hindi love shayari new



  1. Tujhe Paane Ke Liye Kuchh Bhi Kar Sakta Hu;
  2. Tere Pyaar Mein Jee Toh Kya, Mar Bhi Sakta Hu;
  3. Phir Bhi Tu Nahi Mili To Koi Mujhe Gham Nahi;
  4. Yeh Formula Kissi Dusri Pe Set Kar Sakta Hu!
  5. FUNNY*******************************
  6. Woh Baada-e-Shabana Kee Sar-Mastiyan Kahan;
  7. Uthiye Bas Ab Ke Lazzat-e-Khwab-e-Sehar Gayi;
  8. Udti Phire Hai Khaak Meri Koo-e-Yaar Mein;
  9. Baare Ab Aaye Hawa Hawas-e-Baal-o-Par Gayi!

  10. *******************************

  11. Gone are those spirited nights of intoxication,
  12. Arise! The blissful sleep of dawns that follow is also dispersed.
  13. A cloud of my ashes rises in the street of the other,
  14. Finally oh wind, I no longer crave wings or plumage.
  15. *******************************
  16. Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham Jaaye;
  17. Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye;
  18. Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi;
  19. Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye!
  20. *******************************
  21. Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum;
  22. Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum;
  23. Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Sacha Nahi Hota;
  24. Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum!
  25. *******************************
  26. Takdeer Bata Tune Mujhko Kis Mod Pe Lake Chhod Diya;
  27. Ek Mod Talak To Saath Diya Ek Mod Pe Lake Chhod Diya;
  28. Khud Pyaar Kiya Khud Thukraya Phir Pyaar Bhara Dil Tod Diya;
  29. Us Mod Talak To Saath Diya Is Mod Pe Lake Chhod Diya!
  30. DARD *******************************
  31. Ye Dil Mein Vasvasa Kya Pal Raha Hai;
  32. Tera Milna Bhi Mujh Ko Khal Raha Hai;

  33. Jise Maine Kiya Tha Be-Khudi Mein;
  34. Jabeen Par Ab Vo Sajda Jal Raha Hai;

  35. Mujhe Mat Do Mubarak-Baad-e-Hasti;
  36. Kisi Ka Hai Ye Saya Chal Raha Hai;

  37. Sar-e-Sahara Sada Dil Ke Shajar Se;
  38. Barasta Door Ik Badal Raha Hai;

  39. Fasad-e-Lagzish-e-Takhleeq-e-Aadam;
  40. Abhi Tak Haath Yazdaan Mal Raha Hai;

  41. Dilon Kee Aag Kya Kafi Nahi Hai;
  42. Jahanum Be-Zaroorat Jal Raha Hai!
  43. *******************************
  44. Bhule Hain Rafta Rafta Unhen Muddaton Mein Hum;
  45. Kishton Mein Khud-Kushi Ka Maza Humse Puchiye!
  46. *******************************
  47. Kuch Pane Kee Chaahat Mein Bahut Kuch Choot Jata Hai;
  48. Na Jane Sabr Ka Dhaga Kahan Par Toot Jata Hai;
  49. Zara Batao Ki Tum Kise Humraah Kehte Ho;
  50. Yahan To Apna Saya Bhi Saath Chod Jata Hai!
  51. *******************************
  52. Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai;
  53. Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai;
  54. Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein;
  55. Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai!
  56. *******************************


  57. Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake;
  58. Khushi Hamari Dekh Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake;
  59. Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake;
  60. Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake!
  61. *******************************

  62. Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai;
  63. Mujh Pe Ehsaan Hawa Karti Hai;

  64. Shab Kee Tanhai Mein Ab To Aksar;
  65. Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai;

  66. Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahi;
  67. Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai;

  68. Zindagi Meri Thi Lekin Ab To;
  69. Tere Kehne Mein Raha Karti Hai;

  70. Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh;
  71. Dil Ka Ehaval Kaha Karti Hai;

  72. Sham Padte Hi Kisi Shakhs Kee Yaad;
  73. Kucha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai!
  74. *******************************
  75. Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi;
  76. Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi!

