbat Karne Kee Bhi Kya Khoob Saza Mili!
- ============================
- Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat;
- Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat;
- Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee;
- Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat;
- Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
- Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;
- Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan;
- Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat;
- Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka;
- Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat;
- Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
- Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;
- Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee 'Wasi';
- Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat!
- ============================
- Baat Aisi Bhi Koi Nahi Ki Mohabbat Bahut Jyada Hai;
- Lekin Hum Dono Se Us Kee Taqat Bahut Jyada Hai;
- Aap Ke Peeche Peeche Phirne Se To Rahe Is Umar Mein Hum;
- Raah Pe Aa Baithe Hain Ye Bhi Ghanimat Bahut Jyada Hai!
- ============================
- Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashko Ko Moti Bana Deti Hai;
- Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai;
- Jab Jeene Kee Koi Bhi Wajah Hi Na Bachi Ho;
- Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai!
- ============================
- Hanste Rahoge To Duniya Saath Hai Warna;
- Aansuon Ko To Aankh Mein Bhi Jagah Nahi Milti!
- ============================
- Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
- Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
- Jaan Ban Ke Utar Ja Uski Rooh Mein;
- Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!
- ============================
- Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum;
- Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum;
- May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi;
- Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum;
- Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka;
- Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum;
- Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil;
- Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum;
- Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi;
- Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum;
- Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer'
- Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum!
- ============================
- Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai;
- Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai!
- ============================
- Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath;
- Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath;
- Khata Kuchh Bhi Nahi, Mahaz Pyaar Kiya Hai;
- Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath!
- ============================
- Har Pal Hanske Jiya Karte Hain;
- Aap Se Dil Kee Har Baat Kiya Karte Hain;
- Bahut Khaas Ho Aap Hamare Liye;
- Isliye Har Waqt Aapko Yaad Kiya Karte Hain!
- ============================
- Tera Intezar Mujhe Har Pal Rehta Hai;
- Har Lamha Mujhe Tera Ehsas Rehta Hai;
- Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain;
- Kyonki Tu Mere Dil Mein Meri Dhadkan Banke Rehta Hai!
- ============================
- Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool;
- Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;
- Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
- Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;
- Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
- Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;
- Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
- Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;
- Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
- Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool!
- ============================
- Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar;
- Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi!
- ============================
- Sard Raaton Ko Satati Hai Judai Teri;
- Aag Bujhti Nahi Seene Mein Lagayi Teri;
- Tum Jo Kehte The Bichar Kar Main Sukun Paa Lunga;
- Phir Kyu Roti Hai Mere Dar Par Tanhayi Teri!
- ============================
- Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi;
- Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi;
- Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain;
- Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!
- ============================
- Koi Apna Hota To Bin Kahe Hi Samjh Leta;
- Ab Kis Ko Bataun Ki Kya Hai Is Dil Mein;
- Bhule Baithe Hain Wo Log Bhi Jinhe Apna Samjhta Hun;
- Kabhi Mile To Dil Cheer Ke Dikha Dun Ki Kya Hai Is Dil Mein!
- ============================
- Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho;
- Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho;
- Ab Koi Aarzoo Nahi Baki;
- Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho;
- Main Zameen Par Ghana Andhera Hun;
- Aasmano Kee Chandni Tum Ho;
- Doston Se Wafa Kee Ummeedein;
- Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho!
- ============================
- Dhadkan Dil Ki Ruk Jati Hai;
- Sanse Aksar Tham Jati Hai;
- Bahut Buri Halat Hoti Hai Yaaro;
- Jab GF Se Shaadi Karne Ki Naubat Aati Hai!
- ============================
- Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se;
- Wo Aazmaish Dil O Nazar Kee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se;
- Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se;
- Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se!
- ~============================
- Palkein Khuli Subah To Yeh Jaana Humne;
- Maut Ne Aaj Phir Se Humein Zindagi Ke Hawale Kar Diya!
- GILA SHIKWA 18
- Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;
- Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!
- ============================
- Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda;
- Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi;
- Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee;
- Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi!
