Dil Tod Kar Hamara Tumko Shayari 2017

Unse Milne Ko Jo Sochun Ab Wo Zamana Nahi;
Ghar Bhi Kaise Jaun Ab To Koi Bahana Nahi;
Mujhe Yaad Rakhna Kahin Tum Bhula Na Dena;
Mana Ki Barson Se Teri Gali Me Aana Jana Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Chand Sitare Mein Teri Tasveer Nazar Aayi;
Phir Is Tanha Raat Mein Teri Yaad Chali Aayi;
Door Tujhse Rehkar Ye Saans Tham Chuki Thi;
Jo Kahin Naam Tera Aaya To Saans Chali Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Ye Bhi Theek Nahi Ki Har Dard Mita De;
Kuch Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haath Khaali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;

Ab To Har Haath Ka Pathar Humnein Pahunchta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate;

Ab Ke Mayus Hua Yaaron Ko Rukhsat Karke;
Ja Rahe The To Koi Zakham Lagate Jaate;

Reengne Kee Bhi Izazat Nahi Hum Ko Warna;
Hum Jidhar Jaate Naye Phool Khilate Jaate;

Main To Jalte Hue Sehraon Ka Ek Pathar Tha;
Tum To Dariya The Meri Pyaas Bujhate Jaate;

Hum Se Pehle Bhi Musafir Kayi Guzre Honge;
Kam Se Kam Raah Ke Pathar To Hatate Jaate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do;
Main Bahut Dino Se Udaas Hun, Mujhe Koi Shaam Udhaar Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle;
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle;
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha;
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Duriya Hote Hue Bhi Safar Vahi Rahega;
Door Hote Hue Bhi Dostana Vahi Rahega;
Bahot Mushkil Hai Yeh Safar Zindgi Ka;
Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Yaadon Mein Tum Ho Ya Mujh Mein Hi Tum Ho;
Mere Khwabon Mein Tum Ho Ya Mera Khwab Hi Tum Ho;
Dil Mera Dhadak Ke Puche Baar-Baar Ek Hi Baat;
Meri Jaan Mein Tum Ho Ya Meri Jaan Hi Tum Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai;
Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai;

Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj;
Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai;

Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko;
To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai;

Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar;
Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Pass Se Wo Guzra To Bekhudi Mein Tha 'Faraz';
Thodi Door Ja Kar Sambhla, Tujhe Yaad Kar Ke Roya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Raat Der Tak Teri Dehleez Par Baithi Rahin Meri Aankhein;
Khud Na Aana Tha To Koi Khwab Hi Bhej Diya Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itna Aitbaar To Apni Dhadkano Par Bhi Humne Na Kiya,
Jitna Aapki Baaton Par Karte Hain;
Itna Intezar To Apni Saanson Ka Bhi Na Kiya,
Jitna Aapke Milne Ka Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Bahaduri Ke Kisse Mashoor The Shehar Mein,
Tujhe Kho Jaane Ke Darr Ne Mujhe Qayar Bana Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Rukne Ka Samay Guzar Geya Hai;
Jana Tera Ab Thehar Geya Hai;

Rukhsat Kee Ghadi Khadi Hai Sar Par;
Dil Koi Do-Neem Kar Geya Hai;

Maatam Kee Fazaa Hai Shehar-e-Dil Mein;
Mujh Mein Koi Shakhs Mar Geya Hai;

Bujhne Ko Hai Phir Se Chashm-e-Nargis;
Phir Khwaab-e-Sabaa Bikhar Geya Hai;

Bas Ek Nigaah Kee Thi Us Ne;
Saraa Chehra Nikhar Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai,
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;
Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote,
Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Qatarta Hai;
Ye Dekhna Hai Ki Sehra Bhi Hai Samandar Bhi,
Wo Meri Tashna-Labi Kis Ke Naam Karta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ai Aasmaan Tere Khudaa Ka Nahi Hai Khauf;
Darte Hain Ai Zameen Tere Aadmi Se Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang;
Varna Royega Ki Jannat Mein Bhi Ruswayi Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Shikayat Kya Karun Ab,
Yeh To Kismat Kee Baat Hai;
Teri Soch Mein Bhi Main Nahi,
Mujhe Lafz-Lafz Tu Yaad Hai!
GILA SHIKWA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Yeh Bhi Nahi Theek Ki Har Dard Mita Den;
Kuch Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Woh Mera Sab Kuch Hai Bas Mera Muqaddar Nahi;
Kaash Woh Mera Kuch Bhi Na Hota Sirf Muqaddar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Uska Hun Yeh To Main Jaan Geya Hun Lekin;
Woh Kis Ka Hai Yeh Sawal Mujhe Sone Nahi Deta!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yeh Dil Hi Jaanta Hai Meri Paak Mohabbat Ka Aalam;
Ki Mujhe Jeene Ke Liye Saanso Kee Nahi Teri Zarurat Hai!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya;
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya;

Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai;
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya;

Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila;
Manzil-e-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya;

Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagari;
Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya;
Jab Hua Zikar Zamane Mein Mohabbat Ka "Shakeel";

Mujh Ko Apne Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na Mai Pee Hai;
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Saans Lene Se Bhi Teri Yaad Aati Hai;
Har Saans Mein Teri Khushboo Bas Jati Hai;
Kaise Kahun Ki Saans Se Main Zinda Hun;
Jab Ki Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai;
Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain;
Gujre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye;
Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye;
Rooth Kar Aise Yun Waqt Zaaya Na Kiya Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wahi Aankhon Mein Aur Aankhon Se Poshidaa Bhi Rehta Hai;
Meri Yaadon Mein Ek Bhula Hua Chehra Bhi Rehta Hai;

Jab Us Kee Sard-Mehari Dekhta Hun Bujhne Lagta Hun;
Mujhe Apni Adakari Ka Andaza Bhi Rehta Hai;

Main Un Se Bhi Mila Karta Hun Jin Se Dil Nahi Milta;
Magar Khud Se Bichhad Jane Ka Andesha Bhi Rehta Hai;

Jo Mumkin Ho To Pur-Asraar Duniyaon Mein Dakhil Ho;
Ki Har Deewar Mein Ek Chor Darwaza Bhi Rehta Hai;

Bas Apni Be-Basi Kee Saatvi Manzil Mein Zinda Hun;
Yahan Par Aag Bhi Rehti Hai Aur Nauha Bhi Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maana Ki Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main;
Tu Mera Shauq Dekh Mera Intezar Dekh!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khayal Mein Aata Hai Jab Us Ka Chehra,
To Labon Pe Aksar Fariyaad Aati Hai;
Hum Bhool Jate Hain Us Ke Sare Sitam,
Jab Us Kee Adhuri Si Mohabbat Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Aap Ki Har Cheez Se Pyaar Kar Lenge;
Aapki Har Baat Par Aitbaar Kar Lenge;
Bas Ek Bar Keh Do Ki Tum Sirf Mere Ho;
Hum Zindagi Bhar AapKa Intezar Kar Lenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jee Chahta Hai Tum Se Pyaari Si Baat Ho;
Haseen Chand Tare Ho, Lambi Si Raat Ho;
Fir Raat Bhar Yahi Guftagu Rakhe Hum Dono;
Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kayanat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun;
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun;

Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun;
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun;

Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;

Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;

Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main;
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun;

'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The;
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
๐Ÿ”บ๐Ÿ”๐Ÿ”Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai;
Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai;
Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka;
Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai!
HUSN~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hai Dil Tera Hai Jaan Teri Hai Imaan Tera;
To Kaise Maanu Tera Muqaddar Nahi Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai;
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai;

Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho;
Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai;

Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den;
Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai;

Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye;
Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai;

Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par;
Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tum Bhool Kar Bhi Yaad Nahi Karte Ho Kabhi;
Hum To Tumhari Yaad Mein Sab Kuch Bhula Chuke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭⧭Kabhi Tanhai, Kabhi Tadap, Kabhi Bebasi To Kabhi Intezar;
Ye Marz Bhi Kya Khoob Hai Jise Sab Log Ishq Kehte Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Assi Nazuk Dil De Lok Haan, Sada Dil Na Yaar Dukhaya Kar;
Na Jhoothe Vaade Kareya Kar, Na Jhoothi Kasmaan Khaya Kar;
Tainu Kinni Vaari Main Aakheya Hai, Mainu Baar Baar Na Aazmaya Kar;
Teri Yaad De Vich Main Mar Java Ga, Mainu Inna Na Yaad Aaya Kar!
PUNJAB~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ I  
Na Aah Sunayi Di Na Tadap Dikhai Di;
Fana Ho Gaye Tere Ishq Mein Badi Khamoshi Ke Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭⧭Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein;
Phir Us Ke Baad Musalsal Azab Aankhon Mein;

Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshan Tha Wujud;
Khatak Raha Hai Wahi Aftab Aankhon Mein;

Jinhe Mata-e-Dil-o-Jan Samajh Rahe The Hum;
Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein;

Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai;
Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

Meri Ghazal Teri Vahshaton Kee Khair Kee Hai;
Bahut Dino Se Bahut Iztarab Aankhon Mein;

Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai;
Ye Uljhane Teri Be-Intasab Aankhon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Husn Dekha Jo Buton Ka To Khudaa Yaad Aaya;
Raah Kaabe Kee Mili Hai Mujhe But-Khaane Se!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mile Agar Mera Humdum To Use Sirf Itna Keh Dena;
Bina Teri Mohabbat Ke Woh Pagli Jee Nahi Sakti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha;
Is Raat Kee Taqdeer Badal Sanwar Jaye To Achha;
Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai;
Baki Bhi Isi Tarah Guzar Jaye To Achha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jisne Kabhi Chahton Ka Paigaam Likha Tha;
Jisne Apna Sab Kuch Mere Naam Likha Tha;
Suna Hai Aaj Use Mere Zikar Se Bhi Nafrat Hai;
Jisne Kabhi Apne Dil Par Mera Naam Likha Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai;
Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai;
Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai;
Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai;

Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena;
Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai;

Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne;
Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai;

Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain;
Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai;

Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun;
Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhara Kya Bigaada Tha Jo Tumne Tod Dala Hai;
Ye Tukde Main Nahi Lungi, Mujhe Tum Dil Bana Kar Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


๐Ÿ”บ๐Ÿ”บ๐Ÿ”บBistar Bandh Liya Hai Maine Ghalib;
Batao Kahan Rehte Hain Woh Log Jo Kahin Ke Nahi Rehte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitna Bhi Chaho Na Bhool Paoge Humein;
Jitni Door Jaoge Nazdik Paoge Humein;
Mita Sakte Ho To Mita Do Yaadein Meri;
Magar Kya Sanson Se Bhi Juda Kar Paoge Humein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Ko Paa Kar Ab Khona Nahi Chahte;
Itna Khush Ho Kar Ab Rona Nahi Chahte;
Ye Aalam Hai Humara Aap Kee Judai Mein;
Aankhon Mein Hai Neend Par Sona Nahi Chahte!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Band Aankh Se Sapne

⧭⧭Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni;
Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni;

Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga;
Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni;

Us Ki Talaash Mein Nikle, Apna Pata Bhool Gaye;
Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni;

Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir;
Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni;

Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi;
Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni;

Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas;
Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taras Gye Hum Tere Labon Se Kuchh Sun-ne Ke Liye;
Pyaar Ki Baat Na Sahi, Koi Bakwaas Hi Kar Liya Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tum Suno Ya Na Suno Haath Badhao Na Badhao;
Doobte Doobte Ek Bar Pukarenge Tumhein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Kisi Kee Yaad Mein Rona Fizool Hai;
Itne Anmol Aansu Khona Fizool Hai;
Rona To Unke Liye Jo Hum Par Nisaar Hain;
Unke Liye Kya Rona Jinke Aashiq Hazaar Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Asaani Se Dil Lagaaye Jaate Hain;
Magar Mushkil Se Vaade Nibhaye Jaate Hain;
Mohabbat Le Aati Hai Un Raahon Pe;
Jahan Diyon Ke Badle Dil Jalaye Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Main Kaise Yakeen Kar Loon Mujhse Mohabbat Nahi Thi Unko;
Suna Hai Aaj Bhi Wo Rote Hain Meri Tasveer Seene Se Laga Kar!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kis Ne Mujhko Sada Dee Bata Kaun Hai;
Ai Hawa Tere Ghar Mein Chhupa Kaun Hai⧭⧭⧭⧭

Baarishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna;
Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai;

Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hun Magar;
Wo Paseene Mein Doobaa Hua Kaun Hai;

Aasmano Ko Humne Bataya Nahi;
Doobti Shaam Mein Doobta Kaun Hai;

Khushbun Mein Nahayi Hui Shaakh Par;
Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai;

Dil Ko Patthar Hue Ik Zamana Hua;
Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai;