  77. *******************************
  78. Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain;
  79. Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!
  80. *******************************
  81. Tujhe Chahte Hain Ai Sanam Bas Teri Aarzoo Hai;
  82. Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai;
  83. Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai;
  84. Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Mein Roshni Hai!
  85. ISHQ*******************************
  86. Khamosh Hothhon Ka Agar Ishara Mil Jaaye;
  87. In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye;
  88. Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain;
  89. Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye!
  90. *******************************
  91. Ajnabi Thi Baatein Sabhi Uske Pyaar Kee;
  92. Nahi Thi Khabar Ek Din Qayamat Zaroor Hogi;
  93. Karte Rahe Fariyad Us Khuda Se Ai Sanam;
  94. Milega Tu Mujhe, Khuda Kee Rehmat Zaroor Hogi!
  95. ARMAAN*******************************
  96. Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
  97. Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna;

  98. Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske;
  99. Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna;

  100. Khakh Kis-Kis Kee Khuda Jaane Hui Ai Daman Wale;
  101. Tune Chalte Hue Daman Na Sambhala Apna;

  102. Dil Chune Wale Do Lafz Hi Likhe The Usne;
  103. Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Geya Apna;

  104. Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain;
  105. Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna;

  106. Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
  107. Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna!
  108. GHAZA*******************************
  109. Gham Se Marta Hun Ki Itna Nahi Duniya Mein Koi;
  110. Ki Kare Taziyat-e-Mehr-o-Wafa Mere Baad;
  111. Aaye Hai Bekasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
  112. Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!
  113. *******************************
  114. Husn Ghamze Kee Kashakash Se Chuta Mere Baad;
  115. Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
  116. Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
  117. Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!
  118. *******************************

  119. Zamane Se Nahi Main To Tanhai Se Darta Hun;
  120. Pyaar Se Nahi Main To Ruswai Se Darta Hun;
  121. Milne Kee Umang Bahut Hoti Hai Dil Mein;
  122. Lekin Milne Ke Baad Teri Judai Se Darta Hun!
  123. JUDAA*******************************
  124. Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake;
  125. Pyaar Kya Hota Hai Hum Pehchan Na Sake;
  126. Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki;
  127. Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake!
  128. GILA SHIKWA*******************************
  129. Akhan Di Benoori Changi Nahi Hundi;
  130. Sajjna Kolon Doori Changi Nahi Hundi;
  131. Kade Kade Taa Aa Ke Mil Jaya Karo;
  132. Har Vele Majboori Changi Nahi Hundi!
  133. PUNJAB*******************************
  134. Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
  135. Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;

  136. Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
  137. Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe;

  138. Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli;
  139. Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe;

  140. Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai;
  141. Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe;

  142. Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee,
  143. Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe;

  144. Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi;
  145. Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe;

  146. Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel';
  147. Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe!
  148. *******************************
  149. Justuju Jis Kee Thi Usko To Na Paya Humne;
  150. Iss Bahane Se Magar Dekh Lee Duniya Humne!
  151. *******************************
  152. Tujhe Paane Kee Iss Liye Zidd Nahi Karte;
  153. Kyonki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta;
  154. Tu Milta Hai To Isliye Nazrein Nahi Uthate;
  155. Ki Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta!
  156. *******************************
  157. Meri Har Saans Mein Mehakta Paya Hai Tujhe;
  158. Har Sapno Mein Dil Se Mangwaya Hai Tujhe;
  159. Phir Kyon Na Karein Tumhein Itni Mohabbat;
  160. Jab Khuda Ne Mere Liye Hi Banaya Hai Tujhe!
  161. *******************************
  162. Door Kahin Meri Nazron Se Rehti Hai Wo;
  163. Har Lamha Mere Khayalon Mein Rehti Hai Wo;
  164. Kaisi Hai Wo, Kis Haal Mein Hai Wo;
  165. Dil Ke Mere Har Sawaal Mein Rehti Hai Wo!
  166. *******************************
  167. Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
  168. Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;

  169. Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
  170. Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;

  171. Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
  172. Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;

  173. Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
  174. Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;

  175. Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
  176. Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;

  177. 'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
  178. Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!
  179. *******************************
  180. Manzar Ik Bulandi Par Aur Hum Bana Sake;
  181. Arsh Se Idhar Hota Kaash Ki Makaan Apna;
  182. De Woh Jis Kadar Zillat Hum Hansi Mein Taalenge;
  183. Baare Aashna Nikla Unka Paasban Apna!