- ============================
- Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The;
- Aankh Mein Noor Kee Aur Dil Mein Lahoo Kee Surat;
- Yaad Kee Tarah Dhadakte Hue Dil Kee Surat;
- Tum Nahi Aaye Abhi Phir Bhi To Tum Aaye Ho;
- Raat Ke Seene Mein Mehtab Ke Khanjar Kee Tarah;
- Subah Ke Haath Mein Khurshid Ke Sagar Kee Tarah;
- Tum Nahi Aaoge Jab Phir Bhi To Tum Aaoge;
- Zulf Dar Zulf Bikhar Jayega Phir Raat Ka Rang;
- Shab-e-Tanhayi Mein Bhi Lutf-e-Mulaqat Ka Rang;
- ============================
- Aao Aane Kee Karein Baat Ki Tum Aaye Ho;
- Ab Tum Aaye Ho Main Kaun Si Shai Nazar Karu;
- Ki Mere Paas Siva Mehr-o-Wafa Kuch Bhi Nahi;
- Ek Dil Ek Tamanna Ke Siva Kuch Bhi Nahi!
- ============================
- Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya;
- Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya;
- Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake;
- Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya!
- ============================
- Kuch Sochun To Tera Khayal Aa Jata Hai;
- Kuch Bolun To Tera Naam Aa Jata Hai;
- Kab Tak Chupaon Dil Kee Baat;
- Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai!
- ============================
- Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye;
- Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye;
- Pyaar Hi To Kehte Hain Use;
- Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye!
- ============================
- Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaye;
- Saans Bhi Lo To Khushbu Uski Hi Aaye;
- Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Cha Jaye;
- Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye!
- ============================
- Khoon Bar Kar Munasib Nahi Dil Bahe;
- Dil Nahi Maanta Kaun Dil Se Kahe;
- Teri Duniya Mein Aaye Bahut Din Rahe;
- Sukh Ye Paya Ki Hum Ne Bahut Dukh Sahe;
- Bulbulein Gul Ke Aansu Nahi Chatati;
- Un Ko Apni Hi Margoob Hain Chehchahe;
- Aalam-e-Nazaa Mein Sun Raha Hun Mein Kya;
- Ye Azizon Kee Cheekhe Hain Kya Kehkahe;
- Is Naye Husn Kee Bhi Adaon Pe Hum;
- Mar Mitenge Ba-Sharte Ke Zinda Rahe;
- Tum 'Hafeez' Ab Ghisatne Kee Manzil Mein Ho;
- Daur-e-Ayyaam Pahiya Hai Gham Hain Rahe!
- ============================
- Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar;
- Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe!
- ============================
- Kabhi Ro Ke Muskraye, Kabi Muskura Ke Roye;
- Uski Yaad Jab Bhi Aayi, Use Bhula Ke Roye;
- Ek Uska Hi Naam Tha, Jise Hazar Bar Likha;
- Jitna Likh Ke Kush Hue, Usse Jyada Use Mita Ke Roye!
- ============================
- Apne Dil Mein Tumhare Pyaar Kee Dastaan Likhi Hai;
- Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai;
- Kabhi Hamare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo;
- Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai!
- ============================
- Naseeba De Lekh Koi Mod Nahi Sakda;
- Hove Rabb Te Aitbar Koi Tod Nahi Sakda;
- Sachha Pyaar Ta Milda Hai Naseeban De Naal;
- Lakh Chah Ke Vi Kise Naal Rishta Koi Jod Nahi Sakda!
- ============================
- Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
- Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;
- Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
- Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;
- Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
- Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;
- Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
- Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;
- Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
- Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;
- Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
- Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;
- Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
- Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
- ============================
- Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
- Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!
- ============================
- Nafrat Bhi Hai Tumse, Mohabbat Bhi Hai Tumse;
- Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai;
- Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish;
- Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai!
- ============================
- Zakham Aisa Diya Ki Koi Dawa Kaam Na Aayi;
- Aag Aisi Lagai Ki Paani Se Bhi Bujh Na Paayi;
- Aaj Bhi Rote Hain Hum Unki Yaad Mein;
- Jo Chod Kar Chale Gaye Aur Unhe Hamari Yaad Tak Na Aayi!