Tum Bhi Mazboor Ho Hum Bhi Mazboor Hain;
Bewafa Kaun Hai Bawafa Kaun Hai!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dushmani Laakh Sahi Khatam Na Kijiye Rishta;
Dil Mile Ya Na Mile Haath Milaate Rahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chand Sa Tera Masoom Chehra Tu Haya Kee Ek Murat Hai;
Tujhe Dekh Ke Kaliyan Bhi Sharmaye Tu Itni Khoobsurat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Khud Pe To Kabhi Halaat Pe Hansi Aayi;
Tanha Baithe Baithe Beeti Baat Pe Hansi Aayi;
Wo Yaad Aaye To Kuch Pal Ka Rona Aaya;
Phir Agle Hi Pal Mujhe Haal-e-Dil Pe Hansi Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Uski Dard Bhari Aankhon Ne Jis Jagah Kaha Tha Alvida;
Aaj Bhi Wahi Khada Hai Dil Uske Aane Ke Intezaar Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭⧭Jee Uthe Hashar Mein Phir Jee Se Guzarne Wale;
Yaan Bhi Paida Hue Phir Aap Pe Marne Wale;

Hai Udasi Shab-e-Matam Kee Suhani Kaisi;
Chaanv Mein Taaron Kee Nikale Hain Sanwarne Wale;

Hum To Samjhe The Ki Dushman Pe Uthaya Khanjar;
Tumne Jana Ki Humin Tum Pe Hain Marne Wale;

Sabr Kee Mere, Mujhe Daad Zara De Dena;
O Mere Hashar Ke Din Faisala Karne Wale;

Kya Maza Deti Hai Bijli Kee Chamak Mujhko 'Riyaz';
Mujhse Lipatate Hain, Mere Naam Se Darne Wale⧭⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jigar Ho Jaega Chhalni Yeh Aankhein Khoon Royeingi Wasi;
Be Fainz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitna Dilkash Manzar Ho Jab Hum;
Qayamat Ke Din Karein Shikwa Teri Bewafai Ka;
Aur Tum Lag Ke Gale Se Mere;
Dheere Se Kaho, Chup Raho Khudaa Ke Liye!
ARMAAN~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jitni Shiddat Se Mujhe Zakham Diye Hain Us Ne;
Itni Shidat Se Toh Maine Usey Chahaa Bhi Nhi Tha!
GILA SHIKW~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~   
Shaam Hote Hi Tere Pyaar Ki Pagal Khushboo;
Neend Aankhon Se, Sukoon Dil Se Chura Leti Hai!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Guzre Hue Taveel

⧬⧬Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi;
Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi;

Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb;
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi;

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash;
Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi;

Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai;
Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi;

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz;
Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi๐Ÿ”€๐Ÿ”€๐Ÿ”€๐Ÿ”€๐Ÿ”€

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Nafrat Bhi Hai Tumse, Mohabbat Bhi Hai Tumse;
Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai;
Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish;
Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai⬉⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zakham Aisa Diya Ki Koi Dawa Kaam Na Aayi;
Aag Aisi Lagai Ki Paani Se Bhi Bujh Na Paayi;
Aaj Bhi Rote Hain Hum Unki Yaad Mein;
Jo Chod Kar Chale Gaye Aur Unhe Hamari Yaad Tak Na Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Baatein Hi Sunane Aaye; Dost Bhi Dil Dukhane Hi Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Hai Ki Nafrat Hai, Koi Itna To Samjhaye;
Kabhi Main Dil Se Ladhti Hun, Kabhi Dil Mujh Se Ladhta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
๐Ÿ”ป๐Ÿ”ป๐Ÿ”ปTujhe Inkar Hai Mujse Mujhe Iqraar Hai Tujhse;
Tu Khafa Hai Mujse Mujhe Chahat Hai Tujhse;
Tu Mayoos Hai Mujhse Mujhe Khushi Hai Tujhse;
Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyaar Hai๐Ÿ”บ๐Ÿ”บ Tujhse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Rulane Ke Baad Kyon Hansate Hain Log;
Jaane Ke Baad Kyon Bulate Hain Log;
Zindagi Mein Kya Kuch Kasar Baaki Thi;
Jo Marne Ke Baad Bhi Jalate Hain Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kat Gayi Jhagde Mein Sari Raat Vasl-e-Yaar Kee;
Shaam Ko Bosa Liya Tha, Subah Tak Taqarar Kee;

Zindagi Mumkin Nahi Ab Aashiq-e-Beemar Kee;
Chhid Gayi Hain Barchiyan Dil Mein Nigah-e-Yaar Kee;