  184. *******************************


  185. Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
  186. Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
  187. Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
  188. Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota!
  189. *******************************
  190. Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo;
  191. Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain!
  192. *******************************
  193. Kaash Kite Tu Mere Naal Hunda;
  194. Teriyan Akhan Vich Koi Sawaal Hunda;
  195. Teriyan Baahan Vich Reh Ke Main Eh Dasdi;
  196. Tere Jaan Te Mera Ki Hai Haal Hunda!
  197. *******************************
  198. BhulaKar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat;
  199. To BhulaKar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
  200. Meri Fitrat Mein Nahi Hai Ye Aadat Varna;
  201. Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
  202. *******************************
  203. Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
  204. Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;

  205. Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; 
  206. Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;

  207. Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; 
  208. Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;

  209. Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
  210. Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;

  211. Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
  212. Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;

  213. Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
  214. Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!
  215. *******************************
  216. Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
  217. Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
  218. Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
  219. Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!
  220. *******************************
  221. Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai;
  222. Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi!
  223. *******************************
  224. Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha;
  225. Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha;
  226. Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
  227. Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
  228. *******************************
  229. Koi Mil Jaye Mujhe Tum Jaisa Ye Na-Mumkin Sahi;
  230. Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Ye Bhi Nahi!
  231. GILA SHIKWA*******************************
  232. Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai;
  233. Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai;
  234. Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun;
  235. Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai!

  236. *******************************
  237. Baat Bas Se Nikal Chali Hai;
  238. Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai;

  239. Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai;
  240. Ab Tabiyat Behal Chali Hai;

  241. Ashk Khoonaab Ho Chale Hain;
  242. Gham Kee Rangat Badal Chali Hai;

  243. Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein;
  244. Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai;

  245. Lakh Paigam Ho Gaye Hain;
  246. Jab Saba Ek Pal Chali Hai;

  247. Jao, Ab So Raho Sitaro;
  248. Dard Kee Raat Dhal Chali Hai!
  249. *******************************
  250. Zulmat Kade Mein Mere Shab-e-Gham Ka Josh Hai;
  251. Ek Shamma Hai Daleel-e-Sahar So Khamosh Hai;
  252. Na Muzhda-e-Visaal Na Nazara-e-Jamal;
  253. Muddat Hui Ki Aashti-e-Chashm-o-Ghosh Hai!
  254. *******************************
  255. Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai;
  256. Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Kar!
  257. *******************************
  258. Tere Pyaar Mein Do Pal Kee Zindagi Bahut Hai;
  259. Ek Pal Kee Hansi Aur Ek Pal Kee Khushi Bahut Hai;
  260. Ye Duniya Mujhe Jaane Ya Na Jaane;
  261. Teri Aankhein Mujhe Pehchane Yahi Bahut Hai!
  262. *******************************
  263. Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai;
  264. Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti;
  265. Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log;
  266. Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti!
  267. *******************************
  268. Hasrat Hai Sirf Humein Tumhe Paane Kee;
  269. Aur Koi Khawahish Ab Nahi Is Deewane Kee;
  270. Shikwa Humein Tumse Nahi Khuda Se Hai;
  271. Kya Zarurat Thi Tumhe Itna Khoobsurat Banane Kee!
  272. HUSN*******************************

  273. Sarakti Jaye Hai Rukh Se Naqab Ahista-Ahista;
  274. Nikalta Aa Raha Hai Aftab Ahista-Ahista;

  275. Jawan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda;
  276. Haya Yaklakhat Aayi Aur Shabab Ahista-Ahista;

  277. Shab-e-Furkat Ka Jagaa Hun Farishtocn Ab To Sone Do;
  278. Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Ahista-Ahista;

  279. Sawal-e-Vasl Par Un Ko Adoo Ka Khauf Hai Itna;
  280. Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Ahista- Ahista;

  281. Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna;
  282. Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Ahista- Ahista;

  283. Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahun Un Se;
  284. Huzoor Ahista-Ahista Janaab Ahista-Ahista!
  285. *******************************
  286. Apni Gali Mein Mujh Ko Na Kar Dafn Baad-e-Qatl;
  287. Mere Pate Se Khalak Ko Kyon Tera Ghar Mile;
  288. Saqi Gari Kee Sharm Karo Aaj Varna Hum;
  289. Har Shab Piya Hi Karte Hain Mai Jics Kadar Mile!
  290. *******************************
  291. Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
  292. Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
  293. *******************************
  294. Taqdeer Ne Jaise Chaha Vaise Dhal Gaye Hum;
  295. Bahut Sambhal Ke Chale Fir Bhi Fisal Gaye Hum;
  296. Kisi Ne Vishwas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil;
  297. Aur Logon Ko Lagta Hai Ki Badalc Gaye Hum!