- ============================
- Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
- Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho!
- ============================
- Tere Vaade Kee Tere Pyaar Kee Mohtaj Nahi;
- Ye Kahani Kisi Kirdaar Kee Mohtaj Nahi;
- Khali Kashkol Pe Itarayi Hui Phirti Hai;
- Ye Fakeeri Kisi Dastar Kee Mohtaj Nahi;
- Log Honthon Pe Sajaye Hue Phirte Hain Mujhe;
- Meri Shohrat Kisi Akhbaar Kee Mohtaj Nahi;
- Ise Toofan Hi Kinare Se Laga Sakta Hai;
- Meri Kashti Kisi Patvaar Kee Mohtaj Nahi;
- Maine Mulkon Kee Tarah Logo Ke Dil Jeete Hain;
- Ye Hukumat Kisi Talwar Kee Mohtaj Nahi!
- ============================
- Koi Umeed Bar Nahi Aati;
- Koi Soorat Nazar Nahi Aati;
- Maut Ka Ek Din Muayyan Hai;
- Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati!
- ============================
- No longing can now be fulfilled,
- No despite can now be envisaged.
- The day of death has been appointed,
- Why is the night crowded with sleeplessness?
- ============================
- Jab Se Usne Shehar Choda Har Raasta Sunsan Hua;
- Apna Kya Hai Sare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksan Hua;
- Ye Dil Ye Aaseb Kee Nagri Maskan Sochun Vehmon Ka;
- Soch Raha Hun Is Nagri Mein Tu Kab Se Mehman Hua!
- ============================
- Aaj Bhi Behta Hai Uska Diya Hua Zakham;
- Main Chah Kar Bhi Use See Na Paaya;
- Bas Kehne Ke Liye Hi Zinda Hun Main To Yaaro;
- Par Marzi Ke Saath Kabhi Jee Na Paaya!
- ============================
- Do Pal Da Hai Saath Pata Nahi Kado Vichad Jana;
- Rishteya Da Kee Pata Kado Tut Jana;
- Puch Liya Karo Kade Haal-Chaal Sade Dil Da;
- Zindgi Da Kee Pata Asi Kado Muk Jana!
- ============================
- Barsat Kee Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi;
- Kuch Apna Zamana Yaad Aaya Kuch Unki Jawani Yaad Aayi;
- Hum Bhool Chuke The Jisne Humein Duniya Mein Akela Chora Tha;
- Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Si Yaad Aayi!
- ============================
- Rakshas Tha Na Khuda Tha Pehle;
- Aadmi Kitna Bada Tha Pehle;
- Aasmaan, Khet, Samandar Sab Laal;
- Khoon Kagaz Pe Uga Tha Pehle;
- Main Wo Maqtool Jo Qatil Na Bana;
- Haath Mera Bhi Utha Tha Pehle;
- Ab Kisi Se Bhi Shikayat Na Rahi;
- Jane Kis-Kis Se Gila Tha Pehle;
- Shehar To Baad Mein Veeran Hua;
- Mera Ghar Khaak Hua Tha Pehle!
- ============================
- Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Mehrban;
- Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The!
- ============================
- Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi;
- Hamare Jaisi Tumko Chaht Bhi Na Milegi;
- Yun Itni Berukhi Na Humein Dikhlaiye;
- Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi!
- ============================
- Tu Khush Rahe To Main Muskuraunga;
- Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe Na Bhula Paunga;
- Mere Gham Ka Tu Dard Na Lena;
- Ki Iss Dard Mein Bhi Main Sukun Paunga!
- ============================
- Dil Kee Baat Ko Juban Se Kehna Nahi Aata;
- Khafa Hona To Aata Hai, Khafa Rehna Nahi Aata!
- ============================
- Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Baar Se;
- Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se;
- Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab;
- Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se;
- Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka;
- Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se;
- Maand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang;
- Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se;
- Main Bhi 'Akbar' Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko;
- Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se!