Hum Jo Kehte The Na Jana Bazm Mein Agayaar Kee;
Dekh Lo Neechi Nigahein Ho Gayi Sarkaar Kee;

Zehar Deta Hai To De, Zaalim Magar Taskeen Ko;
Is Mein Kuch To Chashni Ho Sharab-e-Deedaar Kee;

Baad Marne Ke Mili Jannat Khudaa Ka Shukr Hai;
Mujhko Dafnaya Rafeeqon Ne Gali Mein Yaar Kee;

Haal-e-'Akbar' Dekh Kar Bole Buri Hai Dosti;
Aise Rusvayi, Aise Rind, Aise Khudayi Khwaar Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Aao Be-Parda Tumhein Jalwa-e-Pinhan Kee Kasam;
Hum Na Chedenge Humein Zulf-e-Pareshan Ki Kasam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Dil Bura Sahi Magar Sar-e-Bazaar To Na Keh;
Aakhir Tu Is Makaan Mein Kuch Din Raha To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”Kaise Bayan Karun Alfaaz Nahi Hain;
Dard Ka Mere Tujhe Ehsaas Nahi Hai;
Puchte Ho Kya Dard Hai Mujhe;
Mujhe Dard Ye Hai Ki Tu Mere Pass Nahi Hai!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Phoolon Ka Bikharna To Muqaddar Hi Tha Lekin;
Kuch Is Mein Hawaon Kee Siyasat Bhi Bahut Thi!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”๐Ÿ”Woh Kuch Gehri Soch Mein Aise Doob Geya Hai;
Baithe Baithe Nadi Kinare Doob Geya Hai⬉⬉⬉⬉

Aaj Kee Raat Na Jaane Kintni Lambi Hogi;
Aajka Suraj Shaam Se Pehle Doob Geya Hai;

Woh Jo Pyasa Lagta Tha Sailab-Zada Tha;
Paani Paani Kehte Kehte Doob Geya Hai;

Shor To Yun Utha Tha Jaise Ik Toofan Ho;
Sanaate Mein Jaane Kaise Doob Geya Hai;

Aakhiri Khawhish Poori Kar Ke Jeena Kaisa;
"Anees" Bhi Sahil Tak Aa Ke Doob Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zikr Jab Chhid Geya Qayamat Ka;
Baat Pahunchi Teri Jawani Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unka Bharosa Mat Karo Jinka Khayal Waqt Ke Sath Badal Jaye;
Bharosa Unka Karo Jinka Khayal Vaise Hi Rahe Jab Aapka Waqt Badal Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khaali Sheeshe Bhi Nishaan Rakhte Hain;
Toote Hue Dil Bhi Armaan Rakhte Hain;
Jo Khamoshi Se Guzar Jaye;
Woh Dariya Bhi Dil Mein Toofan Rakhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chal Tujhe Dikha Dun Apne Dil Kee Veeran Galiyan;
Shayad Ki Tujhe Taras Aa Jaye Meri Udaas Zindagi Par!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬲⬲Ishq Karo To Ye Bhi Socho Arz-e-Sawal Se Pehle;
Hijr Kee Poori Raat Aati Hai Subah-e-Visaal Se Pehle;

Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin;
Aankhein Pagal Ho Jati Hain Ek Khyaal Se Pehle;

Kis Ne Ret Udaai Shab Mein Aankhein Khol Ke Rakhi;
Koi Misaal To Hona Us Kee Misaal Se Pehle;

Kaar-e-Mohabbat Ek Safar Hai Is Mein Aa Jata Hai;
Ek Zavaal-Aasaar Sa Rasta Baab-e-Kamaal Se Pehle;

Ishq Mein Resham Jaise Vaadon Aur Khwabon Ka Rastaa;
Jitna Mumkin Ho Tay Kar Le Gard-e-Malal Se Pehle!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jaise Meri Nigaah Ne Dekhaa Na Ho Kabhi;
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Aksar Usko Sochun To Mujhe Mehsoos Hota Hai;
Use Mujhse Mohabbat Thi, Ya Phir Veham Tha Yeh Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raat Din Rulata Hai Intezar Tera;
Kat Gayi Umar Lekin Kam Na Hua Pyaar Tera;
Ab To Aa Jao Ke Bahut Udas Hai Yeh Dil;
Sanson Kee Hi Tarha Lazmi Hai Deedar Tera!
INTZAAR~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Muskurane Se Shuru Aur Rulane Pe Khatam;
Ye Zulm Hai Insanon Pe Jise Log Mohabbat Kehte Hain!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Apni Pyari Aankhon Mein