  298. *******************************


  299. Palkon Mein Aansu Aur Dil Mein Dard Soya Hai;
  300. Hansne Walon Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai;
  301. Ye To Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri Is Tanhayi Ka Alam;
  302. Jisne Zindagi Mein Kisi Ko Pane Se Pehle Khoya Hai!
  303. *******************************
  304. Kash Woh Samajhte Is Dil Kee Tadap Ko;
  305. To Yun Humein Ruswa Na Kiya Hota;
  306. Unki Ye Berukhi Bhi Manzoor Thi Humein;
  307. Bas Ek Baar Humein Samjh Liya Hcota!
  308. *******************************
  309. Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
  310. Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

  311. Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho;
  312. Saare Aalam Mein Bhar Rcaha Hai Ishq;

  313. Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai;
  314. Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

  315. Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
  316. Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

  317. Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha;
  318. Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

  319. Koi Khwaahan Nahi Mohabbat Ka;
  320. Tu Kahe Jins-e-Narwa Hai Ishq;

  321. Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain;
  322. Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
  323. *******************************
  324. Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun;
  325. Main Nahi Jaanta Dua Kya Hai;
  326. Maine Maana Ki Kuch Nahi Ghalib;
  327. Muft Haath Aaye To Burca Kya Hai!

  328. *******************************
  329. Hum Ko Unse Hai Wafa Kee Umeed;
  330. Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai;
  331. Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga;
  332. Aur Darvesh Kee Sada Kya Hai!
  333. *******************************
  334. Yun Palke Bicha Kar Tera Intezar Karte Hain;
  335. Yeh Wo Gunah Hai Jo Hum Baar Baar Karte Hain;
  336. Jalakar Hasrat Kee Raah Par Chirag Arzoo Ke;
  337. Hum Subah Aur Shamc Tere Milne Ka Intezar Karte Hain!
  338. INTZAAR*******************************
  339. Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai;
  340. Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai;
  341. Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari;
  342. Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai!
  343. ISHQ*******************************
  344. Har Khushi Se Khoobsurat Aapki Har Sham Kar Dun;
  345. Apna Pyaar Aur Dosti Aapke Naam Kar Dun;
  346. Mil Jaye Agar Dobara Ye Zindagi;
  347. To Har Baar Ye Zindagi Aapke Naam Kar Dun!
  348. ISHQ*******************************
  349. Yahi Nahi Koi Toofaan Meri Talaash Mein Hai;
  350. Ki Mausam-e-Gham-e-Janaa cMeri Talaash Mein Hai;

  351. Visaal-Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
  352. Sitara-e-Shab-e-Hijra Meri Talaash Mein Hai;

  353. Main Faisale Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar;
  354. Kisi Ka Deedaa-e-Hairan Meri Talaash Mein Hai;

  355. Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai;
  356. Ki Ek Karya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai;

  357. Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun;
  358. Mui Charag Saar Unvan Mecri Talaash Mein Hai;

  359. Ye Kaisa Khwab Tha Dhadka Sa Lag Geya Dil Ko;
  360. Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talaash Mein Hai!
  361. *******************************
  362. Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
  363. Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;
  364. Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai;
  365. Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate!

  366. *******************************

  367. Uski Nazar Ko Fursat Hi Na Mili Hogi;
  368. Varna Mera Marz Itna La-Ilaaj To Na Tha;
  369. Humne To Wahan Bhi Mohabbat Hi Kee;
  370. Jahan Mohabbat Ka Koi Riwacaz Na Tha!
  371. *******************************
  372. Kya Wajha Hai Mere Darne Kee;
  373. Ab To Khwaish Hai Unki Yaadon Mein Marne Kee;
  374. Na Jane Unhein Kyon Itna Yaad Karta Hai Dil;
  375. Jinhe Fursat Hi Nahi Hai Humein Yaad Karne Kee!
  376. YAADEIN*******************************
  377. Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge,
  378. Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge;
  379. Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye;
  380. Har Gham Aapka Hum ccBhula Denge!
  381. ISHQ*******************************
  382. Na Socha Na Samjha

  383. Na Socha Na Samjha Na Seekha Na Jana;
  384. Mujhe Aa Geya Khud-Ba-Khud Dil Lagana;

  385. Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana;
  386. Simat Kar Yahin Aa Na Jaye Zamana;