- ============================
- Har Bul-Hawas Ne Husn-Parasti Shiaar Kee;
- Ab Aabroo-e-Sheva-e-Ahl-e-Nazar Gayi;
- Nazare Ne Bhi Kaam Kiya Wan Naqaab Kee;
- Masti Se Har Nigah Tere Rukh Par Bikhar Gayi!
- ============================
- Each common lover has become a fake priest of beauty,
- The distinction of the visionary lover has been erased.
- Looking itself performed the function of secreting you,
- Each blinded gaze refracted on the glories of your face.
- ============================
- Dilon Ko Fikr-e-Do-Alam Se Kar Diya Aazad;
- Tere Junoon Ka Khuda Silsila Daraaz Kare!
- ============================
- Zuban Khamosh Aankhon Mein Nami Hogi;
- Yahi Bas Meri Ek Dastan-e-Zindagi Hogi;
- Bharne Ko Toh Har Zakham Bhar Jayega;
- Kaise Bharegi Wo Jagah Jahan Teri Kami Hogi!
- ============================
- Kabhi Hum Tute To Kabhi Khwaab Tute;
- Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute;
- Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka;
- Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute!
- ============================
- Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The;
- Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat;
- Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab;
- Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The!
- ============================
- Raat Aadhi Se Jyada Gayi Thi, Sara Aalam Sota Tha;
- Naam Tera Le Le Kar Koi Dard Ka Maara Rota Tha;
- Charagaron, Ye Taskin Kaisi, Main Bhi Hun Is Duniya Mein;
- Unko Aisa Dard Kab Utha, Jinko Bachana Hota Tha;
- Kuch Ka Kuch Keh Jata Tha Main Furkat Kee Betabi Mein;
- Sunane Wale Hans Padte The Hosh Mujhe Tab Aata Tha;
- Tare Aksar Doob Chale The, Raat Ko Rone Walo Ko;
- Aane Lagi Thi Neend Si Kuch, Duniya Mein Savera Hota Tha;
- Tark-e-Mohabbat Karne Walo, Kaun Aisa Jag Jeet Liya;
- Ishq Ke Pehle Ke Din Socho, Kaun Bada Sukh Hota Tha;
- Uske Aansu Kisne Dekhe, Uski Aahein Kisne Suni;
- Chaman Chaman Tha Husn Bhi Lekin Dariya Dariya Rota Tha;
- Pichala Pahar Tha Hizr Kee Shab Ka, Jagta Rab, Sota Insan;
- Taaron Kee Chanv Mein Koi 'Firaq' Sa Moti Pirota Tha!
- ============================
- Tujhe Paane Ke Liye Kuchh Bhi Kar Sakta Hu;
- Tere Pyaar Mein Jee Toh Kya, Mar Bhi Sakta Hu;
- Phir Bhi Tu Nahi Mili To Koi Mujhe Gham Nahi;
- Yeh Formula Kissi Dusri Pe Set Kar Sakta Hu!
- ============================
- Woh Baada-e-Shabana Kee Sar-Mastiyan Kahan;
- Uthiye Bas Ab Ke Lazzat-e-Khwab-e-Sehar Gayi;
- Udti Phire Hai Khaak Meri Koo-e-Yaar Mein;
- Baare Ab Aaye Hawa Hawas-e-Baal-o-Par Gayi!
- ============================
- Gone are those spirited nights of intoxication,
- Arise! The blissful sleep of dawns that follow is also dispersed.
- A cloud of my ashes rises in the street of the other,
- Finally oh wind, I no longer crave wings or plumage.
- ============================
- Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham Jaaye;
- Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye;
- Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi;
- Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye!
- ============================
- Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum;
- Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum;
- Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Sacha Nahi Hota;
- Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum!
- ============================
- Takdeer Bata Tune Mujhko Kis Mod Pe Lake Chhod Diya;
- Ek Mod Talak To Saath Diya Ek Mod Pe Lake Chhod Diya;
- Khud Pyaar Kiya Khud Thukraya Phir Pyaar Bhara Dil Tod Diya;
- Us Mod Talak To Saath Diya Is Mod Pe Lake Chhod Diya!