⬊⬊Apni Pyari Aankhon Mein Chupa Lo Mujh Ko;
Mohabbat Tum Se Hai, Chura Lo Mujh Ko;

Dhup Ho Ya Sehra Tera Sath Chalenge Hum;
Yaqeen Na Ho To Aazma Lo Mujh Ko;

Tere Har Dukh Ko Seh Lenge Hans Ke Hum;
Apne Wazood Kee Chadar Bana Lo Mujh Ko;

Zindagi Bhi Tere Naam Kar Di Hai Humne;
Bas Chand Lamhe Seene Se Laga Lo Mujh Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Majlis Mein Mere Zikr Ke Aate Hi Uthe Woh;
Badnami-e-Ushshaq Ka Ezaz To Dekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉⬈Raat Kee Khamoshi Raas Nahi Aati;
Meri Parchayi Bhi Ab Mere Paas Nahi Aati;
Aati Hai To Bas Aapki Yaad;
Jo Aakar Ek Pal Bhi Mujhse Door Nahi Jaati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yeh Din Raat Yeh Lamhe Mujhe Achhe Se Lagte Hain;
Tumhein Sochun To Saare Silsile Achhe Se Lagte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mohabbat Kee Hawa Jism Kee Dawa Ban Gayi;
Doori Aapki Meri Chahat Kee Saza Ban Gayi;
Kaise Bhulun Aapko Ek Pal Ke Liye;
Aapki Yaad Hamare Jeene Kee Wajah Ban Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Aankh Se Aankh Milata Hai Koi;
Dil Ko Khinche Liye Jata Hai Koi;

Va-e-Hairat Ke Bhari Mehfil Mein;
Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi;

Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kaamil;
Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi;

Sab Karishmat-e-Tasavur Hai 'Shakeel';
Varna Aata Hai Na Jata Hai Koi⬉⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne;
Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maut Ke Aagosh Mein Sone Ko Jee Karta Hai;
Dil To Kho Diya Ab Zindagi Khone Ko Jee Karta Hai;
Uski Yaad Aati Hai Jab Bhi Mujhe Na Jane Kyon;
Kahin Pe Tanha Baith Ke Rone Ko Jee Karta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dilasa Dete Hain Log, Ki Yun Har Waqt Na Roya Karo;
Main Kaise Bataun Ki Kuch Dard Sehne Ke Kabil Nahi Hote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nigahon Se Wo Is Dil Mein Samaye;
Jab Ashk Bahe To Palko Par Aaye;
Dar Hai Kahin Wo Kho Hi Na Jaye;
Palko Ko Ab Hum Kaise Jhukaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈⬈Raat Apne Khwab Kee Keemat Ka Andaza Hua;
Ye Sitara Neend Kee Tehzeeb Se Paida Hua;

Zehan Kee Zarakhez Mitti Se Naye Chehre Uge;
Jo Meri Yaadon Mein Zinda Hai Saraseema Hua;

Meri Aankhon Mein Anokhe Zurm Kee Tazveez Thi;
Sirf Dekha Tha Use Us Ka Badan Maila Hua;

Wo Koi Khushbu Hai Meri Saans Mein Behti Hui;
Main Koi Aansu Hun Us Kee Rooh Mein Girta Hua;

Us Ke Milne Aur Bichad Jane Ka Manzar Ek Hai;
Kaun Itne Fansalon Mein Be-Hijaab Aisa Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Thak Geya Hun Bahut Shayadaar Pedon Se;
Zara Si Dhoop Bichhakar Qayam Karta Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Alfaaz Bhool Jaun Kabhi Khyaal Bhool Jaun;
Tujhe Is Kadar Chahun Ki Apni Saans Bhool Jaun;
Uth Kar Tere Paas Se Jo Main Chal Dun;
To Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Do Baatein Unse Kee To Dil Ka Dard Kho Geya;
Logon Ne Humse Pucha Ke Tumhein Kya Ho Geya;
Bekarar Aankhon Se Sirf Hans Ke Reh Geya;
Ye Bhi Na Keh Sake Ki Humein Pyaar Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jab Aap Ka Naam Zuban Par Aata Hai;
Pata Nahi Dil Kyon Muskurata Hai;
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna;
Jo Hanste Hue Har Waqt Yaad Aata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak;
Ham Pade Tadpa Kiye Do-Do Pahar Do Din Talak;