  387. Zubaan Par Lagi Hain Wafaon Kee Muhrein;
  388. Khamoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana;

  389. Gulon Tak Lagayi To Aasaan Hai Lekin;
  390. Hai Dushwaar Kaanton Se Dacaman Bachana;

  391. Karo Laakh Tum Matam-e-Naujawani;
  392. Pa 'Meer' Ab Nahi Aayega Wo Zamana!
  393. *******************************
  394. Main Bhi Munh Mein Jubaan Rakhta Hun;
  395. Kaash Pucho Ki Mudda Kya Hai;
  396. Jab Ki Tujh Bin Nahi Koi Maujood;
  397. Phir Yeh Hungama Ai Khcuda Kya Hai!
  398. *******************************
  399. Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai;
  400. Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai;
  401. Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar;
  402. Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai!
  403. *******************************
  404. Wafa Kee Keemat Lagai Nahi Jati;
  405. Humse Apni Chahat Chupayi Nahi Jati;
  406. Is Kadar Mohabbat Hai Humein Unse;
  407. Ki Unki Khata Bhi Humse Batai Nahi Jati!
  408. GILA SHIKWA*******************************
  409. Dil Ke Dard Ko Chupana Kitnca Mushkil Hai;
  410. Toot Kar Fir Muskurana Kitna Mushkil Hai;
  411. Kisi Ke Saath Door Tak Jao Fir Dekh;
  412. Akele Laut Ke Aana Kitna Mushkil Hai!
  413. JUDAAI*******************************
  414. Dil Se Na Pucho Ki Ander Darcd Kitna Hai;
  415. Dhadkan Se Na Pucho Ki Baki Khel Kitna Hai;
  416. Puchna Hi Hai To Jalti Hui Laash Se Pucho;
  417. Zindagi Mein Gham Aur Kafan Mein Chain Kitna Hai!
  418. *******************************
  419. Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
  420. Wo Ja Raha Hai Koei Shab-e-cGham Guzaar Ke; 

  421. Veeran Hai Maykada Khum-o-Sagar Udas Hain;
  422. Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahar Ke; 

  423. Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
  424. Dekhe Hain Humne Haunsle Parwaradigaar Ke; 

  425. Duniya Ne Teri Yaad Se Began Kar Diya;
  426. Tum Se Bhi Dilfareb Hain Gham Rozgar Ke; 

  427. Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
  428. Mat Puch Valvale Dil-e-Nakardkaar Ke!


  429. Ye Kya Jaane Mein Jana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar; 
  430. Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar;
  431. Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthkar Kchaak Aankhon Tak;
  432. Isi Raaste Geya Hai Hasraton Ka Kafila Hokar!
  433. *******************************
  434. Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Yeh Safar Nikla;
  435. Saare Jahaan Ka Dard Apna Mucqaddar Nikla;
  436. Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya;
  437. Afsos Wahi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla!
  438. *******************************
  439. Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
  440. Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
  441. Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
  442. Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!
  443. *******************************
  444. Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai;
  445. Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai;
  446. Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka;
  447. Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai!
  448. *******************************
  449. Zara Sa Katra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai;
  450. Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;

  451. Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote;
  452. Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai;

  453. Sharafaton Kee Yahan Koi Ahmiyat Hi Nahi;
  454. Kisi Ka Kuch Na Bigado To cKaun Darta Hai;

  455. Zameen Kee Kaisi Viqalat Ho Phir Nahi Chalti;
  456. Jab Aasmaan Se Koi Fainsla Utarta Hai;

  457. Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni See Baatein Hon;
  458. Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai!
  459. *******************************
  460. Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
  461. Mujhe Kya Bura Thc Marna Agar Ek Baar Hota;
  462. Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
  463. Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!