- ============================
- Ye Dil Mein Vasvasa Kya Pal Raha Hai;
- Tera Milna Bhi Mujh Ko Khal Raha Hai;
- Jise Maine Kiya Tha Be-Khudi Mein;
- Jabeen Par Ab Vo Sajda Jal Raha Hai;
- Mujhe Mat Do Mubarak-Baad-e-Hasti;
- Kisi Ka Hai Ye Saya Chal Raha Hai;
- Sar-e-Sahara Sada Dil Ke Shajar Se;
- Barasta Door Ik Badal Raha Hai;
- Fasad-e-Lagzish-e-Takhleeq-e-Aadam;
- Abhi Tak Haath Yazdaan Mal Raha Hai;
- Dilon Kee Aag Kya Kafi Nahi Hai;
- Jahanum Be-Zaroorat Jal Raha Hai!
- ============================
- Bhule Hain Rafta Rafta Unhen Muddaton Mein Hum;
- Kishton Mein Khud-Kushi Ka Maza Humse Puchiye!
- ============================
- Kuch Pane Kee Chaahat Mein Bahut Kuch Choot Jata Hai;
- Na Jane Sabr Ka Dhaga Kahan Par Toot Jata Hai;
- Zara Batao Ki Tum Kise Humraah Kehte Ho;
- Yahan To Apna Saya Bhi Saath Chod Jata Hai!
- ============================
- Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai;
- Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai;
- Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein;
- Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai!
- ============================
- Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake;
- Khushi Hamari Dekh Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake;
- Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake;
- Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake!
- ============================
- Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai;
- Mujh Pe Ehsaan Hawa Karti Hai;
- Shab Kee Tanhai Mein Ab To Aksar;
- Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai;
- Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahi;
- Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai;
- Zindagi Meri Thi Lekin Ab To;
- Tere Kehne Mein Raha Karti Hai;
- Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh;
- Dil Ka Ehaval Kaha Karti Hai;
- Sham Padte Hi Kisi Shakhs Kee Yaad;
- Kucha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai!
- ============================
- Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi;
- Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi!
- ============================
- Your glance penetrates the heart to reacdh the soul,
- Both are left in agreement by such a cohesive gesture.
- ============================
- Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain;
- Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!
- ============================
- Tujhe Chahte Hain Ai Sanam Bas Teri Aarzoo Hai;
- Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai;
- Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai;
- Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Mein Roshni Hai!
- ============================
- Khamosh Hothhon Ka Agar Ishara Mil Jaaye;
- In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye;
- Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain;
- Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye!
- ============================
- Ajnabi Thi Baatein Sabhi Uske Pyaar Kee;
- Nahi Thi Khabar Ek Din Qayamat Zaroor Hogi;
- Karte Rahe Fariyad Us Khuda Se Ai Sanam;
- Milega Tu Mujhe, Khuda Kee Rehmat Zaroor Hogi!
- ============================
- Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
- Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna;
- Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske;
- Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna;
- Khakh Kis-Kis Kee Khuda Jaane Hui Ai Daman Wale;
- Tune Chalte Hue Daman Na Sambhala Apna;
- Dil Chune Wale Do Lafz Hi Likhe The Usne;
- Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Geya Apna;
- Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain;
- Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna;
- Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
- Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna!
- ============================
- Gham Se Marta Hun Ki Itna Nahi Duniya Mein Koi;
- Ki Kare Taziyat-e-Mehr-o-Wafa Mere Baad;
- Aaye Hai Bekasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
- Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!
- ============================
- I perish with grief, the world offers no companion,
- To give rituals of succour for love and fidelity, in my aftermath.
- I am weeping for that soul-sick, outcast love, Ghalib,
- Whose habitat will be visited by its turmoil, in my aftermath.
- ============================
- Husn Ghamze Kee Kashakash Se Chuta Mere Baad;
- Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
- Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
- Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!
- ============================
- The clash between beauty and seduction is assuaged in my aftermath,
- The faithless are consequently at peace in my aftermath.