⬈⬈Dard-e-Dil Apna Sunata Hun Kabhi Jo Ek Din;
Rehta Hai Us Naazneen Ko Dard-e-Sar Do Din Talak;

Dekhte Hain Khwab Mein Jis Din Kisoo Kee Chashm-e-Mast;
Rehte Hain Hum Do Jahaan Se Bekhabar Do Din Talak;

Gar Yaqeen Ho Ye Humein Aayega Tu Do Din Ke Baad;
To Jiyen Hum Aur Is Ummeed Par Do Din Talak;

Kya Sabab Kya Vaasta Kya Kaam Tha Batalaiye;
Ghar Se Jo Nikale Na Apne Tum "Zafar" ⬈⬈Do Din Talak!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Hue Barbad Magar Phir Bhi Sudhar Na Paye Hum;
Phir Wohi Shayari, Phir Wohi Ishq Aur Phir Wohi Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ye Mat Kehna Ki Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha;
Main Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha;
Tumhari Chahton Ke Phool To Mehfooz Rakhe Hain;
Tumhari Nafrato Kee Peedh Ko Zinda Nahi Rakha⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dard-e-Dil Kee Aah Tum Na Samajhoge Kabhi;
Har Dard Ka Maatam Sar-e-Aam Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Chupa Loon Is Tarah Tujhe Apni Baahon Mein,
Ki Hawa Bhi Guzarne Kee Izazat Maange;
Ho Jaun Itna Madhosh Tere Pyaar Mein,
Ki Hosh Bhi Aane Kee Izazat Mange⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhoop Ho Chhaaon Ho Tum Saath Nibhaaya Karna;
Mere Chehre Pe Sada Palkoon Ka Saaya Karna;

Raah Dekhungi Tumhaari Main Sar-e-Shaam Yunhi;
Kabhi Jaldi Kabhi Der Se Aaya Karna;

Daant Lena Sar-E-Mehfil Koi Baat Nahin;
Phir Akele Mein Gale Laga Kar Manaaya Karna;

Jaan Jaungi Mein Khushboo Se Tumhaari Tum Ko;
Tum Peeche Se Meri Aankhoon Ko Chupaaya Karna;

Jaagna Chahun To Raat Bhar Baatein Karna;
Neend Aa Jaaye To Mujhe Apne Seene Par Sulaaya Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den;
Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Yahan Bikti Hai Ishq Nilaam Hota Hai;
Bharose Ka Katal Yahan Khule Aam Hota Hai;
Zamaane Se Mili Jab Thokar To Maikhaane Chale Gaye Hum;
Aaj Wahi Zamaana Humein Sharabi Ka Naam Deta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi;
Hamare Jaisi Tumko Kahin Chahat Bhi Na Milegi;
Yun Itni Berukhi Na Dikhlaiye Humein;
Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log Kehte Hain Jise Hadh Se Zyada Pyaar Karo;
Woh Pyaar Kee Kadar Nahi Karta;
Par Sach To Ye Hai Ki Pyaar Kee Kadar Jo Bhi Karta Hai;
Use Koi Pyaar Hi Nahi Karta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪⧪Usi Se Aaye Hain Aashob Aasman Wale;
Jise Gubaar Samajhate The Karavan Wale⬀⧭⧭

Main Apni Dhun Mein Yahan Aandhiyan Uthata Hun;
Magar Kahan Wo Maze Khaak-e-Aashiyan Wale;

⧭⧭Mujhe Diya Na Kabhi Mere Dushmano Ka Pata;
Mujhe Hawa Se Ladhate Rahe Jahan Wale;

๐Ÿ”€๐Ÿ”€Mere Saraab-e-Tamanna Pe Rashk Tha Jin Ko;
Bane Hain Aaj Wahi Bahar-e-Be-Karaan Wale;

Main Nala Hun Mujhe Apne Labon Se Door Na Rakh;
Mujhi Se Zinda Hai Tu Mere Jism-o-Jaan Wale;

๐Ÿ”€๐Ÿ”€Ye Musht-e-Khaak 'Zafar' Mera Pairahan Hi Tu Hai;
Mujhe Zameen Se Darayein Na Kehakashan Wale๐Ÿ”บ๐Ÿ”บ๐Ÿ”บ

No comments :

Post a Comment