  464. *******************************
  465. Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya;
  466. Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya;
  467. Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya;
  468. Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya!
  469. *******************************
  470. Unhe Ye Shikayat Hai Humsce Ki;
  471. Hum Har Kisi Ko Dekh Kar Muskurate Hain;
  472. Na-Samajh Hain Wo Ki Kya Jaane;
  473. Humein To Har Chehre Mein Wahi Nazar Aate Hain!
  474. *******************************
  475. Phir Chupke Se Yaad Aa Geya Koi;
  476. Meri Aankhon Ko Phir Rula Geya Koi;
  477. Kaise Uska Shukriya Karunc Ada;
  478. Jo Mujh Na-Chiz Ko Shayar Bana Geya Koi!
  479. *******************************
  480. Kuch Main Bhi Thak Geya Ucse Dhoondte Hue;
  481. Kuch Zindagi Ke Paas Bhi Mohlat Nahi Rahi;
  482. Us Kee Har Ek Ada Se Jhalakne Laga Khaloos;
  483. Jab Mujh Ko Aitbar Kee Aadat Nahi Rahi!

  484. *******************************

  485. Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Bekar Kee Baatein Karte Hain;
  486. Payal Ke Gamon Ka Ilm Nahi Jhankar Kee Baatein Karte Hain;

  487. Nahak Hai Hawas Ke Bandon Ko Nazara-e-Fitrat Ka Dawa;
  488. Aankhon Mein Nahi Hai Betabi Deedar Kee Baatein Karte Hain;

  489. Kehte Hain Unhi Ko Dushmacn-e-Dil Naam Unhi Ka Naseh Bhi;
  490. Wo Log Jo Reh Kar Sahil Par Majhdhar Kee Baatein Karte Hain;

  491. Pahunche Hain Jo Apni Manzil Par Un Ko To Nahi Kuch Naz-e-Safar;
  492. Chalne Ka Jinhe Maqdur Nahi Raftaar Kee Baatein Karte Hain!
  493. *******************************
  494. Yeh Kahan Kee Dosti Hai Ki Bane Hain Dost Naasih;
  495. Koi Chaarasaaz Hota Koci Ghamgusar Hota;
  496. Rang-e-Sang Se Tapkta Woh Lahu Ki Phir Na Thamta;
  497. Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota!

  498. *******************************
  499. Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-Nim Kash Ko;
  500. Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota!
  501. *******************************
  502. Zindagi Kee Rah Mcein Raaste Badal Jate Hain;
  503. Waqt Kee Aandhi Mein Icnsan Badal Jate Hain;
  504. Sochte Hain Tumhein Itna Yaad Na Karein Lekin;
  505. Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain!
  506. *******************************
  507. Deedar Tera Kiya Humcne, Aaj Gairon Kee Qataar Se;
  508. Na Nazar-e-Inayat Hui, Na Rooh Ko Sukun Mila!
  509. *******************************
  510. Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
  511. Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tujhe Tanha Kare;
  512. Jaan Ban Ke Utar Jaa cUski Rooh Mein;
  513. Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujh Se Wafa Kare!
  514. *******************************

  515. Kis-Kis Ada Se Tune Jalwa Dikha Ke Mara;
  516. Aazad Ho Chuke The, Banda Bana Ke Mara;

  517. Awal Bana Ke Putla, Putle Mein Jaan Dali;
  518. Phir Usko Khud Qaza Kee Soorat Mein Aake Mara;

  519. Aankhon Mein Teri Zaalim Churiyaan Chupi Hui Hain; 
  520. Dekha Jidhar Ko Tune Paclkein Uthake Mara;

  521. Gunchon Mein Aake Mehka, Bulbul Mein Jake Chehka; 
  522. Isko Hansa Ke Mara, Usko Rula Ke Mara; 

  523. Sosan Kee Tarah 'Akbar', cKhamosh Hain Yahan Par; 
  524. Naragis Mein Isne Chhip Kar Aankhein Lada Ke Mara!
  525. *******************************
  526. Barish Hui To Phulon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
  527. Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;
  528. Badal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein;
  529. Kaise Buland-o-Baala Shajcar Khaak Ho Gaye!
  530. *******************************
  531. Har Zakhm Kisi Thokar Kee Meharbani Hai; 
  532. Meri Zindagi Bas Ek Kahani Hai; 
  533. Mita Dete Sanam Ke cDard Ko Seene Se;
  534. Par Ye Dard Hi Uski Akhiri Nishani Hai!
  535. *******************************
  536. Kitab-e-Ishq Mein Jitne Alfaz Likhe Hain;
  537. Dil Mein Mere Utne Ehsaas Rakhe Hain;
  538. Tum Keh Kar Dekhcte Sitamgar, Zalim;
  539. Mere Labon Par Kitne Tere Naam Rakhe Hain!


No comments :

Post a Comment