- No one is left worthy of the eminence of deire's insanity,
- The manner and the ways of love are banished in my afterma
- ============================
- Zamane Se Nahi Main To Tanhai Se Darta Hun;
- Pyaar Se Nahi Main To Ruswai Se Darta Hun;
- Milne Kee Umang Bahut Hoti Hai Dil Mein;
- Lekin Milne Ke Baad Teri Judai Se Darta Hun!
- ============================
- Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake;
- Pyaar Kya Hota Hai Hum Pehchan Na Sake;
- Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki;
- Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake!
- ============================
- Akhan Di Benoori Changi Nahi Hundi;
- Sajjna Kolon Doori Changi Nahi Hundi;
- Kade Kade Taa Aa Ke Mil Jaya Karo;
- Har Vele Majboori Changi Nahi Hundi!
- ============================
- Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
- Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;
- Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
- Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe;
- Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli;
- Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe;
- Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai;
- Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe;
- Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee,
- Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe;
- Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi;
- Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe;
- Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel';
- Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe!
- ============================
- Justuju Jis Kee Thi Usko To Na Paya Humne;
- Iss Bahane Se Magar Dekh Lee Duniya Humne!
- ============================
- Tujhe Paane Kee Iss Liye Zidd Nahi Karte;
- Kyonki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta;
- Tu Milta Hai To Isliye Nazrein Nahi Uthate;
- Ki Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta!
- ============================
- Meri Har Saans Mein Mehakta Paya Hai Tujhe;
- Har Sapno Mein Dil Se Mangwaya Hai Tujhe;
- Phir Kyon Na Karein Tumhein Itni Mohabbat;
- Jab Khuda Ne Mere Liye Hi Banaya Hai Tujhe!
- ============================
- Door Kahin Meri Nazron Se Rehti Hai Wo;
- Har Lamha Mere Khayalon Mein Rehti Hai Wo;
- Kaisi Hai Wo, Kis Haal Mein Hai Wo;
- Dil Ke Mere Har Sawaal Mein Rehti Hai Wo!
- ============================
- Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
- Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;
- Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
- Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;
- Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
- Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;
- Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
- Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;
- Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
- Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;
- 'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
- Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!
- ============================
- Manzar Ik Bulandi Par Aur Hum Bana Sake;
- Arsh Se Idhar Hota Kaash Ki Makaan Apna;
- De Woh Jis Kadar Zillat Hum Hansi Mein Taalenge;
- Baare Aashna Nikla Unka Paasban Apna!
- ============================
- Could we build on some pre-eminence and see what lay below,
- If only we had a different home, apart from the sky.
- However much he insults me, I can take it with a smile,
- By chance, the beloved's guard turns out to be a friend.
- ============================
- Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
- Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
- Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
- Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota!
- ============================
- Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo;
- Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain!
- ============================
- Kaash Kite Tu Mere Naal Hunda;
- Teriyan Akhan Vich Koi Sawaal Hunda;
- Teriyan Baahan Vich Reh Ke Main Eh Dasdi;
- Tere Jaan Te Mera Ki Hai Haal Hunda!
- ============================
- BhulaKar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat;
- To BhulaKar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
- Meri Fitrat Mein Nahi Hai Ye Aadat Varna;
- Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
- ============================
- Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
- Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;
- Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah;
- Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;
- Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka;
- Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;
- Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
- Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;
- Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
- Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;
- Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
- Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!
- ============================
- Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
- Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
- Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
- Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!
- ============================
- Discourse over that ravishment, compounded with my eloquence,
- Made a rival out of he, who used to be my confidant.
- Oh Lord! Why would they imbibe so much in a stranger's gathering,
- The limits of my endurance were put to the test today.
- ============================
- Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai;
- Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi!
- ============================
- Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha;
- Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha;
- Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
- Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
- YAADEIN 145
- Koi Mil Jaye Mujhe Tum Jaisa Ye Na-Mumkin Sahi;
- Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Ye Bhi Nahi!
- ============================
- Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai;
- Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai;
- Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun;
- Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai!
- ============================
- Baat Bas Se Nikal Chali Hai;
- Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai;
- Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai;
- Ab Tabiyat Behal Chali Hai;
- Ashk Khoonaab Ho Chale Hain;
- Gham Kee Rangat Badal Chali Hai;
- Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein;
- Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai;
- Lakh Paigam Ho Gaye Hain;
- Jab Saba Ek Pal Chali Hai;
- Jao, Ab So Raho Sitaro;
- Dard Kee Raat Dhal Chali Hai!
- ============================
- Zulmat Kade Mein Mere Shab-e-Gham Ka Josh Hai;
- Ek Shamma Hai Daleel-e-Sahar So Khamosh Hai;
- Na Muzhda-e-Visaal Na Nazara-e-Jamal;
- Muddat Hui Ki Aashti-e-Chashm-o-Ghosh Hai!
- ============================
- The visible darkness of my home is intensified by the night of pain,
- The only proof of dawn is but a candle which has already been spent.
- There is no word of an encounter, nor the joy of beholding,
- For an age now, there has been peace between sight and hearing.
- ============================
- Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai;
- Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Kar!
- ============================
- Tere Pyaar Mein Do Pal Kee Zindagi Bahut Hai;
- Ek Pal Kee Hansi Aur Ek Pal Kee Khushi Bahut Hai;
- Ye Duniya Mujhe Jaane Ya Na Jaane;
- Teri Aankhein Mujhe Pehchane Yahi Bahut Hai!
- ============================
- Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai;
- Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti;
- Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log;
- Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti!
- ============================
- Hasrat Hai Sirf Humein Tumhe Paane Kee;
- Aur Koi Khawahish Ab Nahi Is Deewane Kee;
- Shikwa Humein Tumse Nahi Khuda Se Hai;
- Kya Zarurat Thi Tumhe Itna Khoobsurat Banane Kee!
- ============================
- Sarakti Jaye Hai Rukh Se Naqab Ahista-Ahista;
- Nikalta Aa Raha Hai Aftab Ahista-Ahista;
- Jawan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda;
- Haya Yaklakhat Aayi Aur Shabab Ahista-Ahista;
- Shab-e-Furkat Ka Jagaa Hun Farishton Ab To Sone Do;
- Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Ahista-Ahista;
- Sawal-e-Vasl Par Un Ko Adoo Ka Khauf Hai Itna;
- Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Ahista- Ahista;
- Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna;
- Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Ahista- Ahista;
- Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahun Un Se;
- Huzoor Ahista-Ahista Janaab Ahista-Ahista!
- ============================
- Apni Gali Mein Mujh Ko Na Kar Dafn Baad-e-Qatl;
- Mere Pate Se Khalak Ko Kyon Tera Ghar Mile;
- Saqi Gari Kee Sharm Karo Aaj Varna Hum;
- Har Shab Piya Hi Karte Hain Mai Jis Kadar Mile!
- ============================
- Do not bury me in your alley after my murder,
- Why should my address bring the world to your home.
- Practice the properieties of wine bearing today,
- Other nights, I imbibe whatever can be found.
- ============================
- Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
- Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
- ============================
- Taqdeer Ne Jaise Chaha Vaise Dhal Gaye Hum;
- Bahut Sambhal Ke Chale Fir Bhi Fisal Gaye Hum;
- Kisi Ne Vishwas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil;
- Aur Logon Ko Lagta Hai Ki Badal Gaye Hum!
- ============================
- Palkon Mein Aansu Aur Dil Mein Dard Soya Hai;
- Hansne Walon Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai;
- Ye To Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri Is Tanhayi Ka Alam;
- Jisne Zindagi Mein Kisi Ko Pane Se Pehle Khoya Hai!
- ============================
- Kash Woh Samajhte Is Dil Kee Tadap Ko;
- To Yun Humein Ruswa Na Kiya Hota;
- Unki Ye Berukhi Bhi Manzoor Thi Humein;
- Bas Ek Baar Humein Samjh Liya Hota!
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
JUDAAI ISHQ SHAYARI NEW
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment